Ali ardar Jafri--Tu mujhay itnay pyaar say mar daikh

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Brijinder
-
-
Posts: 86
Joined: Mon Jul 04, 2005 9:02 pm
Contact:

Ali ardar Jafri--Tu mujhay itnay pyaar say mar daikh

Post by Brijinder »

Tu mujhay itnay pyaar say mar daikh


Tu mujhay itnay pyaar say mat daikh
Teri palkoN kay naram saayay maiN
Dhoop bhi chaNdni si lagti hai
Aur mujhay kitni door jaanaa hai
Rait hai garm,PaoN kay chaalay
YooN dehktay haiN,jaisay aNgaaray
Pyaar ki yeh nazar rehay na rehay
Kaun dasht-e-wafa maiN jalta hai
Teray dil ko khabar rahay na rahay
Tu mujhay itnay pyaar say mat daikh
-------------------------------------
Last edited by Brijinder on Mon Jul 23, 2007 9:02 pm, edited 1 time in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Birjindar SaaHib aadaab!

Kiya kehne mashAllah baRee khubSurat nazm pesh kee hai.
is khubSurat takhleeq par meree dilee daad qubool keejiye. mujhe ummeed hai keh aap is tarH apnee aa'la takhleeqat se hameeN istefadak karne kaa maoqa' faraham karte raheeN ge.

Tu mujhay itnay pyaar say mat daikh
Teri palkoN kay naram saayay maiN
Dhoop bhi chaNdni si lagti hai
Aur mujhay kitni door jaanaa hai
Rait hai garm,PaoN kay chaalay
YooN dehktay haiN,jaisay aNgaaray
Pyaar ki yeh nazar rehay na rehay
Kaun dasht-e-wafa maiN jalta hai
Teray dil ko khabar rahay na rahay
Tu mujhay itnay pyaar say mat daikh


khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Post Reply