azeezan e bazm
assalam o alaekum
aik ghazal pesh e khidmet hay
apni besh qeemet raey say zarur nawaziay ga
sohail malik
[align=center]
یہی درد ہے یہی سوز ہے یہی مے کشی کا فراز ہے
مرا عشق ہے مرا ہمسفر مرا دل اسی سے گداز ہے
مجھے کیا کہے غمِ عاشقی مرا کام ہے تری بندگی
یہ نوا ہے وقفِ صدائے جاں یہ مرے جنوں کی نماز ہے
مری آرزو کا نصیب تُو مری التجا تری گفتگو
رہوں نارسا تو گلہ نہیں مجھے اپنے عشق پہ ناز ہے
یہ عجیب حال مرا ہوا نہ اِدھر رہا نہ اُدھر گیا
نہ حریمِ جان عزیز ہے نہ ہی بندگی میں نیاز ہے
تُو سمجھ اگر تجھے ہو خبر تو تُو عمر بھر چلے اِس ڈگر
یہاں کون جلوہ پذیر ہے یہاں کون جلوہ طراز ہے
انہی فرقتوں میں کہیں مجھے تری آشنائی نصیب ہو
انہی مشکلوں میں وجودِ گِل مری سروری کا مجاز ہے
تُو ہے منتظر میں حریص ہوں پہ زماں مکاں کا اسیر ہوں
میں ازل سے محوِ خرام ہوں مرا کام کتنا دراز ہے
[/align]
yehi derd hay yehi soz hay
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 124
- Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am
yehi derd hay yehi soz hay
- Attachments
-
- yehi derd hay.gif (26.73 KiB) Viewed 114 times
Last edited by Sohail Malik on Thu Jul 19, 2007 4:40 pm, edited 1 time in total.
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Waah Sohaib bhai.
aisi shaandaar ghazal kahi ke waah kehne ke allawaa kuch oar bachtaa hi naheeN. sub se zydaa khushi ke baat hai ke Iqbaal ka raNg bohat numaayaaN hai. meN issay khushi baat samajhaa hooN. agar aap ko buraa lagay to ma'zirat chaahtaa hooN.
mairi Taraf se mubaarakbaad qubool kijiaye.
aor haaN,
paanchaveN sher ka pehla miSra paRhte huway maire zahn meN ye miSra is TaraH aayaa thaa,
to ye jaan lay mari jaaN agar to tuu umr bhar chalay is Dagar
aor aakhir sher ke pehla miSra meN "tu bhi muntazir, meN HareeS hooN" kehne se tarteeb qaaim naheeN rehtaa. bhi waalaa hiSSA b'aad meN aanaa chahaiaye. aap bhi ko "hai" se baad kar aasaani se is se jaan chuRaa sakte haiN.
aor doosre miSra ke pehlay miSra meN jo aap tirii fikr hai gham e 'aashiqui keh raheN haiN to mujhe ye andaaza naheeN huwaa ke aap tirii kiss ko keh raheN hain. paRhne walay ko ya gham e aashiqui ko?
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
-
- -
- Posts: 124
- Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am
Khawer bhai tareef ka bohat shukria
Allama kay saath koi nisbet to bohat baRay aizaaz ki baat hay. maiN to issay apni bohat baRi khushnaseebi samjhuN ga ager aap ko meri baatoN maiN un ka koi aks nazer aata hay.
aap ki teen maiN say do tajaweez per amel ker dia hay, teesri zer e ghour hay.
aap kay mashweroN ko maiN nay hamashay bohat mufeed paya hay.
wasslam