hazreen e mehfil
aadaab o tasleemat
apni tazah GHazal ke saath hazir e khidmat hoon aur ummeed karta hoon ke aap apni garanqadr aara se zaroor nawazenge aur mujhe shukriyah ada karne ka moqa faraham karenge
Husaini
ghazal
manoos heN kuchh aise GHamon ke acar se hum
mar jayenge KHushi ki zara si KHabar se hum
shehroN meN dasht se he ziyadah darindagi
is KHouf se nikalte nahiN apne ghar se hum
deta nahiN too husn ko kiyoN jazbah e wafa ?
poochhenge yeh sawaal shah e behr o bar se hum
marGHoob he unheN jo bohat dil ka toRna
layenge roz aik naya dil kidhar se hum ?
koh e baland sar kiye gir kar hazaar baar
uTThe nah phir giraye gaye jab nazar se hum
sar tere dar pe rakh ke gunahgaar ho gaye
yeh bojh ab utarenge kis tarah sar se hum
aane do un ki samt se patthar hazaar baar
bhejenge baar baar unheN gul idhar se hum
jane lagadeN kab miri KHuddariyoN ke daam
rehte heN door isliye her ahl e zar se hum
zahir husaini naam se hota he saaf saaf
rakhte hen uns Fatimah Zahra ke ghar se hum
tazah ghazal manoos heN kuchh aise GHamoN ke asar se hum
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
tazah ghazal manoos heN kuchh aise GHamoN ke asar se hum
- Attachments
-
- 56 manoos is qadar hen ghamon ke acar se hum.gif (214.68 KiB) Viewed 364 times
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
Husseini saHib:
salaam arz hai
aap ki ye ghazal doosre forum per bhi parhi aur bahot lutf aaya. aik baar phir parh ker lutf do.baala ho gayaa :)
taqreeban tamaam ash'aar pasand aaye.
aik umda kawish per meri jaanib se daad qubool kijiye :)
amjad

Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
mohtaram amjad sahebIbn-e-siddique wrote:Husseini saHib:
salaam arz hai
aap ki ye ghazal doosre forum per bhi parhi aur bahot lutf aaya. aik baar phir parh ker lutf do.baala ho gayaa :)
taqreeban tamaam ash'aar pasand aaye.
aik umda kawish per meri jaanib se daad qubool kijiye :)
amjad
asslaam alaikum
ghazal ki pazeeraae ke liye men aap ka mamnoon hoon aur dili suhkriyah ada karta hoon qubool farmayen
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
Re: tazah ghazal manoos heN kuchh aise GHamoN ke asar se hu
--WAHHHHHHHHHHHHHH bahut hi umda MATLAA kaha hai aapne...dil ko laga seedhe jaake !!khozema husaini wrote: manoos heN kuchh aise GHamon ke acar se hum
mar jayenge KHushi ki zara si KHabar se hum
--WAHH ek aur teer maara aapne jo ek baar phir seedhe dil mein jaa laga ..bahut khoob janaab!marGHoob he unheN jo bohat dil ka toRna
layenge roz aik naya dil kidhar se hum ?
--bahut hi khoob !sar tere dar pe rakh ke gunahgaar ho gaye
yeh bojh ab utarenge kis tarah sar se hum
--arey wah...ye hui na baat...aane do un ki samt se patthar hazaar baar
bhejenge baar baar unheN gul idhar se hum
--wah nice MAQTAA!zahir husaini naam se hota he saaf saaf
rakhte hen uns Fatimah Zahra ke ghar se hum
Khozema sahab..is qadar khoobsurat ghazal pe dheron daad haazir hai khaaskar quoted ashaar pe...
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
mohtarma shummu sahiba
aadaab
2 maah ki chhuttiyon ke baad chand roz qabl hi hindustan se lota hoon
aaj aap ki mail per nazar padi is liye jawab der se deraha hoon ummeed he aap muAaf farmayengi
matla ki tareef ka andaaz khoobsoorat hay
aur baqi ashaar ki pasandeedgi ka bhi shukriya
Husaini
aadaab
2 maah ki chhuttiyon ke baad chand roz qabl hi hindustan se lota hoon
aaj aap ki mail per nazar padi is liye jawab der se deraha hoon ummeed he aap muAaf farmayengi
matla ki tareef ka andaaz khoobsoorat hay
aur baqi ashaar ki pasandeedgi ka bhi shukriya
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
Re: tazah ghazal manoos heN kuchh aise GHamoN ke asar se hu
Adaab Khozemi Sahib!khozema husaini wrote:
ghazal
manoos heN kuchh aise GHamon ke acar se hum
mar jayenge KHushi ki zara si KHabar se hum
shehroN meN dasht se he ziyadah darindagi
is KHouf se nikalte nahiN apne ghar se hum
deta nahiN too husn ko kiyoN jazbah e wafa ?
poochhenge yeh sawaal shah e behr o bar se hum
marGHoob he unheN jo bohat dil ka toRna
layenge roz aik naya dil kidhar se hum ?
koh e baland sar kiye gir kar hazaar baar
uTThe nah phir giraye gaye jab nazar se hum
sar tere dar pe rakh ke gunahgaar ho gaye
yeh bojh ab utarenge kis tarah sar se hum
aane do un ki samt se patthar hazaar baar
bhejenge baar baar unheN gul idhar se hum
jane lagadeN kab miri KHuddariyoN ke daam
rehte heN door isliye her ahl e zar se hum
zahir husaini naam se hota he saaf saaf
rakhte hen uns Fatimah Zahra ke ghar se hum
Aap ki yeh Khoobsoorat ghazal aap ki aawaz meiN bhi suni thi, behad pasand aayi thi aur yahaN paRh kar bhi bohot achha laga. Har sher aik nageena hay. Daad pesh karti huN.
Last edited by Anmol on Thu Jul 28, 2005 8:20 pm, edited 1 time in total.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact: