GuZarish#31 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

GuZarish#31 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaaran-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :rose

Mahanah mushae'rah GuZarish#31 August 2007 ke liye kuliyaat-e-SaaHir Ludhyanawi se t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai.

"ham Zindagee meN phir koee armaaN nah kar sakeY"

Sadr-e-mushaae'irah: ustaad-e-sukhan Abdullah Nazir SaaHib
mehmaan-e-khuSuSee mo'tabar Shaae'ir Janaab Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib

Quwafee: armaaN, faroZaaN, namakdaaN, pashemaaN, GareebaaN, GhazalaaN, pareshaaN, meherbaaN, Waghaerah.
radeef: nah kar sakeY!

Yeh beHr-e-MuZaaria' akhrab makfoof maqSoor MeHzoof hei. Iska vazn hei:
maaf'oolu…..faa'ilaatu…..mafaa'ee'lu…..faa'ilun

=/0/0/............./0//0/...........//0/0/............./0//0
= 221...............2121............1221...............212
=lls...................lsls...............slls.................lsl

Ijaazut: Ghair qaafiyah band miSreA ke aakhiri rukn ko faa'ilun kii bajaaye faa'ilaat isteAmaal karsakte heiN.

ummeed hai keh sabhee dost t^aba' aazmaa kar mamnoon farmaeeN ge.

mutamann-e-shirkar!
Intez^aamiyah
Urdubandhan
Post Reply