ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

ghazal

Post by tahira Masood »

dil ki Haalat bataa nahiN sakti
derd apne sunaa nahiN sakti

waqt ne bunn diyaa jo maire gird
maiN woh jaala Hataa nahiN sakti

raakh dil ho gayaa miraa kab kaa
cheer k maiN dikhaa nahiN sakti

tauR Daala jo tum ne taaj meHal
usko phir se banaa nahiN sakti

itne jab zehn maiN tafakkur hoN
neend aankhoN maiN aa nahiN sakti

sar-e-meHfil bharam bhi rakhnaa hai
maiN yeh aaNsuu behaa nahiN sakt

waqt tha jab k qehqahe thay maire
maiN keh ab muskuraa nahiN sakti
Last edited by tahira Masood on Sun Aug 05, 2007 4:45 pm, edited 1 time in total.
live and let live

Image
rukhsar
-
-
Posts: 40
Joined: Wed Jul 25, 2007 1:15 am
Location: Bahrain
Contact:

Post by rukhsar »

tahira masood sahiba
aadab
aaj aapki ghazal paRhi mashah allah achchay sher kahay hain achchay ash,aar hain
wah wah bhut khoob ......... daad haazir hay ..
meri aapsay ek guzaarish hay . vo yeh keh aap thoRi si tawwaja dain to is say bhi achchay
sher kah sakti hain . 1 . post karnay main ujlat say kaam na lain 2. post karnay say pahlay kalaam ko ek do baar achchi tarah paRh lain . aur nazr-e saani karain keh koi lafz reh to nahin gayaa ya koi lafz do baar to nahi likha gayaa .

................
raakh dil ho ho gayaa miraa kab kaa
cheer k maiN dikhaa nahiN sakti

is sher kay pahlay misray main ,, HO ,, do baar type ho gayaa hay
.......................


bheram rakhnaa bhi hai ser-e-meHfil
maiN yeh aaNsuu behaa nahiN sakt
.......
is sher ka pahla misra behr main nahi hay

is misray ko aap agar is tarah kahain keh ( sar-e mahfil bharam bhi rakhnaa hay )
to aapki ghazal ka yeh misra bhi dorust ho jaygaa

SAR - E MAHFIL BHARAM BHI RAKHNAA HAY
....................................................................... ummeed hay naraaz nahi hongi
gustaakhi mo,aaf
rukhsar
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

rukhsar wrote:tahira masood sahiba
aadab
aaj aapki ghazal paRhi mashah allah achchay sher kahay hain achchay ash,aar hain
wah wah bhut khoob ......... daad haazir hay ..

hamne le lii bohat bohat shuekriyah :grin:
meri aapsay ek guzaarish hay . vo yeh keh aap thoRi si tawwaja dain to is say bhi achchay
sher kah sakti hain . 1 . post karnay main ujlat say kaam na lain 2. post karnay say pahlay kalaam ko ek do baar achchi tarah paRh lain . aur nazr-e saani karain keh koi lafz reh to nahin gayaa ya koi lafz do baar to nahi likha gayaa .

Roger boss aayndah khayaal rakhoN gee .. magar :P aapas ki baat hai maiN her baar bhool jaati hoN
................

raakh dil ho ho gayaa miraa kab kaa
cheer k maiN dikhaa nahiN sakti

is sher kay pahlay misray main ,, HO ,, do baar type ho gayaa hay

hahaha!!! itnee sanjeedah ghazal maiN itnee mazaaHiyaa typo yaqeen maaneiN Rukhsaar jee meraa hansi se buraa Haal hai lol

.......................


bheram rakhnaa bhi hai ser-e-meHfil
maiN yeh aaNsuu behaa nahiN sakt
.......
is sher ka pahla misra behr main nahi hay

is misray ko aap agar is tarah kahain keh ( sar-e mahfil bharam bhi rakhnaa hay )
to aapki ghazal ka yeh misra bhi dorust ho jaygaa

SAR - E MAHFIL BHARAM BHI RAKHNAA HAY

bohat khoob tajweez hai maa badaulat aisaa hi kerdeiN ge

Rukhsaar jee I must say "nice to have conversed with u"
:rose :rose :rose
....................................................................... ummeed hay naraaz nahi hongi
gustaakhi mo,aaf
rukhsar


kardi hehehe :grin:
live and let live

Image
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Tahiraa Ji,

aap ki shaairii paRh kar yaqeen ho jaataa hai ke aap fiTratan hi shaairaanaa SalaaHeetoN se maalaa maal heN aor qudrat ne aap ko taghazul aor takhayyul ki doaulat se khoob nawaazaa hai.

dil ki Haalat bataa nahiN sakti
derd apne sunaa nahiN sakti


bohat achaa matlaa' hai. laikin choonke bataana, aor sunaanaa aik hi ma'noN meN hai is leeaye agar meN hotaa ( magar meN hotaa hi kyooN? :-)) to aik sunaa ko dikhaa se badal daitaa aor uss manasabit se dard ko dard e dil kar daitaa

dard dil ka dikhaa naheeN sakti

waqt ne bunn diyaa jo maire gird
maiN woh jaala Hataa nahiN sakti

bohat khoob .

raakh dil ho gayaa miraa kab kaa
cheer k maiN dikhaa nahiN sakti


bohat zabardast! pehlay miSray meN agar aap chaaheN to alfaaz ki tarteeb ko behtar kar sakti heN. maira dil raakh ho gyaa kab se


tauR Daala jo tum ne taaj meHal
usko phir se banaa nahiN sakti


bohat khoob!

itne jab zehn maiN tafakkur hoN
neend aankhoN maiN aa nahiN sakti


is ke pehlay miSray meN bhi behtari ki gunjaish meHsoos hoti hai.

sar-e-meHfil bharam bhi rakhnaa hai
maiN yeh aaNsuu behaa nahiN sakti


is sher ne kuch mutaacir naheeN kar sakti

waqt tha jab k qehqahe thay maire
maiN keh ab muskuraa nahiN sakti


bohat khoob!

majmoo'ee Tor par aik bohat achhchhi ghazal paish karne par mubaarakbaad qubool kijiaye.

MukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

muhammad_19k wrote: Tahiraa Ji,

aap ki shaairii paRh kar yaqeen ho jaataa hai ke aap fiTratan hi shaairaanaa SalaaHeetoN se maalaa maal heN aor qudrat ne aap ko taghazul aor takhayyul ki doaulat se khoob nawaazaa hai.


gosh!!!!!!!!!!!! sach!!!!!!!!!!!! eeeeeeeeeeeeeek mujhe yaqeen nahiN aa rehaa pls somebody pinch me so that I may know if it is not a dream!!:shock: :shock:

mazaaq ber teraf .. aap kaa yeh Husn-e-naZar hai aur main in kalimaat k liye bohat bohat aur bohat mamnoon -o-mutashakkir hoN janaab!


dil ki Haalat bataa nahiN sakti
derd apne sunaa nahiN sakti


bohat achaa matlaa' hai. laikin choonke bataana, aor sunaanaa aik hi ma'noN meN hai is leeaye agar meN hotaa ( magar meN hotaa hi kyooN? :-)) to aik sunaa ko dikhaa se badal daitaa aor uss manasabit se dard ko dard e dil kar daitaa

:-k baat yeh hai keh maine jis mood maiN yeh shaer kehaa tha auskaa taqaaZah yehi thaa. wajh tasmiyah yeh hai keh maiN in dinoN Haalat-e-Haazirah ya'eeni khaaS taur per ummat-e-muslimah ki around the globe haalat per itnaa bol chukee thi gher maiN keh meraa auRhnaa bichonaa yehi ban gaya athaa , duaaeiN aur her baat yehi nikal rehi thi, khaane ki maiz per hoti yaa GaaRi maiN yaa Tv dekh rehi hoti, hattaa keh fon per bhi yehi dukhRaa thaa meri zabaan per maiN thakk gaee thi magar muslamaanoN ka amuman aur paksitan k Haalaat KhaSuSan makhdush hi hote chale jaa rehay tha jabhi thak ker maine sochaa keh ab kehaaN tak iskaa zikr suna aker logoN ki samaa kharaashi karoN?? aur maiN khud bhi tua thak ga'ee thi iss liye sochaa keh
derd apne sunaa nahiN sakti

zehan maiN sunaa'ne kaa rujHaan ghaalib rehaa iss liye aisaa likh gaee magar isko doosere Zaaviye se dkeh aa jaaey tau bataana bhi keh sakte haiN. aqap ki tajweez nehaayat m'Aquul hai



dard dil ka dikhaa naheeN sakti

waqt ne bunn diyaa jo maire gird
maiN woh jaala Hataa nahiN sakti

bohat khoob .

shuekriyah bohat bohat shuekriyah janaab!!!

raakh dil ho gayaa miraa kab kaa
cheer k maiN dikhaa nahiN sakti


bohat zabardast! pehlay miSray meN agar aap chaaheN to alfaaz ki tarteeb ko behtar kar sakti heN. maira dil raakh ho gyaa kab se

aap yaqeen maaneiN yehi likha ahai meri diary maiN magar nah jaane kayaa soojhi keh isko badal diyaa

Inshallah aisa ahi kerdoNgee


tauR Daala jo tum ne taaj meHal
usko phir se banaa nahiN sakti


bohat khoob!

itne jab zehn maiN tafakkur hoN
neend aankhoN maiN aa nahiN sakti


is ke pehlay miSray meN bhi behtari ki gunjaish meHsoos hoti hai.

yaqeenan aap SaHeeH keh rehay haiN.maine iskaa pehla amisra is teraH socha thaa

kirchiyaaN gham ki bher gaeiN in maiN

apni raaey se zaroor nawaazieN


sar-e-meHfil bharam bhi rakhnaa hai
maiN yeh aaNsuu behaa nahiN sakti


is sher ne kuch mutaacir naheeN kar sakti

koee baat nahiN .. asal maiN hotaa yeh hai keh b'Az auqaat koee baat Hasb-e-Haal nah ho tau be ma'Anee lagti haii
ho saktaa hai kisee aar ko saari ghazal maiN yeh hi saher pasand aa jaaey :grin:


waqt tha jab k qehqahe thay maire
maiN keh ab muskuraa nahiN sakti


bohat khoob!

majmoo'ee Tor par aik bohat achhchhi ghazal paish karne par mubaarakbaad qubool kijiaye.

Muazaffar Bha'ee maiN bhee majmu'ee taur per aap ki raaey se bohat khush huee hoN

iss Hauslah afza'ee aur itne khoobSurat T'Areefi kalimaat k liye maiN aapki dil se mamnoon hoN

sadaa khush rehaiN
:rose :rose :rose you deserve a thousand gardens though but this is what i have for the moment with lots of prayers and best wishes


MukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
live and let live

Image
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: ghazal

Post by tahira Masood »

tahira Masood wrote:dil ki Haalat bataa nahiN sakti
derd apne sunaa nahiN sakti

waqt ne bunn diyaa jo maire gird
maiN woh jaala Hataa nahiN sakti

meraa dil raakh ho gayaa miraa kab kaa
cheer k maiN dikhaa nahiN sakti

tauR Daala jo tum ne taaj meHal
usko phir se banaa nahiN sakti

itne jab zehn maiN tafakkur hoN
neend aankhoN maiN aa nahiN sakti

sar-e-meHfil bharam bhi rakhnaa hai
maiN yeh aaNsuu behaa nahiN sakt

waqt tha jab k qehqahe thay maire
maiN keh ab muskuraa nahiN sakti
live and let live

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah T^ahirah Masa'ood SaaHibah aadaab!

beHer-e-khafeef meN aap kee Ghazal dekhee. aor lut^f andooz huwaa. deegar SaaHibaane fan ne apnee apnee raY se nawaaza hai. maiN khud ko is qaabil naheeN samajhtaa keh kisee kee bhee Ghazal yaa nazm par apnee raY dooN.....haaN itnaa Z^aroor hai keh ba'd dost iSraar karte haiN to bawajh-e-majburee kuch keh detaa hooN. aor yooN kuch baat chal nikaltee hai.

u'muma" meree yeh koshish hotee hai keh kalam ke mucbat pehluooN par nigah rakhee jae. aor kisee bhee pehlu se HaoSlah shiknee kee fiZ^a nah paedah kee jae. kalam meN khubiyaaN aor khaamiyooN kaa honaa aek fit^ree amr hai. koee bhee adabee takhleeq so feeSad khaam naheeN ho saktee aor nah hee so feeSad pukhtah aor faSeeH........asatezah ke haaN bhee GunjaisheeN nikal aatee haiN. kaheeN ta'qeed-e-lafz^ee aor kaheeN ta'qeed-e-mua'nawee aor kaheeN et^aa-e-jalee to kaheeN et^aa-e-khafee...........GharZ^ yeh hotaa aayaa hai. aor hotaa rahe gaa.

aap kee Ghazal achchee koshish hai. choTee zameenooN meN she'er kehnaa mushkil hote haiN. lekin meraa zatee kheyaal yeh hai keh nisbata" aasaan ho jate haiN.......khaer mujhe aap ke sabhee asha'aar pasand aae haiN. saadah-o-salees andaaz-e-bayaaN hameshah dilpazeer hotaa hai. aor yahee wajhah hai keh aap kee Ghazal dilkash aor khubSurat hai. meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!!

dil ki Haalat bataa nahiN sakti
derd apne sunaa nahiN sakti

Kiyaa kehne!! Waah

waqt ne bunn diyaa jo maire gird
maiN woh jaala Hataa nahiN sakti

Waah Waah!!

raakh dil ho gayaa miraa kab kaa
cheer k maiN dikhaa nahiN sakti

Kiyaa kehne!!

tauR Daala jo tum ne taaj meHal
usko phir se banaa nahiN sakti

Waah!

itne jab zehn maiN tafakkur hoN
neend aankhoN maiN aa nahiN sakti

Bohot khoob!! Waah! Waah!

sar-e-meHfil bharam bhi rakhnaa hai
maiN yeh aaNsuu behaa nahiN sakt

Bohot khoob!!

waqt tha jab k qehqahe thay maire
maiN keh ab muskuraa nahiN sakti

Kiyaa kehne!! Waah Waah!!

Wassalam
Muzaffar
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Tahiraa ji

meN musalmanoN ke leeaye 'umaman aor Pakistan ke leeaye aap KhuSusan jazbaa e khair sagaali par mutacir hooN. Allah ta'aala dard mand diloN ke dua'aa qubool farmaa-aye aor ham musalamaanoN ko Haalat se nibatne ki taufeeq day.

aap ki :prayers: aor :best wishes: ke leeaye bohat shukrguzaar hooN,

niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah tahira jee wahhhhhhhhh ...saada alfaaz mein dil ko chuu lene waali ghazla kahi hai aapne..ek ek sher bahut dil ke nazdeek mehsoos hua..bade arse baad net ki mehfilon mein aana shuru hua hai ...kaisi hain aap??:)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah T^ahirah Masa'ood SaaHibah aadaab!

beHer-e-khafeef meN aap kee Ghazal dekhee. aor lut^f andooz huwaa. deegar SaaHibaane fan ne apnee apnee raY se nawaaza hai. maiN khud ko is qaabil naheeN samajhtaa keh kisee kee bhee Ghazal yaa nazm par apnee raY dooN.....haaN itnaa Z^aroor hai keh ba'd dost iSraar karte haiN to bawajh-e-majburee kuch keh detaa hooN. aor yooN kuch baat chal nikaltee hai.

yaqeen maaneiN mujhe khud se neHr k naam kaa patah nahiN chaltaaa..sach!!! :( acha akiya akeh aap ne abtaa diyaa
aap ko iss baare meiN muh se izyaadah hi ilm hai . agar aap mujhe infrom ker diyaa kareN tau maiN manoon hoNgee.


u'muma" meree yeh koshish hotee hai keh kalam ke mucbat pehluooN par nigah rakhee jae. aor kisee bhee pehlu se HaoSlah shiknee kee fiZ^a nah paedah kee jae. kalam meN khubiyaaN aor khaamiyooN kaa honaa aek fit^ree amr hai.

yeh beHad achee soch hai maiN aap se iss baat per mukammil ittefaaq kerti hoN
bohat muCbit soch hai jazakomullah


koee bhee adabee takhleeq so feeSad khaam naheeN ho saktee aor nah hee so feeSad pukhtah aor faSeeH........asatezah ke haaN bhee GunjaisheeN nikal aatee haiN. kaheeN ta'qeed-e-lafz^ee aor kaheeN ta'qeed-e-mua'nawee aor kaheeN et^aa-e-jalee to kaheeN et^aa-e-khafee...........GharZ^ yeh hotaa aayaa hai. aor hotaa rahe gaa.

kayaa Hbaat ki hai . solah aane sachi aur khari baati hai

aap kee Ghazal achchee koshish hai. choTee zameenooN meN she'er kehnaa mushkil hote haiN. lekin meraa zatee kheyaal yeh hai keh nisbata" aasaan ho jate haiN.......khaer mujhe aap ke sabhee asha'aar pasand aae haiN. saadah-o-salees andaaz-e-bayaaN hameshah dilpazeer hotaa hai. aor yahee wajhah hai keh aap kee Ghazal dilkash aor khubSurat hai. meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!!

awwwwwww so noce of u. meraa bhi bilaa wajah saqeel alfaaz istemaal kerne ko jee nahiN chaahte . kionkeh aire akCar kalaam maiN koee nah koee paighaam koee nah koee idea hotaa hai jo maiN chaahte hoN keh sab tak hi ponhche


dil ki Haalat bataa nahiN sakti
derd apne sunaa nahiN sakti

Kiyaa kehne!! Waah

waqt ne bunn diyaa jo maire gird
maiN woh jaala Hataa nahiN sakti

Waah Waah!!

raakh dil ho gayaa miraa kab kaa
cheer k maiN dikhaa nahiN sakti

Kiyaa kehne!!

tauR Daala jo tum ne taaj meHal
usko phir se banaa nahiN sakti

Waah!

itne jab zehn maiN tafakkur hoN
neend aankhoN maiN aa nahiN sakti

Bohot khoob!! Waah! Waah!

sar-e-meHfil bharam bhi rakhnaa hai
maiN yeh aaNsuu behaa nahiN sakt

Bohot khoob!!

waqt tha jab k qehqahe thay maire
maiN keh ab muskuraa nahiN sakti

Kiyaa kehne!! Waah Waah!!

Wassalam
Muzaffar

bohat bohat shuekriyah Zafar Bha'ee
live and let live

Image
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

muhammad_19k wrote: Tahiraa ji

meN musalmanoN ke leeaye 'umaman aor Pakistan ke leeaye aap KhuSusan jazbaa e khair sagaali par mutacir hooN. Allah ta'aala dard mand diloN ke dua'aa qubool farmaa-aye aor ham musalamaanoN ko Haalat se nibatne ki taufeeq day.

aap ki :prayers: aor :best wishes: ke leeaye bohat shukrguzaar hooN,

niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.
moHteram Siddiqui Saheb

salaam

maiN aap ke is jazbe ki qadr keti hoN bohat bohat shuekriyah keh aap ne maire kalaam ki iss KhaaSiyyat ko meHsus kiyaa

sadaa khush rehaiN

wassalam
live and let live

Image
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

Shummu wrote:wah tahira jee wahhhhhhhhh ...saada alfaaz mein dil ko chuu lene waali ghazla kahi hai aapne..ek ek sher bahut dil ke nazdeek mehsoos hua..bade arse baad net ki mehfilon mein aana shuru hua hai ...kaisi hain aap??:)
waaaaaaaaaaaaaaaaaah shummu??? nice too see u.

bohaaaaaat Arse k ba'd dekha ahai tumehiN kehaN thi. sab theek hai naa. Inshallah Theek hi ho gaa

yehi dua aahai meri

sadaa khush reho

aur haaN nazam pasand kerne k liye bohat bohat shukeriyah :rose :rose :rose
live and let live

Image
Post Reply