Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab!
GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh karne kee sa'adat HaaSil kar rahaa hooN. mulaHiZ^ah farmaiye.
Ghazal
ham mushkil-e-Hayaat ko aasaaN nah kar sake
SeHraa-e-Zindagee ko GulistaaN nah kar sake!
thaa Za'am jin ko apnee maseeHaaee ka sadaa
Woh bhee i'laaj-e-saoZish-e-pinhaaN nah kar sake!
Waaraftagee-e-shaoQ meN shal ho GaeY badan
ham ehtemaam-e-SubH-e-baharaaN nah kar sake!
Zanjeer-e-Gham se Woh bhee nah aazaad reh sake
jin ko aseer kaakul-e-pechaaN nah kar sake!
Qat^a'ah!
kuch yooN chalee thee baad-e-Hawadic ke u'mr bhar
Qandeel-e-AarZu ko faroZaaN nah kar sake!
Aalaam-e-a'aashaqee ne kiyaa khud se be khabar
ham taZkirah-e-sakhtee-e-daoraaN nah kar sake!
aesa chubhaa hai nishtar-e-bedaad-e-AarZu
"ham Zindagee meN phir koee armaaN nah kar sake"
teer-e-niGaah-e-Yaar Muz^affar a'jeeb theY
a'aabid t^uwaaf-e-kuchah-e-JaanaaN nah kar sake!
Wassalam
Muz^aafr A Muz^affar
GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh-e-khidmat haiN.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Salam Muzaffar SaHeb,
kaise heN aap? ab baar aap ki shaairii ki kyaa ta'reef karooN? chaliaye ashaar ko daikh laite heN.
ham mushkil-e-Hayaat ko aasaaN nah kar sake
SeHraa-e-Zindagee ko GulistaaN nah kar sake!
bohat khoob!. SeHraa e zindigi aor mushkil e Hayaat ka mawaazna kia jaa-aye to doosri tarkeeb nisbatan kam Haseen hai. apki lughat bohat zarkhais hai. is ko khangaal kar Hayat ke saat mushkal ka ham ma'nii o ham vazn koi aor lafaz laa-iaye ke tarkeeb is se bhi baRh kar khoobSoorat ho jaa-aye.
thaa Za'am jin ko apnee maseeHaaee ka sadaa
Woh bhee i'laaj-e-saoZish-e-pinhaaN nah kar sake!
waah waah. bohat khoob. pehlay miSra meN sadaa ka zikr hai jab ke doosre miSra meN maseHaaee ki kamzoori nazar aa rahi hai. kamzoori ke mutzaad meN agar aap sadaa ko bohat se tabdeel kareN to kaisaa rahay ga?
Waaraftagee-e-shaoQ meN shal ho GaeY badan
ham ehtemaam-e-SubH-e-baharaaN nah kar sake!
waah! bohat khoob. bohat hi khoob. laikin gayee kyooN? kyaa aap bohat log ehtemaam e Subh-e-bahaaraaN karnaa chah rahay thay. meN to kehtaa hooN baat apne tak hi meHdood rakhiaye aor Gaey ko gayaa kar dijiaye.
Zanjeer-e-Gham se Woh bhee nah aazaad reh sake
jin ko aseer kaakul-e-pechaaN nah kar sake!
bohat khoob. aap ne pehlay miSra meN waazeH naheeN kiyaa ke konsaa gham ke zanjeer? to maire zahn meN rozgaar ka gham aayaa . aor miSra ki shakl yooN ho gayee, zanjeer e rozgaar se woh bhi ulajh gayee..... jin ko aseer........ . Saaf zaahir hai ke ye meN apni baat kar raah hooN . aap ka sher mukamal aor jaamae' hai.
Qat^a'ah! (Qat^a'ah kahaaN khataam ho ga ye kaise pataa chaltaa hai?)
kuch yooN chalee thee baad-e-Hawadic ke u'mr bhar
Qandeel-e-AarZu ko faroZaaN nah kar sake!
Aalaam-e-a'aashaqee ne kiyaa khud se be khabar
ham taZkirah-e-sakhtee-e-daoraaN nah kar sake!
aesa chubhaa hai nishtar-e-bedaad-e-AarZu
"ham Zindagee meN phir koee armaaN nah kar sake"
meN ooper walaay teenoN sher Qat'aa meN lay rahaa hooN. waise ye tenoN ashaar khud meN bhi muakammal aor behtareen haiN. daad qubool kijiaye.
teer-e-niGaah-e-Yaar Muz^affar a'jeeb theY
a'aabid t^uwaaf-e-kuchah-e-JaanaaN nah kar sake!
janab teeroN ki mojoodgi meN agar a'aabid tuwaaf naheeN kar par rahay to is meN teeroN ka kyaa 'ajab pan? bhayee teeroN ka to kaam hi yehii. teer e nigaah e yaar ko zaalim kahiaye, qaatil kahiaye. ( ye mujh jaise kam ilm ke alfaaz heN) ya apne ilm o wajdaan ke teHt kuch is se bhi baRh kar kahiaye. Sirf 'ajeeb kehne se baat naheeN banti nazar aatii.
mujhe intezaar rahaay ga aap wazaaHat farmaa deN ke meN ne jin lines par sochaa hai woh theek heN ke naheeN. aap jaante heN ke aap logoN se hi seekhnaa hai mujhe.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Khawar SaaHib aadaab!muhammad_19k wrote:Salam Muzaffar SaHeb,

Aap ne Ghazal paRhee aor us par apnee qeematee raY se bhee nawaza maiN is karam ke liye aap kaa mamnoon hooN. Allah aap ko salamat rakh!
mere nazdeek to yeh baRee mushkil hai. keh SeHraa-e-Zindagee ko GulistaaN banayaa jae. aap socheeN agar a'amalee t^aor par aesaa karne kaa iradah kiyaa jae to kitnaa dushwaar ho gaa. aor zindagee kaa SeHra baRaa wase' hotaa hai. mushkil yeh hai keh use gul-o-Gulzaar karnaa thaa jo maiN nah kar sakaa. is tarkeeb ya'nee "SeHraa-e-Zindagee" ko dekhne se hee Surat-e-aHwaal kaa takhmeenah (indazah) lagayaa jaa saktaa hai. keh shaae'ir kaesee mushkil se guzraa aor amr-e-waqe'ah bhee yahee hai keh yeh aesee mushkil thee keh ise aasaan bananaa Ghaer mumkin hee thaa. agar faqat^ miSra' ko khubSurat bananaa maqSad hotaa to woh to kae'ee dusree SurateeN bhee nikaalee jaa saktee haiN......lekin yahaaN aSal Surat-e-Haal kaa az^haar maqSood hai. nah keh meHeZ^ tafreeH-e-t^aba' kee GharaZ^ se yaa she'er meN majaazee rang-e-taGhazzul paedah karne ke liye t^abia'at par Z^aor de kar she'er kahaa jae. she'er wohee behtar aor faSeH hogaa jo qudratee aandaaz meN pil badeeH ho jae. ba'd kee koshisheeN us ke Husn-e-she'er meN biGaaR kaa bae'ic ban jayaa kartee haiN. aor she'er apnee qudratee re'naee aor fit^ree HUsn se laa la'aluq ho kar reh jataa hai.ham mushkil-e-Hayaat ko aasaaN nah kar sake
SeHraa-e-Zindagee ko GulistaaN nah kar sake!
bohat khoob!. SeHraa e zindigi aor mushkil e Hayaat ka mawaazna kia jaa-aye to doosri tarkeeb nisbatan kam Haseen hai. apki lughat bohat zarkhais hai. is ko khangaal kar Hayat ke saat mushkal ka ham ma'nii o ham vazn koi aor lafaz laa-iaye ke tarkeeb is se bhi baRh kar khoobSoorat ho jaa-aye.
Code: Select all
thaa Za'am jin ko apnee maseeHaaee ka sadaa
Woh bhee i'laaj-e-saoZish-e-pinhaaN nah kar sake!
[b]waah waah. bohat khoob.[/b] pehlay miSra meN [b] sadaa [/b] ka zikr hai jab ke doosre miSra meN maseHaaee ki kamzoori nazar aa rahi hai. kamzoori ke mutzaad meN agar aap [b]sadaa [/b] ko [b] bohat [/b] se tabdeel kareN to kaisaa rahay ga?
Code: Select all
Waaraftagee-e-shaoQ meN shal ho GaeY badan
ham ehtemaam-e-SubH-e-baharaaN nah kar sake!
[b]waah! bohat khoob. bohat hi khoob.[/b] laikin [b]gayee[/b] kyooN? kyaa aap bohat log ehtemaam e Subh-e-bahaaraaN karnaa chah rahay thay. meN to kehtaa hooN baat apne tak hi meHdood rakhiaye aor [b]Gaey[/b] ko [b]gayaa[/b] kar dijiaye.
yahaaN unhooN ne shaheed-e-wafaa naheeN liyaa. miSra' ko beHer meN lane kee GharaZ^ se shaheedaan-e-wafaa likhaa hai......(jaree hai)
Khawar SaaHib kuch mehmaan tashreef le aae haiN is liye yaheeN khat^ tamaam kartaa hooN. jald hee mukalmal likhooN ga.
jee maiN dobarak HaaZ^ir ho geyaa hooN.
muraad yeh hai keh sabhee mubtalaa-e-Gham haiN kisee ko kaakul-e-pechaaN ne aseer banayaa aor kisee ko kisee bhee dusre Gham ne!! (jaaree hai)Zanjeer-e-Gham se Woh bhee nah aazaad reh sake
jin ko aseer kaakul-e-pechaaN nah kar sake!
bohat khoob. aap ne pehlay miSra meN waazeH naheeN kiyaa ke konsaa gham ke zanjeer? to maire zahn meN rozgaar ka gham aayaa . aor miSra ki shakl yooN ho gayee, zanjeer e rozgaar se woh bhi ulajh gayee..... jin ko aseer........ . Saaf zaahir hai ke ye meN apni baat kar raah hooN . aap ka sher mukamal aor jaamae' hai.
Wassalam
Muzaffar
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Mon Aug 06, 2007 7:23 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh-e-khidmat hai
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab!
GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh karne kee sa'adat HaaSil kar rahaa hooN. mulaHiZ^ah farmaiye.
Ghazal
ham mushkil-e-Hayaat ko aasaaN nah kar sake
SeHraa-e-Zindagee ko GulistaaN nah kar sake!
thaa Za'am jin ko apnee maseeHaaee ka sadaa
Woh bhee i'laaj-e-saoZish-e-pinhaaN nah kar sake!
Waaraftagee-e-shaoQ meN shal ho GaeY badan
ham ehtemaam-e-SubH-e-baharaaN nah kar sake!
Zanjeer-e-Gham se Woh bhee nah aazaad reh sake
jin ko aseer kaakul-e-pechaaN nah kar sake!
Qat^a'ah!
kuch yooN chalee thee baad-e-Hawadic ke u'mr bhar
Qandeel-e-AarZu ko faroZaaN nah kar sake!
Aalaam-e-a'aashaqee ne kiyaa khud se be khabar
ham taZkirah-e-sakhtee-e-daoraaN nah kar sake!
aesa chubhaa hai nishtar-e-bedaad-e-AarZu
"ham Zindagee meN phir koee armaaN nah kar sake"
teer-e-niGaah-e-Yaar Muz^affar a'jeeb theY
a'aabid t^uwaaf-e-kuchah-e-JaanaaN nah kar sake!
Wassalam
Muz^aafr A Muz^affar
Azeezi wa moHibbee Muzaffar Saahab
aadaab
Aap ki Ghazal dekhi. Tamam ashaar achche haiN. Majmoii taur per ek kaamyaab koshish hai. Matla' KhuSooSan bohat achcha laga. Meri janib se daad qubool farmaaiye.
Yeh zameen is e'tbaar se aasaan lagtee hai keh qawafee ki bharmaar hai magatr qafiyoN ka "nah kar sake" ke saath nibhana zara teRhee kheer hai. Phir bhi aapne kafi meHnat ki hai aur achche ashaar kahe haiN. Zindabaad.
MuKhliS
Jawaid Badauni
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh-e-khidmat hai
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab!
GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh karne kee sa'adat HaaSil kar rahaa hooN. mulaHiZ^ah farmaiye.
Ghazal
ham mushkil-e-Hayaat ko aasaaN nah kar sake
SeHraa-e-Zindagee ko GulistaaN nah kar sake!
thaa Za'am jin ko apnee maseeHaaee ka sadaa
Woh bhee i'laaj-e-saoZish-e-pinhaaN nah kar sake!
Waaraftagee-e-shaoQ meN shal ho GaeY badan
ham ehtemaam-e-SubH-e-baharaaN nah kar sake!
Zanjeer-e-Gham se Woh bhee nah aazaad reh sake
jin ko aseer kaakul-e-pechaaN nah kar sake!
Qat^a'ah!
kuch yooN chalee thee baad-e-Hawadic ke u'mr bhar
Qandeel-e-AarZu ko faroZaaN nah kar sake!
Aalaam-e-a'aashaqee ne kiyaa khud se be khabar
ham taZkirah-e-sakhtee-e-daoraaN nah kar sake!
aesa chubhaa hai nishtar-e-bedaad-e-AarZu
"ham Zindagee meN phir koee armaaN nah kar sake"
teer-e-niGaah-e-Yaar Muz^affar a'jeeb theY
a'aabid t^uwaaf-e-kuchah-e-JaanaaN nah kar sake!
Wassalam
Muz^aafr A Muz^affar
muzaffar bhai saahib
matlaa bahut accha hai seedhay dil meiN utar gaya hamaaray.
aap baday khuloos say ash'aar kehtay haiN.
is khoobsoorat ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh-e-khidmat hai
jawaid badauni wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab!
GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh karne kee sa'adat HaaSil kar rahaa hooN. mulaHiZ^ah farmaiye.
Ghazal
ham mushkil-e-Hayaat ko aasaaN nah kar sake
SeHraa-e-Zindagee ko GulistaaN nah kar sake!
thaa Za'am jin ko apnee maseeHaaee ka sadaa
Woh bhee i'laaj-e-saoZish-e-pinhaaN nah kar sake!
Waaraftagee-e-shaoQ meN shal ho GaeY badan
ham ehtemaam-e-SubH-e-baharaaN nah kar sake!
Zanjeer-e-Gham se Woh bhee nah aazaad reh sake
jin ko aseer kaakul-e-pechaaN nah kar sake!
Qat^a'ah!
kuch yooN chalee thee baad-e-Hawadic ke u'mr bhar
Qandeel-e-AarZu ko faroZaaN nah kar sake!
Aalaam-e-a'aashaqee ne kiyaa khud se be khabar
ham taZkirah-e-sakhtee-e-daoraaN nah kar sake!
aesa chubhaa hai nishtar-e-bedaad-e-AarZu
"ham Zindagee meN phir koee armaaN nah kar sake"
teer-e-niGaah-e-Yaar Muz^affar a'jeeb theY
a'aabid t^uwaaf-e-kuchah-e-JaanaaN nah kar sake!
Wassalam
Muz^aafr A Muz^affar
Azeezi wa moHibbee Muzaffar Saahab
aadaab
Aap ki Ghazal dekhi. Tamam ashaar achche haiN. Majmoii taur per ek kaamyaab koshish hai. Matla' KhuSooSan bohat achcha laga. Meri janib se daad qubool farmaaiye.
Yeh zameen is e'tbaar se aasaan lagtee hai keh qawafee ki bharmaar hai magatr qafiyoN ka "nah kar sake" ke saath nibhana zara teRhee kheer hai. Phir bhi aapne kafi meHnat ki hai aur achche ashaar kahe haiN. Zindabaad.
MuKhliS
Jawaid Badauni
moHtaram Biradaram jawaid saaHib aadaab!
aap kee i'nayat aor be laoS daad-o-sataae'ish himmat baRhaa detee hai. meree she'eree tarbiyat inhee aek do chaopalooN par huee hai. aap ne hameshah himmat baRhaee hai. aap kaa andaaz-e-pazeeraee bhee qaabil-e-rashk hai. khamoosh reh kar bhee mudda'aa keh dete haiN. so is nisbat se aap se bohot seekhaa aor seekh rahaa hooN. allah aap kee shafqateeN bahaal rakhe. Ameen!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh-e-khidmat hai
haamidbaaqri wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab!
GuZarish#31 ke liye apne chand she'er pesh karne kee sa'adat HaaSil kar rahaa hooN. mulaHiZ^ah farmaiye.
Ghazal
ham mushkil-e-Hayaat ko aasaaN nah kar sake
SeHraa-e-Zindagee ko GulistaaN nah kar sake!
thaa Za'am jin ko apnee maseeHaaee ka sadaa
Woh bhee i'laaj-e-saoZish-e-pinhaaN nah kar sake!
Waaraftagee-e-shaoQ meN shal ho GaeY badan
ham ehtemaam-e-SubH-e-baharaaN nah kar sake!
Zanjeer-e-Gham se Woh bhee nah aazaad reh sake
jin ko aseer kaakul-e-pechaaN nah kar sake!
Qat^a'ah!
kuch yooN chalee thee baad-e-Hawadic ke u'mr bhar
Qandeel-e-AarZu ko faroZaaN nah kar sake!
Aalaam-e-a'aashaqee ne kiyaa khud se be khabar
ham taZkirah-e-sakhtee-e-daoraaN nah kar sake!
aesa chubhaa hai nishtar-e-bedaad-e-AarZu
"ham Zindagee meN phir koee armaaN nah kar sake"
teer-e-niGaah-e-Yaar Muz^affar a'jeeb theY
a'aabid t^uwaaf-e-kuchah-e-JaanaaN nah kar sake!
Wassalam
Muz^aafr A Muz^affar
muzaffar bhai saahib
matlaa bahut accha hai seedhay dil meiN utar gaya hamaaray.
aap baday khuloos say ash'aar kehtay haiN.
is khoobsoorat ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari.
moHtaram Biradaram Haamid Baqari SaaHib Assalam alikum!
Aap kee mukhliSanah daad-o-paZeeraee kaa sabhee ko intez^aar rehtaa hai. aap jis kushadah z^arafe se himmat afzaee farmate haiN. woh aap aese mukhliSeen kaa HiSSah hai. khuda aap ko jaza-e-khaer se nawaze!! Aameen!
khush raheeN
wassalam
Muzaffar A Muzaffar