ghazaleiN

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

ghazaleiN

Post by tahira Masood »

muAzziz qaar'een

Assalmao Alaikum w.w

yeh lijiye mujh naacheez ki sA'ee aap sabki khidmat maiN Haazir hai.
maiN ne Ishq-e-Haqeeqi aur Ishq-e-majaazi donoN per Tab'aa aazmaa'ee ki hai
aap sabki aara kaa intezaar rehay gaa. :)

wassalam

Image

badal k dhang insaaN ko milaa kayaa
rawish iskee huee hai Ay Khudaa kayaa

basher kioN ho gaya hai meHv-e-dunyaa?
nahiN iss ko rehaa Tairaa patah kayaa

nah ho idraak jis ko aakherat kaa
ba roz-e-Hash'r phir us kaa rehaa kayaa

nahiN yaksaaniyyat bhaati bashar ko
"nah ho mernaa tau jeene kaa mazaa kayaa?"

meri her naik khwaahish puuri kernaa
maiN is k ba'd aur maangoN duaa kayaa

Teri rehmat k Sadqe jee rehi hoN
wagernah meri hastee hai bhalaa kayaa?

jise dhaaNpe Teri rehamat ki chaader
tau khush bakhti peh uski hai shubah kayaa

khataaien aur gunaah sab muaaf kernaa
meri ho fik'r, hai Teri RaZaa kayaa

talab kerti hoN tujh se maghferat maiN
bajuz is ka hai fikr-e-Tahira Kayaa


------------------------------
Image

moHabbat kayaa hai chaahat kayaa wafaa kayaa
ba- juz kulfat k is maiN hai rakhaa kayaa?

woh kehte haiN keh ham peh mer miTe haiN
"nah ho merna atau jeenay kaa mazaa kayaa"

jo d'Awe peh hameiN un k yaqeeN ho
Khushee se mer nah jaaeiN ge bhalaa kayaa?

yaqeeN un per kareiN jee chaahta hai
zeraa ham bhi tau dekhiN keh huaa kayaa

kiyaa baidaad kaa shikwah tau bolae
zeraa phir se kaho tum ne kehaa kayaa?

hameiN yeh gham keh gar yeh hi wafaa hai
tau ho gee phir bhalaa unkee jafaa kayaa?

nahiN un k binaa jeena, samjh laiN
zeraa si baat ki deiN ge sazaa kayaa?

yeh baateiN yaasiyyat ki Tahira kioN?
karo taubah hai aisee bhi balaa kayaa?

Last edited by tahira Masood on Mon Aug 27, 2007 8:06 pm, edited 1 time in total.
live and let live

Image
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Tahir ji,

aap ki donoN ghazleN majmoo'ee Tor par bohat achhchhi heN. kuch ashaar to ghazab ke heN jaise ke,

nahiN yaksaaniyyat bhaati bashar ko
"nah ho mernaa tau jeene kaa mazaa kayaa?"

talab kerti hoN tujh se maghferat maiN
bajuz is ka hai fikr-e-Tahira Kayaa

jo d'Awe peh hameiN un k yaqeeN ho
Khushee se mer nah jaaeiN ge bhalaa kayaa?

kiyaa baidaad kaa shikwah tau bolae
zeraa phir se kaho tum ne kehaa kayaa?

donoN he raNg apni apni jagaa khoob heN. is kaamyaab koshish par mubaarakbaad qubool kijiaye.


wasalam,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

muhammad_19k wrote:Tahir ji,

aap ki donoN ghazleN majmoo'ee Tor par bohat achhchhi heN. kuch ashaar to ghazab ke heN jaise ke,

nahiN yaksaaniyyat bhaati bashar ko
"nah ho mernaa tau jeene kaa mazaa kayaa?"

talab kerti hoN tujh se maghferat maiN
bajuz is ka hai fikr-e-Tahira Kayaa

jo d'Awe peh hameiN un k yaqeeN ho
Khushee se mer nah jaaeiN ge bhalaa kayaa?

kiyaa baidaad kaa shikwah tau bolae
zeraa phir se kaho tum ne kehaa kayaa?

donoN he raNg apni apni jagaa khoob heN. is kaamyaab koshish par mubaarakbaad qubool kijiaye.

bohat bohat shuekriyah Siddiqui Saheb in tareefui kalimaat se mujhe bohat musrrat huee hai

sadaa khush rehaiN



wasalam,
Muhammad K. Siddiqui.
live and let live

Image
Post Reply