aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis

Post by Dawood_Rizwan »

doostoo joo sabad adm sahib nay bataya hay mayray forum chooRnay ka sabad woo nahi tha.
aik nazm kay sath janay ka irada multavi kar kay hazir hoon
rizwan
Attachments
azam-nazm.gif
azam-nazm.gif (4.99 KiB) Viewed 262 times
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami o Azeezi
DAWOOD-RIZWAN Saahib

Purkhuloos Tasleemaat,

Sab se pahle maiN aapka behad shukrguzaar hooN ke aap ne apni hii is site kii forum se munqatiA houne ke khayaal ko multavi kardiyaa. Yehi nahiN balkeh apne khuloos-e-dil kaa izhaar karte houe aek bahut hii dilkash nazm "naye ta'alluq kii ibtedaa hei" se apne chaahne waale doustaoN aur aHbab-e-sukhan ko navaazaa.

Mujhe aapki yeh nazm bahut pasand aayi aur maiN apni daad o teHseen ke saath aapki khidmat meiN Haazir hooN. Ummeed ke aayindah bhii aap apne kalaam se ahl-e-sukhan kii rehnumaayi farmaate rahenge.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis

Post by Mahtab Qadr »

Dawood_Rizwan wrote:doostoo joo sabad adm sahib nay bataya hay mayray forum chooRnay ka sabad woo nahi tha.
aik nazm kay sath janay ka irada multavi kar kay hazir hoon
rizwan
bahut khoobsurat nazm ke daad hazir hai, aur yaqeenan aap gayaa waqt to nahi ho ke wapisi na mumkin ho, wapisi ka bhi shukria
mahtab qadr
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis

Post by naheedv »

Dawood_Rizwan wrote:doostoo joo sabad adm sahib nay bataya hay mayray forum chooRnay ka sabad woo nahi tha.
aik nazm kay sath janay ka irada multavi kar kay hazir hoon
rizwan
Rizwan ji,

ye maiN kyaa sun rahi hooN? aap kahaaN jaane kee teyaari pakaR rahe thay?

aap kee ye nazm paRhee aur paRh kar dil khush ho geyaa, ba'z auqaat hum apne dil kee baat jab kisi aur kee zubaani sunte haiN tau qadre hairaangee hoti hai. aap kee ye nazm mujhe buhat pasaNd aayee hai, iss khobsoorat takhliq par daad paish karti hooN.

mukhliS
Naheed
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

Re: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis

Post by Dawood_Rizwan »

naheedv wrote:

naheed g main yahi forum nahi balka sab urdu forums koo khuda hafiz kahna ka sooch raha hoon. is ki waja buhat hi zati hay.
woo tamam loog bhi mayray is faislay par khush hoo saktay hain jin kay mutabiq mujay in forums say wo rukhsat kar kay dam lain gay aur khasay ba izzat tarqay par. is kay ilawa kuch dil shikniyan bhi hain joo mujay urdu forums say rukhsat hoonay par uksati hain.
taham aik darkhwast itni sahadeed thi ka main nay filhal apna irada multavi kar dia hay.
rizwan
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

Re: Bahut khoob waah waah

Post by Dawood_Rizwan »

Abdullah Nazir wrote:
MuHtarami o Azeezi
DAWOOD-RIZWAN Saahib

Purkhuloos Tasleemaat,

Sab se pahle maiN aapka behad shukrguzaar hooN ke aap ne apni hii is site kii forum se munqatiA houne ke khayaal ko multavi kardiyaa. Yehi nahiN balkeh apne khuloos-e-dil kaa izhaar karte houe aek bahut hii dilkash nazm "naye ta'alluq kii ibtedaa hei" se apne chaahne waale doustaoN aur aHbab-e-sukhan ko navaazaa.

Mujhe aapki yeh nazm bahut pasand aayi aur maiN apni daad o teHseen ke saath aapki khidmat meiN Haazir hooN. Ummeed ke aayindah bhii aap apne kalaam se ahl-e-sukhan kii rehnumaayi farmaate rahenge.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Nazir sahib main aap ki muhabbatooN ka too shroo din say hi maqrooz hoon. nazm pasand farmanay ka shukriya
rizwan
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Re: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis

Post by Anis Hasan »

Dawood_Rizwan wrote:doostoo joo sabad adm sahib nay bataya hay mayray forum chooRnay ka sabad woo nahi tha.
aik nazm kay sath janay ka irada multavi kar kay hazir hoon
rizwan
Mohtaram Dawood" sahib aap ki nazm buhat pasand aayee. Aap nay buhat khubusurti say apnay khayalat ko nazm kiya hai. Saath hi aap ko apnay majmoo'a-e-kalam ki isha'at par bhi mubarakbaad.
Post Reply