Jashn-e-Aazadee-e-Pakistan-o-Hindustan Mubarak ho!

tamaam ahem taqreebaat.
Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Jashn-e-Aazadee-e-Pakistan-o-Hindustan Mubarak ho!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :rose

Urdubandhan kee janib se sabhee karam farmaooN ko 14/15 Agust ke mubarak maoqa' par dilee mubarak baad kaa peGhaam diyaa jataa hai. 14 Agust Jashn-e-Azadee-e-Pakistan aor 15 Agust Azadee-e-Hindustan kaa din hai. yeh din donooN mulkooN ke liye musarratooN, ummeedooN aor khushHaliyooN kaa peGhaam le kar aayaa. Azadee kee na'at sab se baRee na'mat hai. is kaa andazah woh shakhS yaa qaom hee lagaa saktee hai. jo Ghulamee kee ZanjeerooN meN jagRee hoee ho.

Sad shukr keh Allah ne hameeN is na'mat se sarfaraaz farmaayaa aor aaj ham aazadee kee feZ^aa meN saans le rah haiN. aor yeh eHsaas-e-aazadee raHat afzaa aor SeHat bakhsh hai. is jidd-o-jehed-e-aazaadee ke peeche aek t^uweel koshish aor musalsal yaqeen-o-itteHaad kee dastaaN chupee hoee hai. jaanee aor maalee QurbaniyaaN haiN. cheekh-o-pukaar hai. aah-o-naalah hai. fariyaad-o-sitam hai. khaof-o-hiraas hai. GharZ^ yahaaN us kee tafSeel meN jane kaa meHel to hai lekin khat^ ko t^uwalat se bachate huwe meHeZ^ itna kehdenaa Z^arooree hai keh yeh din daraSl tajdeed-e-ehed kaa din hai. woh ehd jo ham ne apne mulk-o-qaom se kar rakhaa hai. keh ham waqt paRne par apne wat^an-e-azeez ke liye kisee bhee qurbanee se chahe woh waqt kee qurbanee ho yaa a'malee tag-o-dao kee chahe woh apnee aolaad kee ho yaa apnee hee jaan kee Gurez nah kareeN ge. aor apnee qaloob se wat^an-e-a'zeez ke walwalah-e-muHabbat aor apne lahu se jazbah-e-Hubbul wat^anee ThanDaa nah hone deeN ge. keh yeh hamaree pehchaan hai. Qateel Shafaee marHoom ne kiyaa hee khoob kahaa thaa.

aek yahee pehchaan thee meree is pechaan se pehle bhee
Pakistan kaa shehree thaa maiN Pakistan se pehle bhee!

Aaiye ham sab mil kar apne peyaare desooN Pakistan aor Hindustan kee salamatee aor isteHkaal ke liye Allah ke HuZ^oor dast-e-dua'aa buland kareeN keh aeY Khuda donooN mulkooN ko apnee amaan meN rakh kae'ee saamrajee t^aqateeN hamare jazbah-e-Hubbul wat^anee ko sard karne ke dar pe haiN. at^raaf-e-a'alam se GhunDe aor luTere hamare zameenee khazanooN kee taak meN baeThe haiN. ae khuda tune hameeN duniyaa ke saree na'amatooN se sarfaraaz kiyaa hai. kiyaa pahaaR aor kiyaa darya kiyaa wadiyaaN aor kiyaa aabshareeN ae khuda tu hee in kee Hifaz^at bhee farmaa. in sabee ina'aamaat kaa aSal waalee-o-Haakim to tu hee hai. Ghaer ko koee Haq nahee keh teree paak sar Zameen par baarood ke Dher lagaataa phire aor ma'Soom bachchooN kee lashooN ke parkhachche deewarooN par hamaree bebasee aor laacharee kee taSweer ban kar reh jaeeN. maooN kee fariyaad beeweeyooN kee aaheeN aor yateemooN kee siskiyaaN kiyaa hamara muqaddar ban kar reh jaeeN gee. ae khuda agar aazadee se nawaza hai to daolat-e-amn-o-sukoon-o-raHat bhee de Hind-o-pak ke baasee bhee baGhaer kisee khaof-o-khat^ar sukoon kee neend so sakeeN.

koee insaan raat khaalee peT nah soe koee bachchah do ghooNT doodh ko nah tarse do waqt kee rooTee ke HuSool kee khaat^ir kisee maaN kisee beTee ko apna jism nah bechnaa paRe ae khuda aazadee dee hai ti hameeN azaadee-e-iz^haar bhee de hamare sarooN se khaof-o-dehshat ke saae Gharat kar ke ummeed-o-aas kee QandeeleeN raoshan farmaa de. hameeN badma'ashooN, waDerooN, aor GhunDooN se nijaat dilaa ae khuda hamaree qaom baHaeciyat-e-majmu'ee saadah laoH hai. yeh to khooTe khare meN tameez bhee naheeN kar patee inheeN saffaak shaatir aor be eemaan siyasat danooN ke daam-e-siyaasat se bachaa ham meN baa Z^ameer siyasat daan paedah kar taa keh mulk SaHeH samat rawaaN dawaaN ho kar taraqqee kee manazil t^eY kar sake. ae khuda ab kabhee bhee hameeN Ghulaamee ke andhere kuNweeN meN nah dakhelnaa........!!! Aameen summa Aameen!!!

Jashn-e-Aazadee ke is mubarak maoqa' kee munasibat se aap tamaam dostooN se intezaamiyah darkhuwaast Guzaar hai keh aap sab SaaHibaan-e-Qalam aapnee apnee nigaarishaat se nawaaziye taa keh ham sab Haq-e-aazaadee kamah Haqqah hu ada kar sakeeN. lehazah aaj hee se aap kee nazmooN taranooN aor maZ^ameen kaa shiddat se intez^aar rahe gaa.

"dar kaar-e-khaer Haajat heech istekhaarah neest"

Wassalam
intezaamiyah
urdubandhan
Attachments
aazadi mubarak.jpg
aazadi mubarak.jpg (98.36 KiB) Viewed 836 times
independence_day india.jpg
independence_day india.jpg (10.06 KiB) Viewed 835 times
aazadi mubarak.gif
aazadi mubarak.gif (7.45 KiB) Viewed 834 times
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Thu Sep 13, 2007 1:23 am, edited 1 time in total.
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Aziz Dosto
:salaam:
Aaj Pakistan ki azaadi ka din hai. Iss moaqe par meri dili mubarakbaad arz hai.
سالم احمد باشوار
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Aziz Dosto
:salaam:
Aaj Bharat ki azaadi ka din hai. Iss moaqe par meri dili mubarakbaad arz hai.

Saara sahiba ki tehreer azaadi aur maujooda halat par bohat pasand ayee.
Aaj hum apne hi mulk mein aise taqareeb mein jaane se aur apne bachon ko bhejne ghabraate hain ke najaane kis waqt kya houjaaye. dil ranj o gham se bhar aata hai jab mulk ke androon houne wale waqaiyaat akhbar ki surkhiyaan banker saari duniya mein phailti hain, roti bilakti aurateiN aur zakhmi bachche aur unki tasweerien chapti hain….kya yehi azadi hai?
Khushiyon ki mehfil kab ghamgeen hojaye bharosa nahin. Har lamha gair yaqeeni. Azadi sirf kitaboun mein rehgayi hai.

Shukria
سالم احمد باشوار
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

tissue paper aur roomaal

Post by zmufti »

is 14 august ko mera dil buhat udaas thaa
aise hi udaasi ke alam maiN jo chand lines likhi gayyiiN aap sab se share karti hooN
Attachments
tissue paper.jpg
tissue paper.jpg (94.26 KiB) Viewed 815 times
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtarama Zarqa Sahiba
:salaam:
Jeshan-e-Azadi ki mubarakbadein be-roh hain. Sabhi jante hain ke hum kitne azaad hain. Allah ki zaat se na ummid nahin honi chahye. Ek din hum sab azaad honge, insha-allah. Arabi ka ek mahvira bohat mashoor hai ke Tarjuma "Zalim ka bhi ek din anjaam hai". Tareeq bhi iski gawah hai.
Aapka mazmoon bohat pasand ayaa.
Shukria
سالم احمد باشوار
Post Reply