Uthayga sar na tayray aasataaN say.................farhan

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Uthayga sar na tayray aasataaN say.................farhan

Post by farhan »

As salamu aalaikum wa rahmatuallhi wa barakatuhu,,,

Guzashta maa'h kay TaraHi mushaira kay liye jo miSra diya gaya tha, us per tabA' aazmiayii ki, lakin barwaqt post nahin kar saka...is liye bahut hi mAa'zirat kay saath is ghazal ko yahan post kar raha hooN...ummid hai....pasand farmayengaye...

muntazir-e-karam

Farhan
Attachments
Gazal2.JPG
Gazal2.JPG (59.58 KiB) Viewed 159 times
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Farhan SaaHeb: aadaab!

aaj pehlee baar aap se niyaaz HaaSil kar rahaa hooN. maiN yahaaN aataa rehtaa hooN. yeh aur baat hai keh itnaa waqt naheeN de paataa hooN jitnaa denaa chaahiye. aap kee Ghazal dekh kar Khushee huyee aur pasand aayee. Khayaalaat, bunat, zabaan sab hee Saaf suthre aur dilkash haiN. meree naacheez daad qubool keejiYe.

agar kabhee zeHmat farmaa kar hamaaree meHfil www.urduanjuman.com par bhee tashreef laaYeN to masarrat ho gee. aap kaa intiz^aar rahe gaa. wahaaN aap ko urdubandhan kee t^araH achhe log mileN ge aur aap Khush hoN ge. shukriyah.

ek iltimaas aur hai. waqt nikaal kar www.sarwarraz.com par bhee jaa kar ek naz^ar Daal leN. aap ko maayoosee naheeN ho gee! :-)

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

Sarwar Raz wrote:mukarramee Farhan SaaHeb: aadaab!

aaj pehlee baar aap se niyaaz HaaSil kar rahaa hooN. maiN yahaaN aataa rehtaa hooN. yeh aur baat hai keh itnaa waqt naheeN de paataa hooN jitnaa denaa chaahiye. aap kee Ghazal dekh kar Khushee huyee aur pasand aayee. Khayaalaat, bunat, zabaan sab hee Saaf suthre aur dilkash haiN. meree naacheez daad qubool keejiYe.

agar kabhee zeHmat farmaa kar hamaaree meHfil www.urduanjuman.com par bhee tashreef laaYeN to masarrat ho gee. aap kaa intiz^aar rahe gaa. wahaaN aap ko urdubandhan kee t^araH achhe log mileN ge aur aap Khush hoN ge. shukriyah.

ek iltimaas aur hai. waqt nikaal kar www.sarwarraz.com par bhee jaa kar ek naz^ar Daal leN. aap ko maayoosee naheeN ho gee! :-)

Sarwar A. Raz "Sarwar"



As Salamu Aalaikum Wa Rahmatuallahi Wa barakatuhu,,,

MuKarramai wa Azeezi
Janab Sarwar SaHib..

salam o raHmat..

{jin say mil kar zindgaii say hojaye ishQ, voh loog,
aap nay shayed na deekhay hooN, aisay bhi haiN}

aap ka maktoob paRh kar andazah hua kay{abhi kuch loog baQi haiN jahaN mein}.Aap nay jis muHabbat, KhulooS say muKHatab kiya hai is say WALLAH dil bahut khush hua{jaisay veeranay meiN chupkay say bahar aajaye}.

aap nay Ghazal ko saraha, to yaQeen hau ki maiN nay kuch theek thaak hi likha hai kyoun ki{mustanad hai un ka farmaya hua}.Ghazal ki pasandeedgii kay liye mamnooN hooN.JazakALLAHU Khaira.aap nay daad say nawaza yeh mayray liye kisi toHfay say kam nahiN. maiN nay aap ki daad ka "youm-e-Aazadi" ka toHfa samajh kar Qabool kiya hai. maSHkoor.

aap ko yeh jaan kar masarrat hogi ki main "urdu anjuman" per registered hooN. lakin is taraf aana bahut kam hua, us ki wajh yeh hai ki main nay "urdu anjuman" meiN diye gaye miSra-hay-TaraH per kuch kehni ki koushish ki thi lakin kuch nakaam raha.is maa'h ka miSra bhi note kar chuka hooN, gour o fikr jari hai, deekhiyea k kuch keh pata hooN ya nahin.waisay INSHALLAH main "urdu anjuman" per bhi aajaya karooNga.

main kuch mahinooN qabl aap ki zati website www.sarwarraz.com per visit kiya karta tha.aur main nay aap ki bahut saray maZameeN apnay PC main save bhi kiya tha.aur main akcer "Durray Shehwar" paRha karta tha.aap kay mukhtalif mazameen jis folder meiN maiN nay meHfooz kiya tha us ka majmooii size 4.GB kay uper tha. lakin mayri ik nadani ki wajh say voh folder aur us kay contents delete hogaye (shift+del press hogaye) (.jis ka mujhy bahut afsoos hai).maiN INSHALLAH koushish karoogna ki phir say aap kay.

aap kay mazameen paRh kar maiN nay bahut kuch seekha hai.aap ki adabi KHidmaat hamara sarmaya haiN.ALLAH aap ko SaHet o Aafiyat wali lambi umar aata karay aur aap ka dast-e-shafaQat hamary sarooN per Qayem rahay.Ameen..

ummid-e-mulaQaat kay saath,


Talib-e-Dua

Farhan
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

mukarramee-o-moHtarmee Farhan SaaHeb: aadaab-o-tasleemaat!

Aap kee t^arhee Ghazal jahaaN jazbah-e-eemanee liye huwe hai. wahaaN sarshaar-e-Sidq-o-ikhlaaS bhee hai. kalam ko dekh kar yeh andazah lagane meN diqqat naheeN hotee keh aap ko duniyaa aor kaar-e-duniyaa ko dekhne samajhne aor phir us ko makhSooS usloob meN bayaan karne kaa hunar aataa hai.

Ghazal meN taSawwuf, abadee-o-khaarajee HaqeeqatooN daakhlee intishaar-o-taGhaiuor kee aamezish, aor fikr-o-kheyaal ke bahaao ko roHaaniyat kee ThanDe SaaHilooN se hamkinaar karne kee kaamyaab koshish kee gaee hai. jo bilaa shubah laae'iq-e-ta'reef hai.

daraSl nae'e daor kaa aek baRaa maoZ^o'-e-fikr naz^ariyah-e-Hayaat aor qalabee waardaat-e-i'shq ke i'lawah istema'aaree naqaab pochooN kee nishaandahee bhee hai. aaj kee Ghazal a'Sree taqaZ^ooN ko kis had tak puraa kar patee hai. yeh sawaal mayoos kun hai. lekin aap kee marqoomah-e-baalaa Ghazal ko dekh kar yeh kahaa jaa saktaa hai. keh is kaa imkaan maojood hai.

Zeyadah Hadd-e-adab!

Muzaffar A Muzaffar
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Azizam Farhan Sahib
:salaam:
Bohat hi umda tehree hai. Ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
سالم احمد باشوار
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:mukarramee-o-moHtarmee Farhan SaaHeb: aadaab-o-tasleemaat!

Aap kee t^arhee Ghazal jahaaN jazbah-e-eemanee liye huwe hai. wahaaN sarshaar-e-Sidq-o-ikhlaaS bhee hai. kalam ko dekh kar yeh andazah lagane meN diqqat naheeN hotee keh aap ko duniyaa aor kaar-e-duniyaa ko dekhne samajhne aor phir us ko makhSooS usloob meN bayaan karne kaa hunar aataa hai.

Ghazal meN taSawwuf, abadee-o-khaarajee HaqeeqatooN daakhlee intishaar-o-taGhaiuor kee aamezish, aor fikr-o-kheyaal ke bahaao ko roHaaniyat kee ThanDe SaaHilooN se hamkinaar karne kee kaamyaab koshish kee gaee hai. jo bilaa shubah laae'iq-e-ta'reef hai.

daraSl nae'e daor kaa aek baRaa maoZ^o'-e-fikr naz^ariyah-e-Hayaat aor qalabee waardaat-e-i'shq ke i'lawah istema'aaree naqaab pochooN kee nishaandahee bhee hai. aaj kee Ghazal a'Sree taqaZ^ooN ko kis had tak puraa kar patee hai. yeh sawaal mayoos kun hai. lekin aap kee marqoomah-e-baalaa Ghazal ko dekh kar yeh kahaa jaa saktaa hai. keh is kaa imkaan maojood hai.

Zeyadah Hadd-e-adab!

Muzaffar A Muzaffar

Janab-e-MuHtaram Muzaffar SaHib...

Salam o RaHmat.....

aap kay tafseeli tabsray kay liye mamnoon hooN...yeh jaan kar bahut hi khushii huii ki aap ko Ghazal pasand aayii...JAZAKALLAHU KHAIRA.....

main abhi tafseeli jawab daynay say Qasir hooN...ummid hai aap kuch KHiyaal nahin kareeNgaye...main abhi apnay dost kay yahan say online hua hooN....

fouri Tour per shukriya aada karna kay liye chala aaya...

tafSeeli jawab kay liye ek baar phir manoon hooN....

talib-e-dua


farhan
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

sbashwar wrote:Azizam Farhan Sahib
:salaam:
Bohat hi umda tehree hai. Ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria

Janab-e-MuHtaram Salim Bashwar SaHib
Walaikum Assalam wa raHmatullahi wa barakatuhu....


Ghazal ki pasandeedgii o pazarayii ka bahut bahut shukriya.....
dilli daad aur mubarakbaad kay liye teh dil say mamnoon o mashkoor hooN..

talib-e-dua

farhan
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

FaraHan SaHeb

mujhe qurb e Muhamamd mil gyaa hai.
Talab janat karooN kyooN AasamaaN se


Allah ta'aalaa aap ke ishq o masti ko baRha-aye. aisay shaandaar ashaar kehne par mairi Taraf se daad o mubaarakbaad qubool kijiaye. Aor agar ho sake to Aaqaa-aye do jahaaN SAWW ke Huzoor mujh nikamay ka salaam bhi 'arz kar di jiaye ga.

regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

muhammad_19k wrote: FaraHan SaHeb

mujhe qurb e Muhamamd mil gyaa hai.
Talab janat karooN kyooN AasamaaN se


Allah ta'aalaa aap ke ishq o masti ko baRha-aye. aisay shaandaar ashaar kehne par mairi Taraf se daad o mubaarakbaad qubool kijiaye. Aor agar ho sake to Aaqaa-aye do jahaaN SAWW ke Huzoor mujh nikamay ka salaam bhi 'arz kar di jiaye ga.

regards,
Muhammad K. Siddiqui.


Janab-e-MuHtaram Khawar SaHib

As salamu aalaikum wa raHmatullahi wa barakatuhu...

Ghazal ki pasandeedgii aur pazarayii kay liye bahut mamnoon hooN...daad aur mubarak baad kay liye mamnoon hooN....INSHALLAHUL AZEEZ maiN aap ka salaam HuZoor MuHammed Sallel la hu Aalihi wa Salaam kay HuZoor ArZ kardoogna....aap apni KhuSooSi duaooN main mujhay yaad rakhiyeaga...

Farhan
Post Reply