Chand Tasweer-e-ButaaN, Chand HaseenoN ke Khut^oot^: qist #2

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Chand Tasweer-e-ButaaN, Chand HaseenoN ke Khut^oot^: qist #2

Post by Sarwar A. Raz »

[align=center]Chand Tasweer-e-ButaaN, Chand HaseenoN ke Khut^oot^: qist #2

yaaraan-e-Bandhan: aadaab-o-tasleemaat!

is silsileh kee qist^ #2 pesh-e-Khidmat hai. yeh meree nau-jawaanee kee un teen GhazloN meN se ek hai jin par waalid-e-marHoom HaZ^rat-e-"Raz" Chandpuri ne daad dee thee. mazeed tafSeel ke liYe behtar ho gaa keh aap is maZ^moon kee qist^ #1 dekh leN. yeh daad mere dil-o-Zehn meN aaj bhee taaZah hai aur taa-dam-e-zeest taaZah hee rahe gee! is Ghazal par 12 July, 1957 taareeKh likhee huyee hai.

aap kee raaYe aur Khayaalaat kaa intiz^aar rahe gaa. jin ash,a'ar par waalid-e-muHtaram ne iSlaaH dee thee un ko surKh raNg se likh diyaa hai yaa un ke neeche note darh jar diyaa hai.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================

GHAZAL

uThe ham Khastah-dil, aashuftah-sar, be-iKhtiyaar uTThe
bahaar aayee, qadam phir dasht ko deewaanah-waar uTThe!

kuchh ab ke mausam-e-gul meN naheeN woh baat pehlee see
nigaah-e-naaz se keh do, nah woh yooN sogawaar uTThe!

gunaah-e-aarzoo aisaa gunah to ho naheeN saktaa
phir aaKhir kyaa huwaa? kyoN bazm se ham dil-figaar uTThe?

idhar ham bazm se uTThe, udhar baiThaa dil-e-meHzooN
nah uThnaa thaa, nah uTThe ham, agar-cheh baar baar uTThe!

baRee pur-lut^f meHfil hai, chaleN to HaZ^rat-e-waa,iz^
paRheN ge sau namaazeN ham, agar woh ek baar uTThe!

kahaaN se himmat-e-Sad-intiz^aar-e-jaam-e-mai laaYeN?
Khudaa-raa saaqiyaa! maigooN naz^ar bas ek baar uTThe!

ta,a'juub se nigaah-e-lut^f kaa muNh tak rahaa hai dil
Khudaa-naa-Khwaastah aisaa kisee kaa e'tibaar uTThe!

chaman tak kyoN chaleN? Zauq-e-naz^ar meN zor gar kuchh hai
dil-e-deewaanah se hee jhoom kar faSl-e-bahaar uTThe!

(is she'r ko waalid-e-marHoom ne kaaT diyaa thaa)

nigaah-e-sharmsaar-e-Husn-o-ra'naayee se poochheN ge
qadam kyoN soo-e-SeHraa is t^araH begaanah-waar uTThe?

yahaaN dast-e-t^alab, z^arf-e-junooN se bhee siwaa-tar hai
ta,a'juub kyaa agar dunyaa se dil be-e'tibaar uTThe?

(is she'r ko bhee waalid-e-marHoom ne kaaT diyaa thaa)

abhee Zauq-e-junooN meN tishnagee meHsoos kartaa hooN
usee andaaz se lillaah! chashm-e-maigusaar uTThe!

kahaaN tak ro,iYe "Sarwar" keh ab to waqt-e-aaKhir hai?
ajal ke haath kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTThe!

(kahaaN tak ro,iYe "Sarwar" keh ab to waqt-e-aaKhir hai?
bharee meHfil se kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTThe!

*********************
[/align]
Attachments
ad-sarwar2.gif002.gif
ad-sarwar2.gif002.gif (24.08 KiB) Viewed 76 times
ad-sarwar2.gif
ad-sarwar2.gif (27.21 KiB) Viewed 76 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib aadaab!

Naujawani ke daor kee yeh yaadgaar Ghazal aap kee jaolaanee t^abia'at, pukhtah a'zaai'm, aor aap kee dard-o-be khudee kee daastaan-e-dil saoZ hai. jabzah-e-muHabbat aor khulooS-e-niyyat kee farawaanee ne daryaa-e-JunooN kaa rukh be khudee aor bad mastee kee janib maoR diyaa hai. aor yahee u'shshaaq kee rawayat rahee hai. aap kaa Haal-e-dil-e-muZ^t^ir deegar shua'raa-e-Ciqah se mukhtalif naheeN.

Naojawanee kee chooT raatooN ko beqaraar rakhtee hai. aor jigar kaa dard sone naheeN detaa. karwaTeeN badalnaa aor ratooN ko anjum shumaaree a'aashiq kaa marGhoob mashGhalah-o-shaaGhul ho jata hai. yaqeena" aap bhee inheeN Sabr aazmaa adwaar se Guzre hooN ge. yahee wajah hai keh aap ke haaN dard-o-ranj kaa iz^haar barmalaa miltaa hai. aesee takhleeq dil par sakht chooT khaeY baGhaer naheeN takhleeq kee jaa saktee.

uThe ham Khastah-dil, aashuftah-sar, be-iKhtiyaar uTThe
bahaar aayee, qadam phir dasht ko deewaanah-waar uTThe!

Bohot khubSurat mat^la' hai. meree daad qubool keejiye!

kuchh ab ke mausam-e-gul meN naheeN woh baat pehlee see
nigaah-e-naaz se keh do, nah woh yooN sogawaar uTThe!

Bohot khoob! Waah Waah!!

gunaah-e-aarzoo aisaa gunah to ho naheeN saktaa
phir aaKhir kyaa huwaa? kyoN bazm se ham dil-figaar uTThe?

Kiyaa kehne!

idhar ham bazm se uTThe, udhar baiThaa dil-e-meHzooN
nah uThnaa thaa, nah uTThe ham, agar-cheh baar baar uTThe!

Waah !

baRee pur-lut^f meHfil hai, chaleN to HaZ^rat-e-waa,iz^
paRheN ge sau namaazeN ham, agar woh ek baar uTThe!

Kiyaa kehne!

kahaaN se himmat-e-Sad-intiz^aar-e-jaam-e-mai laaYeN?
Khudaa-raa saaqiyaa! maigooN naz^ar bas ek baar uTThe!

Waah Waah!

ta,a'juub se nigaah-e-lut^f kaa muNh tak rahaa hai dil
Khudaa-naa-Khwaastah aisaa kisee kaa e'tibaar uTThe!

Kiyaa kehne!

chaman tak kyoN chaleN? Zauq-e-naz^ar meN zor gar kuchh hai
dil-e-deewaanah se hee jhoom kar faSl-e-bahaar uTThe!

(is she'r ko waalid-e-marHoom ne kaaT diyaa thaa)

nigaah-e-sharmsaar-e-Husn-o-ra'naayee se poochheN ge
qadam kyoN soo-e-SeHraa is t^araH begaanah-waar uTThe?

Bohot khoob! Waah!

yahaaN dast-e-t^alab, z^arf-e-junooN se bhee siwaa-tar hai
ta,a'juub kyaa agar dunyaa se dil be-e'tibaar uTThe?

(is she'r ko bhee waalid-e-marHoom ne kaaT diyaa thaa)

abhee Zauq-e-junooN meN tishnagee meHsoos kartaa hooN
usee andaaz se lillaah! chashm-e-maigusaar uTThe!

Bohot khoob!!

kahaaN tak ro,iYe "Sarwar" keh ab to waqt-e-aaKhir hai?
ajal ke haath kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTThe!


(kahaaN tak ro,iYe "Sarwar" keh ab to waqt-e-aaKhir hai?
bharee meHfil se kaise kaise raNgeeN baadah-Khwaar uTThe!

kiyaa kehne! Waah!!

"hamare Zehn par chaaeY naheeN haiN HirS ke saaeY
jo ham meHsoos karte haiN wohee teHreer karte haiN"

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mushfiq-e-mukarram Muzaffar SaaHeb: aadaab!

aap kaa mufaSSil tabSirah aur daad meree i'zaat-afzaayee kaa baa,ic huwe. kam logoN ko furSat hai keh paRheN aur tafSeel se likheN bhee. mamnoon hooN!

nawaazish, karam, shukriyah, mehrbaanee!

Sarwar A. Raz "Sarwar:"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Sarwar Raz wrote:mushfiq-e-mukarram Muzaffar SaaHeb: aadaab!

aap kaa mufaSSil tabSirah aur daad meree i'zaat-afzaayee kaa baa,ic huwe. kam logoN ko furSat hai keh paRheN aur tafSeel se likheN bhee. mamnoon hooN!

nawaazish, karam, shukriyah, mehrbaanee!

Sarwar A. Raz "Sarwar:"


moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib aadaab!

Aap kee har takhleeq ham sab ke liye tabarruk kaa darajah rakhtee hai. Aap ke khut^oot^ par jitnaa bhee likhaa jae kam hai. kiyaa kiyaa jae keh adab mana' hai. aap aese naabGhah-e-rooZgaar kaa Haq hai. keh dil khool kar ta'reef-o-taoSeef ke Gul nichaawar kiye jaeeN. meree deegar sabhee aarakeen se iltemaas hai keh woh aap kee ma'ruZ^aat par likhne meN taamal nah kareeN aor khule dil se Zeyaadah likheeN.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
Post Reply