:ham zindagee meN phir koyee armaaN nah kar sake:!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
:ham zindagee meN phir koyee armaaN nah kar sake:!
[align=center]yaaraan-e-bazm: aadaab!
aaj hee Saara Jabeen ne yeh :Khush-Khabaree: sunaayee keh is gunaahgaar ko UrduBandhan ke Mushaai'rah #31 ke meHmaan-e-KhuSooSee hone kaa e'zaaz baKhshaa gayaa hai! maiN apnee Khoobee-e-taqdeer par abhee pooree t^araH naazaaN bhee nah ho paayaa thaa keh yeh Hukm Saadir huwaa keh mujh ko ek t^araHee Ghazal bhee kehnee hai aur faura" kehnee hai! yeh to wohee baat huyee keh:
zehr deN, us peh yeh taakeed keh peenaa ho gaa!
dabee zabaan meN itnee der se yaad karne kee shikaayat ke ba'd aah-e-sard bharee aur chaar-o-naachaar Ghazal kehne baiTh gayaa! jo aawurd kee shaa,i'ree huyee hai us ko pesh kar rahaa hooN. ummeed hai keh apne Khayaalaat aur raaYe se sarfaraaz farmaaYeN ge! us ke ba'd jo kuchh kehnaa sun,naa ho woh aap Saara se keh leN!
safeenah jab.k kinaare peh aa lagaa "Ghalib"
Khudaa se kyaa sitam-o-jaur-e-naaKhudaa kahiYe?
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==================
GHAZAL
afsos Khud ko Khud peh numaayaaN nah kar sake
ham zindagee ko SaaHeb-e-eemaaN nah kar sake!
raah-e-t^alab meN kaar-e-numaayaaN nah kar sake
ashk-e-junooN ko aa,eenah-saamaaN nah kar sake!
woh i'shq kyaa jo dard kaa darmaaN nah kar sake?
woh dard kyaa jo i'shq ko aasaaN nah kar sake?
har lamHah-e-Hayaat Hisaab apnaa le gayaa
:ham zindagee meN phir koyee armaaN nah kar sake:
daamaan-e-aarzoo kee daraazee to dekhiYe
Khud se bhee Zikr-e-taNgee-e-daamaaN nah kar sake
yooN mubtilaa-e-kufr-e-tamannaa rahe keh ham
chaahaa hazaar, dil ko musalmaaN nah kar sake!
kyoN mujh se laag hai tujhe ai shoorish-e-Hayaat?
woh kaam kar jo gardish-e-dauraaN nah kar sake!
itnee to ho majaal keh Khud ko sameT leN
kyaa Gham jo ham talaafee-e-hijraaN nah kar sake?
is darjah fikr-e-shehr-e-nigaaraaN meN gum rahe
ham Khud hee apnee Zaat kaa i'rfaaN nah kar sake
:"Sarwar" chalo hai mai-kadah-e-i'shq saamne
muddat huyee ziyaarat-e-insaaN nah kar sake:!
------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"[/align]

- Attachments
-
- gg-afsoskhudkokhud.gif (21.15 KiB) Viewed 925 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:

- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
waaah waah kyaa baat hai. kyaa maqTa kahaa hai aap ne, aaward ki is shaairi meN aamad ki is se behtar bhalaa kya micaal ho sakti hai.
:"Sarwar" chalo hai mai-kadah-e-i'shq saamne
muddat huyee ziyaarat-e-insaaN nah kar sake:!
Mohtaram o Makaram Janab Sarwar Raz SaHeb,
kayee roz tak ye sher zabaan par rahay ga.

waah. kyaa baat hai.
yaqeenun is sher par khuSooSi daad ka hargiz ye matlab naheeN ke baaqi sher pasand na aa-aye. laikin kyaa karooN ke ye sher dil o jigar ko cheer ka aisaa niklaa ke pehlay walay ashaar ki acar aafareeni kam ho gayee.
laikin phir bhi aik sher agar aap ijaazat deN to aik sher par aap se baat karnaa chaahooN ga.
yooN mubtilaa-e-kufr-e-tamannaa rahe keh ham
chaahaa hazaar, dil ko musalmaaN nah kar sake!
agar issay aasaan lafzoN meN likhooN to kahaa gyaa hai ke
" ham yooN mubtilaa e kfur e tamanna rahe ke hazaar chaahaa (par) dil ko musalmaaN na kar sake"
1. mubtilaa e kufr e tamannaa yani tamanna ke kufr meN mubltalaa rahay se kyaa muraad?
niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.

+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
waah saara ji waah.sara_j wrote: Mohtaram Sarwar sahib,
tasliimat!
bohat barhiya!
ghazal irsaal karne ka bohat bohat shukriya.
moshaira # 31 ke mehmaan e khusoosi ke taur per aapne
urdubandhan ki jou zeenat baRhayii hai voh hum sab ke
liye na sirf qabil-e-fakhr hai balke himmat afza'a bhi.
haan! aek baat zaroor saamne aayii hai ke aapka zor-e-qalam
amrat ko zehar bhi samjhe tou muskuraker pii jata hai aur
aek khoobsurat ghazal ki takhleeq houti hai ___ aur is baat
ka baRhawa milta hai ke ainda bhi is tarah ka zehr piine ki
da'wat dene ke sharf haasil kiya jasakta hai :rose
main aapka tahe dil shukriya ada karti hoon aur
dili daad aur mubarakbaad pesh karti hoon.
mukhlis
sara
.
kye khoob saNwaaraa hai aap ne SARWAR SAHEB ki ghazal ko. daad qubool kijiaye.
Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
masha allah
mohtaram sarwar a raz sarwar saahib
Assalaam o alaikum
aapki is behtareen ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad haazir hai qubool farmaayeN :rose .
hasbe maamool hamnay bahut khuch seekha aapki is khoobsoorat kaavish se.
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah.
:rose haamidbaaqari

mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
mukarramee Khaawar SaaHeb: aadaab!
jawaab meN kuchh taaKheer huyee:
huyee taaKheer to kuchh baa,ic-e-taaKheer bhee thaa!
aap kee i'naayat aur daad-o-sitaayish kaa tah-e-dil se mamnoon hooN! daad to dar aSl Saara ko milnee chaahiYe jinhoN ne :zabardastee: Ghazal kehalwaa lee!
ham bhee kyaa yaad kareN ge keh Khudaa rakhte the!
aap ne ek sawaal poochhaa hai:
yooN mubtilaa-e-kufr-e-tamannaa rahe keh ham
chaahaa hazaar, dil ko musalmaaN nah kar sake!
agar issay aasaan lafzoN meN likhooN to kahaa gyaa hai ke " ham yooN mubtilaa e kfur e tamanna rahe ke hazaar chaahaa (par) dil ko musalmaaN na kar sake"
mubtilaa e kufr e tamannaa yani tamanna ke kufr meN mubltalaa rahay se kyaa muraad?
aap ne sunaa hee ho gaa keh meHboobah ko :kaafir: kehte haiN (bal. k yaqeena" apnee GhazloN meN meHboobah ko is lafz^ se yaad bhee kiyaa ho gaa!). aise hee ma'nee meN :tamanaa: ko bhee :kufr: kahaa gayaa hai keh woh kabhee kisee a'ashiq kee pooree naheN hotee. so ham ne yeh jaante huwe bhee tamanna se taubah naheeN kee ya'nee musalman nah huwe!
itnee see baat thee jise afsaanaa kar diyaa!
Sarwear A. Raz "Sarwar"

a'zeezah Saara: salaam!sara_j wrote: Mohtaram Sarwar sahib,
tasliimat!
bohat barhiya!
ghazal irsaal karne ka bohat bohat shukriya.
moshaira # 31 ke mehmaan e khusoosi ke taur per aapne
urdubandhan ki jou zeenat baRhayii hai voh hum sab ke
liye na sirf qabil-e-fakhr hai balke himmat afza'a bhi.
haan! aek baat zaroor saamne aayii hai ke aapka zor-e-qalam
amrat ko zehar bhi samjhe tou muskuraker pii jata hai aur
aek khoobsurat ghazal ki takhleeq houti hai ___ aur is baat
ka baRhawa milta hai ke ainda bhi is tarah ka zehr piine ki
da'wat dene ke sharf haasil kiya jasakta hai :rose
main aapka tahe dil shukriya ada karti hoon aur
dili daad aur mubarakbaad pesh karti hoon.
mukhlis
sara
[align=center][/align]
.
aap kee mehrbaanee hai keh daad bhee aisee dilkash dee ya'nee Ghazal ko sajaa kar paRhne ke qaabil banaa diyaa. shukriyah! aa,indah zehr peene kaa to wa'dah naheeN kartaa lekin shaayad :chakh: looN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
a'zeezah Mahroo SaaHebah: aadaab!MAHROO wrote:salaam alaikum mohtram sarwar sb
aapki ghazal parhi bohat pasand aayi, meri taraf se daad qubool keejeeye.
nacheez
mahroo
Ghazal aap ko pasand aayee to mere liYe yeh baat Khushee kaa sabab ban gayee. dilee shukriyah qubool keejiYe!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: masha allah
biraadaram Baaqri SaaHeb: wassalaam!haamidbaaqri wrote:mohtaram sarwar a raz sarwar saahib
Assalaam o alaikum
aapki is behtareen ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad haazir hai qubool farmaayeN :rose .
hasbe maamool hamnay bahut khuch seekha aapki is khoobsoorat kaavish se.
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah.
:rose haamidbaaqari
SaaHeb! meree to yeh Hasrat hee reh gayee keh kabhee aap kisee Ghazal par tabSirah bhee kar deN! ma'loom hotaa hai keh daad denaa a'adat ho gayee hai! ab aisaa bhee kyaa :z^ulm:! kabhee to kuchh keh liyaa keejiye!
daad ke liYe saraapaa sipaas-guzaar hooN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
[align=center]mohtaram Sarwar A'lam Raz Sarwar SaaHib aadaab!
hamara khun-e-jigar bhee agarcheh shaamil hai
tumhare zikr se rangeeN hai dastaan-e-Ghazal!
tumharee yaad basaatee hai sheher she'rooN ke
tumhare naam se aabaad hai jahaaN-e-Ghazal!
Europe aor Amreekah kee yakh bastah fiZ^aooN meN reh kar garmee-e-sukhan ko barqaraar rakhnaa aor apne fikr-o-fan kee Hiddat se sho'lah-e-she'er ko mazeed taabindah bananaa baRee sa'adat hai. in masheenee bastiyooN meN Aalaam-e-roozgaar ko aasaan bananaa yaqeena" jaaN saoZee kaa a'mal hai. aor in Haalaat se aap aesaa SaaHib-e-zaoq hee nabard Aaazmaa ho saktaa hai.
Aap kaa kaamaal-e-fan yeh hai keh aap apne jazbaat aor eHsaasaat ko khaaliS Ghazal ke paekar meN utaarne kaa fan jaante haiN. Aap ne kabhee kabhee ASGhar kee t^arH aalaam-e-roZgaar ko Gham-e-janaaN meN Dhaalne ke tajrube bhee kiye haiN. aek sachche shaae'ier kee tarH Husn-o-e'shq Aap kaa jee bhee garmataa hai. yahee wajah hai. keh aap kaa saoz-e-nihaaN aap ko apne maaZ^ee ke nihaaN khaanooN meN dhakel detaa hai. aor aap ko apnee tanhaee ke lamaHaat meN saozish-e-jigar kaa naoHah kehne par majboor kartaa hai.....!!
kalam fannee rawayaat kaa Haamil hone ke bawajood aek khaaS infaradiyat kaa aaee'inah daar hai. Ghazal meN aabshaarooN kaa saa tarannum hai. baa eeN hamah aap kee Ghazal kaa lab-o-lehjah buland baaNG aor har Giz numaaei'sh pasand naheeN. jo a'Sr-e-HaaZ^ir meN khuSuSa" beshtar pesh rao sho'raa kee kamzaoree rahaa hai.
afsos Khud ko Khud peh numaayaaN nah kar sake
ham zindagee ko SaaHeb-e-eemaaN nah kar sake!
Waah!
raah-e-t^alab meN kaar-e-numaayaaN nah kar sake
ashk-e-junooN ko aa,eenah-saamaaN nah kar sake!
Waah Waah!
woh i'shq kyaa jo dard kaa darmaaN nah kar sake?
woh dard kyaa jo i'shq ko aasaaN nah kar sake?
Kiyaa kehne waah Waah!!
har lamHah-e-Hayaat Hisaab apnaa le gayaa
:ham zindagee meN phir koyee armaaN nah kar sake:
Waah!
daamaan-e-aarzoo kee daraazee to dekhiYe
Khud se bhee Zikr-e-taNgee-e-daamaaN nah kar sake
Bohot Khoob!! waah!
yooN mubtilaa-e-kufr-e-tamannaa rahe keh ham
chaahaa hazaar, dil ko musalmaaN nah kar sake!
waah!
kyoN mujh se laag hai tujhe ai shoorish-e-Hayaat?
woh kaam kar jo gardish-e-dauraaN nah kar sake!
Waah!
itnee to ho majaal keh Khud ko sameT leN
kyaa Gham jo ham talaafee-e-hijraaN nah kar sake?
Waah!
is darjah fikr-e-shehr-e-nigaaraaN meN gum rahe
ham Khud hee apnee Zaat kaa i'rfaaN nah kar sake
Bohot khoob!! waah!
:"Sarwar" chalo hai mai-kadah-e-i'shq saamne
muddat huyee ziyaarat-e-insaaN nah kar sake:!
Waah Waah!
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar[/align]