AIK GHAZAL

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

AIK GHAZAL

Post by Anis Hasan »

Apni aik ghazal aap sub ahbaab ki khidmat mein paish kar raha houn parh kar apni aa'ra say zaroor nawaziyay ga.

YEHI AHWAAL RAKHNAY HAIN ISI HAALAT MEIN REHNA HAI
YEH HUM NAY TAY KIYA HAI AB YOUNHI WEHSHAT MEIN REHNA HAI

KOYEE MAUSAM KOYEE RUT HO TUMHARAY QURB KI HUM KO
KABHI KHAWAHISH MEIN REHNA HAI KABHI HASRAT MEIN REHNA HAI

HOUN KITNAY KAAM HI LAIKIN TUMHARI YAAD KI KHATIR
BUHAT MASROOF REH KAR BHI HAMAIN FURSAT MEIN REHNA HAI

BUHAT THORAY SAHI YEH US KI QURBAT KAY HASEEN LAMHAY
BUHAT DIN TAK INHI LAMHON KI PHIR LAZAAT MEIN REHNA HAI

BUHAT HI TEZRO DUNIYA HAI AUR RAFTAAR KAM APNI
YAHAN JUB TAK BHI REHNA HAI HAMAIN HAIRAT MEIN REHNA HAI

JISAY MILNI HO MIL JAYAY ANIS AASAISH-E-DUNIYA
HAMAIN ITNA HI KAAFI HAI TERI NISBAT MEIN REHNA HAI

ANIS HASAN
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Anis Hasan Saahib

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ashAar meiN mazmoon aafreeni hei aur majmooAi taur per paRhne waalaoN ke liye aek paigham bhii hei.

Khaksaar kii daad aur mubarakbaad haazir hei.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by Anis Hasan »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Anis Hasan Saahib

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ashAar meiN mazmoon aafreeni hei aur majmooAi taur per paRhne waalaoN ke liye aek paigham bhii hei.

Khaksaar kii daad aur mubarakbaad haazir hei.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Mohtaram Nazir saheb,
Aap ki purkhuloos daad aur mubarakbaad ka behud shukriya.
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: AIK GHAZAL

Post by Mahtab Qadr »

Anis Hasan wrote:Apni aik ghazal aap sub ahbaab ki khidmat mein paish kar raha houn parh kar apni aa'ra say zaroor nawaziyay ga.

YEHI AHWAAL RAKHNAY HAIN ISI HAALAT MEIN REHNA HAI
YEH HUM NAY TAY KIYA HAI AB YOUNHI WEHSHAT MEIN REHNA HAI

KOYEE MAUSAM KOYEE RUT HO TUMHARAY QURB KI HUM KO
KABHI KHAWAHISH MEIN REHNA HAI KABHI HASRAT MEIN REHNA HAI

HOUN KITNAY KAAM HI LAIKIN TUMHARI YAAD KI KHATIR
BUHAT MASROOF REH KAR BHI HAMAIN FURSAT MEIN REHNA HAI

BUHAT THORAY SAHI YEH US KI QURBAT KAY HASEEN LAMHAY
BUHAT DIN TAK INHI LAMHON KI PHIR LAZAAT MEIN REHNA HAI

BUHAT HI TEZRO DUNIYA HAI AUR RAFTAAR KAM APNI
YAHAN JUB TAK BHI REHNA HAI HAMAIN HAIRAT MEIN REHNA HAI

JISAY MILNI HO MIL JAYAY ANIS AASAISH-E-DUNIYA
HAMAIN ITNA HI KAAFI HAI TERI NISBAT MEIN REHNA HAI

ANIS HASAN
Bahut khoob mohatram Anis Hasan aapki ghazal bahut pasand ai ghazal apne asli maana mai kahi gai . husn e taghazzul ke sath andaz e bayan bahut khoobsurat hai.
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Re: AIK GHAZAL

Post by Anis Hasan »

Mahtab Qadr wrote:

Mohtaram "Mahtab Qadr" saheb Ghazal ki pasandeedgi aur tareef ka buhat shukriya.
User avatar
Safiya
nau-waarid
Posts: 21
Joined: Mon Jan 17, 2005 8:14 am

Re: AIK GHAZAL

Post by Safiya »

Anis Hasan wrote:Apni aik ghazal aap sub ahbaab ki khidmat mein paish kar raha houn parh kar apni aa'ra say zaroor nawaziyay ga.

YEHI AHWAAL RAKHNAY HAIN ISI HAALAT MEIN REHNA HAI
YEH HUM NAY TAY KIYA HAI AB YOUNHI WEHSHAT MEIN REHNA HAI

KOYEE MAUSAM KOYEE RUT HO TUMHARAY QURB KI HUM KO
KABHI KHAWAHISH MEIN REHNA HAI KABHI HASRAT MEIN REHNA HAI

HOUN KITNAY KAAM HI LAIKIN TUMHARI YAAD KI KHATIR
BUHAT MASROOF REH KAR BHI HAMAIN FURSAT MEIN REHNA HAI

BUHAT THORAY SAHI YEH US KI QURBAT KAY HASEEN LAMHAY
BUHAT DIN TAK INHI LAMHON KI PHIR LAZAAT MEIN REHNA HAI

BUHAT HI TEZRO DUNIYA HAI AUR RAFTAAR KAM APNI
YAHAN JUB TAK BHI REHNA HAI HAMAIN HAIRAT MEIN REHNA HAI

JISAY MILNI HO MIL JAYAY ANIS AASAISH-E-DUNIYA
HAMAIN ITNA HI KAAFI HAI TERI NISBAT MEIN REHNA HAI

ANIS HASAN
Aadaab,
Anis sahab, pehli dafa aapka kalaam paDa haiy aur kaafi muttaassir huvin hoon. Ghazal bohot acchi kahi haiy aapne, sab se pehle to matla hi bohot zabardast haiy, aapne kahaa ke yunhi wehsat me rehna haiy aur humne socha ke ab to aage zaroor paDna haiy, aur maayoosi bilkul nahi huvi kyunki uske aaghe bhi aapne ek se badkar ek ashaar likhe hain.

Allah kare zor-e-kalaam aur ziyada.

Safiya
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Re: AIK GHAZAL

Post by Anis Hasan »

Safiya wrote:

Mohtarma Safiya sahiba ghazal ki pazeerai kay liyay aap ka behud mamnoon houn.
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: AIK GHAZAL

Post by Hashmat Usmani »

salaam moHtaram Anis Khan saaHib,

aapkaa kalaam paRh kar bahot lutf aayaa...aapke kalaam meN ustaadaanah rang paayaa jaataa hai. masha Allah aap se hameN bahot kuchh seekhne ke mavaaq'e mileNge.

aapkii Ghazal ke har har ash'aar jaam'e aur dil_kash aur Haseen haiN. Khayaalaat kii aafreenii hai. zabaan meN silaasat aur bayaan meN puKhtagii.

ek umda Ghazal ke liye merii jaanib se mubaarakbaad qubool kijiiye. shukria.

sabhii ash'aar ek se ek baRh kar nageene haiN. koii ek do she'r ka ta'aiyun karna qadre mushkil amr hai.

Hashmat
Image
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Re: AIK GHAZAL

Post by Anis Hasan »

Hashmat Usmani wrote:salaam moHtaram Anis Khan saaHib,

aapkaa kalaam paRh kar bahot lutf aayaa...aapke kalaam meN ustaadaanah rang paayaa jaataa hai. masha Allah aap se hameN bahot kuchh seekhne ke mavaaq'e mileNge.

aapkii Ghazal ke har har ash'aar jaam'e aur dil_kash aur Haseen haiN. Khayaalaat kii aafreenii hai. zabaan meN silaasat aur bayaan meN puKhtagii.

ek umda Ghazal ke liye merii jaanib se mubaarakbaad qubool kijiiye. shukria.

sabhii ash'aar ek se ek baRh kar nageene haiN. koii ek do she'r ka ta'aiyun karna qadre mushkil amr hai.

Hashmat
Mohtaram Hashmat sahib aap nay tu meri ghazal ki itni ziyada tareef kar kay mujhay sharminda sa kar diya hai. Main kahan aur ustadana rung kahan abhi tu main seekhnay ki hi manzil mein houn. Aap ki daad aur hosla afzai ka behud shukriya.
Post Reply