Pakistan k liye

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Pakistan k liye

Post by tahira Masood »

tamaam hamwatnoN ki khidamt maiN payaar bheraa slaam

watn-e-Aziz per socahne baiThee tau yeh TooTe phooTe alfaaz aur muntashiir khayaalat hi ikaTThaa ker pa'ee

pehle aisaa nahiN thaa............

baat kerni mujhe mushkil kabhi aisee tau nah thi
jaisee ab hai teri meHfil kabhi aisee tau nah thi

le gayaa cheen k kon aaj teraa Sabr-o-qaraa
be qaraari..........................aisee tau nah thi

ummeed hai keh mere dil kee Haalat aap sab bah khoobu samajh gaey hoNge

aik teraf watan se aqeedat ki Hadd tak payaar aur dooseri teraf wehaaN per mojuud tahffuZaat

jaan, maal, izzat, aabruu,eemaan kuch bhi tau meHfooz nahiN, gharoN ki chaardweeari bhi nahiN

maaN ki aaghauSh bhi nahiN

Hatta keh Khudaa k gher bhi meHfooZ nahiN????????????

Al'amaan al Hafeez

ikk qayaamat hai

ooper se ArZee aur samaavi aafaat??? zalzale aandhiyaaN toofaan,toofani baarsheiN, haihaata haihaata haihaat!!!

kis kis baat kaa zikr karoN

maiN amann kaa gehwaara apne bachpan waala Pakistan kehaaN dhundoN????

hamne na'ee nasloN ko yeh kis qism kaa Pakistan diyaa hai??

Pakistan? Pakistan tau Arsa-e deraaz se Ighwaa ho chukaa, dehshat gerdi k haathoN
Islaam k naam nehaad Thaik-e-daaroN k haathoN

apne "khair khwaahoN" k haathoN

bas inhee khayaalaat kaa majmuaa hai meri yeh muntashir si nazm

----------------------------------------------------------

Image

nazm

Tuu janam bhoomi meri Tu hi dherti maaN hai miree
duaa nah doN tujhe kioNker keh tuu hi jaan hai miree

maiN teri gaud maiN bachoN ki sii humakkti thi
maiN tairee seene peh paaoN paaoN chalti thi

maire watan teri khushbuu se payaar hai mujh ko
salaamti se teri hi qaraar hai mujh ko

teri zameen terae aasmaaN se payaar mujhe
maidaan taire payaare haiN kohsaar mujhe

teri hawaaoN ki khushbu teri zameeN ki mehak
abhi bhi rooH maiN aati hai inkee mujh ko lapak

kuch aise logo ne ghairaa hai tujh ko payaare watan
gharaZ ko apnee diaa hai ujaaR teraa chaman

koee tau aaey jo zulfeiN sanwaar de teri
koee tau ho jo keh mushkil usaar de teri

Khudaa tumehiN woh qayaadat de jo keh teri ho
kabhi panapne nah paaey jo teraa bairee ho

Haseen chehraa teraa zakhm zakhm dikhtaa hai
tau meraa qalb-e-HazzeiN dam bah dam dukhtaa hai

Tuu zadd maiN aagayaa aafaat aur maSaaib k
maiN kis terah tumheiN loN ba-taur-e-khaaib k?

nah bulbaloN k haiN naghme nah taa'eroN ki chehak
Fazaa maiN phailaa hai baarood aur bamoN ki dhamak

nahiN hadaf thaa teraa yeh aur nah yeh manzil thi
teraa naSeeb tau makhakmal ki aik meHmil thi

maiN kaise haath pakaR ker nikaal loN tujh ko
kabhi sanbhaala mujhe thaa sanbhal loN tujh ko

keh rehnaa tujh maiN banaaya gayaa hai naa mumkin
badal k rakh diye Zaalim ne taire raat aur din

kabhi nah sochaa tha maiN tujh se duur jaaoN gee
tumhaaree yaad maiN aansu maiN yuN behaaoN gee




Last edited by tahira Masood on Mon Aug 27, 2007 6:57 pm, edited 3 times in total.
live and let live

Image
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Tahiraa ji

Salam qubool kijiaye.

waTan se aap ki laazvaal moHabbat ka andaaz mujhe aap ki nacar se hi hogyaa thaa. jo ye cheekh cheekh kar keh rahi thi ke shaairaa ye nazm likhne ke b'aad bhi bohat kuch aor likhne chaahti hai.

aap ki waTan se moHabbat micaali hai. dua kijiaye ke Allah rab ul izzat ham sab ko watan e 'azeez ki moHabbat se sar shaar farmaa-aye aor mul ke 'azeez ko taa qiyyamat meHfooz rakhe.

maiN kaise haath pakaR ker nikaal loN tujh ko
kabhi sanbhaala mujhe thaa sanbhal loN tujh ko


Allah t'aalaa ham sab ko watan e 'azeez ke leeaye kuch karne ki himmat de. Ameen.

dua go,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

muhammad_19k wrote: Tahiraa ji

Salam qubool kijiaye.

waTan se aap ki laazvaal moHabbat ka andaaz mujhe aap ki nacar se hi hogyaa thaa. jo ye cheekh cheekh kar keh rahi thi ke shaairaa ye nazm likhne ke b'aad bhi bohat kuch aor likhne chaahti hai.

aap ki waTan se moHabbat micaali hai. dua kijiaye ke Allah rab ul izzat ham sab ko watan e 'azeez ki moHabbat se sar shaar farmaa-aye aor mul ke 'azeez ko taa qiyyamat meHfooz rakhe.

maiN kaise haath pakaR ker nikaal loN tujh ko
kabhi sanbhaala mujhe thaa sanbhal loN tujh ko


Allah t'aalaa ham sab ko watan e 'azeez ke leeaye kuch karne ki himmat de. Ameen.

dua go,
Muhammad K. Siddiqui.
bohat bohat aur bohat shukeriyah Siddiqui Saheb

maiN mamnooN hoN aapki keh aap ne meri is teHreer ko puuri gehraa'ee maiN uter ker paRhaa aur meHsuus kiyaa.

be shakk Allah AT'alaa ahm sabko watn-e-Aziz k liye kuch kerne ki taufeeq de. Khwaah aik naik baat hi is k liye kise dil maiN Daal deiN

Khudaa aap ko khush rakhe.aameen
wassalam
live and let live

Image
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Tahira behn

aap nay waten say mutaliq jin jazbaat ka izhaar kia hay is baray maiN meiN to yeh kahuN ga keh aap nay karoRoN diloN kay jazbaat ko zuban day di hay.

picchlay dinoN maiN nay waten per likhnay ka kai baar socha aur her mertaba aisi hi kashmukash ka shikaar hua keh likhnay ka irada terk ker dia. bohat hi ziada frustration, aur baybessi ka ehsaas waten kay saath wabesta ho gaya hay. kuch samajh nahiN aata keh is gardaab say nikalnay kay liay kia kia jaey.

Allah say dua hay keh hamara apna Pakistan hamaiN louTa day aur hamari kotahioN say derguzer fermaye.

laikin shaed is kay liay ab hamaiN bohat mehnet kerna peRay.

phir say qurbani dena peRay

wassalam

sohail malik
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

moHteram Sohail saheb

salaam

aap ne bajaa fermaaya . ba Ain-e-hi yehi Surat hai aaj kal. Mayuusi kufr hai magar m'Aaz Allah aaj kal Pakistan ki majmuu'ee Haalat ba Zaahir mayuus kun hai. magar muslamaan hone k naate duaa aur ummeed yehi hai hai keh Allah Ta'ala jo keh musabb-e-bul asbaab hai iska jald ko'ee mustaqil aur paaidaar hal nikaale gaa. Allah hameiN aise a'Amaal kerne ki taufeeq de jo uski reHmat kheenchne wale hoN na keh Ghazab ko bhaRkaane waale.Aameen
yehi Surat fateHa ki kaamil tareen duaa hai jo her muslamaan din maiN an ginat baar nimaazoN maiN paRhtaa hai Allah Ta'ala tamaam muslamnoN ki yeh duaa qabuul fermaaey.aameen

aaj maiN is furom aur internet ki wasaatat se her muHibb-e-watan Paksitani se jo duniya k kisee bhi khitte maiN rehtaa aur Islam k kisee bhi firque se ta'alluq rakhtaa ho, se iltemaas karoNgee keh woh kam azz kam aik haftah,Pakistan ki slaaamti k liye haftah-e-duaa manaate huay jab bhi nimaaz maiN "an'Amta Alaihim" ki raah per chalne ki duaa paRhe tau Pakistan ko KhaaS taur per dil maiN rakhte huay ka'ee baar iss ki takraar kere taa keh Allah T'Aalaa Pakistan per se naHusat k yeh saaey hameshah k liye duur fermaa de.Ameen

Allah Ta'ala hameiN iskee taufeeq de aur hamaare gunaah muaaf kerte huaty hamaari naik duaaieN qabuul fermaaey.aameen
sumaa aameen yaa Rabil Aalameen


wassalam
live and let live

Image
Post Reply