azeezan e bazm aik ghazal pesh e khidmet hay. apni raey say aagah kijiay ga.
wassalam
sohail malik
Jo her su shakel teri dekhta huN
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 124
- Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am
Jo her su shakel teri dekhta huN
- Attachments
-
- jo her su shakel teri.gif (22.65 KiB) Viewed 160 times
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Sohail bhai
bohat jaldi meN hooN [:)]
1. pehlay misra meN shakl daikhna ka istemaal mujhe kuch behtar naheeN lagaa. zydaa taraH ham ye muHawaaraa doosre ko neechaa dikhaane ke leeaye istemaal kartay hen. yaqeenun aap ke sher meN se ye matlab naheeN nikaltaa oar ye sher bilkul Saaf hai. laikin phir bhi agar kissi taraH Soorat ya chehra ka istemaal kiyaa jaa-aye to baat shayed zydaa khoobSoorat ho ja-aye.
2. bohat khoob
3. waah
4. ]b] ahaah haa. bohat khoob [/b] waise ye bataa-iaye ke ghanari lafz par koi aitraaz to naheeN huwaa ab tak?
5. tiri aahat na mairi daikhtaa hooN aik to aahat ko daaikhnaa, phir tiri aor miri ka gad mad honaa. ye miSra mujhe to kuch jachaa naheeN.
6. ji theek
7. jahaaN aNbaar thaa tab khaaihishoN ka kyaa buraa hai k issay agar kuch behar kar leeyaa jaa-aye?
8. kayee yaadoN kuch aisi tarkeeb naheeN. haaN kayee dareechay khoob baat thi. beHr ki majboori zaahir ho rahi hai.
aap ka mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
-
- -
- Posts: 124
- Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am
Khawer bhai assalam o alaekum
aap kay dilcasp aur maalumaati tabSiroN ka hamaisha intezaar rehta hay. aur yahaN bhi aap nay mayus nahiN kia. shukria
1. pehlay misra meN shakl daikhna ka istemaal mujhe kuch behtar naheeN lagaa. zydaa taraH ham ye muHawaaraa doosre ko neechaa dikhaane ke leeaye istemaal kartay hen. yaqeenun aap ke sher meN se ye matlab naheeN nikaltaa oar ye sher bilkul Saaf hai. laikin phir bhi agar kissi taraH Soorat ya chehra ka istemaal kiyaa jaa-aye to baat shayed zydaa khoobSoorat ho ja-aye.
aap ki is raey say mujhay ittefaq nahiN hay (ager aap mujhay ikhtilaaf e raey ka haq deiN to)
suret ko yuN shamil kia ja sakta hay
'maiN suret her su teri dekhta huN'
laikin is per mera dil mutmaen nahiN hay
2. bohat khoob
shukria
3. waah
shukria
4. ]b] ahaah haa. bohat khoob [/b] waise ye bataa-iaye ke ghanari lafz par koi aitraaz to naheeN huwaa ab tak?
shukria ------- issi sher kay peechay to yeh puri ghazal ayi hay ab kissi aeteraaz per is sher say dast derdaar honay say to reha. waisay abhi chand aur qafiay maClan 'agairi' 'pichairi' waghaira baaqi haiN.
5. tiri aahat na mairi daikhtaa hooN aik to aahat ko daaikhnaa, phir tiri aor miri ka gad mad honaa. ye miSra mujhe to kuch jachaa naheeN.
'dekhta huN' do maani maiN istemaal hua hay
1. I see
2. let me check it
ab aap ashaar kay mazmun say andaza lagaiN keh kis jagah kis maani maiN istemaal hua hay.
6. ji theek
shukria
7. jahaaN aNbaar thaa tab khaaihishoN ka kyaa buraa hai k issay agar kuch behar kar leeyaa jaa-aye?
'jahaN anbaar thay kal khwahishoN kay'
is say behter ager koi suret aap ki nazer maiN ho to zarur bata dijiay ga. mujhay to is mafhum ko ada kernay ki yehi suret nazer ayi hay.
8. kayee yaadoN kuch aisi tarkeeb naheeN. haaN kayee dareechay khoob baat thi. beHr ki majboori zaahir ho rahi hai.
yahaN bhi kayee yadoN koi terkeeb nahiN, kai dareechay hi hay. aap taqeed e lafzi ka ilzaam zarur laga saktay haiN laikin mujhay woh bhi yahaN qabil e qabul lag raha hay.
khush rehihay
faqet

"jahaN anbaar thay kal khwahishoN kay "
ye behtareen tabdeeli hai.
dua goa aor duaoN ka Taalib,
Muhammad K. Siddiqui.
"jahaN anbaar thay kal khwahishoN kay "
ye behtareen tabdeeli hai.
aor5. tiri aahat na mairi daikhtaa hooN aik to aahat ko daaikhnaa, phir tiri aor miri ka gad mad honaa. ye miSra mujhe to kuch jachaa naheeN.
'dekhta huN' do maani maiN istemaal hua hay
1. I see
2. let me check it
ab aap ashaar kay mazmun say andaza lagaiN keh kis jagah kis maani maiN istemaal hua hay.
agar aap muTamain heN to sab theek hai. maira muTamain honaa kuch ahmiat naheeeN rakhtaa :)8. kayee yaadoN kuch aisi tarkeeb naheeN. haaN kayee dareechay khoob baat thi. beHr ki majboori zaahir ho rahi hai.