GuZarish#32 ke liye t^arHee miSa' pesh-e-khidmat hai.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

GuZarish#32 ke liye t^arHee miSa' pesh-e-khidmat hai.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :rose

GuZarish#32 mah-e-September ke liye miSra'-e-t^arH pesh-e-khidmat hai.

Sadr-e-mushaae'rah janaab Abdullah Nazir SaaHib-

MeHmaan-e-khuSuSee jawaaN fikr Shaae'ir janaab Muneer Arman Naseemi SaaHib qaraar paaye haiN-

MiSra'-e-t^arH:

<<<<<<<"Miree saadagee dekh kiyaa Chahataa hooN">>>>>>>

Shaa'ir: Dr, Sir A'llamah MuHammad Iqbal.

Quwaafee:Khuda, juda, sazaa, shifaa, bhala, huwaa, luTaa, waGhaerah.
radeef: Chaahataa hooN.

BeHer kee is shakl ko beHer-e-mutaqarib mucammin saalim kehte haiN.

fa oo' lun......fa oo' lun.......fa oo' lun.........fa oo'lun
122...............122...............122................122
sll.................sll...................sll..................sll
//0/0...............//0/0.............//0/0..........//0/0

Aap sab SaaHibaan-e-fikr-o-fan se iltemaas hai. keh diye gaeY miSra'-e-t^arH par apnee pehlee furSat meN t^aba' aazmaeeN aor apnee urdu dostee aor adab nawaazee kaa muz^aahirah kareeN. shukriyah!

Wassalam
Mutmannee-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan.
[/align]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Sun Sep 30, 2007 10:37 pm, edited 1 time in total.
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: GuZarish#32 ke liye t^arHee miSa' pesh-e-khidmat hai.

Post by munir-armaan-nasimi »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :rose

GuZarish#32 mah-e-September ke liye miSra'-e-t^arH pesh-e-khidmat hai.

Sadr-e-mushaae'rah janaab Abdullah Nazir SaaHib-

MeHmaan-e-khuSuSee jawaaN fikr Shaae'ir janaab Muneer Arman Naseemi SaaHib qaraar paaye haiN-

MiSra'-e-t^arH:

<<<<<<<"Miree saadagee dekh kiyaa Chahataa hooN">>>>>>>

Shaa'ir: Dr, Sir A'llamah MuHammad Iqbal.

Quwaafee:Khuda, juda, sazaa, shifaa, bhala, huwaa, luTaa, waGhaerah.
radeef: Chaahataa hooN.

BeHer kee is shakl ko beHer-e-mutaqarib mucammin saalim kehte haiN.

fa oo' lun......fa oo' lun.......fa oo' lun.........fa oo'lun
122...............122...............122................122
sll.................sll...................sll..................sll
//0/0...............//0/0.............//0/0..........//0/0

Aap sab SaaHibaan-e-fikr-o-fan se iltemaas hai. keh diye gaeY miSra'-e-t^arH par apnee pehlee furSat meN t^aba' aazmaeeN aor apnee urdu dostee aor adab nawaazee kaa muz^aahirah kareeN. shukriyah!

Wassalam
Mutmannee-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan.
[/align]
Attachments
Lett-Sara-Muzaffar.gif
Lett-Sara-Muzaffar.gif (18.84 KiB) Viewed 683 times
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »



Azeezi wa MoHibbee Munir Arman Saahab,
Salam aur doa

Shayad mujhe madaKhlat tou nahiN karnee thee magar maiN bhi is forum ka bohat puraana member hooN. Kisee e'laan ka wapas lena aur naya e'laan karna ek namusabib sa amr hai. MaiN iski tardeed karta hooN.

Aap ka kahna hai abhee sin ke e'tbaar aap is e'zaaz ke mustaHaq nahiN haiN. Tou kumsin logoN se maiN zara doosrey lahje meN baat karta hooN. Ab aap se yehee kahna chaahooNga keh miyaaN jis kursee per aap ko biThaya gaya hai ek mahine tak Khamoshee se waheeN baiThey rahie.

MaiN baHaiSSiyat mehmaan.e KhuSooSee aap ka istaqbaal karta hooN. MaiN ne apnee taraHee Ghazal kal hi bhej dee thee kabhi waqt mile tou dekh lijiyega. Mazeed GhazalaoN ka muntazir hooN.


Ziyadah doa.

Aaapka muKhliS

Jawaid Badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram Muneer Arman SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Biradaram jawaid Badauni SaaHib ke khat^ ke ba'd mazeed Sirf yeh kaha jaa saktaa hai keh maiN un se muttafiq hooN. Aap aese jawaaN fikr aor sanjeedah mizaaj adeeb ke liye u'mr kabhee deewaar naheeN ban saktee. hamare nazdeek fan kee qadr hai. chahe woh aek nao u'mr ke haath kee eejaad ho yaa kisee kuhnah mashq fankaar kaa shahkaar ho. donooN ko qadr kee nigah se dekhaa jataa hai. Haqeeqat to yeh hai keh buzurgooN ke ba'd aap aese nao jawanooN ne hee yeh baar uThaana hai to kiyooN nah abhee se ham is ke liye taiyyaar ho jaeeN.

Aap kee shirkat aor meHfil meN garam joshee ke liye aap ka marhoon-e-minnat hooN.
Allah aap ko khush rakhe!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

MAIN AAP LOGON KII MOHABBATON KA QARZDAAR RAHOONGA...!!

JO HUKM SARKAAR !!


M.A.N.
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

mubarak ho

Post by haamidbaaqri »

Assalaam o alaikum
mohtaram muneer arman naseemi saahib

maahay rawaaN ke mushaairay meiN mehmaane khusoosee chunay jaane per hamaari taraf say bhi mubaarakbaad qubool kareN :rose .

salaamat raheN

mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Munir bhai salam

aap ko kursi e sadaret per baiThay dekh ker yaqeen janiay bohat muserret hui aur muntezmeen ki roshan khayali say mutaCer hua.

aap ko mubarik ho ... aur haaN jaisa keh jawaid bhai nay kaha hay kursi per baiThay rehihay laikin khamoshi lazim nahiN hay aap gahay gahay kuch bol bhi saktay haiN.

khush rehihay

sohail malik
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Sohail Malik wrote:Munir bhai salam

aap ko kursi e sadaret per baiThay dekh ker yaqeen janiay bohat muserret hui aur muntezmeen ki roshan khayali say mutaCer hua.

aap ko mubarik ho ... aur haaN jaisa keh jawaid bhai nay kaha hay kursi per baiThay rehihay laikin khamoshi lazim nahiN hay aap gahay gahay kuch bol bhi saktay haiN.

khush rehihay

sohail malik

BERADARAM SOHAIL SAAHEB......

AAP TO DO HAATH AUR AAGE CHALE GAYE....

Sadr-e-mushaae'rah janaab Abdullah Nazir SaaHib Hain. aur main.....

MeHmaan-e-khuSuSee qaraar paaya hooN...

Wo bhi aap sab logon ki meherbaani se warna.....

I KNOW MY LIMITATIONS VERY WELL.......!!

Aur haan... main kabhi bhi khamosh nahin rah sakta hoon (ye burri aadat hai mujh main).... aap khud dekh liziye main Zabardasti apne mehmaan-e-khususee hone ka faayeda uthaaya hai aur Do-Do Ghazal 'post' kiya hai.

Dua karein ke main ye baar-e-geeran.... ba husn-o-khubi uthaa sakoon.

aap ka apna,

Munir Armaan Nasimi
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-Yrdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :rose

pila pila to khudara keh saaqee-e-khush khu
sharaab-e-ma'nee ke t^alib haiN mekashaan-e-Ghazal!

Aap sabhee mua'azziz dostooN ke ta'awun se mushae'rah apnee kamyaabee kee janib baRhtaa jaa raja hai. aap SaaHibaan-e-qalam kee sherkat aor dilchaspee mushae're kee kamyaabee kee e'lamat hai.

mushae'rah meN shirkat aek t^araf agar aap ke taskeen-e-Zaoq kaa samaan faraham kartee hai to dusree janib aap kee urdu dostee aor Zubaan-o-bayaan se aap kee qalabee ta'aluq aor lagawaT kaa pataa bhee detee hai.

yeh baat wocooq se kahee jaa saktee hai keh agar ham sab arbaab-e-fikr-o-fan isee sanjeedagee se urdu adab kee rah meN koshaaN rahe to urdu kaa mustaqbil darakhshindah banayaa jaa saktaa hai.

Allah aap sab ko salamat rakhe!
Aap kee shirkat ke liye intez^aamiyah shukrGuzaar hai.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
Post Reply