Guzarish 32 per meri nacheez ghazal....................

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Guzarish 32 per meri nacheez ghazal....................

Post by jawaid badauni »

Dosto
aadaab

Isey aap meri kamzori bhi kah sakte haiN keh achcha miSra saamne aane ke bAAd mujh se kuch taba aazmaaii kiye baghair rahaa nahiN jaata. Aaj hi Urdu Bandhan ke mushaireh ka e'laan huuwa tha keh chund sada se ash'aar ho gaye haiN jo aap ki nazr kar raha hooN.

Aapka MuKhliS

Jawaid Badauni




wafaooN ke badle wafa chaahta hooN
"miree saadagee dekh kiyaa chahataa hooN”


bhalayee ke badle bhala chaahta hooN
ajab shaKhs hooN maiN bhi kya chaahta hooN


kaTeN tou kaTeN sir magar jhuk na payeN
maiN ik doosree “Karbala” chaahta hooN


taqaza hai tishnalabee.e nazar ka
tumheN paas se dekhna chaahta hooN


“jio” kah gaya sikka leker bhikaaree
woh samjha keh maiN bhi doa chaahta hooN


mire ghar woh aayeN aur aaker na jaayeN
yeh samjho maiN ik m’ojzah chaahta hooN


jo haiN beniyaaz.e tamanna.e manzil
main aisoN ka hi naqsh.e paa chaahta hooN


riwayat ka qaaiil hooN :Jawaid: phir bhee
Ghazal meN zara kuch naya chaahta hooN



[align=center]Image[/align]
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram janaab Jawaid Badauni SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

jise aap apnee kamzaoree keh rahe haiN. woh daraSl aap kee khubee aor kaamaal-e-hunar mandee hai. maiN khud bhee ise khubee-e-kamaal se ta'beer kartaa hooN. cheh jaae keh taakheer se Ghazal saaraee kee jae. maiN ne pehle bhee aek maoqa' par likhaa thaa keh aap mushaae'rooN meN jahaaN "taqdeem-o-takheer" ko khaat^ir nasheeN rakhaa jataa hai. wahaaN aap kee shakhSiyat in tamaam jumlah rawaayatee Z^aabit^ooN se be niyaaz hai. aap jaante haiN keh aSl sheh taaceer-e-she'er-o-kasb-e-kamaal hai. jo shakhS bhee apne fan meN yaktaa hotaa hai. ehl-e-zamanah us ko qadr kee nigah se dekhte haiN. aor us kaa muqaam-o-martabah bhee muta'aiyyun kar dete haiN. balkeh yeh kehnaa chaahiye keh az khud zamanah us ke muqaam kaa ta'iyun kar detaa hai. GharZ^ mushae'rah meN aap kee garam joshee aor awwal awwal kalam kee pesh kash aap kee kushaadah z^arafee aor baRe pan kee a'lamat hai. jis ke liye minnat shanaas hooN.


wafaooN ke badle wafa chaahta hooN
"miree saadagee dekh kiyaa chahataa hooN”

Waah, Waah,

bhalayee ke badle bhala chaahta hooN
ajab shaKhs hooN maiN bhi kya chaahta hooN

Bohot khoob! Waah,

kaTeN tou kaTeN sir magar jhuk na payeN
maiN ik doosree “Karbala” chaahta hooN

Kiyaa kehne Waah waah!

taqaza hai tishnalabee.e nazar ka
tumheN paas se dekhna chaahta hooN

Kiyaa kehne taGhazzul kaa bohot khubSurat rang liye huwe hai.

“jio” kah gaya sikka leker bhikaaree
woh samjha keh maiN bhi doa chaahta hooN

Waah Waah!

mire ghar woh aayeN aur aaker na jaayeN
yeh samjho maiN ik m’ojzah chaahta hooN

Waah!

jo haiN beniyaaz.e tamanna.e manzil
main aisoN ka hi naqsh.e paa chaahta hooN

Bohot khoob!

riwayat ka qaaiil hooN :Jawaid: phir bhee
Ghazal meN zara kuch naya chaahta hooN

Kiyaa kehne waah Waah!!

in asha'aar se pataa chaltaa hai. keh aap kee shaae'iree meHboob kee naoe'yat aor urdu shaae'ree kee rawayat baham digar yooN marboot^ haiN keh in ko judaa karnaa sa'ee-e-laaHaSil ho gee. aap ke seenah meN "Jigar" kee t^arH aek dard mand dil dhaRak rahaa hai. jis meN kisee ko chaahane aor chahe jaane kee khuwahish kaa samandar har waqt ThaaTeeN baar rahaa hai. aap kaa dil kisee a'aam insaan kaa dil naheeN balkeh aek hassaas aor pur ummeed a'aashiq kaa dil hai. yahee wajah hai keh aap ba'aZ^ jaaN lewaa manzilooN se Guzarne se bhee Gurez naheeN karte balkeh bila khaof-o-khat^ar in jaaN Gusal rahooN se Guzar jate haiN. aap ke haaN mayoosee meN bhee ummeed kee kiran dikhaee detee hai......lagtaa hai keh aap ko naakamee majbooree aor majhooree se koee waast^ah naheeN.

muHabbat kee aag aap ke seenah ko har leHz^ah garmaae rakhtee hai. isee liye aap ke Ghazaliyah afkaar meN TeHrao naheeN miltaa. aap kee kisee baahimmat sippah saalaar kee t^arH aage hee aage baRhe jate haiN. aor nae'ee nae'ee she'eree manzileeN sar kiye jate haiN. jazbaat-e-e'shq kee woh shiddat aor kaefiyaat, Husn-o-e'shq kee woh sarmastee aor jaolaanee pehle pehle e'shq kee den hotee hai. aap ke haaN aaj bhee miltee hai.

aap e'shq kee is sarmastee par hoosh-o-gaosh kee parchaiyaaN bhee paRne dete. lekin aap kee shakhSiyat Gham-e-Hayaat kaa bhee acar qubool kartee hai. aap apne andar kee jang-e-Aazaadee-e-afkaar ko kabhee sard naheeN hone dete. aap kaa baat^in na'rah-e-inqalaab se goonj rahaa hai. aap kee yahee daakhlee kashmakash aage chal kar baRe dheeme andaaz meN hee sahee lekin taraqqee pasand teHreek se hamkinaar ho jatee hai.

Zeyadah Hadd-e-adab!

meree janib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool farmaeeN. i'lawah azeeN miSra' kee pasandeedagee par bhee aap kaa shukrGuzaar hooN. :-)

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar







Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Mon Sep 17, 2007 11:08 pm, edited 2 times in total.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram janaab Jawaid Badauni SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

jise aap apnee kamzaoree keh rahe haiN. woh daraSl aap kee khubee aor kaamaal-e-hunar mandee hai. maiN khud bhee ise khubee-e-kamaal se ta'beer kartaa hooN. cheh jaae keh taakheer se Ghazal saaraee kee jae. maiN ne pehle bhee aek maoqa' par likhaa thaa keh aap mushaae'rooN meN jahaaN "taqdeem-o-takheer" ko khaat^ir nasheeN rakhaa jataa hai. wahaaN aap kee shakhSiyat in tamaam jumlah rawaayatee Z^aabit^ooN se be niyaaz hai. aap jaante haiN keh aSl sheh taaceer-e-she'er-o-kasb-e-kamaal hai. jo shakhS bhee apne fan meN yaktaa hotaa hai. ehl-e-zamanah us ko qadr kee nigah se dekhte haiN. aor us kaa muqaam-o-martabah bhee muta'aiyyun kar dete haiN. balkeh yeh kehnaa chaahiye keh az khud zamanah us ke muqaam kaa ta'iyun kar detaa hai. GharZ^ mushae'rah meN aap kee garam joshee aor awwal awwal kalam kee pesh kash aap kee kushaadah z^arafee aor baRe pan kee a'lamat hai. jis ke liye minnat shanaas hooN.


wafaooN ke badle wafa chaahta hooN
"miree saadagee dekh kiyaa chahataa hooN”

Waah, Waah,

bhalayee ke badle bhala chaahta hooN
ajab shaKhs hooN maiN bhi kya chaahta hooN

Bohot khoob! Waah,

kaTeN tou kaTeN sir magar jhuk na payeN
maiN ik doosree “Karbala” chaahta hooN

Kiyaa kehne Waah waah!

taqaza hai tishnalabee.e nazar ka
tumheN paas se dekhna chaahta hooN

Kiyaa kehne taGhazzul kaa bohot khubSurat rang liye huwe hai.

“jio” kah gaya sikka leker bhikaaree
woh samjha keh maiN bhi doa chaahta hooN

Waah Waah!

mire ghar woh aayeN aur aaker na jaayeN
yeh samjho maiN ik m’ojzah chaahta hooN

Waah!

jo haiN beniyaaz.e tamanna.e manzil
main aisoN ka hi naqsh.e paa chaahta hooN

Bohot khoob!

riwayat ka qaaiil hooN :Jawaid: phir bhee
Ghazal meN zara kuch naya chaahta hooN

Kiyaa kehne waah Waah!!

in asha'aar se pataa chaltaa hai. keh aap kee shaae'iree meHboob kee naoe'yat aor urdu shaae'ree kee rawayat baham digar yooN marboot^ haiN keh in ko judaa karnaa sa'ee-e-laaHaSil ho gee. aap ke seenah meN "Jigar" kee t^arH aek dard mand dil dhaRak rahaa hai. jis meN kisee ko chaahane aor chahe jaane kee khuwahish kaa samandar har waqt ThaaTeeN baar rahaa hai. aap kaa dil kisee a'aam insaan kaa dil naheeN balkeh aek hassaas aor pur ummeed a'aashiq kaa dil hai. yahee wajah hai keh aap ba'aZ^ jaaN lewaa manzilooN se Guzarne se bhee Gurez naheeN karte balkeh bila khaof-o-khat^ir in jaaN Gusal rahooN se Guzar jate haiN. aap ke haaN mayoosee meN bhee ummeed kee kiran dikhaee detee hai......lagtaa hai keh aap ko naakamee majbooree aor majhooree se koee saast^ah naheeN.

muHabbat kee aag aap ke seenah ko har leHz^ah garmaae rakhtee hai. isee liye aap ke Ghazaliyah afkaar meN TeHrao naheeN miltaa. aap kee kisee baahimmat sippah saalaar kee t^arH aage hee aage baRhe jate haiN. aor nae'ee nae'ee she'eree manzileeN sar kiye jate haiN. jazbaat-e-e'shq kee woh shiddat aor kaefiyaat, Husn-o-e'shq kee woh sarmastee aor jaolaanee pehle pehle e'shq kee den hotee hai. aap ke haaN aaj bhee miltee hai.

aap e'shq kee is sarmastee par hoosh-o-gaosh kee parchaiyaaN bhee paRne dete. lekin aap kee shakhSiyat Gham-e-Hayaat kaa bhee acar qubool kartee hai. aap apne andar kee jang-e-Aazaadee-e-afkaar ko kabhee sard naheeN hone dete. aap kaa baat^in na'rah-e-inqalaab se goonj rahaa hai. aap kee yahee daakhlee kashmakash aage chal kar baRe dheeme andaaz meN hee sahee lekin taraqqee pasand teHreek se hamkinaar ho jatee hai.

Zeyadah Hadd-e-adab!

meree janib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool farmaeeN. i'lawah azeeN miSra' kee pasandeedagee par bhee aap kaa shukrGuzaar hooN. :-)

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar





Azeezi Muzaffar SaaHab
Aadaab.o.tasleemaat

Bil Amum tamam GhazaloN per aur shayad bilKhuSooS nacheez ke nacheez kalam per aap ke tafSeeli tabsarey jahaN ek Taraf aapki suKhan Shanaasee ki tarjumaanee kartee haiN waheeN doosree janib mere us bayan ki tAAeed karte haiN jismeN maiN ne nazm.o.naSr per aapke yaksaaN uboor ka dAAwa kiya tha. Sirf itna hi nahiN, aapke tabsare aapke KhulooS.e bekaraaN ki daleel bhi hote haiN kum se kum jahaN tak meri GhazaloN ka sawal hai. Magar aap ko iska eHsaas shayad nah ho aap hameN kaise imteHaan meN Daal dete haiN. Bhaai! shamindagee hone lagtee hai apne kalam per aur ek eHsaas.e meHroomee keh kaash hum Haqeeqee taur per is daad.o.taHseen ke mustaHaq hote.

KahaN 6/7 ashAr per mushtamil ek nacheez see Ghazal jo baKhuda 6/7 minute meN hi kahee gayee thee aur kahaN usper aisa jamey wa murassah tabsarah. Yaqeenan aapki meHnat raigaaN nahiN jatee kyuuNkeh aap ki yeh saKhawat bashakl.e daad hum subki himmat afzaai ka sabab bantee hai. Bohat bohat shukriya. Allah aap ko jazaa.e Kahir se nawaze.

MiSrey ke baaree meN main ne jo bhi Arz kiya tha woh Haq hai. Bohat aasaan aur seedha miSra hai jismeN qawafee ki bharmaar hai. Har rung ki Ghazal baAsaani kahee ja saktee hai aur is miSrey ko bataur TaraH tajweeez karke aap ne shayar.e mashriq ko zabardast Khiraaj.e aqeedat bhi pesh farmaya hai jo amr qaablile sataaish hai.

Mujhe aapki wa deegar eHbaab ki GhazaloN ka intezzar hai aur yaqeen hai iss baar mushairah bohat kaamyaab rahega. Ijazat deejiye. Ek baar phir aap ka bohat bohat shukriya.

KhulooSkaar,

Jawaid Badauni
Muscat-Oman
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Jawaid bhai,

Muzaffar SaHeb ne aap ke bare meN aor aor aap ne muzaffar SaHeb ke bare meN bilkul SaHeeH likhaa. aap baRay log heN. kalam par kudrat rakhte heN aor aor khyaalat ko alfaaz meN dhaalna khoob jaantay heN. laikin aap logoN ki guftagoo ke b'aad mas,alaa ham jaise shaagirdoN ko ho jaataa hai ke likhe to kyaa likheN. kyaa sooraj ko charagh dikhaana bhala manaSib hai? ab muzaffar SaHeb ne jis khoobSoorti se aap ki ghazal par tabSira kiyaa hai bhalaa mujh jaise kam ilm shakhS se kaise mumkin hai?

pas, 6/7 din meN aik ghazal kehnaa walaa, 6/7 minute meN aisi shandaar ghazal kehne par aap ko salute kartaa hai.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

muhammad_19k wrote: Jawaid bhai,

Muzaffar SaHeb ne aap ke bare meN aor aor aap ne muzaffar SaHeb ke bare meN bilkul SaHeeH likhaa. aap baRay log heN. kalam par kudrat rakhte heN aor aor khyaalat ko alfaaz meN dhaalna khoob jaantay heN. laikin aap logoN ki guftagoo ke b'aad mas,alaa ham jaise shaagirdoN ko ho jaataa hai ke likhe to kyaa likheN. kyaa sooraj ko charagh dikhaana bhala manaSib hai? ab muzaffar SaHeb ne jis khoobSoorti se aap ki ghazal par tabSira kiyaa hai bhalaa mujh jaise kam ilm shakhS se kaise mumkin hai?

pas, 6/7 din meN aik ghazal kehnaa walaa, 6/7 minute meN aisi shandaar ghazal kehne par aap ko salute kartaa hai.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Jeete Rahiye aur Khush rahiye Khawar SaaHab. Aajkal bohat kum log rahgaye haiN jo baRon ko baRa samajhte haiN.

Aap ne Khuloos se kah diya Ghazal achchee lagee bus itna hi kafi hai mere liye.

Aap ki Ghazal ka intezaar hai.

Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezah Sara
Salam aur doa

Ghazal ka bohat KhubSurat "image" banaya hai aap ne. Bohat bohat shukriya.

Ek mAmuli baat aap ke ilm meN izafey ke liye Arz karraha hooN. Urdu meN ek riwaaj sa ho gaya hai keh choToN ke liye "azeezi" aur "moHibbee" alfaaz istaimal hote hain aur umr meN baRon ko likhte waqt Amuman "moHtarme" ya "mokarramee" istaimal karte haiN. Yeh koii e'traaz nahiN hai ek adabee mashwara hai.

Mujhe ummid hai iss baar bhi hamara Urdu Bandhan ka mushairah bohat kaamyaab rahega.

MuKhliS
Jawaid
:grin: image banaana tou mera pasandeeda mashghala hai , aapko image mein aapki ghazal

pasand aayi aur aapne tohfa qubool kiya ye mere liye ba'ise izzat hai.

agar maine khud ko aek baar aapse baRi tasavvur karke "Azeezi" likhi tou iska matlab ye nahi mein

Adab se na-aashna hoon, mere apne baRe bhai ko bhi khat mein 'Dearest Anwar bhai' likhti hoon

aapko bhi waise hi samajh ker likhdi, ainda ehtiyaat karungi. Mohtaram Qibla jawaid Bhai hi likhungi.

talib-e-dua , miskeen

shala jabeen
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

masha allah

Post by haamidbaaqri »

Assalaam o alaikum
biradaram jawaid sahib

masha allah bahut acchee ghazal pesh kee hai aapnay

har sher apni micaal aap hai

muzaffar bhai kay tabciray kay baad hamaara kuch kehna munaacib nahiN hai woh isliye keh woh ghazal kay har pehloo per apnay munfarid andaaz meiN raushni daaltay haiN.

ab hum kaheN tau kya kaheN.

is khoobsoorat aur munfarid kaavish per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN.

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Shukria Haamid Baaqree SaaHab

Der aayad durust aayad.

Allah aapke tamam masaaiil ko hal kar dey takeh aap jaldee jaldee mehfil meN ane lageN.

MuKhliS
Jawaid
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram Hamid Baaqri SaaHib aadaab! :rose

meHfil meN aap kee tashreef aawaree it^meenaan bakhsh hai. aap kee aamad par aap kaa mamnoon hooN.
Allah aap ko khush rakhe!

Wassalam
Muzaffar
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

buhat khoob
Jawaid bhai
aap ki ghazal ke beshtar ashaar pasand aaye
meri jaanib se daad qabool kijye
wasalam
zmufti
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Jawaid bhai aap ki is khubsuret ghazal per meri jaanib say daad hazir hay

wassalm

sohail malik
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

zmufti wrote:buhat khoob
Jawaid bhai
aap ki ghazal ke beshtar ashaar pasand aaye
meri jaanib se daad qabool kijye
wasalam
zmufti

Azeezah Zarqa Saahibah

Bohat bohat shukriya

Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Sohail Malik wrote:Jawaid bhai aap ki is khubsuret ghazal per meri jaanib say daad hazir hay

wassalm

sohail malik

Suhail Malik SaHab

Bohat bohat shukriya.

Jawaid
Post Reply