Mein :Internat: ka isteAmaal bohat ziaada kartaa hooN. meri "job" hi kuch aisi hai. iss leeaye jub kuch seekhne ka moqaa aataa hai to :ustaad google: se madaad laitaa hooN.
ShaAeri kaa shauq huwaa to kissi dost ke ka shaAery ke fan par kahaa huwa aik lafz "Arooz" yaad aa-gia. bus phir kia thaa. laga :google: par search karne. aakhir kuch dinoaN meiN mehnat e shaaqa rang laa-ai to aik "web site: par Arooz ke mutalliq kuch asbaaq milay. aisa lagaa jaise khazana mil gaya ho. laikin bohat jald hi ehsaas ho gia ke sirf in ko parh laine se in ko samjha naheeN ja saktaa. phir un asbaaq ko tarteeb daine walee ki khoaj lagai toa meiN email ke zareeaye janab "Abdullah Nazir" se mutaarif huwa.
:internet: par janab Abdullah Nazir sb jasi shakhsiat ko :active: daikhna mere leeaye sehraa meiN gulaab ke "concept: se kam na tha oar phir uss ke baad ye web site sone par suhaaga saabit hoee.
Allah taala iss gulshan ko shaad o aabad rakhe.
ubb aataa hooN iss thread ki taraf, waise toa "ustaad e Mohtaram: itne shafique haiN ke kiss jis bhi zareeaye ( msn, email, telephone) se kuch bhi poocho kabhi na naheeN hoee. laikin un ki oar bohat se doosre seekhne waloaN ki sahoolat ke leeaye socha ke iss taraH ka thread banaa laitaa hooN jis meiN koi bhi shakhs jahaaN par atkaa ho sawal kar daalay oar jis saathi ko maloom ho woah uss ka jawab day day.
umeed kartaa hooN ke iss taraH na-aye aane waloaN ke leeaye seekhne ka marhala taiz ho ja-aye ga oar suhkan shanas logoaN ki mashq hotee rahe gi.
umeed kartaa hooN ke tamaam sukhan shanaas sathi oar "ustaad mohtaram" is thread ko khaaS toar par nazar meiN rakhaiN ge.
MukhtaSar sawaalat
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
MukhtaSar sawaalat
Last edited by muhammad_19k on Wed Dec 20, 2006 6:24 pm, edited 2 times in total.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Sirs,
iss agar iss misraa ki alaamti taqteeA oar beHr ki maloomat faraham kar di ja-ain to banda shukar guzar ho ga.
"ik qiamat hai najanee guzar ja-aye"
oar kia ye misraa kissi kaabil e zikr shaAer ne isteAmaal kiya hai?
iss agar iss misraa ki alaamti taqteeA oar beHr ki maloomat faraham kar di ja-ain to banda shukar guzar ho ga.
"ik qiamat hai najanee guzar ja-aye"
oar kia ye misraa kissi kaabil e zikr shaAer ne isteAmaal kiya hai?
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Sawaal kaa javaab
Janab
Muhammed Khawar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki teHreer ke muTaabiq maiN ne kayi baar Amal karne kee koushish kee lekin kaamyaabi nahiN housaki. Pahle pahle tou bahut se aHbaab ne dilchuspi zaahir kee aur phir raftah raftah apni apni raah lekar yeh samajhne per majboor kardiyaa ke kisi ko bhee Haqeeqi dilchuspi nahiN hei iyuNkeh sab apne apne masaayil meiN uljhe houe heiN. Baharhaal aap ne sawaal kiyaa hei ke kyaa mandarja-e-zeil ibaarat kisi beHr meiN hei yaa nahiN:
ik qiamat hai najanee guzar ja-aye"
= /0//0/0...//0/0...///0//0
=2122.......122....11212
= faa'ilaa'tun....fa'oo'lun.....muta'faa'ilun
Is ibaarat meiN saare arkaan vohi heiN jo mukhtalif beHraoN meiN isteAmaal houte heiN. Her vazn kee koii nah koii aSli beHr houti hei. 14 beHreN Khalil ibn Faraaheedi ne daryaaft keeN aur aek beHr kaa iZaafah unke aek shaagird Akhafash ne kiyaa. Is TaraH se aSli beHraoN kaa taAyyun houaa ke wo 15 heiN. In ke Alaawah bhee chand beHreN eejaad houeen jinkaa zikr mukhtalif kitaabaoN meiN miltaa hei.
BeHraoN kee Jusiyyaat yanaiN beHraoN ke e mukhtalif ashkaal. Inke liye aek qaaAidah qadeem zamaane se chalaa aarahaa hei ke aSl beHr per jab kisi yaa aek se ziyaad zaHaaf kaa acar houtaa hei tou muktalif ashkaal paidaa houti heiN. Ab kee ibaarat ko beHr meiN hei kehne ke liye maiN aap se sawaal karoonga ke aSl beHr kyaa hei aur un per kin zaHaaf kaa acar houaa hei? Agar aap ne daleel pesh kardi tou mujh mannaa paRegaa ke yeh ibaarat beHr meiN hei.
Meri maAloomaat kee Had tak aisi koii beHr nahiN hei. Is per bhee apni baat per mujhe iSraar nahiN hei lekin is ke khilaaf koii daleel kee zaroorat hei.
faa'ilaa'tun, aSl beHraoN meiN 2 jagah mustaAmal hei, aek tou BeHr-e-ramal meiN aur dosre BeHr-e-khafeef meiN.
Ramal kee jitni bhee ashkaal heiN us meiN aapki ibaarat kaa koii vazn nahiN hei.
Khafee kee jitii bhee ashkaal heiN un meiN bhee aapki ibaarat kaa koii vazn nahiN hei.
Ab aek hee Soorat rehjaati hei ke koii is ibaarat ko tarannum se yaa gaakar paRhe aur cuboot de ke paidaa houne waalaa naghmah bahut dilkash hei. Agar aisaa houaa, tou sab se pahle mujhe iTTilaaA deejiye ke aapki ibaarat ko beHr kahaa jaasaktaa hei. Shukriyah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Sir meiN aap ki itni shaandaar wazaahat ka bay had shukar guzar hooN. oar inteha se ziaada khiffat zada. kyooN ke meiN "misra likhne meiN aik ghalati kar gaya thaa.
asal misraa hai,
"ik qiamat hai na jaane kab guzr ja-aye."
Jo mujhe lagtaa hai ke "faa ilaa tun faa ilaa tun faailun failun" ke vazn par hai. aap daikhiaye kia meraa khayal theek hai?
asal misraa hai,
"ik qiamat hai na jaane kab guzr ja-aye."
Jo mujhe lagtaa hai ke "faa ilaa tun faa ilaa tun faailun failun" ke vazn par hai. aap daikhiaye kia meraa khayal theek hai?
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Salam Sir,
1. kia "mahiayaa" likhne ka bhi koi usool hai?
2. Ye shair konsi beHr meiN hai?
waqt k saath yeh azhaan badal jaate heiN
sach tau yeh hai keh insaan badal jaate haiN.
Sir agar aap digital taqteeA farmaa daiN to mujhe bohat aasaani ho gi
aap ka shukarguzaar,
Muhammad Khawar.
1. kia "mahiayaa" likhne ka bhi koi usool hai?
2. Ye shair konsi beHr meiN hai?
waqt k saath yeh azhaan badal jaate heiN
sach tau yeh hai keh insaan badal jaate haiN.
Sir agar aap digital taqteeA farmaa daiN to mujhe bohat aasaani ho gi
aap ka shukarguzaar,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Sir,
ho mere qatl par us sang-dil ki kyoon ta'reef...
main apne haath par rakh kar khud apni jaan gaya
kia doosre misrA behar meiN hai? mairaa khayaal hai ke "par" ki jageh "pe" honaa chahiaye.
regards,
Muhammad Khawar.
ho mere qatl par us sang-dil ki kyoon ta'reef...
main apne haath par rakh kar khud apni jaan gaya
kia doosre misrA behar meiN hai? mairaa khayaal hai ke "par" ki jageh "pe" honaa chahiaye.
regards,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Mohtaram Janab Jawaid Badauini SaHeb
Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb
Mohtaram Janab Sohail SaHeb
aor deegar saathio,
kyaa ghazal meN aik se zydaa qiT'aat kahe ja sakteN heN?
khosha cheeN
Muhammad K. Siddiqui.
Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb
Mohtaram Janab Sohail SaHeb
aor deegar saathio,
kyaa ghazal meN aik se zydaa qiT'aat kahe ja sakteN heN?
khosha cheeN
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com