meri ek aur taraHee ghazal......................

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

meri ek aur taraHee ghazal......................

Post by jawaid badauni »

Azeezo! aadaab

Ek aur saadaa see tarahee Ghazal aap ki samaAtoN ke hawaley kar raha hooN. Koii sher achcha lage to doa se nawaaziyega.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni



jo shajar miSle saaibaaN hoNge
bus wohee faKhr.e gulsitaan hooNge


saree duniya hai Taalib.e deedar
“aap kis kis pe mehrbaaN hoNge”


kab talak bijliyoN kee zad pe falak!
hum GareeboN ke aashiyaaN hoNge


sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge


raah se puKhtakaar guzra hai
dekho qadmoN ke kuch nishaaN hoNge


ishq.e janaN hai zeest ka Haasil
baaqi jo din haiN raigaaN hoNge


Saaf karlo Ghazal ko ai :Jawaid:
bazm meN kuch to nukta daaN hoNge

------------------------------------------------
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib aadaab!

mujhe yaqeen hai keh aap internet kee maHaafil meN jitne maqbool haiN us se bhee kaheeN zeyadah apne Halqah-e-arbaab meN ma'roof-o-mumtaaz hooN ge. Khuda aap kaa dast-e-shafqat hamare sarooN par salamat rakhe! Aameen!!

jo shajar miSle saaibaaN hoNge
bus wohee faKhr.e gulsitaan hooNge

Waah,

saree duniya hai Taalib.e deedar
“aap kis kis pe mehrbaaN hoNge”

Bohot khoob, Kiya Kehne waah Waah! jawaid bhaee kamaal hee kar diyaa hai aap ne!
Bohot khubSurat Girah lagaee hai. Kiyaa kehne!

kab talak bijliyoN kee zad pe falak!
hum GareeboN ke aashiyaaN hoNge

Bohot khoob Waah Waah Waah!!

sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge

Kiyaa kehne! Waah!

raah se puKhtakaar guzra hai
dekho qadmoN ke kuch nishaaN hoNge

Wah!

ishq.e janaN hai zeest ka Haasil
baaqi jo din haiN raigaaN hoNge

Waah!

Saaf karlo Ghazal ko ai :Jawaid:
bazm meN kuch to nuktadaaN hoNge

Kiyaa kehne waah!

asha'aar qudratee andaz meN hone ke baae'c ya'nee har miSra' aor she'er jaZbah kee shiddat aor dard meN Doob kar be saakhtah aayaa hai. isee liye qaaree ko apnee kaefiyat-e-dil ke tarjumaan lagte haiN. aor be ikhteyaar qaaree aek kaef aor mastee se do chaar ho jataa hai. Aap kee yahee khuSuSiyat aap ko apne mua'aSir Ghazal gao shu'raa se munfared kartee hai. aap kaa andaaZ-e-Ghazal gaoee kis had tak mukhtalif hai is kaa andaaZah is Ghazal se bhee lagayaa jaa saktaa hai. aap daoraan-e-she'er gaoee baRee aasanee se har mushkil mooR se Guzar jate haiN.

mundarajah-e-balaa Ghazal kee Zameen sehel naheeN. achchee khaSee dushwaar hai. lekin aap ne cheh saat asha'aar aese keh diye haiN keh GumaaN hone lagtaa hai keh shaayad zameen aasaan hai.

is Ghazal meN aap kee i'shqiyah Ghazal gaoee kaa rang khul kar waarid howaa hai. aor pehlee naz^ar meN hee taGhazzul kaa munfarid lekin judaganah rang z^aahir ho jataa hai. aor yahee rang-o-room hamaree jamaliyaatee taskeen kaa sabab bhee bantaa hai. asha'aar meN shu'lah-e-taGhazzul ko Hiddat kee na'ee aor taazah tapish se hamkinaar kiyaa geyaa hai. pas yeh kehnaa Ghalat^ nah ho gaa keh Ghazal kee SaaleH rawayaat ko meHfooz^ rakhne aor Ghazal ko neyaa ranG-o-room dene meN jahaaN ASGhar aor Jigar ke ismaa-e-Giramee sar-e-fehrist haiN wahaaN aaj ke daor meN aap kaa naam nah liyaa janaa Aap se naa inSaafee karne ke mutaradif hai.

"hamare Zehen par chae naheeN haiN HirS ke saaeY
jo ham meHsoos karte haiN wohee teHreer karte haiN"
(Jalib)

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Shaandaar Ghazal - Jaandaar Sher !!

Post by munir-armaan-nasimi »

sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge

WAH WAH.... KYA SHER HAI... HAQEEQUAT SE BILKUL QAREEB... MUJHE AANJEHANI QAISARUL JAAFRI SAAHEB KE EK SHER YAAD AA RAHA HAI....

Aane wale log 'Kaiser' Padh ke Royenge Hamein
Naam Deewaron pe Sadyon tak Likha Rah Jaayega

AAP KI POORI GHAZAL MASHA'ALLAH BEHAD DILKUSH HAI, HAR SHER... APNI DAAD KHUD USOOL KARWA LETA HAI.

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtarami o Makarrami Janab Jawaid SaHeb

Allah t'aalaa aap par salamat naazil farmaa-aye.

aik baar phir aik shaandaar ghazal kehne par mairi daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

aap jaante hi heN ke sher goi meN abhi bilkul nauwaarid hooN. aor aap logoN ke ashaar se istafaada laitataa hooN. is baar bhi aap ke maTla' se aik khyaal zehn meN koondaa

jin ke phooloN pe saaibaaN hoN ge,
woh shajar fakhr e gulsitaaN hoN ge


aap se darkhaast hai is sher ka technickee jaizaa lay kar mujhe shukriyaa ka moqaa dijiaye.

aor chhothay sher meN bhi mujhe aap ki madad ki zaroorat hai.

sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge


mujhe aisaa lag rahaa hai. jaise SadiyoN ko 22 ki baja-aye 21 par istemal kar ke tak ko agar talak men badal diyaa jaa-aye to miSra ki rawaani baRh jaati hai.meN y bhi jaantaa hooN ke aap ne bohat jaanch paRtaal ke b'aad hi tak ka istemaal kiya ho gaa aor talak meN zaroor ko mas'alaa ho gaa. kyaa aap mujhe ye farq samjhane ki koshish kareN geN?

teesra oar chhothaa sher bohat zabardast heN. in ke leeaye daad e khuSoosi qubool kijiaye.

Regards,
Muhamamd K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib aadaab!

mujhe yaqeen hai keh aap internet kee maHaafil meN jitne maqbool haiN us se bhee kaheeN zeyadah apne Halqah-e-arbaab meN ma'roof-o-mumtaaz hooN ge. Khuda aap kaa dast-e-shafqat hamare sarooN par salamat rakhe! Aameen!!

jo shajar miSle saaibaaN hoNge
bus wohee faKhr.e gulsitaan hooNge

Waah,

saree duniya hai Taalib.e deedar
“aap kis kis pe mehrbaaN hoNge”

Bohot khoob, Kiya Kehne waah Waah! jawaid bhaee kamaal hee kar diyaa hai aap ne!
Bohot khubSurat Girah lagaee hai. Kiyaa kehne!

kab talak bijliyoN kee zad pe falak!
hum GareeboN ke aashiyaaN hoNge

Bohot khoob Waah Waah Waah!!

sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge

Kiyaa kehne! Waah!

raah se puKhtakaar guzra hai
dekho qadmoN ke kuch nishaaN hoNge

Wah!

ishq.e janaN hai zeest ka Haasil
baaqi jo din haiN raigaaN hoNge

Waah!

Saaf karlo Ghazal ko ai :Jawaid:
bazm meN kuch to nuktadaaN hoNge

Kiyaa kehne waah!

asha'aar qudratee andaz meN hone ke baae'c ya'nee har miSra' aor she'er jaZbah kee shiddat aor dard meN Doob kar be saakhtah aayaa hai. isee liye qaaree ko apnee kaefiyat-e-dil ke tarjumaan lagte haiN. aor be ikhteyaar qaaree aek kaef aor mastee se do chaar ho jataa hai. Aap kee yahee khuSuSiyat aap ko apne mua'aSir Ghazal gao shu'raa se munfared kartee hai. aap kaa andaaZ-e-Ghazal gaoee kis had tak mukhtalif hai is kaa andaaZah is Ghazal se bhee lagayaa jaa saktaa hai. aap daoraan-e-she'er gaoee baRee aasanee se har mushkil mooR se Guzar jate haiN.

mundarajah-e-balaa Ghazal kee Zameen sehel naheeN. achchee khaSee dushwaar hai. lekin aap ne cheh saat asha'aar aese keh diye haiN keh GumaaN hone lagtaa hai keh shaayad zameen aasaan hai.

is Ghazal meN aap kee i'shqiyah Ghazal gaoee kaa rang khul kar waarid howaa hai. aor pehlee naz^ar meN hee taGhazzul kaa munfarid lekin judaganah rang z^aahir ho jataa hai. aor yahee rang-o-room hamaree jamaliyaatee taskeen kaa sabab bhee bantaa hai. asha'aar meN shu'lah-e-taGhazzul ko Hiddat kee na'ee aor taazah tapish se hamkinaar kiyaa geyaa hai. pas yeh kehnaa Ghalat^ nah ho gaa keh Ghazal kee SaaleH rawayaat ko meHfooz^ rakhne aor Ghazal ko neyaa ranG-o-room dene meN jahaaN ASGhar aor Jigar ke ismaa-e-Giramee sar-e-fehrist haiN wahaaN aaj ke daor meN aap kaa naam nah liyaa janaa Aap se naa inSaafee karne ke mutaradif hai.

"hamare Zehen par chae naheeN haiN HirS ke saaeY
jo ham meHsoos karte haiN wohee teHreer karte haiN"
(Jalib)

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
.



Azeezam: Salam aur doa

Aap ki moHabbat ka koii mol to nahiN ho sakta magar maiN ne phir bhi uska thoda sa bojh kum karne ke liye aap ko ek KARMA dey diya hai. Qubool farmaaiye.

Sarkaar, aap ka sood meree naqad se tajawooj karne laga hai. yAAni 7 ashaar per mushtamil adna see Ghazal aur aisa Taweel.o.murassah tabasara. Yaqeenan yeh karam mere liye sharmindagee ka bayis bun sakta hai. MaiN waise bhi aap ke Khuloos ka qaail hooN magar mujhe sharmindah nah kijiye. Waise ek member hone ke natey aap ko kuch bhi likhne ka Haq HaaSil hai.

Ek iltemaas yeh bhi hai keh mumkin ho tou kuch tawajjo meri naSr ki janib bhi dijiye Khuda jaanta hai maiN wahaN ziyadah kamzor hooN aur mujhe waheeN ziyadah himmat afzaaii ki zaroorat hai. Do mazamin bhej chuka hooN ("aadaab.o.alqaab" aur ""taqdeem.o.taaKheer") magar donoN per aap ke wa ziyadah tar membraan ke giraNqadr tasbasoN se meHroom hooN.Dekh lijiyega jab FoorSat mile.

Ziyadah kya likhoN. GhazaleN is baar is liye aasaani se ho gayeeN keh aap ke donoN miSrey achche thEy.

Ghazal ki bharpoor pazeeraaii ke liye aap ka behud mamnoon hooN.

KhulooSkaar,

Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Shaandaar Ghazal - Jaandaar Sher !!

Post by jawaid badauni »

munir-armaan-nasimi wrote:sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge

WAH WAH.... KYA SHER HAI... HAQEEQUAT SE BILKUL QAREEB... MUJHE AANJEHANI QAISARUL JAAFRI SAAHEB KE EK SHER YAAD AA RAHA HAI....

Aane wale log 'Kaiser' Padh ke Royenge Hamein
Naam Deewaron pe Sadyon tak Likha Rah Jaayega

AAP KI POORI GHAZAL MASHA'ALLAH BEHAD DILKUSH HAI, HAR SHER... APNI DAAD KHUD USOOL KARWA LETA HAI.

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi

Munir Armaan Nasimi SaHab

Ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ka behud mamnoon hooN.

Khoosh raheN!

Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

muhammad_19k wrote: Mohtarami o Makarrami Janab Jawaid SaHeb

Allah t'aalaa aap par salamat naazil farmaa-aye.

aik baar phir aik shaandaar ghazal kehne par mairi daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

aap jaante hi heN ke sher goi meN abhi bilkul nauwaarid hooN. aor aap logoN ke ashaar se istafaada laitataa hooN. is baar bhi aap ke maTla' se aik khyaal zehn meN koondaa

jin ke phooloN pe saaibaaN hoN ge,
woh shajar fakhr e gulsitaaN hoN ge


aap se darkhaast hai is sher ka technickee jaizaa lay kar mujhe shukriyaa ka moqaa dijiaye.

aor chhothay sher meN bhi mujhe aap ki madad ki zaroorat hai.

sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge


mujhe aisaa lag rahaa hai. jaise SadiyoN ko 22 ki baja-aye 21 par istemal kar ke tak ko agar talak men badal diyaa jaa-aye to miSra ki rawaani baRh jaati hai.meN y bhi jaantaa hooN ke aap ne bohat jaanch paRtaal ke b'aad hi tak ka istemaal kiya ho gaa aor talak meN zaroor ko mas'alaa ho gaa. kyaa aap mujhe ye farq samjhane ki koshish kareN geN?

teesra oar chhothaa sher bohat zabardast heN. in ke leeaye daad e khuSoosi qubool kijiaye.

Regards,
Muhamamd K. Siddiqui.

Azeezi Mohammad Khawar Saahab
aadaab

Ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ka mamnoon hooN.

Baraye karam aap bekar ke wahm meN na giraftaar hooN. Ghazal ka koii miSra bewazn nahiN hai; ho hi nahiN sakta. Waise yeh 21/22 wali shairee mujhe aati bhi nahiN hai.

Khair andesh,

Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: meri ek aur taraHee ghazal......................

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:

jo shajar miSle saaibaaN hoNge
bus wohee faKhr.e gulsitaan hooNge ....................bohat khoob!


saree duniya hai Taalib.e deedar
“aap kis kis pe mehrbaaN hoNge”....................kya kehne!!


kab talak bijliyoN kee zad pe falak!
hum GareeboN ke aashiyaaN hoNge...........bohat khoob!


sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge................daad!


raah se puKhtakaar guzra hai
dekho qadmoN ke kuch nishaaN hoNge..............very nice


ishq.e janaN hai zeest ka Haasil
baaqi jo din haiN raigaaN hoNge............... :-)


Saaf karlo Ghazal ko ai :Jawaid:
bazm meN kuch to nukta daaN hoNge........... :shock:

------------------------------------------------
Mohatarm jawaid sahib,

tasleemaat!

idhar misra diya jaata hai aur udhar ghazal fauran likhijaati hai

ye aapka khaas hunar hai jo kam hi dekhne milta.......ye aapki shayarana

salhiyat aur zauq hai, main tou hamesha kehti hoon bas aapke qalam se

ghazal tapakti hai jise paRh ker dil khush houta hai.

is khoobsrat takhleeq per dili daad qubool keejiye.

mukhlis

sara.


Sara Bahan
Salam aur doa

Ghazal ki tAAreef ke liye bohat bohat shukriya. Aapne saheeh farmaya maiN Ghazal bohat ujlat meN kahta hooN aur agar kabhi aaraam se kahne ki koshish ki tou Ghazal ho hi nahiN paatee hai. Is tarah dost bhi Khush ho jate haiN au mei bhi kuch mashq ho jati hai.

Is zameen meN aap ki Ghazal kahaN hai?

MuKhliS
Jawaid
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

jawaid badauni wrote:
muhammad_19k wrote: Mohtarami o Makarrami Janab Jawaid SaHeb

Allah t'aalaa aap par salamat naazil farmaa-aye.

aik baar phir aik shaandaar ghazal kehne par mairi daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

aap jaante hi heN ke sher goi meN abhi bilkul nauwaarid hooN. aor aap logoN ke ashaar se istafaada laitataa hooN. is baar bhi aap ke maTla' se aik khyaal zehn meN koondaa

jin ke phooloN pe saaibaaN hoN ge,
woh shajar fakhr e gulsitaaN hoN ge


aap se darkhaast hai is sher ka technickee jaizaa lay kar mujhe shukriyaa ka moqaa dijiaye.

aor chhothay sher meN bhi mujhe aap ki madad ki zaroorat hai.

sher zinda raheNge SadiyoN tak
daad lene ko hum kahaN hoNge


mujhe aisaa lag rahaa hai. jaise SadiyoN ko 22 ki baja-aye 21 par istemal kar ke tak ko agar talak men badal diyaa jaa-aye to miSra ki rawaani baRh jaati hai.meN y bhi jaantaa hooN ke aap ne bohat jaanch paRtaal ke b'aad hi tak ka istemaal kiya ho gaa aor talak meN zaroor ko mas'alaa ho gaa. kyaa aap mujhe ye farq samjhane ki koshish kareN geN?

teesra oar chhothaa sher bohat zabardast heN. in ke leeaye daad e khuSoosi qubool kijiaye.

Regards,
Muhamamd K. Siddiqui.

Azeezi Mohammad Khawar Saahab
aadaab

Ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ka mamnoon hooN.

Baraye karam aap bekar ke wahm meN na giraftaar hooN. Ghazal ka koii miSra bewazn nahiN hai; ho hi nahiN sakta. Waise yeh 21/22 wali shairee mujhe aati bhi nahiN hai.

Khair andesh,

Jawaid Badauni
Mohtaram Janab Jawaid SaHeb

aap ka Hukam sir aaNkhoN par. leejiaye meN apni baat ko uThaa phaiNktaa hooN.

mukhliS,
Muhmmad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply