:: kabhii jigar to kabhii dil ko daaGh-daar kiyaa ! ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: kabhii jigar to kabhii dil ko daaGh-daar kiyaa ! ::

Post by Star Mind »

Yaaraan-e-anjuman, aadaab !

bahut pehle aek KhaaS mauqa' par aek she'r ho gayaa thaa

"jise na khool sakii gardish-e-zamaanaa bhii
kisii ki aaNkh ne voh raaz aashkaar kiyaa!"

aaj us aek she'r ne Ghazal kaa roop dhaar liyaa to sochaa kyooN na aap ki a'aadalat-e-a'aaliyaa meiN paish karooN .ummeed kartaa hooN k is baar bhii apnii qeematii aaraa se navaazeN ge ! so Ghazal paish-e-Khidmat hai:

:: Urdu Version ::
Image
:: Roman Version ::

1.

kabhii jigar to kabhii dil ko daaGh-daar kiyaa
tamaam u'mr maHabbat ka kaar-o-baar kiyaa !

2.

yeh aur baat Khirad kaa kahaa bhi maanaa hai
kiyaa to ham ne faqat dil ka e'tibaar kiyaa !

3.

jise na khol sakii gardish-e-zamaanaa bhii
kisii ki aaNkh ne voh raaz aashkaar kiyaa !

4.

yeh Said-gaah-e-ta'alluq, yeh qurbatoN ka hujoom !
maiN kis se poochhoN k kis ne mujhe shikaar kiyaa ?

5.

KhizaaN-raseedah tamannao'N kii umeed na poochh !
tamaam u'mr bahaaroN ka intezaar kiyaa !

6.

na poochh murGh-e-junooN ki buland-parvaazii
k chaak-e-dil ko curayyaa se ham-kinaar kiyaa !

7.

shab-e-firaaq ki baKht-e-siyaah jaag uThii
zabaan-e-shu'la-e-dil se jo zikr-e-yaar kiyaa !

8.

zamaana us ke sitam kii micaal detaa hai *
:Zia: ! yeh aap ne kis but peh dil nicaar kiyaa ?

................................................

shukriya

Zia Baloch

*

"voh Heela-gar jo vafaa-joo bhi hai jafaa Khoo bhii
kiyaa bhi Faiz to kis but se dostaana kiyaa "

(Faiz Ahmad Faiz)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
waQaar
-
-
Posts: 22
Joined: Mon Sep 03, 2007 9:50 pm

Post by waQaar »

Ziaa bh~aaii,

aadaab,

huZoor vaah! "curaYYaa" "murgh" aur "buland-parwaazi" ka paRh~ ker mujh~ay to Iqbaal Yaad aa gaYe. jaisay keh

"rif'at maiN maqaaSid ko hamdoSh-e-curaYYa ker, woh daagh-e-mahabbat day, jo chaand ko sharma day"


darj-e-zail aSh'aar bahut pasand aaye.

na poochh murGh-e-junooN ki buland-parvaazii
k chaak-e-dil ko curayyaa se ham-kinaar kiyaa !

7.

shab-e-firaaq ki baKht-e-siyaah jaag uThii
zabaan-e-shu'la-e-dil se jo zikr-e-yaar kiyaa !

8.

zamaana us ke sitam kii micaal detaa hai *
:Zia: ! yeh aap ne kis but peh dil nicaar kiyaa

vaah! bahut khoob huZoor. daad haaZir hay, qubool kee jiYay!

waQaar :)
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah wah wah hasb-e-ma'amool umda kalaam rawaani se bharpoor..mazaa aa gaya parhke..bahut dher saair daad haazir hai ZIA :grin:

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Z^iya SaaHib aadaab!

Aap kee Ghazal dekhee aor yaqeen keejiye keh bohot lut^f aayaa. Ghazal dekhee to be ikhteyaar Zabaan par yeh she'er aageyaa. jo mujhe baRaa pasand hai. keh

GhaZ^ab kiya tere wa'de peh aa'tebaar kiya
tamaam u'mr qeyamat kaa intez^aar kiya!

aap kee Ghazal kaa bhee ranG-o-aahanG bhee yahee hai. aesee takhleeqaat ustadanah SalaHiyatooN kee muttaqaZ^ hotee haiN. aap ne baRee khubee se in sharaae't^ ko khaat^ir nasheeN rakhte huwe she'er kahe haiN. aor khub kahe haiN. is khubSurat koshish par meree dilee dad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab Zia Baloch Saheb

aik shaandaar ghazal par mubaarak baad qubool kijiaye. tamaam hi ashaar boaht achchay heN. aik miSra maire leeaye qaabil e ghor rahaa

shab-e-firaaq ki baKht-e-siyaah jaag uThii

seeah bakhti to muaanic hoti hai. aap ne bakht e seeah ko muannic istemaal kiyaa hai. ye maire leeaye aik nayee baat hai.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

waQaar wrote:Ziaa bh~aaii,

aadaab,

huZoor vaah! "curaYYaa" "murgh" aur "buland-parwaazi" ka paRh~ ker mujh~ay to Iqbaal Yaad aa gaYe. jaisay keh

"rif'at maiN maqaaSid ko hamdoSh-e-curaYYa ker, woh daagh-e-mahabbat day, jo chaand ko sharma day"


darj-e-zail aSh'aar bahut pasand aaye.

na poochh murGh-e-junooN ki buland-parvaazii
k chaak-e-dil ko curayyaa se ham-kinaar kiyaa !

7.

shab-e-firaaq ki baKht-e-siyaah jaag uThii
zabaan-e-shu'la-e-dil se jo zikr-e-yaar kiyaa !

8.

zamaana us ke sitam kii micaal detaa hai *
:Zia: ! yeh aap ne kis but peh dil nicaar kiyaa

vaah! bahut khoob huZoor. daad haaZir hay, qubool kee jiYay!

waQaar :)
Waqar bhaa'ii, aadaab !

janaab aap kii maHabbat aur aap ke KhlooS se inkaar to kufr-e-insaaniyat ke zumre meiN aataa hai ! :grin: itnaa maqaam ! itnii daad ! itnii i'zzat ! kis taraH yeh qarz utaarooN ? aap hamesha hii bahut fayyaazii se daad se navaazte haiN ! yaqeena" aap kaa Husn-e-nazar hai! aap kaa sadaa shukr-guzaar !!

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezam Zia: salaam-e-masnoon!

aap kee Ghazal dekh lee thee lekin likhne kee muhlat aaj milee hai. Khair! der aayad, durust aayad?

dostoN ke tabSire bhee dekhe aur sochaa keh maiN bhee apne Khayaalaat likh hee dooN. so HaaZ^ir ho gayaa. chand baateN:
---------------------------
1.
kabhii jigar to kabhii dil ko daaGh-daar kiyaa
tamaam u'mr maHabbat ka kaar-o-baar kiyaa !

Khoob kahaa hai SaaHeb! daad qubool keejiYe. :maHabbat kaa: ko :yehee ek: se badal kar dekheN keh kyaa farq huwaa? mujh ko aise tajribe achhe lagte haiN so akcar auroN se bhee keh detaa hooN!
------------------------
2.
yeh aur baat Khirad kaa kahaa bhi maanaa hai
kiyaa to ham ne faqat dil ka e'tibaar kiyaa !

Iqbal yaad aa gaYe!

achhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-a'ql
lekin kabhee kabhee use tanhaa bhee chhoR de!

ek shakl yeh bhee mumkin hai:

yeh Theek hai keh Khirad kaa kahaa bhee maanaa hai
magar kiyaa to faqat^ dil kaa e'tibaar kiyaa!

yeh Sirf :magar: kee :Khaanah-puree: ke liYe sochaa thaa. aur koyee baat naheeN hai.
------------------------------
3.
jise na khol sakii gardish-e-zamaanaa bhii
kisii ki aaNkh ne voh raaz aashkaar kiyaa !

waah! ab agar woh raaz bhee bataa deN to kyaa baat hai! daad!
-------------------------
4.
yeh Said-gaah-e-ta'alluq, yeh qurbatoN ka hujoom !
maiN kis se poochhoN k kis ne mujhe shikaar kiyaa ?

bhaayee! pehlaa miSra' mujh ko a'jeeb saa lagaa, KhaaS t^aur se is kaa awwaleeN TukRaa. aap ne kyaa kahaa hai?
-----------------------------
5.
KhizaaN-raseedah tamannao'N kii umeed na poochh !
tamaam u'mr bahaaroN ka intezaar kiyaa !

:tamannaa kee umeed:?? maiN samajh naheeN sakaa. ba-har-Haal:

KhizaaN-gazeedah tamannaa,oN kee bahaar nah poochh
tamaam u'mr-----------------
------------------------------
6.
na poochh murGh-e-junooN ki buland-parvaazii
k chaak-e-dil ko curayyaa se ham-kinaar kiyaa !

SaaHeb! yeh :murGh: bhaayaa naheeN! aap ko pasand hai to ba-Sad-shauq rakhiYe. doosre miSre' kaa mat^lab bhee mujh par waaZ^eH nah huwaa. aap bataa deN to mehrbaanee!
-------------------------
7.
shab-e-firaaq ki baKht-e-siyaah jaag uThii
zabaan-e-shu'la-e-dil se jo zikr-e-yaar kiyaa !

meraa Khayaal thaa keh :baKht: muZakkar hai lekin is waqt koyee sanad yaad naheeN aa rahee hai. aap dekh leN. :sho'lah-e-dil: tarkeeb kuchh Ghair-maanoos hai; shaayad Ghalat^ to naheeN hai. ek shakl yeh hai. koyee Z^arooree naheeN keh aap ko pasand aaYe:

shab-e-firaaq meN shame'N hazaar jaag uTheeN
zabaan-e-soz-e-junooN se jo Zikr-e-yaar kiyaa
-----------------------
8.
zamaana us ke sitam kii micaal detaa hai
:Zia: ! yeh aap ne kis but peh dil nicaar kiyaa ?

shaabaash! maqt^a' bohat achhaa hai. daad qubool keejiYe.
-----------------------
aur raawee sab chain boltaa hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply