GuZarish#32 ke liye apne do GhazleeN pesh-e-khidmat haiN.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

GuZarish#32 ke liye apne do GhazleeN pesh-e-khidmat haiN.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaaraan-e-bazm-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :-)

GuZarish#32 ke liye apne do GhazleeN pesh karne kee sa'adat HaaSil kar raha hooN. mujhe ummeed hai keh dost apnee apnee raY se mustafeed farmaeeN ge. aor khaadim kee HaoSlah afzaee karne meN taamal nah kareeN ge.

Ghazal#1

koee dost dard aashnaa chahataa hooN
"miree sadagee dekh kiyaa chahataa hooN"

mudawaa-e-bedaad-e-Hasrat yahee hai
tujhe rubaru dekhnaa chahataa hooN

jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN

mujhe raas aaya nah hanGaam-e-meHfil
tire aastaaN se uThaa chahataa hooN

koee raond de rehro-e-i'shQ mujh ko
hoN naQsh-e-kaf-e-paa miTaa chahataa hooN

haiN be kaef see ZindaGee kee fiZ^aeeN
tiree AaNkh meN Doobna cahahataa hooN

Muz^affar yeh eezah pasandee e'jab hai
koee Zakhm-e-dil phir neyaa cahataa hooN

Ghazal#2

maiN tajdeed-e-e'hd-e-wafaa chahataa hooN
"miree saadagee dekh kiyaa chahataa hooN"

mareeZ^-e-muHabbat hooN meree maseeHaa
maiN Zakhm-e-jiGar kee dawaa chahataa hooN

nah de mujh ko pand-e-shakebaaee naaSeH
koee lamHah Sabr aaZmaa chchaataa hooN

shab-e-hijr be maot maraa geyaa hooN
ilahee maiN phir se baqaa chahataa hooN

dhuwaaN kar diyaa gardish-e-e'hed ne yooN
Zamaan-o-makaaN se uThaa chahataa hooN

muHabbat naheeN to e'dawat hee keeje!
maiN nafrat bhee had se siwaa chahataa hooN

Zamane kee naz^rooN se jo meHv kar de
maiN apne liye woh ridaa chahataa hooN

Muzaffar yeh dunyaa fareb-e-naz^ar hai
maiN koee jahaaN dusraa chahataa hooN

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: GuZarish#32 ke liye apne do GhazleeN pesh-e-khidmat haiN

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-bazm-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :-)

Assalaam o alaikum
muzaffar bhai

kaisay haiN aap?

"jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN"

yuN tau saaray ash'aar hameN pasand aaye per quote kiya hua sher hameN bahut pasand aaya.

jaisay keh hum kayee baar pehlay bhi keh chukay haiN keh aap lafzoN kay maahir haiN.yeh aik munfarid fan hai.is khudaadaad fan ka istemaal aap bakhoobi kar rahay haiN.

mahay rawaaN kay micray per aapki taraf say pesh karda dau ghazleN bahut khoob haiN.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :clap01: .

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb

do ghazla nazar nawaaz huwaa. paRh kar dil khush huwaa. jab bhi aap ki koi TarHi ghazal paRhtaa hooN to aap ke shaandaar ashaar daikh kar aisaa lagtaa hai jaise ye zameen bohat aasaan hai. aor jab likhne baiThtaa hooN to khaali uz zehn reh jaataa hooN aor aik sher kehna bhi mushkil ho jaataa hai.

kaamyaab insaan woh hai jo pehchaan lay ki us ki SalaaHeeteN kyaa heN aor ye khoobi aap meN nazar aati hai. aap ko apni SalaaHeetoN ka na sirf bharpoor andaaza hai balke aap un ka bharpoor istemaal bhi karte heN.

in ashaar par khaSoosi daad qubool kijiaye.

jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN

koee raond de rehro-e-i'shQ mujh ko
hoN naQsh-e-kaf-e-paa miTaa chahataa hooN

koee Zakhm-e-dil phir neyaa cahataa hooN

maiN tajdeed-e-e'hd-e-wafaa chahataa hooN
"miree saadagee dekh kiyaa chahataa hooN"

dhuwaaN kar diyaa gardish-e-e'hed ne yooN
Zamaan-o-makaaN se uThaa chahataa hooN

Muzaffar yeh dunyaa fareb-e-naz^ar hai
maiN koee jahaaN dusraa chahataa hooN

aik sher naheeN balke Sirf miSra likhaa hai. bhayee kyaa karooN doosra miSra mujhe aisaa jaandaar naheeN lagaa.

regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: GuZarish#32 ke liye apne do GhazleeN pesh-e-khidmat haiN

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

haamidbaaqri wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-bazm-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :-)

GuZarish#32 ke liye apne do GhazleeN pesh karne kee sa'adat HaaSil kar raha hooN. mujhe ummeed hai keh dost apnee apnee raY se mustafeed farmaeeN ge. aor khaadim kee HaoSlah afzaee karne meN taamal nah kareeN ge.

Ghazal#1

koee dost dard aashnaa chahataa hooN
"miree sadagee dekh kiyaa chahataa hooN"

mudawaa-e-bedaad-e-Hasrat yahee hai
tujhe rubaru dekhnaa chahataa hooN

jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN

mujhe raas aaya nah hanGaam-e-meHfil
tire aastaaN se uThaa chahataa hooN

koee raond de rehro-e-i'shQ mujh ko
hoN naQsh-e-kaf-e-paa miTaa chahataa hooN

haiN be kaef see ZindaGee kee fiZ^aeeN
tiree AaNkh meN Doobna cahahataa hooN

Muz^affar yeh eezah pasandee e'jab hai
koee Zakhm-e-dil phir neyaa cahataa hooN

Ghazal#2

maiN tajdeed-e-e'hd-e-wafaa chahataa hooN
"miree saadagee dekh kiyaa chahataa hooN"

mareeZ^-e-muHabbat hooN meree maseeHaa
maiN Zakhm-e-jiGar kee dawaa chahataa hooN

nah de mujh ko pand-e-shakebaaee naaSeH
koee lamHah Sabr aaZmaa chchaataa hooN

shab-e-hijr be maot maraa geyaa hooN
ilahee maiN phir se baqaa chahataa hooN

dhuwaaN kar diyaa gardish-e-e'hed ne yooN
Zamaan-o-makaaN se uThaa chahataa hooN

muHabbat naheeN to e'dawat hee keeje!
maiN nafrat bhee had se siwaa chahataa hooN

Zamane kee naz^rooN se jo meHv kar de
maiN apne liye woh ridaa chahataa hooN

Muzaffar yeh dunyaa fareb-e-naz^ar hai
maiN koee jahaaN dusraa chahataa hooN

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
Assalaam o alaikum
muzaffar bhai

kaisay haiN aap?

"jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN"

yuN tau saaray ash'aar hameN pasand aaye per quote kiya hua sher hameN bahut pasand aaya.

jaisay keh hum kayee baar pehlay bhi keh chukay haiN keh aap lafzoN kay maahir haiN.yeh aik munfarid fan hai.is khudaadaad fan ka istemaal aap bakhoobi kar rahay haiN.

mahay rawaaN kay micray per aapki taraf say pesh karda dau ghazleN bahut khoob haiN.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :clap01: .

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari

moHtaram Biradaram Hamid baaqri SaaHib aadaab!

Yaad aawaree ke liye mamnoon hooN. Allah aap ko salamat rakhe.
kalam kee pasandeedagee himmat afzaee aor GiraaN qadr tabSirah ke liye shukriyah ada kartaa hooN.
aor ummeed kartaa hooN keh aap yooN hee shafqat farmate raheeN.

khush raheeN
Wassalam
MukhliS
Muzaffar A Muzaffar
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

muhammad_19k wrote: Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb

do ghazla nazar nawaaz huwaa. paRh kar dil khush huwaa. jab bhi aap ki koi TarHi ghazal paRhtaa hooN to aap ke shaandaar ashaar daikh kar aisaa lagtaa hai jaise ye zameen bohat aasaan hai. aor jab likhne baiThtaa hooN to khaali uz zehn reh jaataa hooN aor aik sher kehna bhi mushkil ho jaataa hai.

kaamyaab insaan woh hai jo pehchaan lay ki us ki SalaaHeeteN kyaa heN aor ye khoobi aap meN nazar aati hai. aap ko apni SalaaHeetoN ka na sirf bharpoor andaaza hai balke aap un ka bharpoor istemaal bhi karte heN.

in ashaar par khaSoosi daad qubool kijiaye.

jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN

koee raond de rehro-e-i'shQ mujh ko
hoN naQsh-e-kaf-e-paa miTaa chahataa hooN

koee Zakhm-e-dil phir neyaa cahataa hooN

maiN tajdeed-e-e'hd-e-wafaa chahataa hooN
"miree saadagee dekh kiyaa chahataa hooN"

dhuwaaN kar diyaa gardish-e-e'hed ne yooN
Zamaan-o-makaaN se uThaa chahataa hooN

Muzaffar yeh dunyaa fareb-e-naz^ar hai
maiN koee jahaaN dusraa chahataa hooN

aik sher naheeN balke Sirf miSra likhaa hai. bhayee kyaa karooN doosra miSra mujhe aisaa jaandaar naheeN lagaa.

regards,
Muhammad K. Siddiqui.
moHtaram Biradaram M, K, Siddiqui SaaHib aadaab!

Aap kaa khulooS aor andaaz-e-pazeeraee aesaa hai keh ise bhulaaya naheeN jaa saktaa. khulooS-e-niyyat se niklaa huwaa har lafz^ sone chaandee se zeyadah Qeematee hotaa hai. Qudrat ne aap ko murawwat aor khulooS ke besh qeemat khaneenooN se nawaza hai. jise aap jitnaa laoTate haiN yeh aor baRhte jate haiN. miree dua'aa hai keh Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze aor aap ko sehat-o-salamatee se nawaze Aameen!

maiN aap kee himmat afzaee be laoS muHabbat aor GiraaN qadr tabSirooN ke liye u'me bhar eHsaan mand rahooN gaa.
aor apnee dua'aooN meN bhee yaad rakhooN gaa.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Muzaffer bhai assalam o alekum

aap ki donoN ghazlaiN dekhiN aur dil khush ho gaya.

aap lafzoN kay jaduger haiN is ka pehlay bhi andaaza tha aur yahaN bhi is ka nazzarah kernay ko mila

waisay to tamam hi ashaar apni miCal aap haiN laikin hamid bhai ki terah mujhay bhi zail ka sher sab say ziada pasand aya

"jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN"

khush rehihay

faqt

sohail malik
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Beradaram Muzaffar Saaheb,

Masha'Allah.... Aap ke TWINS bahut haseen o dilnasheen hain. India main ek mashoor film hai SHOLAY.. us main ek dialogue hai "Gabbar Singh Tum Ek Maaroge to Hum Teeen Maarenge"........ mujhe wahi dialogue yaad aa raha hai...... jaise aap khamosh zubaan se kah rahe hain.....

Armaan Tum Ek Ghazal Maaroge To Hum Ek Saath Do Do Ghazal Maarenge !!

Bahar-haal, Aap ki Dono Ghazal..... Ek hi sikke ke do pat ki tarah.... alag alag lab-o-lehze ke hain magar..... ek hi sikke ke hain (matlab ek hi shair ki takhleeq hain) to dono main...... bahut ziyaada eksaaniyat bhi hai..... aakhir Do Bahnon main samanata to hoti hi hai.

hai na?

Aap ka apna,

Munir Armaan
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Sohail Malik wrote:Muzaffer bhai assalam o alekum

aap ki donoN ghazlaiN dekhiN aur dil khush ho gaya.

aap lafzoN kay jaduger haiN is ka pehlay bhi andaaza tha aur yahaN bhi is ka nazzarah kernay ko mila

waisay to tamam hi ashaar apni miCal aap haiN laikin hamid bhai ki terah mujhay bhi zail ka sher sab say ziada pasand aya

"jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN"

khush rehihay

faqt

sohail malik

moHtaram Sohil Malik SaaHib aadaab!

Ghazaliyaat kee pazeeraee aor himmat afzaee ke liye aap kaa mamnoon hooN.
aap kee daad meN jo khulooS us ke liye aap kaa eHsaan mand hooN.
Allah aap ko khush rakhe!

Wassalam
Muzaffar
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

munir-armaan-nasimi wrote:Beradaram Muzaffar Saaheb,

Masha'Allah.... Aap ke TWINS bahut haseen o dilnasheen hain. India main ek mashoor film hai SHOLAY.. us main ek dialogue hai "Gabbar Singh Tum Ek Maaroge to Hum Teeen Maarenge"........ mujhe wahi dialogue yaad aa raha hai...... jaise aap khamosh zubaan se kah rahe hain.....

Armaan Tum Ek Ghazal Maaroge To Hum Ek Saath Do Do Ghazal Maarenge !!

Bahar-haal, Aap ki Dono Ghazal..... Ek hi sikke ke do pat ki tarah.... alag alag lab-o-lehze ke hain magar..... ek hi sikke ke hain (matlab ek hi shair ki takhleeq hain) to dono main...... bahut ziyaada eksaaniyat bhi hai..... aakhir Do Bahnon main samanata to hoti hi hai.

hai na?

Aap ka apna,

Munir Armaan

moHtaram Muneer SaaHib aadaab! :-)

Aap ne kalam ko pasand farma kar khaadim kaa baRaa haoSlah baRhayaa hai.
meree dua'aa hai keh Allah aap ko khush rakhe. maiN is i'nayat ke liye aap kaa
baRaa mamnoon hooN.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: GuZarish#32 ke liye apne do GhazleeN pesh-e-khidmat haiN

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

sara_j wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-bazm-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :-)

GuZarish#32 ke liye apne do GhazleeN pesh karne kee sa'adat HaaSil kar raha hooN. mujhe ummeed hai keh dost apnee apnee raY se mustafeed farmaeeN ge. aor khaadim kee HaoSlah afzaee karne meN taamal nah kareeN ge.

Ghazal#1

koee dost dard aashnaa chahataa hooN..................wah! sabhi ki yehi khwahish houti hai janaab :-) bohat khoob!
"miree sadagee dekh kiyaa chahataa hooN"

mudawaa-e-bedaad-e-Hasrat yahee hai
tujhe rubaru dekhnaa chahataa hooN.............ahaaN !

jo le kar chale manZilooN se bhee aaGe
maiN aesaa koee rehnumaa chahataa hooN.........wah wah!! mil hi jayenge zara sabr :-)

mujhe raas aaya nah hanGaam-e-meHfil
tire aastaaN se uThaa chahataa hooN................awwwwwwwwww!!

koee raond de rehro-e-i'shQ mujh ko
hoN naQsh-e-kaf-e-paa miTaa chahataa hooN..........arey nahi bhaiiii!!!

haiN be kaef see ZindaGee kee fiZ^aeeN
tiree AaNkh meN Doobna cahahataa hooN.............wow!! bohat gehri aankh chaahiye !!

Muz^affar yeh eezah pasandee e'jab hai
koee Zakhm-e-dil phir neyaa cahataa hooN..........OMG!! :shock:

Ghazal#2

maiN tajdeed-e-e'hd-e-wafaa chahataa hooN
"miree saadagee dekh kiyaa chahataa hooN"...........wah! ye shair pasand aaya daad!

mareeZ^-e-muHabbat hooN meree maseeHaa
maiN Zakhm-e-jiGar kee dawaa chahataa hooN.........kya kehne!

nah de mujh ko pand-e-shakebaaee naaSeH
koee lamHah Sabr aaZmaa chchaataa hooN...........bohat khoob!

shab-e-hijr be maot maraa geyaa hooN
ilahee maiN phir se baqaa chahataa hooN............... :grin: bohat khoob!

dhuwaaN kar diyaa gardish-e-e'hed ne yooN
Zamaan-o-makaaN se uThaa chahataa hooN..........hmmmmmm

muHabbat naheeN to e'dawat hee keeje!
maiN nafrat bhee had se siwaa chahataa hooN........kya unho ne sunliya?

Zamane kee naz^rooN se jo meHv kar de
maiN apne liye woh ridaa chahataa hooN..............schi!

Muzaffar yeh dunyaa fareb-e-naz^ar hai
maiN koee jahaaN dusraa chahataa hooN..........kya baat hai!!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
Mohtaram Muzaffar sahib,

tasleemaat!

bhai ye aapka hi hunar hai jo aek zameen mein do ya kabhi teen ghazlein

bhi likh dete hain aur sab hi ashaar bohat khoob kehte hain.

ooper mere mazaq ka bura na maaniyega bas kabhi kabhi hi mujhe sharaarat soojhti hai

dono ghazlon ke ashaar bohat khoob hain aur mujhe tou saare ashaar hi pasand aaye

meri dili daad qubool keejiye :rose .

sara

moHtarmah Saara JabeeN SaaHibah tasleemaat! :-)

aap ne jis khulooS aor muHabbat se mere kalam par apne taacuraat kaa iz^haar kiya hai. us ke liye maiN aap kaa eHsaan mand hooN. Allah aap ko khush rakhe. kiyaa hee achchaa ho keh aap hameshah hee isee t^arH khaadim kee HaoSlah afzaee kartee raheeN.

aek baar phir shukriyah!
Wassalam
Muzaffar
Post Reply