: ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN? :

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
waQaar
-
-
Posts: 22
Joined: Mon Sep 03, 2007 9:50 pm

: ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN? :

Post by waQaar »

ehl-e-sukhan!

aadaab!

aik kaaviSh paiSh-e-khidmat hay. koii 2 maah qabl mat^la' huaa th~aa tabsay khatm kernay kii koShiSh maiN th~aa. ab jaisii bh~ii huii haaZir hay. apni aara, say nawaaziYay gaa. Shukriah!

waQaar

========
1.
ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN?
aql-o-Sh'aoor maiN bh~ii woh daanaa,i kYuuN nahiiN?

2.
har ik mu'aalijah qafas-e-dil ka hay 'adam
itnay maSeeHoN maiN bh~ii maSeehaa,i kYuuN nahiiN?

3.
payham hay 'iShq-o-haSrat-e-masti muqeem-e-bood
gar soz-e-Shu'lah hay, tu tamannaa,i kYuuN nahiiN?

4.
joYa si meri baaNg ho, jodat kii koii jot
hay Shoq-e-deed gar to ho beenaa,i kYuuN nahiiN?

5.
sodaa,i hay naZ^ar tirii ab tak "waQaar", per
saaqi maiN ab woh pehli si ra'naa,i kYuuN nahiiN?
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

moHtaram Waqar SaHeb

m'aaziart chaahtaa hooN ke aap ki ghaza kuch dair se nazar aa-ii.

majmoo Tor par ye aik boha achhhii ghazal hai. laikin mujh jaise Taalib e ilm k leeaye bohat mushkil :). aor aap ke andaz se lagta hai ke kaafi mashq hai aap ki. kyaa aap ijaazat deN ge ke aik aik sher par baat ho sakay?

1.
ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN?
aql-o-Sh'aoor maiN bh~ii woh daanaa,i kYuuN nahiiN?

doosRe miSra meN woh kis Taraf ishaar kar rahaa hai kuch samajh naheeN aa-ii.

a. kyaa ye khirad ki taraf ishaara kar rahaa hai. laikin aisaa nazar naheeN aataa kyooN ke khirad ko aap pehlay hi khaarij kar sakeN heN
b. kyaa aap woh donaai kehnaa chahte heN jis se khud shaansi ho jaati hai? to phir mujhe ye khayyaal na mukammal lagtaa hai. ke aap ne doono miSroN meN us daanai ke naa paid hone ka zikr kiyaa hai. laikin us ka koi ishaaraa naheeN diyaa ke woh konsi daanai hai.

2.
har ik mu'aalijah qafas-e-dil ka hay 'adam
itnay maSeeHoN maiN bh~ii maSeehaa,i kYuuN nahiiN?

pehlay misRa ka vazn aor sher ke mafhoom ko samajhne ke leeaye mujhe aap ki madad ki zaroorat hai.

3.
payham hay 'iShq-o-haSrat-e-masti muqeem-e-bood
gar soz-e-Shu'lah hay, tu tamannaa,i kYuuN nahiiN?

ye sher bhi maire leeaye boaht mushkil ho rahaa hai.

muqeem e bood se kyaa muraad hoee? [/b]

4.
joYa si meri baaNg ho, jodat kii koii jot
hay Shoq-e-deed gar to ho beenaa,i kYuuN nahiiN?

bohat khoob

5.

sodaa,i hay naZ^ar tirii ab tak "waQaar", per
saaqi maiN ab woh pehli si ra'naa,i kYuuN nahiiN?

bhohot khoob

aap ka shaairi bhi iqbaal se muTacir lagti hai. bhi is leeaye likh rahaa hooN ke inheeN bazmoN meN hamaray aik bohat achchay dost heN Dr. Sohail. un ki shaairi bhi yehi raNg hai.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
waQaar
-
-
Posts: 22
Joined: Mon Sep 03, 2007 9:50 pm

Post by waQaar »

sara_j wrote:"sodaa,i hay naZ^ar tirii ab tak "waQaar", per
saaqi maiN ab woh pehli si ra'naa,i kYuuN nahiiN?"

wah! bohat khoob! daad qubool keejiye.
bahut Shukriah sara j!
waQaar
-
-
Posts: 22
Joined: Mon Sep 03, 2007 9:50 pm

Post by waQaar »

muhammad_19k wrote: moHtaram Waqar SaHeb

m'aaziart chaahtaa hooN ke aap ki ghaza kuch dair se nazar aa-ii.

majmoo Tor par ye aik boha achhhii ghazal hai. laikin mujh jaise Taalib e ilm k leeaye bohat mushkil :). aor aap ke andaz se lagta hai ke kaafi mashq hai aap ki. kyaa aap ijaazat deN ge ke aik aik sher par baat ho sakay?

janaab Muhammad Khaawar Siddiqi SaaHeb,

aadaab,

aapnay meri ghazal ko kisii qaabil samjh~aa Yeh aapka husn-e-naZ^ar hay. aap bay fikr rahYay meri maShq muShkil say do Dh~aaii saal kii hay:d, laikin intihaa,ii shoq say hay. meN tanqeed ko bahut pasand kerta hooN, aur mujh~ay khuShii hay keh aap nay apni aara' say nawaazah.

1.
ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN?
aql-o-Sh'aoor maiN bh~ii woh daanaa,i kYuuN nahiiN?

doosRe miSra meN woh kis Taraf ishaar kar rahaa hai kuch samajh naheeN aa-ii.

a. kyaa ye khirad ki taraf ishaara kar rahaa hai. laikin aisaa nazar naheeN aataa kyooN ke khirad ko aap pehlay hi khaarij kar sakeN heN
b. kyaa aap woh donaai kehnaa chahte heN jis se khud shaansi ho jaati hai? to phir mujhe ye khayyaal na mukammal lagtaa hai. ke aap ne doono miSroN meN us daanai ke naa paid hone ka zikr kiyaa hai. laikin us ka koi ishaaraa naheeN diyaa ke woh konsi daanai hai.

==>YahaaN woh say muraad hay keh jaisay aap kahaiN "waQaar kay aSh'aar maiN abh~ii woh baat nahiiN. Ya'ni woh baat jo honi chaahiYay."

2.
har ik mu'aalijah qafas-e-dil ka hay 'adam
itnay maSeeHoN maiN bh~ii maSeehaa,i kYuuN nahiiN?

pehlay misRa ka vazn aor sher ke mafhoom ko samajhne ke leeaye mujhe aap ki madad ki zaroorat hai.

==> pehla misra' kehta hay keh dil kii qaid ka 'ilaaj abh~ii tak mojood nahiiN keh itnay maSeeHoN kay paas bh~ii woh maSeeHaa,ii nahiiN.

3.
payham hay 'iShq-o-haSrat-e-masti muqeem-e-bood
gar soz-e-Shu'lah hay, tu tamannaa,i kYuuN nahiiN?

ye sher bhi maire leeaye boaht mushkil ho rahaa hai.

==> iska maFhoom YuuN hay "'iShq maiN mast rehnay kii taRap aur aag abh~ii tak hasti maiN mojood hay, magar uska koii tamannaa,ii kYuuN nahiiN. Ya'ni koii bh~ii isko talabgaar nahiiN!"

bood= hasti, wujood

muqeem e bood se kyaa muraad hoee? [/b]

4.
joYa si meri baaNg ho, jodat kii koii jot
hay Shoq-e-deed gar to ho beenaa,i kYuuN nahiiN?

bohat khoob

5.

sodaa,i hay naZ^ar tirii ab tak "waQaar", per
saaqi maiN ab woh pehli si ra'naa,i kYuuN nahiiN?

bhohot khoob

aap ka shaairi bhi iqbaal se muTacir lagti hai. bhi is leeaye likh rahaa hooN ke inheeN bazmoN meN hamaray aik bohat achchay dost heN Dr. Sohail. un ki shaairi bhi yehi raNg hai.

==> jii haaN! Iqbaal ka aur unkay kalaam ka mujh~ per bayHad acar hay. laikin meN Sirf aik t^arah kii Shaa'iri likh~nay say guraiz kerta hooN is liyay har t^arah likh~nay kii koShiSh kerta hooN. meNnay jo javaab diYay uska qat'an mat^lab nahiiN keh aap meray javaabat say muttafiq hoNgay. har ShakhS ki har She'r per apni approach hoti hay aur isii ko ART kehtay haiN.

aapnay daad say nawaaz Daala isko meN apni khuSh-bakhti samajh~ta hooN. bahut Shukriah!

waQaar:)

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Waqar SaHeb!

aap theek farmaateN heN. har shakhS ka aik hi taraH sochna mumkin naheeN. aap ne waqt nikaal kar maire leeaye apne ashaar ki tashreeH ki, meN aap ka qarzdaar ho gayaa. shukriyaa qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Re: : ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN? :

Post by Sohail Malik »

waQaar wrote:ehl-e-sukhan!

aadaab!

aik kaaviSh paiSh-e-khidmat hay. koii 2 maah qabl mat^la' huaa th~aa tabsay khatm kernay kii koShiSh maiN th~aa. ab jaisii bh~ii huii haaZir hay. apni aara, say nawaaziYay gaa. Shukriah!

waQaar

========
1.
ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN?
aql-o-Sh'aoor maiN bh~ii woh daanaa,i kYuuN nahiiN?

2.
har ik mu'aalijah qafas-e-dil ka hay 'adam
itnay maSeeHoN maiN bh~ii maSeehaa,i kYuuN nahiiN?

3.
payham hay 'iShq-o-haSrat-e-masti muqeem-e-bood
gar soz-e-Shu'lah hay, tu tamannaa,i kYuuN nahiiN?

4.
joYa si meri baaNg ho, jodat kii koii jot
hay Shoq-e-deed gar to ho beenaa,i kYuuN nahiiN?

5.
sodaa,i hay naZ^ar tirii ab tak "waQaar", per
saaqi maiN ab woh pehli si ra'naa,i kYuuN nahiiN?
Waqar bhai salam

aaj yahaN pehli mertaba aap say mulaaqat ka sharf haSil ho raha hay.

uuper ki guftugu say pata chala keh khawar bhai nay mera ghaibana taaruf pehlay hi kerwa dia hay. khawer bhai hamaray bohat achay dost haiN aur mujh nacheez kay baaraay maiN kuch husn e zan rekhtay haiN is liay unhoN nay meray taaruf maiN faraakhdilli ka muzahira kia hay jis kay liay maiN un ka mashkur huN.

Allama ki azmet ka to aik zamana mueterif hay aur ham gahay gahay un ki fikr say hasb e toufeeq khosha cheeni ker laitay haiN. likin jis baat ka maiN qael huN woh yeh hay keh shaeri mehz zehni taayyush ka zeria nahiN balkeh is ko kissi maqsed kay tabay hona chahihay.

aap kay ashaar bohat pasand aye aur un maiN jahaN aap kay ander achay ashaar kehnay ki qudreti salahiet ayyaN hay wahiN aap maiN sochoN ko gehrai tek lay jaanay ki quwet aur alfaaz kay istemaal per tajrubaat kernay ki khwahish bhi nazer aati hay.

zail kay do ashaar ki to kia hi baat hay

dobara dohraata huN keh aap say mil ker bohat khushi hui aur umeed kerta huN keh yeh taaruf bohat aagay tek jaey ga.

faqet

sohail malik
waQaar
-
-
Posts: 22
Joined: Mon Sep 03, 2007 9:50 pm

Re: : ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN? :

Post by waQaar »

Sohail Malik wrote:

Sohail bh~aaii,

Salaam, aadaab!

Khaawar SaaHeb ka Yaqeenan meN bh~ii Shukrguzaar hooN keh unhoN nay aapsay muta'rif kerwaaYa aur meri kaaviSh per kuChh~ waqt sarf kiYa. aap kii baat aur gila bajaa hay. meri aisii teHreeroN ko bahut kam log paRh~tay haiN Sirf is wajh say keh meNnay is maiN gham-e-jaanaaN aur lab-e-rakhShaaN ka zikr nahiiN kiYaa. 'iShqiYa Shaa'irii ka meN qaa,il Zaroor hooN magar khaaliS 'iShq ka, uska nahiiN jisay log kehtay to haiN 'iShq magar hota nahiiN.

saCh to Yeh hay keh meN Iqbaal ko kabh~ii samajh~ nahiiN paaYa th~aa. kYuuNkeh unki laffaaZi aur andaaz-e-baYaan zara muShkil th~aa. ab samajh~na Shuruu' kiYa to samajh~ meN aaYa keh Yeh to wohi baataiN haiN jo akcar meray dimaagh maiN aati haiN magar qalam per nahiiN aatiiN. unkay andaaz say mujh~ay apna andaaz mila hay. laikin baat wohi hay, khuda nay agar hamaiN ik fan say nawaazah hay to uska haq adaa kerna ho gaa jiska Yaqeenan aakhirat maiN bh~ii savaal ho gaa.

lafZ^oN per tajribaat Shuruu' kiYay keh log bh~aagnay lag gaye. meray khaYaal maiN Yeh bh~ii urdu kay saath~ ziYaadati hay.kYuuNkeh lafZ^ haiN to aakhir urdu kay hi.

ma'zirat kay javaab kuChh~ lamba aur jazbaati ho gaYaa. aap aaye mujh~ay bahut khuShii huii. sadaa khuSh rahYay!

waQaar :)
Post Reply