Iqbal ka Falsafa-e-Taqdeer

Allamah Iqbaal kii shakhsiyat unki shayeri falsafe aur mazmoon aapke yaa kisi aur ke mazameen se iqtibaas

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Iqbal ka Falsafa-e-Taqdeer

Post by zmufti »

Image
Last edited by zmufti on Thu Sep 13, 2007 7:36 pm, edited 1 time in total.
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Zarqa Mufti SaaHibah aadaab!

Aap kaa a't^aa kiya geyaa maZ^moon "Iqbal ka falsafah-e-taqdeer" dekhaa jo ma'lumaat se pur hai. aor is se ehl-e-zamanh ko baraa fae'dah ho gaa. is se Iqbal kee aa'la sooch aor falsafiyanah afkaar -o- naz^ariyaat ke kae'ee darwaze waa ho jate haiN. bilashubah Iqbal aek mufakkir the. aesa mufakkir jise Zamanh ke raftaar aor aane wale waqt ke taqaZ^ooN kaa i'lm thaa.

is maZ^moon kee pesh kash par shukriyah qubool keejiye! ummeed hai keh aap yeh silsilah barqaraar rakheeN gee. aor isee t^arH ababee aor tanqeedee maZ^ameen se meHfil ko aabaad rakheeN gee. maiN aap ke ta'awun ke liye baraa mamnoon hooN.

Wassalam
Muzaffar
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

shukria Muzaffar bhai
logoN ki adam dilchaspi ke baaec is silsile meN mazeed mazameen pesh karne ka faaida nazar nahiN aataa
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: Iqbal ka Falsafa-e-Taqdeer

Post by ismail ajaz »

"zmufti"
moHtaramah Zarqa mufti SaaHebah

salaam arz hai

maashaa Allah bohot dilchasp taiHreer se aap ne nawaazah hai mujhe iss taiHreer ko paRhte paRhe ek riwaat yaad aaga'ee,Hazart Ali karram Allah wajho se kisee ne poochha keh insaan ko Khud par kitnaa iKhtiyaar hai ? farmaayaa keh apnee ek TaaNg uThaa kar khaRe ho jaaow chunaaNche us ne aap ke Hukm kee taameel tow farmaayaa keh abb doosree TaaNg bhee uThaa lo matlab zameen par se donoN TaaNgeN uThaa kar khaRe ho jaaow ,tow woh shaKhS bolaa keh Hazrat isstaraH tow maiN khaRaa naheeN ho saktaa gir jaa'ooN ga farmaayaa bas itnaa hee tumheN iKhtiyaar hai baaqee Allah ke haath meN hai

Allah paak apne bandoN se 70 gunaa maaN kee muHabbat se ziyaadah apne bande se muHabbat kaa mu'amlah farmtaa hai,basaa auqaat hum kisee cheez ke HuSool ke liye apnee zindagee kee tamaam tar SalaaHiyateN aur quwwateN lagaa dete haiN magar naakaam raihte haiN woh cheez humeN naheeN miltee,iss kee miCaal yuN le leejiye jaise ek bachchah khaultaa huwaa garma garm doodh peene kee Zid kar rahaa hai magar woh maaN jo us par jaan chhiRaktee hai use naheeN peene detee aur kabhee kabhaar tow ek zordaar thappaR bhee raseed kartee hai,abb kyaa kahaa jaa'ey keh woh maaN Zaalim hai yaa bachche se nafrat kartee hai ? aisaa hargiz naheeN hai balkeh woh waqt naamunaasib hai us bachche ke liye keh woh us doodh ko piye agar us ne aisaa kiyaa tow uskaa muNh jal jaa'ey ga muNh ke jalne se us takleef se use jo jhaTkaa lage gaa us se woh khaultaa huwaa doodh uske jism par bhee gire gaa aur badan bhee jhulas jaa'ey gaa ,bohot kuchh ho saktaa hai jis ke baare meN humeN tashveesh honee chaahiye,lehaazah maaN use uss waqt naheeN detee balkeh munaasib waqt par ijaazat de detee hai,aur agar us dhoodh meN ko'ee jaan lewaa zaihr yaa beemaaree ke jaraaCeem haiN tow har giz naheeN detee ,tow kyaa humeN us maaN se naaraaZ hojaanaa chaahiye yaa nafrat karnee chaahiye ,yaa uskee shaan meN gustaaKhee karnee chaahiye yaa kufriyah aur taoheen aamez alfaaz istemaal karne chaahiyeN ? agar naheeN tow phir Allah tow Allah hai kaa'enaat kaa maalik jo humaare achche aur bure ko jaantaa hai ALEEM uskaa naam hai ,woh baihtar jaantaa hai keh humaare liye kya Zarooree hai magar jo kuchh woh humeN iss duniyaa meN naheeN detaa use Khatm naheeN farmaata balkeh aaKhirat meN humaare liye rakh deta hai subHaan Allah

taqdeer kaa bhee ajeeb mas'alah hai riwaatoN meN aataa hai keh Allah rabbul izzat abu jahl ko jannat dikhaa'eN ge tow woh Khushee se kahe gaa keh kyaa yeh jannat mere liye hai,farmaayaa jaa'ey gaa keh haaN yeh maiN ne tere liye banaa'ee thee magar teree badbaKhtee aur kufr kee wajh se tuu iss se maiHroom hai

ek aur riwaayat meN aataa hai keh insaan jab aaKhirat ke liye jidojuhd kartaa hai tow use aaKhirat de dee jaatee hai magar jab woh duniyaa ke liye koshaaN hotaa hai tow use utnee hee duniyaa miltee hai jo uske naSeeb meN likh dee ga'ee hai magar mo'min bande ke liye use jo kuchh nah mil sakaa woh aaKhirat ke liye rakh diyaa jaataa hai

taqdeer insaan ke ruKh aur tareeqah e maiHnat kaa naam hai eemaan waale har Haal meN Allah se raaZee raihte haiN kyuN keh woh jaante haiN keh iss aarzee duniyaa kee har cheez imtiHaan hai aur uss daa'imee duniyaa kee har cheez iss aarZee duniyaa meN kee ga'ee maiHnat kaa phal hai

Caabit yeh huwaa keH taqdeer humaare apne aamaal aur use juRee huwee maiHnat o tarteeb e maiHnat par milne waale nateeje kaa naam hai,abb yeh hum par munHaCCir hai keh hum use kaise apne liye kaar aamad yaa raa'egaaN banaate haiN

aap kee taiHreer meN maiN ne sochaa ke maiN bhee shaamil ho jaa'ooN

wassalaam

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply