roz-o-shab is meN bapaa shor-e-qiyaamat kyaa hai?

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

roz-o-shab is meN bapaa shor-e-qiyaamat kyaa hai?

Post by Sarwar A. Raz »

[align=center]yaaraan-e-meHfil: aadaab!

UrduAnjuman meN ek t^araHee miSra' diyaa gaya hai:

"aaj mujh par yeh khulaa raaz keh jannat kyaa hai"

is t^araH meN apnee koshish pesh kar rahaa hooN. ummeed hai keh aap apnee raaYe se nawaazeN ge. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
======================
GHAZAL

roz-o-shab is meN bapaa shor-e-qiyaamat kyaa hai?
yeh miraa dil hai keh aa,eenah-e-Hairat? kyaa hai?

baat karne meN bataa,o tumheN zeHmat kyaa hai?
ik naz^ar bhee nah uThe, aisee bhee aafat kyaa hai?

jaan kar toR diyaa rishtah-e-daam-e-ummeed
"aaj mujh par yeh khulaa raaz keh jannat kyaa hai!"

naalah-e-neem-shabee, aah-o-fuGhaan-e-saHaree
gar naheeN haiN yeh i'baadat, to i'baadat kyaa hai?

mujh ko aaGhaaz-e-muHabbat se hee furSat kab hai?
kyaa bataa,ooN tujhe anjaam-e-muHabbat kyaa hai?

"Mir"-o-"Iqbal" se, "Ghalib" se yeh poochheN SaaHeb!
shaa,i'ree cheez hai kyaa, she'r kee a'z^mat kyaa hai?

jab se maiN deen-e-muHabbat meN giriftaar huwaa
kufr-o-eemaan kee, wallaah! Haqeeqat kyaa hai?

ham GhareeboN peh jo dastoor-e-zabaaN-bandee hai
koyee majbooree hai teree keh hai a'adat? kyaa hai?

Harf-o-ma'nee huwe be-rabt^, qalam TooT gayaa
manzil-e-shauq meN yeh a'alam-e-weHshat kyaa hai?

Doob kar Khud meN pataa yeh chalaa, har soo too hai!
ham-nisheeN! tafraqah-e-jalwat-o-Khalwat kyaa hai?

kaam se rakhtaa hooN kaam apnaa sadaa hee yaaro!
mujh se dunyaa ko bhalaa phir yeh shikaayat kyaa hai?

ek pal chain naheeN "Sarwar"-e-badnaam tujhe!
kuchh to ma'loom ho, aaKhir tiree niyyat kyaa hai?

****************
[/align]
Attachments
mush5razlx1.jpg
mush5razlx1.jpg (87.07 KiB) Viewed 65 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :rose

"har aek she'er kaleje peh waar kartaa hai
Zabaan-e-teGh se hai tez tar Zabaan-e-Ghazal"

Aap kee t^arHee Ghazal bahisht-e-naz^ar hoee. Ghazal kaa lab-o-lehjah chunkeh istafhamiyah hai. is ae'tebaar se aap ne mua'aamlaat-e-Husn-o-i'shq yaa deegar alfaaz^ meN Haadicaat-e-Zindagee ko Dhakaa chupaa nah rehne diyaa. balkeh barmalaa meHboob se apnee daakhlee kashmakash aor qiyamat khez hangamah aaraee ke barah meN daryaast karte dikhaee dete haiN. jis ke baae'ic kaheeN kaheeN zabaaN shikwah sanj bhee ho gaee hai.

Aap kaa i'shqiyah maHwar is Ghazal meN apne mua'aSer Ghazal Gao shua'ara se mukhtalif naheeN lekin andaaz-o-acaraat ke leHaaz^ se Haq bayaanee aor be baakee zeyaadah numayaN haiN. gaoyaa "Hasrat" kee t^arH is Ghazal meN aap kee seerat ke do aham pehlu numayaaN ho kar saamne aagae haiN. ya'nee jo rakh rakhao aap kee u'mumee Zindagee kaa HiSSah hai wohee ranG Ghazal meN a'aam dikhaee de raha hai. ya'nee

"dar junooN az khud nah raftan kaar har deewanah neest"

aap kaheeN bhee bayaan-e-Husn-o-e'shq meN Hadd-e-aa'tedaal se mutajawiz naheeN huwe. balkeh baRe waaZ^eH aor SareeH ranG meN az^haar-e-e'shq meN aadaab-e-e'shq aor kaar-e-deewanagee meN paas-e-gareebaN ko naz^ar andaaz nah kiyaa. yahee wajah hai keh koee she'er bhee naa khushGuwaar yaa Ghaer sanjeedah naheeN hone payaa.

Is se inkaar naheeN keh kalaaseekal Ghazal kaa jo usloob aap ne ikhteyaar kar rakhaa hai isee meN aap ne Gham-o-rooZgaar ko samo liya hai. aor yooN Gham-e-jaanaaN aor fikr-e-rooZgaar ko alag alag talaash karnaa Ghar mumkin hai. GharZ^ Gham-e-janaaN se mil kar fikr-e-rooZgaar bhee dilchaspee se khalee nah rahaa. balkeh dilkash ho geyaa hai. jazbah kee shiddat paakeezagee-e-fikr kee ra'anaaee se mil kar nah Sirf do aatishah ho gaee hai balkeh zeyadah mua'anee khez ho kar takhleeq kaar ke daakhlee inteshaar-o-beedaad kaa pataa bhee de rahee hai.

niSf Sadee kee musalsal mashq-e-sukhan ne asha'aar kaa lamaHatee khat^ aor kaef ne she'er ke lut^f ko daae'mee bana diya hai. bayaan-e-e'shq aor beedaad-e-e'shq ke iz^haar meN meHboob kee sarapaa nigaaree aor safar-e-muHabbat meN "jaan kar rishtah-e-daam-e-ummeed" tooR denaa aor azaaN ba'd lut^f-o-suroor-o-t^amaniyat kee nae'ee manzilooN se aashnaee ne Ghazal ke matan ko chaar chaand lagaa diye haiN. e'shq ke nae'e tajrubooN aor na'ee safaree taqaZ^ooN ko Ghazal ka qaalib dene meN aap ne ustadanah chabak dastee kaa muz^aahirah karte huwe Ghazal ke AahanG ko daae'miyat a't^aa kar dee hai. jahaan-e-urdu meN yeh Ghazal aek HaseeN aor muraSSa' iZ^afah caabet ho gee. jo aap kee maqbuliyat ke imkaan ko bhee raoshan rakhe gee.

Ghazal kahee to Gire Husn kee nigahooN meN
Woh moa'tabar haiN jo ab SaaHib-e-qaSeedah haiN! :P

Zeyadah Hadd-e-adab!

GHAZAL

roz-o-shab is meN bapaa shor-e-qiyaamat kyaa hai?
yeh miraa dil hai keh aa,eenah-e-Hairat? kyaa hai?

Bohot Khoob Waah Waah!

baat karne meN bataa,o tumheN zeHmat kyaa hai?
ik naz^ar bhee nah uThe, aisee bhee aafat kyaa hai?

Kiyaa baat hai!

jaan kar toR diyaa rishtah-e-daam-e-ummeed
"aaj mujh par yeh khulaa raaz keh jannat kyaa hai!"

Bohot Khoob Waah Waah!

naalah-e-neem-shabee, aah-o-fuGhaan-e-saHaree
gar naheeN haiN yeh i'baadat, to i'baadat kyaa hai?

Kiyaa Kehne waah Waah!

mujh ko aaGhaaz-e-muHabbat se hee furSat kab hai?
kyaa bataa,ooN tujhe anjaam-e-muHabbat kyaa hai?

Bohot Khoob Waah Waah!

"Mir"-o-"Iqbal" se, "Ghalib" se yeh poochheN SaaHeb!
shaa,i'ree cheez hai kyaa, she'r kee a'z^mat kyaa hai?

Waah! beshak!

jab se maiN deen-e-muHabbat meN giriftaar huwaa
kufr-o-eemaan kee, wallaah! Haqeeqat kyaa hai?

Waah Waah! yeh aap kee bebaakee hai!

ham GhareeboN peh jo dastoor-e-zabaaN-bandee hai
koyee majbooree hai teree keh hai a'adat? kyaa hai?

Waah! kiyaa andaaz-e-shikwah hai!

Harf-o-ma'nee huwe be-rabt^, qalam TooT gayaa
manzil-e-shauq meN yeh a'alam-e-weHshat kyaa hai?

Bohot Khoob Waah Waah Waah! Kiyaa kehne! intehaa kar dee hai aap ne!

Doob kar Khud meN pataa yeh chalaa, har soo too hai!
ham-nisheeN! tafraqah-e-jalwat-o-Khalwat kyaa hai?

Waah Waah! bohot khoob! lajawaab she'er hai!

kaam se rakhtaa hooN kaam apnaa sadaa hee yaaro!
mujh se dunyaa ko bhalaa phir yeh shikaayat kyaa hai?

Waah!

ek pal chain naheeN "Sarwar"-e-badnaam tujhe!
kuchh to ma'loom ho, aaKhir tiree niyyat kyaa hai?

Kiya kehne! Waah!

Khaadim kee daad-o-ta'reef qubool keejiye!
Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
[/align]
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib aadaab-o-tasleemaat! :rose

mukarramee Muzaffar SaaHeb: aadaab!

aap ke is muraSSa' Khat^ kaa jawaab dene ke liYe zabaan-o-bayaan par jo u'boor chaahiye woh mujh ko kahaaN mayassar hai? Khat^ dekh kar Khayaal aayaa keh maiN ne Khwaah-maKhwaah Ghazal pesh kee! aap ko paise de kar ye Khat^ likhwaa letaa to kaafee thaa! :-)

bhaayee! aap nacr bohat achhee likhte haiN. agar is jaanib tawajjuh kareN aur adabee aur sanjeedah maZ^aameen likheN to ham sab par mehrbaanee ho gee. mujh ko yaqeen hai keh Urdu waale aap kee paZeeraayee kareN ge!

reh gayee meree Ghazal aur us par aap kaa tabSirah aur daad to woh sar aaNkhoN par. sawaal yeh hai keh jawaab meN kyaa likhooN? shukriyah? so us se aap kee jaadoo-raqamee kaa Haq kahaaN adaa ho gaa? lekin is ke siwaa aur koyee lafz^ aataa bhee naheeN hai so yehee qubool keejiYe!