ghazal #32 mujahid
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
ghazal #32 mujahid
aik chhoti si koshish hai
- Attachments
-
- raza chahta hoon.gif (16.09 KiB) Viewed 417 times
Last edited by mujahid on Thu Sep 20, 2007 9:02 pm, edited 3 times in total.
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Beradaram Mujahid Saaheb,
Aadaab ! Tarhee Moshairaa main aap ki shirkat ke liye shukr guzaar hoon. Agar yeh aap ki chhoti si koshish hai to.... Alla'h jaane "Badi Koshish" kya hogi??? Hum intezaar kareinge ke aap jald az jald apni Badi Koshish bhi yahan hamare saath 'share' karein.
Main sirf aap ke matle pe kuch kahoonga, baqee baatein... baHr Wazn wagerah ki Ustaad-e-fan hazrat ke zimme... main khud tifl-e-maktab hoon... aage kya kahoon..... bas aap ke matle main EK baat mujhe kuch ajeeb lagi to uska izhaar kar raha hoon. Peshgi Maazerat chaahta hoon.....
"Main duniyaa main apni baqaa Chaahta hoon"
Hum aur aap sab jaante hain ke Duniya faani hai, hum sab ko fana hona hai....har nafas ko maut ka mazaa chakhna hai.... Baqa sirf Alla'h ki zaat hai. Main ne kahin ye aayet suna hai ke "Allaho Baqi Minn Qulle Faani"... to phir shair ye kyon kah raha hai ke... wohh duniya main apni baqa chaahta hai??? ye baat kuch "un-natural" nahin lag rahi??????
Intehaayi adab o ehteram ke saath,
aap ka bhai,
Munir Armaan

Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain
MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain
MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
munir bhai bohot bohot shukria mujh jaisey nauwarid ka ka itni garam joshi say istiqbaal aur hosla afzaai k liyee,
jahan tak merey pehlay aur baqi shairon ka taalluk hai,unn sub may main aaj kul jo kufar aur islaam k beech honay wali islam ki baqa ki jung lardi jaa rahi hai ,uss k mehwar k gird ghhoom rahi hai aur yeh ghazal asal may aik musalman ki dil ki woh aawaaz hai jisey aaj kul dehshut gardi kaa naam dia jaa raha hai,ummeed hai k merey shair ka mafhoom abb kaafi hud tak waazeh ho giya hoga,aur agar phhir bhi aap ko iss may koi ghalti lagti hai tho please aap zaroor meri raahnumaai farmaayieaga may aap ka bohot mamnoon rahoonga,shukria

- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Mujaahid SaaHib aadaab!
meHfil-e-urdubandhan meN aap kee tashreef aawaree khushee kaa maojab hai. meree aor sabhee dostooN kee jaanib se aap ko khush aam deed kaha jataa hai.
Aap kee Ghazal bilaa shubah laaei'q-e-ta'reef hai. kalam se jazbah-e-jehed-o-qurbaanee cahalak raha hai. aap ne apnee daakhlee kaefiyat ko khubSurat andaaz-o-paeraae meN Ghazal kee tamaam mahaasin ke saath ada kar diyaa hai. maedaan-e-sukhan wasee' hai. is liye aap ke maZ^ameen kee aSal teh tak rasaaee mujh aese a'aam qaaree ke liye mumkin naheeN is liye meHeZ^ daad-o-taoSeef par hee iktefaa karooN gaa.
ba'Z^ she'er beHer kee Girift meN naheeN aasake. chand mumkinah ashkaal pesh-e-khidmat haiN.
#2 shet^aaN hee ujaRe khanah Khuda ko
maiN ujRe dilooN kee shifaa chahataa hooN!
is she'er kaa pehla miSra' beher meN naheeN aa sakaa. aek yeh shakl ho saktee hai.
"ujaaRa shiyat^eeN ne khanah Khuda kaa"
#4 koee chae kiyaa deen mazhab se mere?
is miSra' meN SaheH tarkeeb :deen-o-mazhab: honee chahiye.
maqt^a' kaa pehlaa miSra' dobarah kehne kee Z^arurat hai. taa keh wazam meN aasake.
aakhir meN meree janib se is khubSurat aor maqSadee kalam par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar