Guzarish 32 --- sohail malik

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Guzarish 32 --- sohail malik

Post by Sohail Malik »

azeezan e bazm

mushaeray kay liay meri adna kawish haazir hay

wassalam

sohail malik
Attachments
sitamger maiN tujh say.gif
sitamger maiN tujh say.gif (24.49 KiB) Viewed 1512 times
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Kisi Paarsa Se Duaa Chaahtaa Hoon !!

Wah Wah... kya baat hai??? Aap ne Baba Aadam (A.S.) ki 'Sunnat' Ada kar di Sohail Saaheb... jab unhon ne apne gunaah ke bakhshish ke liye Huzur Sarwar-e-Kainaat ko waseela banaya tha...!!

Puri Ghazal intehaayi pasand aayi... ek hi saans main padh gaya... magar mandarza bala sher ko kayi baar padha..... "Nidaamat Mere Haath Uthne Nahiin De"....... pata nahiin kyon main samajh nahin paya ke kyon yahan mujhe kuch khali khali sa lag raha hai..... aap ustaad shair hain... bahr aur wazn ke baare main zyaada jaante hain... kahin kuch "typing" mistake to nahin hai???

SHAANDAAR GHAZAL KE LIYE DAAD QOBOOL KIZIYE.

Taalib-e-dua,

Armaan
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab Sohail SaHeb

Assalam o alaikum.

is baar bhi ghazal hai to aap ke makhsoos rang meN laikin khyaalaat aor bayaan nisbatan aasaan heN ke mujh jaise jaahil e muTlaq ko bhi samajhne meN koi mushkil naheeN hoee.

tamam ashaar, bohat achhchhay heN aor pasand aa-aye. Sirf aik khyaal par kuch achhchhaa t'accur na huwaa ke aap ne logoN se madad maaNgi ke girne se bachaa-eN. Sir ye to "maqaam dooee" hai ke aap us ke siawaa kissi oar ki madad maaNg rehay heN.


khyaal apnaa apnaa!


aik behtareen ghazal par mubaarakbaad o daad qubool kijiaye.

Regards,
Muhamamd K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Biradaram Dr, Sohail Malik SaaHib aadaab!

Urdu Ghazal hamaree shaae'iree kee rawayat hai ise jahaN ba'Z^ naamwar shua'raa ne apne alaG asaleeb ke bal bute par nae'ee Zindagee a't^aa kee wahaaN kuch Ghaer ma'roof sukhan t^arazooN ne ise rawayatee usloob-e-bayaaN aor jadeed takhleeqee rawish se hamkinaar bhee kiyaa. Aap kaa kamaal yeh hai keh aap ne Ghazal ke donooN ya'nee is ke majmu'ee mizaaj ko samajhte huwe apne dil kee baat kehne kee koshish kee hai. aor is meN aap kaamyaab bhee huwe haiN. mua'anawee tehdaaree aor rawayat meN jiddat kaa ranG aor apnee makhSooS shanaakht kaa partao hee aap ko apne mua'aSir Ghazal gao shua'ra se munfarid kartaa hai.

Haal hee meN mujhe risaalah "Dastak" ke liye aap kee aek Ghazal ko dekhne kaa maoqa' milaa hai. aor jis ke tanaz^ur meN aap kee shakhsiyat, kirdaar, she'eree Quwwat aor takhleeqee zahanat ke kae'ee band dareeche khul kar saamne aagae haiN. jo waaqa'ee Qaabil-e-daad-o-mubarak baad haiN.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

munir-armaan-nasimi wrote:Kisi Paarsa Se Duaa Chaahtaa Hoon !!

Wah Wah... kya baat hai??? Aap ne Baba Aadam (A.S.) ki 'Sunnat' Ada kar di Sohail Saaheb... jab unhon ne apne gunaah ke bakhshish ke liye Huzur Sarwar-e-Kainaat ko waseela banaya tha...!!

Puri Ghazal intehaayi pasand aayi... ek hi saans main padh gaya... magar mandarza bala sher ko kayi baar padha..... "Nidaamat Mere Haath Uthne Nahiin De"....... pata nahiin kyon main samajh nahin paya ke kyon yahan mujhe kuch khali khali sa lag raha hai..... aap ustaad shair hain... bahr aur wazn ke baare main zyaada jaante hain... kahin kuch "typing" mistake to nahin hai???

SHAANDAAR GHAZAL KE LIYE DAAD QOBOOL KIZIYE.

Taalib-e-dua,

Armaan
munir bhai assalam o alaekum

aap ko ghazal pasand ayi to yeh aap hi ka husn e nazer hay jis kay liay maiN aap ka mamnun huN

rehi baat mazkura sher ki to maiN samajh nahiN saka aap ko kis muqaam per uljhan ho rehi hay ... ager us ki teraf ishara ker daiN to shaed maiN kuch roshni Daal sakuN.


faqet

sohail malik
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

muhammad_19k wrote: Mohtaram Janab Sohail SaHeb

Assalam o alaikum.

is baar bhi ghazal hai to aap ke makhsoos rang meN laikin khyaalaat aor bayaan nisbatan aasaan heN ke mujh jaise jaahil e muTlaq ko bhi samajhne meN koi mushkil naheeN hoee.

tamam ashaar, bohat achhchhay heN aor pasand aa-aye. Sirf aik khyaal par kuch achhchhaa t'accur na huwaa ke aap ne logoN se madad maaNgi ke girne se bachaa-eN. Sir ye to "maqaam dooee" hai ke aap us ke siawaa kissi oar ki madad maaNg rehay heN.


khyaal apnaa apnaa!


aik behtareen ghazal par mubaarakbaad o daad qubool kijiaye.

Regards,
Muhamamd K. Siddiqui.
Khawer bhai ghazal ko pasand kernay ka bohat shukria.

yeh aap jaisay dostoN ki hoSla afzai hi hay jo qalem ko rawaN dawaN rekhti hay.

jis sher ka aap ko khayal acha nahiN laga us maiN aik aam insaani ehtiaj ka ziker hay...... yeni gham ki haalet maiN dilaasa dainay walay ki zaruret jo yaqeenan ghair allah say maangnay kay muteradif nahiN hay.

gham sya kissi insaan ko mafer nahiN aur haalet e gham maiN insaan hi dilaasa daitay haiN

logo ka lafz is liay istemaal kia keh log muashray ki alaamet hay aur muaeshray kay ander afraad kay dukh baanTnay ka jazba hona aik khwahish aur merbut muashray ki ehm zaruret hay.


baaqi khayal apna apna

khush rehihay

sohail malik
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]moHtaram Biradaram Dr, Sohail Malik SaaHib aadaab!

Urdu Ghazal hamaree shaae'iree kee rawayat hai ise jahaN ba'Z^ naamwar shua'raa ne apne alaG asaleeb ke bal bute par nae'ee Zindagee a't^aa kee wahaaN kuch Ghaer ma'roof sukhan t^arazooN ne ise rawayatee usloob-e-bayaaN aor jadeed takhleeqee rawish se hamkinaar bhee kiyaa. Aap kaa kamaal yeh hai keh aap ne Ghazal ke donooN ya'nee is ke majmu'ee mizaaj ko samajhte huwe apne dil kee baat kehne kee koshish kee hai. aor is meN aap kaamyaab bhee huwe haiN. mua'anawee tehdaaree aor rawayat meN jiddat kaa ranG aor apnee makhSooS shanaakht kaa partao hee aap ko apne mua'aSir Ghazal gao shua'ra se munfarid kartaa hai.

Haal hee meN mujhe risaalah "Dastak" ke liye aap kee aek Ghazal ko dekhne kaa maoqa' milaa hai. aor jis ke tanaz^ur meN aap kee shakhsiyat, kirdaar, she'eree Quwwat aor takhleeqee zahanat ke kae'ee band dareeche khul kar saamne aagae haiN. jo waaqa'ee Qaabil-e-daad-o-mubarak baad haiN.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]

Muzaffer bhai assalam o alaekum

aap jis khuluS aur muhebbet say pazerai kerta haiN woh aadmi ko serapa teshakkur bananay per majbur ker daita hay. aur is sab kay jawaab maiN meiN shukriay kay ilawa aur keh bhi kia sakta huN.

aap ki yehi baateN sun ker hamaiN bhi kabhi kabhi apnay shaer honay ka gumaan honay lagta hay :-)


khush rehihay aur duaoN maiN yaad rekhiay

faqet

sohail malik
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Sohail bhai

waZaaHat ka bohat shukriyaa. meN is sher ko aisaa hi samajh rahaa thaa jaise aap ne farmayaa hai. laikin is ke bawajood ;). janab 'aashiq ki touheen hai ke kissi aor ke dar par jaa-aye ;). aor shaair to hotaa hi 'aashiq hai. chaliaye khair. ye baat to kayee baar ho chuki hai ke har shakhS ka pna nuqtaa nazar hotaa hai. ab mazeed baat kyaa kareN. sher apna maTlab day rahaa hai. ye kaafi hai.

Allah kare zor e qalam aor zydaad!

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Sohail SaHeb aor muzaffar SaHeb!


Sohail Malik wrote:
aap ki yehi baateN sun ker hamaiN bhi kabhi kabhi apnay shaer honay ka gumaan honay lagta hay :-)
aor muzaffar SaHeb ki ye baateN paRh kar mujhe aisaa lagtaa hai ke fazool shaairi karne se to achhchha hai ke muzaffar SaHeb jaisi nacr likhne ki practice kar looN. :-). ( lmagar is meN lagti he meHnat zydaa ;-)

mukhliS,
Muhamamd K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Guzarish 32 --- sohail malik

Post by haamidbaaqri »

Sohail Malik wrote:azeezan e bazm

mushaeray kay liay meri adna kawish haazir hay

wassalam

sohail malik
Assalaam o alaikum
suhail bhai

masha allah bahut acchee ghazal kahi hai aapnay.

dilee daad haazir hai aapki is khoobsoorat kaavish per :rose :clap01: .

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply