Ghazal: mujhe zindagee peh apnee agar iKhtiyaar hotaa!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Ghazal: mujhe zindagee peh apnee agar iKhtiyaar hotaa!

Post by Sarwar A. Raz »

[align=center]yaaraan-e-meHfil: aadaab!

Haal hee meN yahaaN Mirza "Ghalib" kee Ghazal :

"yeh nah thee hamaaree qisamt keh wiSaal-e-yaar hotaa"

kee t^araH meN Mirza "Dagh" Dehlavi aur HaZ^rat "Amir" Minai kee GhazleN pesh kee gayee theeN.

isee zameen meN maiN ne bhee kuchh kehne kee jasaarat kee hai. yeh Ghazal in asaatiZah kee Khidmat meN Khiraaj-e-a'qeedat ke t^aur par aaj yahaaN HaaZ^ir kar rahaa hooN.

yeh ek :farmaa,ishee: Ghazal hai, so is kee Haqeeqat ma'loom! lekin meree yeh waZ^aaHat kisee qism kaa :taHaffuz^: (disclaimer) naheeN hai! maiN ba-har-kaif Ghazal ke Husn-o-qubH kaa Zimmehdaar hooN!

aap kee raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

***********************

GHAZAL

mujhe zindagee peh apnee agar iKhtiyaar hotaa
to maiN raah-e-aarzoo meN yooN Kharaab-o-Khwaar hotaa?

tujhe meraa, mujh ko teraa agar e'tibaar hotaa
nah too sharmsaar kartaa, nah maiN sharmsaar hotaa!

kiyaa too ne yeh GhaZ^ab kyaa, diyaa khol raaz-e-hastee?
nah maiN aashkaar hotaa, nah too aashkaar hotaa!

Gham-e-aarzoo meN jaaN par miree yooN agar nah bantee
koyee aur teraa saathee, dil-e-beqaraar! hotaa?

sar-e-bazm meree jaanib jo too uThtee gaahe gaahe
mujhe tujh se shikwah phir kyoN ai nigaah-e-yaar! hotaa?

nah maiN tujh se aashnaa hooN, nah hee Khud se baa-Khabar hooN
yeh maze kahaaN se milte agar hoshiyaar hotaa?

miree fikr dil-kushaa hai, miree baat be-riyaa hai
tujhe phir bhee yeh gilaa hai, maiN wafaa-shi,a'ar hotaa!

hai Khat^aa yeh i'shq lekin, yeh gunaah to naheeN hai!
maiN Khat^aa se taubah kartaa to gunaahgaar hotaa!

Gham-e-a'ashiqee huwaa hai Gham-e-zindagee meN shaamil
:mujhe kyaa buraa thaa marnaa agar ek baar hotaa:!

tiree ik Ghazal bhee "Sarwar" kisee kaam kee jo hotee
to Z^aroor shaa,i'roN meN tiraa bhee shumaar hotaa!

************************
[/align]
Attachments
ujheZindagee.jpg
ujheZindagee.jpg (169.15 KiB) Viewed 57 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Sun Sep 23, 2007 3:23 pm, edited 2 times in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib aadaab! :-)

tire andaaz kee rangeeniyooN se yeh i'barat hai
camar Husn-e-takhaiyyul ke Gohor Husn-e-taGhazzul ke!

Mujhe baRee shiddat se aap kee is Ghazal kaa intez^aar thaa aor yeh dekh kar khushee hoee keh aap ne faqeer ko zeyadah der sitam kash-e-intez^aar nah rakhaa aor apnee pehlee furSat meN hee apne asha'aar a't^aa farma diye. maiN is i'nayat ke liye aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN. keh aap ne aajiz kee khuwahish kaa paas rakhkhaa. Haqeeqat to yeh hai keh jab kabhee bhee maiN ne is nao' kee koee khuwahish kee hai aap ne hameshah hee puree kee hai. Allah aap ko salamat rakhe!

namaaz-e-Haq kee imaamat ko rind aage baRhe
khateeb-o-muftee-o-mulla rahe woZ^u karte!

kalam a'aam fehem hejaan parwar zood acar ranGeen aor apnee dilkashee ke aa'tebaar se aesaa saaHiranah ho geyaa hai keh qaaree aek lamHah ke liye sarmast ho kar reh jataa hai. aap ne maoseeqee kee lehnooN alfaaz^ ke zer-o-bam quwaafee aor radeef ke aahaNG ke eHsaas ko itnaa shadeed kar diyaa hai keh Ghazal seedhee rooH meN utartee hoee meHsoos hotee hai.

YooN lagtaa hai keh aap ko maoseeqee jo keh shaae'ree kee aSl rooH hai se azlee munasibat hai. yahee wajah hai keh maoZ^o' aor maZ^moon kee farsudagee ke bawajood kalam acar pazeeree aor lut^f se khaalee naheeN. kalam meN aese maqamaat naheeN milte jahaaN yeh eHsaas paedah ho ke koee she'er yaa miSra' kisee khaaS kheyaal yaa jazbah ko naz^m kaa jamah pehnane ke liye alfaaz^-o-bandishooN kee talaash kee gaee hai. yaa qaafiyah kee madad se she'er nikalaa geyaa hai. balkeh har she'er miSra'h aor har qaafiyah jazbah kee intehaaee shiddat se az khud waarid huwaa hai. aor apnee dil pazeeree kaa khud hee ehtemaam gar hai.

GHAZAL

mujhe zindagee peh apnee agar iKhtiyaar hotaa
to maiN raah-e-aarzoo meN yooN Kharaab-o-Khwaar hotaa?

Kiyaa kehne! Waah Waah!

tujhe meraa, mujh ko teraa agar e'tibaar hotaa
nah too sharmsaar kartaa, nah maiN sharmsaar hotaa!

Waah!

kiyaa too ne yeh GhaZ^ab kyaa, diyaa khol raaz-e-hastee?
nah maiN aashkaar hotaa, nah too aashkaar hotaa!

Waah waah!

Gham-e-aarzoo meN jaaN par miree yooN agar nah bantee
koyee aur teraa saathee, dil-e-beqaraar! hotaa?

Bohot Khoob Waah!

sar-e-bazm meree jaanib jo too uThtee gaahe gaahe
mujhe tujh se shikwah phir kyoN ai nigaah-e-yaar! hotaa?

Bohot Khoob Waah Waah!

nah maiN tujh se aashnaa hooN, nah hee Khud se baa-Khabar hooN
yeh maze kahaaN se milte agar hoshiyaar hotaa?

Bohot khoob Waah Waah!

miree fikr dil-kushaa hai, miree baat be-riyaa hai
tujhe phir bhee yeh gilaa hai, maiN wafaa-shi,a'ar hotaa!

Kiyaa baat hai Waah Waah!

hai Khat^aa yeh i'shq lekin, yeh gunaah to naheeN hai!
maiN Khat^aa se taubah kartaa to gunaahgaar hotaa!

Waah Waah! Bohot khoob!

Gham-e-a'ashiqee huwaa hai Gham-e-zindagee meN shaamil
:mujhe kyaa buraa thaa marnaa agar ek baar hotaa:!

Bohot Khoob Waah Waah! kamaal kaa she'er ho geyaa hai waah!

tiree ik Ghazal bhee "Sarwar" kisee kaam kee jo hotee
to Z^aroor shaa,i'roN meN tiraa bhee shumaar hotaa!

Bohot Khoob Waah Waah! jawaab naheeN Waah!

faqeer kee dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar[/align]
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Muzaffar SaaHeb: aadaab!

Ghazal dekhne aur us par mufaSSil tabSirah karne kaa dilee mamnoon hooN. aap kee bandah-nawaazee se gardan giraaN-baar hai. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply