maiN shaheed-e-AarZu hooN kise ea'tebaar hotaa?

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

maiN shaheed-e-AarZu hooN kise ea'tebaar hotaa?

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaaran-e-meHfil aadaab!

Chand rooz pehle Ghalib kee Ghazal "yeh nah thee hamaree Qismat...." meHfil meN pesh kee gaee. saath hee deegar asaatizah kee GhazleeN jo keh isee Zameen meN kahee gaeeN haiN. bhee minsalik theeN. daoraan-e-mut^alea'ah kaef-o-suroor meN chand she'er mujh se bhee maozooN ho gae the. jo ab pesh-e-khidmat haiN. mulaHiZ^ah farma kar mamnoon farmaiye.

Ghazal

maiN shaheed-e-AarZu hooN kise ea'tebaar hotaa?
miraa tarjumaaN agar nah dil-e-daaGhdaar hotaa!


rahee u'mr bhar yeh Hasrat koee GhamGusaar hotaa
meraa daman-o-GareebaN nah yooN taar taar hotaa!


tiraa e'hd-e-dostee gar koee ustuwaar hotaa!
shab-e-hijr naawak-e-Gham nah jigar ke paar hotaa!


miraa raaZ-e-dil nah khultaa kabhee ehl-e-Anjuman par
mere hamnasheeN agar to miraa raaZdaar hotaa!


meree shaakh-e-AarZu par koee Gul Sabaa khilaatee
maiN yoN Gulshan-e-tamannaa meN nah sogawaar hotaa!


tiree pardah daariyooN kaa maiN agar nah paas kartaa
miree wiHshatooN kaa charchah sar-e-ku-e-Yaar hotaa!


mujhe ZindaGee meN "NaaSeH" agar ek khushee bhee miltee
maiN shoreedah bakht rehta kiyaa maiN dil fiGaar hotaa?


faqat^ aek AarZu thee rah-e-shaoQ meN Muz^affar
miraa jaadah-e-muHabbat nah yooN khaardaar hotaa!

Muz^affar A Muz^affar[/align]
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

[align=center]muHtaramee Muzaffar SaaHeb: aadaab!

aap kee t^araHee Ghazal maashaa-Allah aap kee puKhtah-mashqee kee aa,eenah-daar hai. daad qubool farmaa,iYe!

do ek jagah meree kam-fehmee ne mujh ko pooree t^araH mustafeed naheeN hone diyaa. agar aap rehnumaayee farmaa deN to mamnoon hooN gaa:

shaahaaN cheh a'jab gar be-nawaazand gadaa raa!
--------------------------------
maiN shaheed-e-AarZu hooN kise ea'tebaar hotaa?
miraa tarjumaaN agar nah dil-e-daaGhdaar hotaa!
-----------------------
rahee u'mr bhar yeh Hasrat koee GhamGusaar hotaa
miraa daman-o-GareebaN nah yooN taar taar hotaa!

agar koyee aap kaa "Gham-gusaar" hotaa to aap kaa "daaman-o-girebaaN taar-taar" hone se kaise meHfooz^ reh jaataa jab.k yeh to meHboobah ke jaur-o-sitam kaa nateejah hai nah keh kisee dost kee be-niyaazee kaa?
-----------------------------
tiraa e'hd-e-dostee gar koee ustuwaar hotaa!
shab-e-hijr naawak-e-Gham nah jigar ke paar hotaa!

pehle miSre' meN :koyee: mujh ko bhartee kaa lagaa! goyaa yahaaN is kaa ista'maal be-mauqa' lagaa. ho saktaa hai keh is kee ma'nee-aafreenee mujh par waaZ^eH nah huyee ho.
-------------------------
miraa raaZ-e-dil nah khultaa kabhee ehl-e-Anjuman par
mere hamnasheeN agar to miraa raaZdaar hotaa!

meree shaakh-e-AarZu par koee Gul Sabaa khilaatee
maiN yoN Gulshan-e-tamannaa meN nah sogawaar hotaa!

tiree pardah daariyooN kaa maiN agar nah paas kartaa
miree wiHshatooN kaa charchah sar-e-ku-e-Yaar hotaa!
---------------------------
mujhe ZindaGee meN "NaaSeH" agar ek khushee bhee miltee
maiN shoreedah bakht rehta kiyaa maiN dil fiGaar hotaa?

doosraa miSra' wazn meN :naa-puKht: meHsoos ho rahaa hai. ho saktaa hai keh :shoreedah-baKht: kaa koyee talaffuz^ :shureedah-baKht: bhee ho jis kaa mujh ko i'lm naheeN hai.
--------------------------
faqat^ aek AarZu thee rah-e-shaoQ meN Muz^affar
miraa jaadah-e-muHabbat nah yooN khaardaar hotaa!

:rah-e-shauq: meN :jaadah-e-muHabbat:? mujh ko yaqeen hai keh is kee koyee tashreeH aap Z^aroor farmaa deN ge. shukriyah peshagee HaaZ^ir hai!
-----------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
[/align]
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

bahout khoob muzaffer ahmad sahib.
her shair bahout hi khoobsurat qabil e tareef hey
meri taref se mubarakbad qubool kigiye.
ummassad
m.naeem.sameer
-
-
Posts: 52
Joined: Tue Sep 18, 2007 5:35 pm
Location: Keamari Karachi
Contact:

Re: maiN shaheed-e-AarZu hooN kise ea'tebaar hotaa?

Post by m.naeem.sameer »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaran-e-meHfil aadaab!

Chand rooz pehle Ghalib kee Ghazal "yeh nah thee hamaree Qismat...." meHfil meN pesh kee gaee. saath hee deegar asaatizah kee GhazleeN jo keh isee Zameen meN kahee gaeeN haiN. bhee minsalik theeN. daoraan-e-mut^alea'ah kaef-o-suroor meN chand she'er mujh se bhee maozooN ho gae the. jo ab pesh-e-khidmat haiN. mulaHiZ^ah farma kar mamnoon farmaiye.

Ghazal

maiN shaheed-e-AarZu hooN kise ea'tebaar hotaa?
miraa tarjumaaN agar nah dil-e-daaGhdaar hotaa!


rahee u'mr bhar yeh Hasrat koee GhamGusaar hotaa
meraa daman-o-GareebaN nah yooN taar taar hotaa!


tiraa e'hd-e-dostee gar koee ustuwaar hotaa!
shab-e-hijr naawak-e-Gham nah jigar ke paar hotaa!


miraa raaZ-e-dil nah khultaa kabhee ehl-e-Anjuman par
mere hamnasheeN agar to miraa raaZdaar hotaa!


meree shaakh-e-AarZu par koee Gul Sabaa khilaatee
maiN yoN Gulshan-e-tamannaa meN nah sogawaar hotaa!


tiree pardah daariyooN kaa maiN agar nah paas kartaa
miree wiHshatooN kaa charchah sar-e-ku-e-Yaar hotaa!


mujhe ZindaGee meN "NaaSeH" agar ek khushee bhee miltee
maiN shoreedah bakht rehta kiyaa maiN dil fiGaar hotaa?


faqat^ aek AarZu thee rah-e-shaoQ meN Muz^affar
miraa jaadah-e-muHabbat nah yooN khaardaar hotaa!

Muz^affar A Muz^affar[/align]


janaab MuZaffar Ahmed MuZaffar SaaHib.


aadaab.



aapki Ghazal pasand aaii. naa cheez kii jaanib se bhi daad aur mubarakbaad qabool kijiye. shukriyah.



Tifle maktab.


Sameer
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

ummassad wrote:bahout khoob muzaffer ahmad sahib.
her shair bahout hi khoobsurat qabil e tareef hey
meri taref se mubarakbad qubool kigiye.
ummassad
moHtaram Ummasad SaaHib aadaab!

Ghazal kee paZeeraee aor bandhah kee himmat afzaee ke liye teh-e-dil se mamnoon hooN. Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze!

khush raheeN
Wassalam
aap kaa mukhliS
Muzaffar AHmad Muzaffar
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: maiN shaheed-e-AarZu hooN kise ea'tebaar hotaa?

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

m.naeem.sameer wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaran-e-meHfil aadaab!

Chand rooz pehle Ghalib kee Ghazal "yeh nah thee hamaree Qismat...." meHfil meN pesh kee gaee. saath hee deegar asaatizah kee GhazleeN jo keh isee Zameen meN kahee gaeeN haiN. bhee minsalik theeN. daoraan-e-mut^alea'ah kaef-o-suroor meN chand she'er mujh se bhee maozooN ho gae the. jo ab pesh-e-khidmat haiN. mulaHiZ^ah farma kar mamnoon farmaiye.

Ghazal

maiN shaheed-e-AarZu hooN kise ea'tebaar hotaa?
miraa tarjumaaN agar nah dil-e-daaGhdaar hotaa!


rahee u'mr bhar yeh Hasrat koee GhamGusaar hotaa
meraa daman-o-GareebaN nah yooN taar taar hotaa!


tiraa e'hd-e-dostee gar koee ustuwaar hotaa!
shab-e-hijr naawak-e-Gham nah jigar ke paar hotaa!


miraa raaZ-e-dil nah khultaa kabhee ehl-e-Anjuman par
mere hamnasheeN agar to miraa raaZdaar hotaa!


meree shaakh-e-AarZu par koee Gul Sabaa khilaatee
maiN yoN Gulshan-e-tamannaa meN nah sogawaar hotaa!


tiree pardah daariyooN kaa maiN agar nah paas kartaa
miree wiHshatooN kaa charchah sar-e-ku-e-Yaar hotaa!


mujhe ZindaGee meN "NaaSeH" agar ek khushee bhee miltee
maiN shoreedah bakht rehta kiyaa maiN dil fiGaar hotaa?


faqat^ aek AarZu thee rah-e-shaoQ meN Muz^affar
miraa jaadah-e-muHabbat nah yooN khaardaar hotaa!

Muz^affar A Muz^affar[/align]


janaab MuZaffar Ahmed MuZaffar SaaHib.


aadaab.



aapki Ghazal pasand aaii. naa cheez kii jaanib se bhi daad aur mubarakbaad qabool kijiye. shukriyah.



Tifle maktab.


Sameer
moHtaram Biradaram Sameer SaaHib aadaab a'rZ^ hai!

Aap kaa khat^ dekhaa mamnoon hooN keh aap ne faqeer kee Ghazal ko pasand farmate huwe HaoSlah bhee baRhayaa.
aap kaa bohot mamnoon hooN. allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze!

ummeed hai aae'indah bhee himmat afzaee farmate raheeN ge. aor mehfil meN bhee tashreef laeeN ge.

Wassalam
Muzaffar a Muzaffar
Post Reply