~~baar gaah-e-nabavii maiN Aqiidat hay Huroof~~
-
- -
- Posts: 14
- Joined: Thu Aug 23, 2007 10:04 am
- Location: shumaalii naaZim aabad, karachii paakistaan.
- Contact:

sauchtaa hooN ke'h MaiN kis TarHa' Haqiiqat Likh'khooN
kis TaraH MiaN sha'h-e-kaunain kii AZmat Likh'khooN
na't kehnay kaa saliiqa tau nahiiN hay mujh maiN
phir bhii Hasrat hay ke' sarkaar kii midHat Likh'khooN
kaash Has'saan kaa Lehja' mujhy miljaa'ay Hazoor
vo' faSaaHat, Vo' balaaGhat, vo' Halaavat Likh'khooN
hay daleel-e-AZmat
aap kii shaan maiN Qur'aan kii aayat Likh'khooN
Khaama' Khaamaush hay, QaaSir hay zabaaN kehnay say
maujzan dil maiN jau hay kay say vo' ulfat Likh'khooN
jab muyas'sar hau mujhy kauii Ebaarat LiKhnaa
Sirf maiN chaadar-e-taTheer kii AZmat Likh'khooN
mujh kau dunyaa ka MuGhal~ GhaM na' sataa'ay kauiii
unkii rahmat kau na' kiuuN apnii Zaroorat Likh'khooN
miim miim mughal
[/color][/size]
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
Bohat khoob mughal SaHeb,
mujhe khud bhi n'aat kehne ka shauq hai aor ussi shauq meN shaairi ke ye papaR bail rahaa hooN. aap ke n'aat masha-allah bohat khoob hai. tamaam ashaar bohat shaandaar heN aor mujhe bohat pasand aa-aye. maire leeaye bhi dua kijiaye ke meN bhi kabhi koi achchaa n'atiaa kalam likh sakooN.
Aap ke leeaye dua go,
Muhamamd K. Siddiqui.

Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
-
- -
- Posts: 14
- Joined: Thu Aug 23, 2007 10:04 am
- Location: shumaalii naaZim aabad, karachii paakistaan.
- Contact:
Re: ~~baar gaah-e-nabavii maiN Aqiidat hay Huroof~~
MuHtram Muhamamd K. Siddiqui. SaaHibmuhammad_19k wrote:Bohat khoob mughal SaHeb,
mujhe khud bhi n'aat kehne ka shauq hai aor ussi shauq meN shaairi ke ye papaR bail rahaa hooN. aap ke n'aat masha-allah bohat khoob hai. tamaam ashaar bohat shaandaar heN aor mujhe bohat pasand aa-aye. maire leeaye bhi dua kijiaye ke meN bhi kabhi koi achchaa n'atiaa kalam likh sakooN.
Aap ke leeaye dua go,
Muhamamd K. Siddiqui.
aadaab-o-slaam-e-masnoon.
aap kaa navaazish naana'h paRhaa. is HauSla'h afzaa'ee par mamnoon hooN.
na'At gau'ee aik mushkil triin mu'Aaamla'h hay. ham aysoN kii kiyaa bisaaT ke'h madH-e-sarvar maiN kcuh'h keh sakaiN.
jab baarii ta'A'aalay nay kehdiyaa. "" vara fa'A'naa Laka-zikrak"" ham tau bas apnii bisaaT kay muTaabiq apny jazbaat kaa iZhaar kart hiaN. kamaa Haq'qahu na'A't kaun ke'h saktaa hay ?.... maiN nay bhii tamhiidii raNg maiN apnii ma'Azoorii raQm kii hay. merii du'A'aa hay allah aapkau bhii na'At kehny kii sa'A'aadat naSiib farmaa'ay (amiin)
niyaaz mashrab
miim miim mughal
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Meem Meem MuGhal SaaHib Assalam Alikum!
Aap kee tashreef aawaree baae'ic raHat-o-iftekhaar aor aap kee ma'rooZ^aat qaabil-e-daad haiN. na'at gaoee mushkil tareen Sinf-e-iz^aar hone ke i'lawah pecheedah aor Hassas a'mal bhee hai. keh kaheeN koee larzish hoee aor khudaa nakhuwaastah guneh gaar There. aor maiN ne meHsoos kiyaa hai keh na'at gaoee ke daoraan mere haath qadre kaanpaa shuru' kar dete haiN. aor aek khaaS kaefiyat se do chaar ho jataa hooN.
Aap kaa hadiyah-e-na'at dekh kar Aap ke liye dil se dua'aa niklee keh Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze Aameen!!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Aap kee tashreef aawaree baae'ic raHat-o-iftekhaar aor aap kee ma'rooZ^aat qaabil-e-daad haiN. na'at gaoee mushkil tareen Sinf-e-iz^aar hone ke i'lawah pecheedah aor Hassas a'mal bhee hai. keh kaheeN koee larzish hoee aor khudaa nakhuwaastah guneh gaar There. aor maiN ne meHsoos kiyaa hai keh na'at gaoee ke daoraan mere haath qadre kaanpaa shuru' kar dete haiN. aor aek khaaS kaefiyat se do chaar ho jataa hooN.
Aap kaa hadiyah-e-na'at dekh kar Aap ke liye dil se dua'aa niklee keh Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze Aameen!!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
-
- -
- Posts: 14
- Joined: Thu Aug 23, 2007 10:04 am
- Location: shumaalii naaZim aabad, karachii paakistaan.
- Contact:
allah tabarak-o-t'Aaala ham sab kau sarkaa Alayh-e-Slaat-o-vas'slaam kii madH sraa'ee kaa sharaf aTaa farmaa'ay. (amiin)Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Meem Meem MuGhal SaaHib Assalam Alikum!
Aap kee tashreef aawaree baae'ic raHat-o-iftekhaar aor aap kee ma'rooZ^aat qaabil-e-daad haiN. na'at gaoee mushkil tareen Sinf-e-iz^aar hone ke i'lawah pecheedah aor Hassas a'mal bhee hai. keh kaheeN koee larzish hoee aor khudaa nakhuwaastah guneh gaar There. aor maiN ne meHsoos kiyaa hai keh na'at gaoee ke daoraan mere haath qadre kaanpaa shuru' kar dete haiN. aor aek khaaS kaefiyat se do chaar ho jataa hooN.
Aap kaa hadiyah-e-na'at dekh kar Aap ke liye dil se dua'aa niklee keh Allah aap ko jazaa-e-khaer se nawaze Aameen!!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
muzafar SaaHib kii du'aaiN mery liay zaad-e-raah haiN.
Taalib-e-dast-e-shafqat