i'shQ meN andeshah-e-sud-o-ZiyaaN hotaa naheeN! tazah Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

i'shQ meN andeshah-e-sud-o-ZiyaaN hotaa naheeN! tazah Ghazal

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaraan-e-mehfil-e-urdubandhan tasleemaat! :rose

tazah Ghazal ke chand sh'er pesh-e-khidmat haiN. mulaHiZ^ah farma kar mamnoon farmaeeN.

Ghazal

i'shQ meN andeshah*-e-sud-o-ZiyaaN hotaa naheeN
dushman-e-jaaN par bh~ee dushman kaa GumaaN hota naheeN!


kiyooN bayaan-e-Husn meN Husn-e-bayaN hotaa naheeN
shaokh* kiyooN aakhir miraa t^arz-e-bayaaN hotaa naheeN?


shaad* hooN baaGh-e-tamannaa par Giree haiN bijliyaaN
har kisee par to yeh lut^f-e-aasmaaN hotaa naheeN!


ranG laaeY laaZamee kab hai shaheedooN kaa lahu?
waqea'h har aek Zeb-e-daastaaN hotaa naheeN!


naqsh-e-paaeY-e-yaar detaa hai Z^iya har Gaam par
jab CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN!


maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN
"teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN"


uTh~ geya aakhir musafir khanah-e-dunya* se maiN
kam Muz^affar yooN bh~ee yeh dard-e-nihaaN hotaa naheeN!


andeshah* khat^rah
shaokh* tez
shaad* khush, masroor
musafir khanah-e-dunya* daar-e-fani, duniya

Muz^affar A Muz^affar
[/align]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Fri Oct 19, 2007 9:29 pm, edited 1 time in total.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Muzaffar SaHeb,

i'shQ meN andeshah*-e-sud-o-ZiyaaN hotaa naheeN
dushman-e-jaaN par bh~ee dushman kaa GumaaN hota naheeN!


khoob hai.

kiyooN bayaan-e-Husn meN Husn-e-bayaN hotaa naheeN
shaokh* kiyooN aakhir miraa t^arz-e-bayaaN hotaa naheeN?


shaad* hooN baaGh-e-tamannaa par Giree haiN bijliyaaN
har kisee par to yeh jaor*-e-aasmaaN hotaa naheeN!


great ones!!

ranG laaeY laaZamee kab hai shaheedooN kaa lahu?
waqea'h har aek Zeb-e-daastaaN hotaa naheeN!


kah hai ki jagaa kyooN kar lagaa kar bhi daikh leN.

naqsh-e-paaeY-e-yaar detaa hai Z^iya har Gaam par
jab CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN!


kuch khaaS samajh naheeN aayaa. charaGh e kuchah e janaat kab saath hotaa hai aor kaise?


maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN
"teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN"


gira to sir ke ooper se guzar gayee hai :)

uTh~ geya aakhir musafir khanah-e-dunya* se maiN
kam Muz^affar yooN bh~ee yeh dard-e-nihaaN hotaa naheeN!


maqtaa' ne bhi mujhe kuch khaaS mutaacir naheeN kiyaa. mujhe lagtaa hai ke aap is khyaal ko iss se bohat behtar andaaz meN pesh kar sakte heN.

Allah aap ko khush o khurram rakhay. mairaa kyaa hai. mujhe to kayee baar logoN ne manaa kiyaa hai ke ghazloN par tabSiraa mat kiyaa karo Sirf t'areef kiyaa karo. laikin meN kyaa karooN mujhe se apni raa-aye di-aye baghair rahaa hi naheeN jaataa.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

muhammad_19k wrote:Salam Muzaffar SaHeb,

i'shQ meN andeshah*-e-sud-o-ZiyaaN hotaa naheeN
dushman-e-jaaN par bh~ee dushman kaa GumaaN hota naheeN!


khoob hai.

kiyooN bayaan-e-Husn meN Husn-e-bayaN hotaa naheeN
shaokh* kiyooN aakhir miraa t^arz-e-bayaaN hotaa naheeN?


shaad* hooN baaGh-e-tamannaa par Giree haiN bijliyaaN
har kisee par to yeh jaor*-e-aasmaaN hotaa naheeN!


great ones!!

ranG laaeY laaZamee kab hai shaheedooN kaa lahu?
waqea'h har aek Zeb-e-daastaaN hotaa naheeN!


kah hai ki jagaa kyooN kar lagaa kar bhi daikh leN.

naqsh-e-paaeY-e-yaar detaa hai Z^iya har Gaam par
jab CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN!


kuch khaaS samajh naheeN aayaa. charaGh e kuchah e janaat kab saath hotaa hai aor kaise?


maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN
"teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN"


gira to sir ke ooper se guzar gayee hai :)

uTh~ geya aakhir musafir khanah-e-dunya* se maiN
kam Muz^affar yooN bh~ee yeh dard-e-nihaaN hotaa naheeN!


maqtaa' ne bhi mujhe kuch khaaS mutaacir naheeN kiyaa. mujhe lagtaa hai ke aap is khyaal ko iss se bohat behtar andaaz meN pesh kar sakte heN.

Allah aap ko khush o khurram rakhay. mairaa kyaa hai. mujhe to kayee baar logoN ne manaa kiyaa hai ke ghazloN par tabSiraa mat kiyaa karo Sirf t'areef kiyaa karo. laikin meN kyaa karooN mujhe se apni raa-aye di-aye baghair rahaa hi naheeN jaataa.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Biradaram M. Khawar Siddiqui SaaHib tasleemaat!

Allah kare keh aap baakheriyat hooN.
Ghazal kee pasandeedagee ke liye bohot mamnoon hooN. aap kaa Husn-e-naz^ar hee ho saktaa hai keh aap naakarah ke kalam ko is diljuee se dekhte aor saarahte haiN. aor sar-e-mo bhee dilshikknee aor dilazaaree kee fiZ^aa paedah naheeN hone dete. balkeh nihayat purkhulooS andaaz meN tanqeed-o-tanqeeS karte haiN. mamnoon hooN.

aap likhte haiN..
naqsh-e-paaeY-e-yaar detaa hai Z^iya har Gaam par
jab CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN!

kuch khaaS samajh naheeN aayaa. charaGh e kuchah e janaat kab saath hotaa hai aor kaise?
daraSl tarakeeb ko hameshah ultaa paRh~ne kee Z^arurat pesh aatee hai. macala" "naqsh-e-paa" ise yooN paRhaa jaeY gaa "paooN kaa naqsh" isee t^arH naqsh-e-paaeY-e-yaar" ya'nee yaar ke paooN ka naqsh" ab oopar ke miSra' ko nacar meN samajh~nee kee koshish karte haiN.

miSra' hai

"naqsh-e-paaey-e-Yaar detaa hai Z^iyaa har gaam par"

keh Yaar ke paooN ke nishaan mujh~e har gaam par Z^iyaa/raoshnee detaa hai. sawaal paedah hotaa hai keh kab???? to dusre miSra' meN us kee waZ^ahat miltee hai. keh jab "CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN" ya'nee us waqt yaar ke qadmooN ke nishaan mujh~e raoshnee dete haiN jab "kuchah-e-jannat nishaaN" kaa charaGh maojood naheeN hotaa. ab yahaaN jo tarkeeb hai. "CharaaGh-e-kochah-e-jannat nishaaN" ise bakhubee samajh~ne kee ashad Z^aroorat darpesh hai. keh yaar kee galee jo "jannat nishaaN" hai ya'anee jannat jaesee dilkash hai. jab us meN raoshanee naheeN hotee us waqt maiN Yaar ke qadmooN ke nishaan se Z^iyaa haaSil kar letaa hooN. :-)

aap farmate haiN..
maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN
"teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN"

gira to sir ke ooper se guzar gayee hai
agar is maZ^moon ko samajh~ liyaa jae to meree qareen-e-qiyaas HaaSil-e-Ghazal she'er ho saktaa hai.
maiN waZ^aHat kiye detaa hooN.

miSra' hai.

"maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN"

maiN ne t^arhee miSra' ko girah laga kar goyaa yaksar badal diyaa hai. ya'nee us kaa ishaarah bilkul tabdeel ho kar reh geya hai. aap pehle miSra'-e-t^arH ko baGhoor dekheeN. maZ^moon yeh hai keh shaae'ir khud se yaa kisee aor se woh meHboob bhee ho saktaa hai keh raha hai keh teree Surat par "bhee" ab teraa gumaaN naheeN hotaa. maiN ne is "bhee" se istefadah karte huwe aek niyaa maZ^moon nikalaa hai keh jaese koee yeh kahee keh maiN hee beemaar naheeN hooN tu :bhee: beemaar hai.

shaae'ir kisee aesee baat kee t^araf ishaarah kar raha hai. keh jo donooN fareeqooN meN mushtarik hai. keh teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN. aek maZ^moon to yeh liyaa jaa saktaa hai. aor jaesaa keh :Janab-e-FiraQ: ne liyaa bhee hai. aor isee maZ^moon ko AHmad nadeem Qasami ne yooN baanh~aa hai. keh

"pooch~ baeTh#aa hooN maiN tujh~ se tereY koche kaa pataa
tereY Haalaat ne kaesee teree Surat kar dee"

qareeb qareeb is miSra' kee yahee Girah lagaee jaeY gee yaa lagaee jaa saktee hai. lekin khaadim ne a'aalam-e-be khudee meN aek nihayat ma'amulee saa maZ^moon tarashaa hai. jo keh yooN hai. keh

maiN to samjh~aa thaa keh Sirf Haalaat kaa maraa huwaa maiN hee hooN lekin teree Surat jo keh pehch~aanee naheeN jaatee ise dekh kar to yooN lagtaa hai keh Sirf maiN hee naheeN tu bhee haalaat kaa maraa huwa hai. kiyooN keh meree Surat dekh~ kar yeh Gumaan naheeN hotaa keh yeh maiN hee hooN. isee t^arH :::::teree Surat par bhee::: ab teraa GumaaN naheeN hotaa.

mukhtaSar alfaaz^ meN yooN kehnaa behtar ho gaa keh teree Surat par teraa gumaaN naheeN hotaa ya'nee tu pehchaanaa naheeN jataa. aor tujhe dekh kar maiN is naateeje par pohonchaa hooN keh Sirf Haalaat kaa maraa maiN hee naheeN tu bhee hai.

agar t^arHee miSra' meN :bhee: nah hotaa to maiN is maZ^moon ko baandhne kaa ehel nah hotaa. tab aor baat hotee.
uTh~ geya aakhir musafir khanah-e-dunya* se maiN
kam Muz^affar yooN bh~ee yeh dard-e-nihaaN hotaa naheeN!

maqtaa' ne bhi mujhe kuch khaaS mutaacir naheeN kiyaa. mujhe lagtaa hai ke aap is khyaal ko iss se bohat behtar andaaz meN pesh kar sakte heN.
yeh Ghazal kaef-o-be khudee ke a'alam meN kahee gaee hai. is liye miSra'-o-she'er ko maSnu'ee libaadah dene kee koshish se daaman bachayaa geyaa hai. aor jooN ke tooN asha'aar raqam kar diye gae haiN. mumkin hai is liye aap ko maqt^a' khaali az lut^f lag rahaa hooN.

muraad yeh hai keh is dard-e-nihaaN se bachnee kee koshish meN aakhir mar hee gaeY. lekin yeh dard-e-nihaaN tab bhee naheeN jataa. aor baa alfaaz^-e-deegar hamaraa marnaa bhee rai'gaaN hee geyaa.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab Muzaffar SaHib,

Allah t'aalaa par apni reHamtoN ki baarish kartaa rahay. meN beHad shukrguzaar hooN ke aap mujh naa cheez ko is moHabbat se samjhate heN. meN aap ka hameshaa se qarzdaar raha hooN.
aap likhte haiN..
naqsh-e-paaeY-e-yaar detaa hai Z^iya har Gaam par
jab CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN!

kuch khaaS samajh naheeN aayaa. charaGh e kuchah e janaat kab saath hotaa hai aor kaise?
daraSl tarakeeb ko hameshah ultaa paRh~ne kee Z^arurat pesh aatee hai. macala" "naqsh-e-paa" ise yooN paRhaa jaeY gaa "paooN kaa naqsh" isee t^arH naqsh-e-paaeY-e-yaar" ya'nee yaar ke paooN ka naqsh" ab oopar ke miSra' ko nacar meN samajh~nee kee koshish karte haiN.

miSra' hai

"naqsh-e-paaey-e-Yaar detaa hai Z^iyaa har gaam par"

keh Yaar ke paooN ke nishaan mujh~e har gaam par Z^iyaa/raoshnee detaa hai. sawaal paedah hotaa hai keh kab???? to dusre miSra' meN us kee waZ^ahat miltee hai. keh jab "CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN" ya'nee us waqt yaar ke qadmooN ke nishaan mujh~e raoshnee dete haiN jab "kuchah-e-jannat nishaaN" kaa charaGh maojood naheeN hotaa. ab yahaaN jo tarkeeb hai. "CharaaGh-e-kochah-e-jannat nishaaN" ise bakhubee samajh~ne kee ashad Z^aroorat darpesh hai. keh yaar kee galee jo "jannat nishaaN" hai ya'anee jannat jaesee dilkash hai. jab us meN raoshanee naheeN hotee us waqt maiN Yaar ke qadmooN ke nishaan se Z^iyaa haaSil kar letaa hooN. :-)
agar aap mutma'in heN to phir ye sher yehi keh rahaa ho ga. [:)],

aik mashoor sher ke saath compare karne ki jisaarat kartaa hooN

tum maire pass hote ho goyaa/ naqsh-e-paaeY-e-yaar detaa hai Z^iya har Gaam par ( dono meN kuch hona ya milnaa hai)
jab koi doosra naheeN hota/jab CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN ( ooper wali shay kab hoti hai)

laikin acar-aNgezi aor mani aafareeni meN bohat farq hai. kyooN ke aap ne aik latteef khyaal ke izhaar meN zydaa daqeeq tarakeeb istemaal kardi heN aor dhakay chuppay ishaaray bhi ( yaar ki ghali ko koocha a jannat nishaaN kehnaa, qadmoN se ziaa lainaa).

baaqi aap yaqeenun mujh se behtar samajhtay hen>

aap farmate haiN..
maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN
"teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN"

gira to sir ke ooper se guzar gayee hai
agar is maZ^moon ko samajh~ liyaa jae to meree qareen-e-qiyaas HaaSil-e-Ghazal she'er ho saktaa hai.
maiN waZ^aHat kiye detaa hooN.

miSra' hai.

"maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN"

maiN ne t^arhee miSra' ko girah laga kar goyaa yaksar badal diyaa hai. ya'nee us kaa ishaarah bilkul tabdeel ho kar reh geya hai. aap pehle miSra'-e-t^arH ko baGhoor dekheeN. maZ^moon yeh hai keh shaae'ir khud se yaa kisee aor se woh meHboob bhee ho saktaa hai keh raha hai keh teree Surat par "bhee" ab teraa gumaaN naheeN hotaa. maiN ne is "bhee" se istefadah karte huwe aek niyaa maZ^moon nikalaa hai keh jaese koee yeh kahee keh maiN hee beemaar naheeN hooN tu :bhee: beemaar hai.

shaae'ir kisee aesee baat kee t^araf ishaarah kar raha hai. keh jo donooN fareeqooN meN mushtarik hai. keh teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN. aek maZ^moon to yeh liyaa jaa saktaa hai. aor jaesaa keh :Janab-e-FiraQ: ne liyaa bhee hai. aor isee maZ^moon ko AHmad nadeem Qasami ne yooN baanh~aa hai. keh

"pooch~ baeTh#aa hooN maiN tujh~ se tereY koche kaa pataa
tereY Haalaat ne kaesee teree Surat kar dee"

qareeb qareeb is miSra' kee yahee Girah lagaee jaeY gee yaa lagaee jaa saktee hai. lekin khaadim ne a'aalam-e-be khudee meN aek nihayat ma'amulee saa maZ^moon tarashaa hai. jo keh yooN hai. keh

maiN to samjh~aa thaa keh Sirf Haalaat kaa maraa huwaa maiN hee hooN lekin teree Surat jo keh pehch~aanee naheeN jaatee ise dekh kar to yooN lagtaa hai keh Sirf maiN hee naheeN tu bhee haalaat kaa maraa huwa hai. kiyooN keh meree Surat dekh~ kar yeh Gumaan naheeN hotaa keh yeh maiN hee hooN. isee t^arH :::::teree Surat par bhee::: ab teraa GumaaN naheeN hotaa.

mukhtaSar alfaaz^ meN yooN kehnaa behtar ho gaa keh teree Surat par teraa gumaaN naheeN hotaa ya'nee tu pehchaanaa naheeN jataa. aor tujhe dekh kar maiN is naateeje par pohonchaa hooN keh Sirf Haalaat kaa maraa maiN hee naheeN tu bhee hai.

agar t^arHee miSra' meN :bhee: nah hotaa to maiN is maZ^moon ko baandhne kaa ehel nah hotaa. tab aor baat hotee.

bhii ka ye istemaal yaqeenun bohat shaandaar hai. aor meN is ka khumaar meHsoos kar rahaa hooN. laikin pehlay miSra meN faqat Haalat ka ikaThaa istemaal ye m'aani nikaalne meN madad naheen kartaa. faqa^t ke saath mujh istemaal karne se sher bilkul Saaf aor behtareen ho saktaa hai jaise ke

meN to samjha tha faqat mujh par huwaa hai ye sitam.
" tairi................."

aap jaanteN heN ye sab kuch meN ne aap se hi seekhaa hai. aor ye baat bhi koi t'ajub naheeN rakhti ke shaair ahl e ilm hone ke baawajood apni b'aaz auqat un nikaat par 'amal naheeN kar paataa jis se woh apni shaairi ko behtar kar saktaa hai. maira khyaal hai ke aisaa lat^eef sher likhne ke sarshaari meN chhoTi chhoTi bateN reh jaati heN :)
uTh~ geya aakhir musafir khanah-e-dunya* se maiN
kam Muz^affar yooN bh~ee yeh dard-e-nihaaN hotaa naheeN!

maqtaa' ne bhi mujhe kuch khaaS mutaacir naheeN kiyaa. mujhe lagtaa hai ke aap is khyaal ko iss se bohat behtar andaaz meN pesh kar sakte heN.
yeh Ghazal kaef-o-be khudee ke a'alam meN kahee gaee hai. is liye miSra'-o-she'er ko maSnu'ee libaadah dene kee koshish se daaman bachayaa geyaa hai. aor jooN ke tooN asha'aar raqam kar diye gae haiN. mumkin hai is liye aap ko maqt^a' khaali az lut^f lag rahaa hooN.

muraad yeh hai keh is dard-e-nihaaN se bachnee kee koshish meN aakhir mar hee gaeY. lekin yeh dard-e-nihaaN tab bhee naheeN jataa. aor baa alfaaz^-e-deegar hamaraa marnaa bhee rai'gaaN hee geyaa.
ji is ke m'aani Saaf thay bus bayaan mujhe lagtaa thaa ke aap is se bhi bethar kar sekte heN.

Regars,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply