tamaam muAzziz shurakaa ki khidmat maiN slaam
meri naa cheez si kohsish aap sabki basaaratoN ki naz'r
aapki aara kaa intezaar rehay gaa
wassalam
diloN ko Saaf karo aur Khudaa ki baat karo
isee maiN sub'H karo aur isee maiN raat karo
bachaaey rakhe reho damanoN ko bid'At se
t'Aweez gande karo aur nah to'ahmaat karo
jo aaey saamne moqa gunaah kerne kaa
tau aise waqt maiN tum meH'Z fikr-e-"Zaat" karo
hamaara apnaa nahin kuch bhi sab usee kaa hai
sapurd us k hi hastee ki kaainaat karo
kahiN ghareeb, dukhee yaa keh gham zedah dekho
tau khandah ruu'ee se tum muskuraa k baat karo
paRe jo dheeme tau shaitaan aa uchak le gaa
hai ghaat maiN wo l'Aeen per tum uski ghaat karo
shataab HiSSah lo her kaar-e-khair maiN aise
keh aik dooje ko baRh baRh ke ismaiN maat karo
tum apnee zaat k meHwar se ab nikal aao
ba terz-e-momin, fikr-e-shash jehaat karo
guzaarish # 33
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtarmah Tahirah Masa'od SaaHibah tasleemaat!
RawaaN mushae'rah ke liye aap kee t^arhee na'at dekhee. jo laai'q-e-daad aor mubarak baad hai. so meree janib se dilee daad qubool keejiye.
Aap ne Ghaaleba" Ghalat^ee Qaafiyah ko tabdeel farma kar na'at kahee hai. miSra'-e-t^arH meN rehnumaa, khudaa, rehnumaa, waGherah qawafee istema'aal kiye jaa sakte the. lekin aap ne raat, baat aor zaat waGhaerah ke qaafiye baandheY haiN. jabkeh miSra'-e-t^arH yeh hai.
"namaaz paRhte raho "rehnumaa" kee baat karo"
is meN :kee baat karo: radeef hai. khaer yeh koee aesee baat naheeN aap kee na'at bahar Haal khubSurat hai. aor qaabil-e-daad bhee!!
mushae're meN aap kee shumuliyat ke liye aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah Tahirah Masa'od SaaHibah tasleemaat!
RawaaN mushae'rah ke liye aap kee t^arhee na'at dekhee. jo laai'q-e-daad aor mubarak baad hai. so meree janib se dilee daad qubool keejiye.
Aap ne Ghaaleba" Ghalat^ee Qaafiyah ko tabdeel farma kar na'at kahee hai. miSra'-e-t^arH meN rehnumaa, khudaa, rehnumaa, waGherah qawafee istema'aal kiye jaa sakte the. lekin aap ne raat, baat aor zaat waGhaerah ke qaafiye baandheY haiN. jabkeh miSra'-e-t^arH yeh hai.
"namaaz paRhte raho "rehnumaa" kee baat karo"
is meN :kee baat karo: radeef hai. khaer yeh koee aesee baat naheeN aap kee na'at bahar Haal khubSurat hai. aor qaabil-e-daad bhee!!
mushae're meN aap kee shumuliyat ke liye aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
ooooooooooooooooops!!!!!!!!
itneeeeee baRee ghalati ... shukar hai keh jurmaan nahiN huaa?
maine derasal ghaur se paRhaa hi nahiN bas misra liaa aur bas
Inshallah mumkin hua atau daubaarah koshish karoNgee
Allah Hafiz
live and let live