ghazal bara-e-mushaira #34

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
mujahid
-
-
Posts: 49
Joined: Tue Aug 28, 2007 2:14 pm
Location: belgium
Contact:

ghazal bara-e-mushaira #34

Post by mujahid »

pehlay mujeh aisa laga tha k misra eun hai "ye kis ummeed par ghar ko bayaba'n kar dia hum nay"

so abb mai'n nay eun likhh dia hai "ye kis ummeed par ghar ko bayab'n kar dia mai'n nay"
Attachments
ghazal.gif
ghazal.gif (16.58 KiB) Viewed 384 times
mujahid
-
-
Posts: 49
Joined: Tue Aug 28, 2007 2:14 pm
Location: belgium
Contact:

roman mai'n

Post by mujahid »

ghazal
kyun naaraaz tujh ko yu.n a jaanaa'n kar dia mai'n nay
ye kis ummeed par ghar ko bayabaa'n kar dia mai'n nay

zamaanay bhar ki saari tohmate'n yu.n kha makha layli'n
k jub say chaak apna he garebaa'n kar dia mai'n nay

lo waadaa daar par chardnay ka poora ho gaya maira
teri zulfo'n say khud ko he awaizaa'n kar dia mai'n nay

raqeebo'n ko kare'n bardaash kaisey tairey koochey mai'n
unhi ko husn say tairey guraizaa'n kar dia mai'n nay

chhupaa wo laakhh pardo'n mai'n jo tairaa husn thah uss ko
khayaalo'n he khayaalo'n mai'n pareshaa'n kar dia mai'n nay

"mujahid" dil ki nagri jo pardi veeraan thi tairi
ussey dilkush nizaaro'n ka gulistaa'n kar dia mai'n nay
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Mujaahid SaaHib aadaab! :rose

ummeed hai kheriyat se hooN ge. rawaN mushae'rah ke liye aap kee Ghazal dekhee. achchee koshish hai. saadah alfaaz^ aor nafees kheyalaat se aaraastah asha'aar deedah zeb haiN. Ghazal dilkash hai. mujhe sabhee she'er pasand aae haiN. mat^la' kaa miSra'-e-oola beHer meN naheeN aa sakaa. is kee aek Surat yeh ho saktee hai. is khubSurat

"tujhe naaraaZ^ kiyooN aeY jaan-e-janaaN kar liya maiN ne"

kyun naaraaz tujh ko yu.n a jaanaa'n kar dia mai'n nay
ye kis ummeed par ghar ko bayabaa'n kar dia mai'n nay

is ke barah meN oopar zikr aageyaa hai.

zamaanay bhar ki saari tohmate'n yu.n kha makha layli'n
k jub say chaak apna he garebaa'n kar dia mai'n nay

Waah!

lo waadaa daar par chardnay ka poora ho gaya maira
teri zulfo'n say khud ko he awaizaa'n kar dia mai'n nay

Waah Waah!

raqeebo'n ko kare'n bardaash kaisey tairey koochey mai'n
unhi ko husn say tairey guraizaa'n kar dia mai'n nay

Kiya kehne!

chhupaa wo laakhh pardo'n mai'n jo tairaa husn thah uss ko
khayaalo'n he khayaalo'n mai'n pareshaa'n kar dia mai'n nay

Waah!

"mujahid" dil ki nagri jo pardi veeraan thi tairi
ussey dilkush nizaaro'n ka gulistaa'n kar dia mai'n nay

Waah!

mushae'rah meN shumuliyat ke liye aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Thu Nov 08, 2007 10:18 pm, edited 1 time in total.
Post Reply