ek naz^m: MAAYOOSEE!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ek naz^m: MAAYOOSEE!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfil : adaab-o-tasleemaat!

aap ko yaad ho gaa keh kuch` a'rSah qabl maiN ne ek Ghazal-e-musalsal ("woh jo naz^reN jh`ukaaYe baiTh`e haiN") yahaaN aur doosree chaupaaloN meN pesh kee th`ee. yeh Ghazal ek suhaanee SubH ek mall meN "chehl-qadmee" ke dauraan huyee th`ee! kal SubH maiN ph`ir usee maal meN gh`oomne chalaa gayaa aur gh`oomte gh`oomte apne hee Khayaalaat kee bh`ool-bh`ulayyoN meN gum ho gayaa. hosh aayaa to ek naz^m ho chukee th`ee jo yahaaN pesh kar rahaa hooN. ummeed hai keh aap apnee raaYe se mujh` ko sarfaraaz farmaaYeN ge! shukriyah!

mujh` ko i'lm naheeN hai keh aisee taKhleeqaat mall kee sair ke dauraan hee kyoN :sarzad: hotee haiN! shaayad koyee maahir-e-nafsiyaat bataa sake. kaheeN aisaa to naheeN hai keh mall meN chaaroN t^araf chaltee ph`irtee :GhazaloN: kaa hujoom in taKhleeqaat ko shaai'r ke dil-o-Zehn meN angez kartaa hai? ba-har-Haal is meN to koyee shak naheeN keh agar :chehl-qadmee: aur shaai'ree kaa aisaa hee saath` rahaa to jald hee mujh` ko manz^oomaat ke ek aur majmooe'h kee fikr karnee ho gee!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
=========================

MAAYOOSEE!

Dar rahaa hooN keh mulaaqaat nah ho jaaYe kaheeN!
aaNkh`oN aaNkh`oN meN koyee baat nah ho jaaYe kaheeN!
nauHah-KhwaaN shorish-e-jaZbaat nah ho jaaYe kaheeN
munkashif tujh` pah miree Zaat nah ho jaaYe kaheeN
aur bayaaN Soorat-e-Haalaat nah ho jaaYe kaheeN!

woh tiree neem-nigaahee, woh tab-o-taab-e-jamaal
tere abroo kaa takabbur, tiree qaamat kaa jalaal
th`ar-th`araate huYe lab, tere woh ruKhsaar, woh Khaal
i'shq-e-Khushkaam kee sargoshee kaa rangeen woh jaal
saaz-e-dil par woh dh`aRakte huYe sur aur woh taal
mauj-e-naGhmah ho koyee yaa kisee shaai'r kaa Khayaal!
saaNs ukh`Ree huyee gh`aRyoN kee, woh lamHe beHaal
garmee-e-joshish-e-jaZbaat sar-e-shaam-e-wiSaal
dil woh deewaanah! keh begaanah-e-afkaar-o-malaal
nah Gham-o-ranj-o-taraddud, nah koyee Khauf-e-ma,aal!

mujh` ko sab yaad hai, teraa woh judaa ho jaanaa
apne Haalat peh bandoN kaa Khudaa ho jaanaa!

woh mah-o-saal, woh din raat kahaaN se laa,ooN?
saath` guZre huYe lamHaat kahaaN se laa,ooN?

too naheeN hai nah sahee, yeh dil-e-barbaad to hai!
luT gayaa saaraa jahaaN, ek tiree yaad to hai!

mujh` ko ma'loom hai, ab tujh` ko naheeN paa,ooN gaa
maiN kaheeN door, bohat door chalaa jaa,ooN gaa!
Attachments
maayoosee.gif
maayoosee.gif (9.73 KiB) Viewed 248 times
maayoosee.gif002.gif
maayoosee.gif002.gif (5.47 KiB) Viewed 248 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
riaz ahmed saraa
-
-
Posts: 46
Joined: Thu Dec 16, 2004 8:13 am
Location: Lahore
Contact:

Post by riaz ahmed saraa »

MoHtram Sarwar SaHib

aadaab qubool kij'ae

kaise mizaaj haiN aap ke nazm kaa paish paRha lutf aaya


Quote:
---------------------------------------------------------------------- ----------
kal SubH maiN ph`ir usee maal meN gh`oomne chalaa gayaa aur gh`oomte gh`oomte apne hee Khayaalaat kee bh`ool-bh`ulayyoN meN gum ho gayaa. hosh aayaa to ek naz^m ho chukee th`ee
---------------------------------------------------------------------- ----------



ye sair to bohat khoob hai seHat ki seHat aur nazmooN ki nazmaiN


Quote:
---------------------------------------------------------------------- ----------
mujh` ko i'lm naheeN hai keh aisee taKhleeqaat mall kee sair ke dauraan hee kyoN :sarzad: hotee haiN! shaayad koyee maahir-e-nafsiyaat bataa sake
---------------------------------------------------------------------- ----------



is kaa javaab to aap ki baat darust hai k koi maahir-nafiyaat hi bata sake


Quote:
---------------------------------------------------------------------- ----------
kaheeN aisaa to naheeN hai keh mall meN chaaroN t^araf chaltee ph`irtee :GhazaloN: kaa hujoom in taKhleeqaat ko shaai'r ke dil-o-Zehn meN angez kartaa hai? ba-har-Haal is meN to koyee shak naheeN keh agar :chehl-qadmee: aur shaai'ree kaa aisaa hee saath` rahaa to jald hee mujh` ko manz^oomaat ke ek aur majmooe'h kee fikr karnee ho gee!
---------------------------------------------------------------------- ----------



ghazaaalooN ke hujoom waali baat se maiN poora poora ittefaaq karta huN keh woh khoobsuat hujoom hi shaair ko nazm kehne par majboor kartaa hoga

mehrbaani us hujoom ki k hamaiN itni khoosurat takhleeq paRhne ko mili aap vahaaN zuroor jaaya karaiN taake hamaiN jald hi aap ki nazmooN kaa majmooa' naseeb ho

aur moHtaram sarwar saHib is nazm ne ajeeb kaifiat taari kar di wojoob par jaRe rakhkha is ki kaifiat ne naa qaabl-e-bayaaN kaifiat jo lafzooN meiN bayaan naheeN ho sakti

aur aap ki khoobsurat taraakeeb, tashbeehaiN aur ista'arooN ne woh aalam paida ki k kia kahooN. nazm aik kaifiat hi hoti haiN laikan is kaa bayaan to ma,ni rakhta hai aur aap ne ise jis taraH apne qalam kaa jaadu jagaaya hai ye aap ki a'zmat kaa saboot hai

Allha kare zoor-e-qalam aur zayaada

hamaisha khush rahaiN

riaz
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Riaz SaaHeb:aadaab

aap ke mufaSSil Khat^ kaa jawaab muKhtaSar hee de rahaa hooN! aap kee muHabbat hai keh itne dilkash andaaz meN yaad kiyaa. yeh naz^m sab ko hee pasand aayee hai. shaayad ham sab kisee nah kisee waqt aise hee Haalaat kaa shikaar rahe haiN!

dua'a,oN meN yaad rakh`iYe.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Sara SaaHebah: aadaab!

naz^m kee pasandeeagee aur daad ke liYe mamnoon hooN. aap ne yaad kiyaa to yeh meree i'zzat-afzaayee kaa baa,ic huwaa. naz^m aap ko bh`alee lagee to achh`ee hee ho gee! :-)

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply