Nazar yeh kis ki lagii, mayray aaSHiyaanay ko........farhan

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Nazar yeh kis ki lagii, mayray aaSHiyaanay ko........farhan

Post by farhan »


As Salamu aalaikum wa rahmatuallhi wa barakatuhu,,,

Arbaab-e-MeHfil,,,

apni aik tazah TaraHi ghazal peesh kar raha hooN. ummid hai pasand aayegi.

Ghazal

1) Nazar yeh kis ki lagii, mayray aaSHiyaanay ko.
taras gaya hooN maiN, ik baar muskuranaanay ko.

2) bahaar hi nahiN jaanaaN, tire diwaanay ko.
Ghazaal-e-SHab bhi koi, aayii thi rijhaanay ko.

3) Sharaab-e-Zeest pilavoo, Haseen aankhooN say,
yeh ik jaam hai, peenay ko aur pilaanay ko.

4) naseem-e-SubH ki fiTrat ko jaanata hooN maiN,
hunar samajhti hai yeh, boo-e-gul churaanay ko.

5) tiri judaayii ka mousam hai, ab talak baqii
bahaar aayii, magar dil mira jalaanay ko.

6) labooN pay apnay muHabbat bhara tarana liye,
phir aik baar unheeN, jaooNga manaanay ko.

7) mira Ghuroor, falak waloo! HaQ bajanib hai,
mujhay chuna gaya hai, bar-e-kun uthaanay ko.

8) maiN zindagii kay tA'qub meiN hooN maGan lakin,
ajal hai muntaZir apnay galay lagaanay ko.

9) ai! mayri bint-e-siyh baKHt, iss Giraani meiN,
kahaN say lavooN sitaaray tujhay sajaanay ko.

10) tiri TaraH kay bhalay loog ab kahaN! farHan!,
k jo gunaah samajhtay haiN, dil dukhaanay ko.


talib-e-dua

FarHan.
Attachments
nazar.yeh.kis.ki.lagi.mayray.ashiyaanay.ko.gif
nazar.yeh.kis.ki.lagi.mayray.ashiyaanay.ko.gif (8.86 KiB) Viewed 574 times
waQaar
-
-
Posts: 22
Joined: Mon Sep 03, 2007 9:50 pm

Post by waQaar »

aadaab farHaan SaaHeb,

aapki ghazal aCHh~ii hay aur bahut munfarid andaaz maiN hay. daad haaZir hay,qubool kee jiYya!

waQaar :)
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Farhaan SaaHib tasleemaat!

mah-e-rawaaN ke liye aap kaa faeZ^-e-a'aam ba Surat-e-Ghazal ham tamaam shaaeqeen-e-Urdu Ghazal par huwaa. aor yooN hameeN aap ke asha'aar se lut^f andooz hone kaa sunehra maoqa' haath aayaa. maiN aap kaa mamnoon hooN keh aap ne mushaa'erah meN shirkat farma kar ham sab kee himmat afzaee kee hai. Allah aap ko khush rakhe.


1) Nazar yeh kis ki lagii, mayray aaSHiyaanay ko.
taras gaya hooN maiN, ik baar muskuranaanay ko.

Bohot khoob! Waah Waah!

2) bahaar hi nahiN jaanaaN, tire diwaanay ko.
Ghazaal-e-SHab bhi koi, aayii thi rijhaanay ko.

Waah! (kiya yeh qaraar hai jise typo se bahaar likha geya hai)

3) Sharaab-e-Zeest pilavoo, Haseen aankhooN say,
yeh ik jaam hai, peenay ko aur pilaanay ko.

Waah!

4) naseem-e-SubH ki fiTrat ko jaanata hooN maiN,
hunar samajhti hai yeh, boo-e-gul churaanay ko.

Waah!

5) tiri judaayii ka mousam hai, ab talak baqii
bahaar aayii, magar dil mira jalaanay ko.

Waah!

6) labooN pay apnay muHabbat bhara tarana liye,
phir aik baar unheeN, jaooNga manaanay ko.

Waah!

7) mira Ghuroor, falak waloo! HaQ bajanib hai,
mujhay chuna gaya hai, bar-e-kun uthaanay ko.

Waah!

maiN zindagii kay tA'qub meiN hooN maGan lakin,
ajal hai muntaZir apnay galay lagaanay ko.

Kiya kehne Waah!

9) ai! mayri bint-e-siyh baKHt, iss Giraani meiN,
kahaN say lavooN sitaaray tujhay sajaanay ko.

waah waah!

10) tiri TaraH kay bhalay loog ab kahaN! farHan!,
k jo gunaah samajhtay haiN, dil dukhaanay ko.

Bohot khoob waah Waah Waah Kiya kehne Bohot khub!

meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye. aor inshAllah agle mushae'rah ke liye bhee taiyyaar rahiye gaa. aap kee shumuliyat se bohot khushee ho gee.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

waQaar wrote:aadaab farHaan SaaHeb,

aapki ghazal aCHh~ii hay aur bahut munfarid andaaz maiN hay. daad haaZir hay,qubool kee jiYya!

waQaar :)

Janab-e-muHtaram WaQaar SaHib

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,,,

Ghazal ki pasandeedgii aur paziraaii kay liye mamnoon hooN...

daad kay liye mutashukkur hooN. ummid hai aap say mulaqaat hoti rahaygii....

talib-e-dua.

farhan
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Farhaan SaaHib tasleemaat!



Janab-e-MuHtaram Muzaffar Ahmed SaHib

As salamu aalaikum wa raHmatullahi wa barakatuhu,,,


mah-e-rawaaN ke liye aap kaa faeZ^-e-a'aam ba Surat-e-Ghazal ham tamaam shaaeqeen-e-Urdu Ghazal par huwaa. aor yooN hameeN aap ke asha'aar se lut^f andooz hone kaa sunehra maoqa' haath aayaa. maiN aap kaa mamnoon hooN keh aap ne mushaa'erah meN shirkat farma kar ham sab kee himmat afzaee kee hai. Allah aap ko khush rakhe.


Janaab yeh to aap ka karam-e-khaS hai k aap hum nou-waridaan-e-shouQ kay liye is baar dilchusp aur bahtareeN miSra tajweez kiya hai jo is ghazal ki taqleeq ka muharrik bana. maiN aap ka mamnoon o mashkoor hooN ki aap mujh nou-mashQ tuk-bandiye ki is Qadar housla afzayii kartay hain. ALLAH hum sub ko khair o aafiyat kay saath rakhay.Ameen


1) Nazar yeh kis ki lagii, mayray aaSHiyaanay ko.
taras gaya hooN maiN, ik baar muskuranaanay ko.

Bohot khoob! Waah Waah!

Shukriya
2) bahaar hi nahiN jaanaaN, tire diwaanay ko.
Ghazaal-e-SHab bhi koi, aayii thi rijhaanay ko.

Waah! (kiya yeh qaraar hai jise typo se bahaar likha geya hai)


ji yeh bahaar hi hai....daraSl shair yeh apni meHbooba say yeh kehna chata hai k....janaaN tayray diwaanay ko bahaar hi nahin ghazal-e-shab bhi koi rijahaanay kay liye aayii thi...lakin voh sirf apni janaan ka diwaana hai...

3) Sharaab-e-Zeest pilavoo, Haseen aankhooN say,
yeh ik jaam hai, peenay ko aur pilaanay ko.

Waah!

Shukriya
4) naseem-e-SubH ki fiTrat ko jaanata hooN maiN,
hunar samajhti hai yeh, boo-e-gul churaanay ko.

Waah!

Shukriya
5) tiri judaayii ka mousam hai, ab talak baqii
bahaar aayii, magar dil mira jalaanay ko.

Waah!

Shukriya
6) labooN pay apnay muHabbat bhara tarana liye,
phir aik baar unheeN, jaooNga manaanay ko.

Waah!

Shukriya
7) mira Ghuroor, falak waloo! HaQ bajanib hai,
mujhay chuna gaya hai, bar-e-kun uthaanay ko.

Waah!

Shukriya
maiN zindagii kay tA'qub meiN hooN maGan lakin,
ajal hai muntaZir apnay galay lagaanay ko.

Kiya kehne Waah!

bahut bahut Shukriya
9) ai! mayri bint-e-siyh baKHt, iss Giraani meiN,
kahaN say lavooN sitaaray tujhay sajaanay ko.

waah waah!

Zarah nawazi hai.....Shukriya
10) tiri TaraH kay bhalay loog ab kahaN! farHan!,
k jo gunaah samajhtay haiN, dil dukhaanay ko.

Bohot khoob waah Waah Waah Kiya kehne Bohot khub!

Bahut Bahut Shukriya Janaab
meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye. aor inshAllah agle mushae'rah ke liye bhee taiyyaar rahiye gaa. aap kee shumuliyat se bohot khushee ho gee.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar



daad aur mubarak baad kay liye main teh dil say aap ka mamnoon hooN. INSHALLAH....ab to yahan aap say mulaqaat hoti rahaygii.
aap say dast-basta duooN ki darkhast kay saath....

farhan
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Nazar yeh kis ki lagii, mayray aaSHiyaanay ko........far

Post by haamidbaaqri »

farhan wrote:
As Salamu aalaikum wa rahmatuallhi wa barakatuhu,,,

wa alaikumussaaam
mohtaram farhaan saahib


kaisay haiN aap?

Arbaab-e-MeHfil,,,

apni aik tazah TaraHi ghazal peesh kar raha hooN.

ata keejiye.

ummid hai pasand aayegi.

insha allah

Ghazal

1) Nazar yeh kis ki lagii, mayray aaSHiyaanay ko.
taras gaya hooN maiN, ik baar muskuranaanay ko.

2) bahaar hi nahiN jaanaaN, tire diwaanay ko.
Ghazaal-e-SHab bhi koi, aayii thi rijhaanay ko.

3) Sharaab-e-Zeest pilavoo, Haseen aankhooN say,
yeh ik jaam hai, peenay ko aur pilaanay ko.

4) naseem-e-SubH ki fiTrat ko jaanata hooN maiN,
hunar samajhti hai yeh, boo-e-gul churaanay ko.

5) tiri judaayii ka mousam hai, ab talak baqii
bahaar aayii, magar dil mira jalaanay ko.

6) labooN pay apnay muHabbat bhara tarana liye,
phir aik baar unheeN, jaooNga manaanay ko.

7) mira Ghuroor, falak waloo! HaQ bajanib hai,
mujhay chuna gaya hai, bar-e-kun uthaanay ko.

8) maiN zindagii kay tA'qub meiN hooN maGan lakin,
ajal hai muntaZir apnay galay lagaanay ko.

9) ai! mayri bint-e-siyh baKHt, iss Giraani meiN,
kahaN say lavooN sitaaray tujhay sajaanay ko.

10) tiri TaraH kay bhalay loog ab kahaN! farHan!,
k jo gunaah samajhtay haiN, dil dukhaanay ko.


talib-e-dua

FarHan.
aapki is dilkash ghazal per hamaari daad haazir hai qubool farmaayeN

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply