ik Taraf us ki lan tarani hai..........farhan

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

ik Taraf us ki lan tarani hai..........farhan

Post by farhan »



As salamu aalaikum wa rahmatuallhi wa barakatuhu,,,

aap tamaam membraan-e-mehfil ko Eid-ul-Adha bahut bahut mubarak ho.

apni TaraHi ghazal peesh-e-khidmat hai. ummid hai k pasand farmayeeNgaye.

Ghazal

1) aik raaj ki aik raani hai,
tayri mayri hi yeh kahani hai.

2) jaise darya meiN ik, rawani hai,
yeh jawani bhi, haaN diwani hai.

3)aa bhi ja'oo k rut suhani hai,
char din ki to zindagani hai.

4)ik Taraf Zidd, dikha tira chehra,
ik Taraf us ki lan tarani hai.

5)badshahooN ka badshah vohi,
char su, us ki Hukmrani hai.

6)Khoon arzaaN hai, Adl bikta hai,
koun kehta hai? yaaN Girani hai.

7)ishQ meiN jaan dayany ki farhan,
jo rawayat hai, voh purani hai.

Syed Abdul Azeez Farhan
Attachments
Husn.ik.kaif.e.jawidani.hai..gif
Husn.ik.kaif.e.jawidani.hai..gif (7.87 KiB) Viewed 286 times
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Syed Abdul Azeez Farhan SaaHib tasleemaat!

Aap kee Ghazal aap ke makhSooS andaaZ meN hai. saadah magar purkaar andaaZ meN iz^haar kee sae'ee caqah shaae'rooN kaa HiSSah raha hai. lekin bafaZ^l-e-khuda aap ke haaN is ke numune bata'daad-e-waafar milte haiN. jo balkeh aor dilaweZ haiN. meree janib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye!


1) aik raaja ki aik raani hai,
tayri mayri hi yeh kahani hai.

wah!

2) jaise darya meiN ik, rawani hai,
yeh jawani bhi, haaN diwani hai.

Waah!

3)aa bhi ja'oo k rut suhani hai,
char din ki to zindagani hai.

waah!

4)ik Taraf Zidd, dikha tira chehra,
ik Taraf us ki lan tarani hai.

oopar wala miSra' samajh naheeN aayaa!

5)badshahooN ka badshah vohi,
char su, us ki Hukmrani hai.

pehle miSra' ko yooN bhee kaha jaa saktaa hai. taa wazan meN bhee aajae.

"baadshah hai jo baadshahooN kaa"

6)Khoon arzaaN hai, Adl bikta hai,
koun kehta hai? yaaN Girani hai.

Kiya kehne Waah Waah!

7)ishQ meiN jaan dayany ki farhan,
jo rawayat hai, voh purani hai.

Waah Waah! pehle miSra' ko yooN kar ke dekhaa ja saktaa hai. "jaan dene kee e'shQ meN FarHaan"

meree janib se in khubSurat asha'aar par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar


farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

moHtaram Syed Abdul Azeez Farhan SaaHib tasleemaat!

Aap kee Ghazal aap ke makhSooS andaaZ meN hai. saadah magar purkaar andaaZ meN iz^haar kee sae'ee caqah shaae'rooN kaa HiSSah raha hai. lekin bafaZ^l-e-khuda aap ke haaN is ke numune bata'daad-e-waafar milte haiN. jo balkeh aor dilaweZ haiN. meree janib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye!


Janab-e-muHtaram Muzaffar SaHib...
Salaam o raHmat,

Janaab, ab maiN kiya arZ karooN,,,, mayra mamla to vohi hai k, mann aanam k mann danaam, lakin yeh aap ki khush-gumaani aur Husn-e-zan hai warna main apni koi bhi ghazal kisi bhi web-site per post karnay say pehlay main kai baar sochta hooN k post karooN ya nahiN...
dosrooN ka kalaam paRh kar mujhay apnay ashsaar baykaar aur bay-maani nazar aatay hain. kai baar to main Qalam zad bhi kardayta hooN.
bahr kaif, aap ka bahut shukar guzaar hooN. aap say duaooN ki guzarish hai.



1) aik raaja ki aik raani hai,
tayri mayri hi yeh kahani hai.

wah!

2) jaise darya meiN ik, rawani hai,
yeh jawani bhi, haaN diwani hai.

Waah!

3)aa bhi ja'oo k rut suhani hai,
char din ki to zindagani hai.

waah!

4)ik Taraf Zidd, dikha tira chehra,
ik Taraf us ki lan tarani hai.

oopar wala miSra' samajh naheeN aayaa!


ji! voh pehlay miSrA meiN , maiN nay shouQ-e-Moosa(AS) ki tarar ishara kiya hai.

5)badshahooN ka badshah vohi,
char su, us ki Hukmrani hai.

pehle miSra' ko yooN bhee kaha jaa saktaa hai. taa wazan meN bhee aajae.

"baadshah hai jo baadshahooN kaa"


Ji! aap ka tajweez kardah miSra, rawaaN aur bahut khoobsoorat hai.bahut bahut shukriya


6)Khoon arzaaN hai, Adl bikta hai,
koun kehta hai? yaaN Girani hai.

Kiya kehne Waah Waah!


Yeh shair mujhay bhi bahut pasand hai. shukriya janab!


7)ishQ meiN jaan dayany ki farhan,
jo rawayat hai, voh purani hai.

Waah Waah! pehle miSra' ko yooN kar ke dekhaa ja saktaa hai. "jaan dene kee e'shQ meN FarHaan"


aap ka bataya hua miSrA bahut khoob hai aur maiN isi ko qabool karta hooN...bahut bahut shukriya.


meree janib se in khubSurat asha'aar par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar


dilee daad kay liye maiN bhi aap ka teh dil say shukarguzaar hooN...ummid hai aap say mujhay aayenda bhi seekhanay ka moqua milta rahayga...


talib-e-dua

Farhan
Last edited by farhan on Thu Dec 27, 2007 10:57 am, edited 1 time in total.
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

sara_j wrote:Farhan,

salaam.

aapki ghazal dekhi aur pasand aayi is kamyaab koshish per daad qubool keejiye

aur shair # 6 per khusoosi daad.

sara

Sara Ji

Salaam o RaHmat,

ghazal ki pasandeedgii per maiN mamnooN hooN... aur shair # 6 per khusoosi daad kay liye bhi teh dil say shukarguzaar hooN..

talib-e-dua

Farhan
dilshadnazmi
-
-
Posts: 24
Joined: Sat Dec 31, 2005 9:41 pm
Location: jubail.ksa
Contact:

Post by dilshadnazmi »

farhan wrote:moHtaram Syed Abdul Azeez Farhan SaaHib tasleemaat!

Aap kee Ghazal aap ke makhSooS andaaZ meN hai. saadah magar purkaar andaaZ meN iz^haar kee sae'ee caqah shaae'rooN kaa HiSSah raha hai. lekin bafaZ^l-e-khuda aap ke haaN is ke numune bata'daad-e-waafar milte haiN. jo balkeh aor dilaweZ haiN. meree janib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye!


Janab-e-muHtaram Muzaffar SaHib...
Salaam o raHmat,

Janaab, ab maiN kiya arZ karooN,,,, mayra mamla to vohi hai k, mann aanam k mann danaam, lakin yeh aap ki khush-gumaani aur Husn-e-zan hai warna main apni koi bhi ghazal kisi bhi web-site per post karnay say pehlay main kai baar sochta hooN k post karooN ya nahiN...
dosrooN ka kalaam paRh kar mujhay apnay ashsaar baykaar aur bay-maani nazar aatay hain. kai baar to main Qalam zad bhi kardayta hooN.
bahr kaif, aap ka bahut shukar guzaar hooN. aap say duaooN ki guzarish hai.



1) aik raaja ki aik raani hai,
tayri mayri hi yeh kahani hai.

wah!

2) jaise darya meiN ik, rawani hai,
yeh jawani bhi, haaN diwani hai.

Waah!

3)aa bhi ja'oo k rut suhani hai,
char din ki to zindagani hai.

waah!

4)ik Taraf Zidd, dikha tira chehra,
ik Taraf us ki lan tarani hai.

oopar wala miSra' samajh naheeN aayaa!


ji! voh pehlay miSrA meiN , maiN nay shouQ-e-Moosa(AS) ki tarar ishara kiya hai.

5)badshahooN ka badshah vohi,
char su, us ki Hukmrani hai.

pehle miSra' ko yooN bhee kaha jaa saktaa hai. taa wazan meN bhee aajae.

"baadshah hai jo baadshahooN kaa"


Ji! aap ka tajweez kardah miSra, rawaaN aur bahut khoobsoorat hai.bahut bahut shukriya


6)Khoon arzaaN hai, Adl bikta hai,
koun kehta hai? yaaN Girani hai.

Kiya kehne Waah Waah!


Yeh shair mujhay bhi bahut pasand hai. shukriya janab!


7)ishQ meiN jaan dayany ki farhan,
jo rawayat hai, voh purani hai.

Waah Waah! pehle miSra' ko yooN kar ke dekhaa ja saktaa hai. "jaan dene kee e'shQ meN FarHaan"


aap ka bataya hua miSrA bahut khoob hai aur maiN isi ko qabool karta hooN...bahut bahut shukriya.


meree janib se in khubSurat asha'aar par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar


dilee daad kay liye maiN bhi aap ka teh dil say shukarguzaar hooN...ummid hai aap say mujhay aayenda bhi seekhanay ka moqua milta rahayga...


talib-e-dua

Farhan
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;


farhan sahib ,
salaom _o_alaekum ,


aap ki gazal nazar nawaz hui , , jaesa ke main ney pahley bhi kisi site par isskey mutal_liq kaha thaa , aap ne dekha hoga , ab mazeed dohraney ki zaroorat nahi samajhta , magar muzaffar ne aap ke iss misrey par jo tarmeem ka isharah kiya hai , main samjhta hoon ke uskey mutaliq kuch kahney ki jisarat karoo'n
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;

)badshahooN ka badshah vohi,
char su, us ki Hukmrani hai.

pehle miSra' ko yooN bhee kaha jaa saktaa hai. taa wazan meN bhee aajae.

"baadshah hai jo baadshahooN kaa"

Ji! aap ka tajweez kardah miSra, rawaaN aur bahut khoobsoorat hai.bahut bahut shukriya


. baadshah hai jo baadshahoon ka ( me )

baadsha hi wazn me aa raha hai baadshah lafz ka aakhri harf hey wazn me shamil nahi ho pa raha hai , jab ke baadshaah poora likha ja ta hai, na ke baadsha,
be , alif ,dal ,sheen , alif , aur hey ,,,baadshaah , main chahoonga ke muzaffar sahib iss zimn me meri rahnumai farmaein ,
takey meri uljhan door ho sakey , ke lafz baadshaah hai ya baadsha?

dilshadnazmi
dilshadnazmi.jubail.ksa
Post Reply