Ek Romantic Geet....

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Ek Romantic Geet....

Post by munir-armaan-nasimi »

Pyare Saathiyo,

Aadaab! Main bhi aksar Doston kii tarah.....College ke Zamane main "Romeo/ Farhaad/ Qais/ Ranjha" kii Beradari main shaamil tha... Us waqt ek Geet likha tha.... achanak aaj mil gaya hai... Socha, apna yeh "Rang" bhi aap logon ko Dikhaa doon......

Ab faisla aapke haathon main..... ya yon kahein aapki ungliyon main hai.... jaldi se type karein aur apne khayaalat se aagah karein, mamnoon rahoonga.

Aap ka apna,

Armaan

[attachment=0]Nazm-Aye-Chaand-Tujhe.jpg[/attachment]

TERE NAAM....!!

Aarzo’on ka taj mahal tere naam
Armanon ka sheesh mahal tere naam

Chahat ka shafaaf kanwal tere naam
Sapnon ka rangeen har pal tere naam

Phoolon ki komal muskaan tere naam
Bhanvron ki sureli gaan tere naam

Subah ki pehli sharmeeli Kiran tere naam
Masjid ki azan mandir ka bhajan tere naam……

Tapti dopahar ke maathe ka paseena tere naam
Thaki shaam ka pursakoon safina tere naam

Mahakti raaton ki tanhayee tere naam
Sandalee khwabon ki angrayee tere naam

Bheege nainon ke geele mausam tere naam
Rukh pe uljhi zulf-e-barham tere naam

Honton ka ganga jamni sargam tere naam
Jazbon ki pakeezah shabnam tere naam

Mera soz-e-dil meri chashm-e-nam tere naam
Meri shayeri mera her gham tere naam

Aye chand tujhe chahat ki qasam....
Tu jo raat ko ser ko nikele ga
Mera chand ager mil jaye kahiin...
Bas itna us se poochega

Maine sab kuch uske naam kia
Keon usne mujhay badnaam kia ??!
#@#

Muneer Armaan Nasimi
(Roman version by - Adeel, Kolkata)
Attachments
Nazm-Aye-Chaand-Tujhe.jpg
Nazm-Aye-Chaand-Tujhe.jpg (113.19 KiB) Viewed 208 times
Last edited by munir-armaan-nasimi on Fri Feb 08, 2008 5:13 am, edited 1 time in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Muneer SaaHib tasleemaat!

aap kaa Geet "aeY chaand tujhe chahat kee qasam" waqa'ee qaabil-e-daad hai. geet nigaaree bhee aek fan hai. aor khush qismatee se aap ko is hunar meN bhee khaaSee maharat HaaSil hai. meree dilee dua'aa hai keh Allah aap ko is meN mazeed taraqqiyaat se sarfaraaZ farma de. Aameen!

tashreef laate rahiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Beradaram Muzaffar Saaheb,

aap ko ye jaan kar hairat hogi ke meri shairi ki ibteda hi "Geet" se hoyi hai; Mere Ustaad-e-Mohtaram Hazrat Bekal Utsahi Qiblah Urdu Zaban o Adab kii duniya main "Mustanad o Munfarad Geet Kaar" ke tor par jaane jaate hain.

aapko meri Geet pasand aayi... behad shukriya magar........

aisa lagta hai Urdubandhan ke doosre saathiyon ko yeh sinf pasand nahin hai....... kisi ka koi radd-e-amal nahin hai.....

Alla'h aapki Dua'on ke sadqe main mujhe aur achcha kehne ki taufeeq ata farmaye. Aameen.

aap ka bhai,

Munir Armaan
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

:o
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Munir Armaan Nasimi
SaaHab

aapka geet achcha laga. meri dad qubool kijiy.

aap ne "subject" meN likha hai MERI GEET jo Ghalat hai. geet lafz muzakkar hai. mera geet hona chaahiye. mundarjazel alfaz meN kaun sa muzakkar hai kaun sa moannaS note kar lijiyega:

geet...muzakkar(male gender)
Ghazal....moannaS(female)
Nazm...moannas
nagma...muzakkar
qita.....muzakkar
maZmoon....muzakkar
afsana....muzakkar
kahani...moannaS

aapka muKhliS
Jawaid
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

jawaid badauni wrote:Munir Armaan Nasimi SaaHab

aapka geet achcha laga. meri dad qubool kijiy.

aap ne "subject" meN likha hai MERI GEET jo Ghalat hai. geet lafz muzakkar hai. mera geet hona chaahiye.
aapka muKhliS
Jawaid
Zah-e-naseeb ke aapne mere Geet ko pasand kiya. Shukriya Sir!

main ne likha hai "Meri Geet" aur aap bilkul sahi farma rahe hain ke ye lafz muzakkar hai. Magar jab main urdu padhta tha to hamare Ustaadji ne ek baar hamein ek baat kahi ke..... jis lafz ka aakhri harf "Te" ho jaise - Mohabbat, Shafaquat, Izzat, Hurmat, Aurat, Nazakat aur Maut.... wo sab Moannas hote hain......

Main ne socha GEET main bhi aakhri harf "Te" hai to shayad ye moannas hoga magar mujhe pata tha ke ustaad hazraat isko muzakkar baandhte hain. Main ne jaan boojh kar yahan "Meri Geet" likha aur mujhe yaqeen tha ke sab se pahle SARWAR SIR ka dhyaan idhar jaayega aur woh mujhe islah denge magar...... mujhe bahut khushi hoyi ke sab se pahle aapka dhyaan idhar gaya. Sach hi kaha hai kisi ne ke...... USTAADON KI BAAT HI NIRAALI HOTI HAI.... main aap ka mamnoon hoon Sir ke aapne meri islah ki.

Sir, aap kaun se country main rehte hain. Mera Majmooa manzar-e-aam pe aa chuka hai wohh main aapko rawana karna chaahta hoon....

aapka apna,

munir armaan nasimi
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

munir-armaan-nasimi wrote:

Azeezi Munir Arman Saahab

maiN Muscat meN rahta hooN jo Oman meN hai. Itni door aap majmooa kya bhejeNge. jab maiN hindustan aaooNga aap ko bata dooNga tab hi bhej deejiyega. Bohat bohat shukriya.

MuKhliS
Jawaid

munir armaan nasimi
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

[green]MOHTARAM JAWAID BHAI... KAHIN SE SUNA HAI KE AAPKI SHAADI KI SILVER JUBILEE ANNIVERSARY HAI...... MERI TARAF SE BHI DHER SAARI BADHAAYI HO..... !!
[/green]
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
Post Reply