ronay walay tujhay kis baat pe rona aayaa.....by farhan

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

ronay walay tujhay kis baat pe rona aayaa.....by farhan

Post by farhan »


As Salamu aalaikum wa rahmatuallhi wa barakatuhu,,,

Arbaab-e-MeHfil,,,

apni aik tazah TaraHi ghazal peesh kar raha hooN.

Ghazal

1)mujhay Quraan ki aayaat pe rona aayaa.
ronay walay tujhay kis baat pe rona aayaa.

2)jis ko HaSil thi kabhi rafAat-e-aflaak yahan,
usi insaan ki aouQaat pe rona aayaa.

3)mousam-e-hijr meiN ab k yeh hai Aalam dil ka,
baat bay baat, har ik baat pe rona aayaa.

4)mayri aankhooN k liye phir say sitaaray layii,
shab-e-hijraaN tiri souGhaat pe rona aayaa.

5)abr barsay, pe hara dasht-e-tamanna na hua,
baat aise hi k barsaat pe rona aayaa.

6)umr baRhti hi gayii, zeest yeh ghaTti hi gayii,
din raat, gardish-e-Halaat pe rona aayaa.

7)Cheen kar lay gaya mujh say voh mira Chain-o-sukooN,
us GhaRi bhar ki mulaQaat pe rona aayaa.

8)chain milta nahin din raat ka rona yeh hai,
ishQ meiN muft ki aafaat pe rona aayaa.

9)dhoop meiN barf piGhal jata hai jaisay Farhan!
muKthSar waSl kay lamHaat pe rona aayaa.

talib-e-dua

Syed Abdul Azeez Farhan

Attachments
ronay.walay.tujhay.kis.baat.pay.rona.aaya.gif
ronay.walay.tujhay.kis.baat.pay.rona.aaya.gif (8.64 KiB) Viewed 432 times
Last edited by farhan on Mon Feb 04, 2008 2:14 pm, edited 1 time in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Farhan SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

kaese miZaaj haiN? Allah kare keh aap kheriyat se hooN.
aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. kiya kehne bohot khoob asha'aar haiN. jo aap kee urdu shaae'ree se muHabbat aor she'er-o-naGhmah se raGhbat kee a'kkaasee kartee hai. mujhe sabhe asha'aar dil-o-jaan se pasand aaeY haiN. aap ke makhSooS andaaZ meN kahee gaee Ghazal jo taSawwuf kaa ranG aor taGhazzul kee miThaas liye huwe hai. bilashubah HaseeN koshish hai.

meree dua'aa hai keh aap yooN hee likhte raheeN aor ham sab ko apne kalam se mustafeed farmate raheeN.

1)mujhay Quraan ki aayaat pe rona aayaa.
ronay walay tujhay kis baat pe rona aayaa.

Kiya kehne Waah Waah!

2)jis ko HaSil thi kabhi rafAat-e-aflaak yahan,
usi insaan ki aouQaat pe rona aayaa.

Wah Waah!

3)mousam-e-hijr meiN ab k yeh hai Aalam dil ka,
baat bay baat, har ik baat pe rona aayaa.

Kiya kehne Waah!

4)mayri aankhooN k liye phir say sitaaray layii,
shab-e-hijraaN tiri souGhaat pe rona aayaa.

Bohot khoob!

5)abr barsay, pe hara dasht-e-tamanna na hua,
baat aise hi k barsaat pe rona aayaa.

Kiya keh Waah Waah!

6)umr baRhti hi gayii, zeest yeh ghaTti hi gayii,
din raat, gardish-e-Halaat pe rona aayaa.

Waah is agar yooN kaha jaeY to behtar rahe gaa.

"raat din Gardish-e-Haalaat========="

7)Cheen kar lay gaya mujh say voh mira Chain-o-sukooN,
us GhaRi bhar ki mulaQaat pe rona aayaa.

Waah Waah!

8)chain milta nahin din raat ka rona yeh hai,
ishQ meiN muft ki aafaat pe rona aayaa.

Bohot khoob!

9)dhoop meiN barf piGhal jata hai jaisay Farhan!
muKthSar waSl kay lamHaat pe rona aayaa.

Waah Waah!

meree jaanib se dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
moHtaram Farhan SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

kaese miZaaj haiN? Allah kare keh aap kheriyat se hooN.
aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. kiya kehne bohot khoob asha'aar haiN. jo aap kee urdu shaae'ree se muHabbat aor she'er-o-naGhmah se raGhbat kee a'kkaasee kartee hai. mujhe sabhe asha'aar dil-o-jaan se pasand aaeY haiN. aap ke makhSooS andaaZ meN kahee gaee Ghazal jo taSawwuf kaa ranG aor taGhazzul kee miThaas liye huwe hai. bilashubah HaseeN koshish hai.

meree dua'aa hai keh aap yooN hee likhte raheeN aor ham sab ko apne kalam se mustafeed farmate raheeN.



Janab-e-MuHtaram Muzaffar SaHib,,,

Salaam o RaHmat...

maiN ALLAH k fazl o karam say ba-aafiyat hooN! aap sunayeeN kaisay mizaaj haiN aap k?
maiN aap say mAa'zirat-khaw hooN ki jawab daynay main taKheer hui! dar-aSl maiN in dinooN kuch ziyadah hi maSroof raha.

aap ko yeh ghazal dil o jaan say pasand aayii, yeh jaan kar mujhay bahut khushii huii. is ghazal ki paziraii ka bahut bahut shukriya..

aap nay mujhay dua say bhi nawaz jis kay liye main aap ka teh dil say shukar-guzaar hooN.


1)mujhay Quraan ki aayaat pe rona aayaa.
ronay walay tujhay kis baat pe rona aayaa.

Kiya kehne Waah Waah!


bahut bahut shukriya

2)jis ko HaSil thi kabhi rafAat-e-aflaak yahan,
usi insaan ki aouQaat pe rona aayaa.

Wah Waah!

shukriya

3)mousam-e-hijr meiN ab k yeh hai Aalam dil ka,
baat bay baat, har ik baat pe rona aayaa.

Kiya kehne Waah!

ik baar phir shukriya


4)mayri aankhooN k liye phir say sitaaray layii,
shab-e-hijraaN tiri souGhaat pe rona aayaa.

Bohot khoob!

bahut bahut shukriya

5)abr barsay, pe hara dasht-e-tamanna na hua,
baat aise hi k barsaat pe rona aayaa.

Kiya keh Waah Waah!

shukriya, shukriya

6)umr baRhti hi gayii, zeest yeh ghaTti hi gayii,
din raat, gardish-e-Halaat pe rona aayaa.

Waah is agar yooN kaha jaeY to behtar rahe gaa.

"raat din Gardish-e-Haalaat========="

Ji dar-aSl yeh raat din hi hai. yahan typo hai. waise image maiN yeh "raat din" hi likha gaya hai.is taraf tawajjah dilanay ka shukriya. main nay roman urdu meiN taSHeeH kar di hai.

7)Cheen kar lay gaya mujh say voh mira Chain-o-sukooN,
us GhaRi bhar ki mulaQaat pe rona aayaa.

Waah Waah!

ik baar phir shukriya

8)chain milta nahin din raat ka rona yeh hai,
ishQ meiN muft ki aafaat pe rona aayaa.

Bohot khoob!


bahut bahut shukriya


9)dhoop meiN barf piGhal jata hai jaisay Farhan!
muKthSar waSl kay lamHaat pe rona aayaa.

Waah Waah!

meree jaanib se dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar



shukriya...

waisay is ghazal ko chispaaN karnay kay baad ik aur shair hogaya, aap ki nazr karta hooN.



::maiN na pehlay sa maiN hooN, aur na tu pehlay sa tu,
hijr ki mujh ko karamaat pe rona aaya::


is shair kay baray main aap ki rayee ka intazaar rahy ga..

daad kay liye ik baar phir mamnooN hooN. JAZAKUMULLAHU KHAIRA..

Farhan

Post Reply