[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!
GuZarish#37 mah-e-rawaaN 2008 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai. jise maqbool aor ham sab ke moHtaram shaae'ir Janab Abdullah Naz^ir SaaHib ke deewaan "taar-e-infaas-e-Ghazal" se muntakhib kiya geya hai. ummeed hai pasand farmaeeN geY. mulaHiZ^ah farmaiye.
"khud ko pehchaanneY meN ZamaaneY laGeY"
Quwaafee: Zamane, bahaneY, fasaaneY, ThikaaneY, bataneY, jalaneY, luTaaneY waGhaerah.
radeef: laGeY
beHer: beHer kee yeh shakl beHer-e-mutadaarik mucammin saalim kehlaatee hai. yeh beHer donooN HalatooN ya'nee mucammin aor muZ^aae'f (iSlaaH-e-i'lm-ul-Saraf meN woh kalemah jis ke aakhir meN aek jins ke do Haraf aaeeN) kee shakl meN miltee hai. muZ^aae'f kee Surat meN arkaan kee ta'daad do gunaa kar dee jatee hai. arkaan kee ta'daad do gunaa karne kee wajah se is beHer meN maoseeqeeyat baRh jatee hai. aor jo is kee maqbooliyat kaa baae'ic hai.
afae'il:= faa i' lun...............faa i' lun..............faa i' lun...........faa i' lun
=212...............212...............212...............212
=/0//0............../0//0.........../0//0............../0//0
=lsl................lsl...............lsl....................lsl
Qawee ummeed kee jatee hai keh sabhee dost marqoom-e-baala miSra' par dilkash asha'aar keh kar apnee adabee wabastagee kaa muZ^ahirah farmakar mamnoon farmaeeN geY.
mutamanni-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan[/align]
t^arHee miSra' GuZarish#37 pesh-e-khidmat hai.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact: