ummeed-o-aarzoo miree damsaaz ban gayee!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ummeed-o-aarzoo miree damsaaz ban gayee!

Post by Sarwar A. Raz »

[align=center]yaaraan-e-Anjuman: aadaab-o-tasleemaat!

chand roz huwe maiN :phone: par Swami jee (Delhi, India) se baat kar rahaa thaa. Swami jee ko Urdu ke saikaRoN ash,a'ar zabaanee yaad haiN aur woh guftgoo kee munaasibat se barjastah she'r sunaate jaate haiN. yeh a'jeeb baat hai keh woh Urdu se naa-waaqif haiN aur unheN yeh bhee yaad naheeN keh ash,a'ar kab aur kahaaN sune yaa paRhe the lekin sab un ke HaafiZ^eh meN meHfooz^ haiN! guftgoo ke dauraan unhoN ne ek she'r sunaayaa:

ik aah-e-dilfigaar thee jo saaz ban gayee
jab Had se baRh gayee, miree aawaaz ban gayee

maiN ne kahaa keh :Swami jee! is zameen meN Ghazal kahooN gaa aur us ko aap kee nazr karooN gaa:!

so kayee maah ke ba'd kal is zameen meN ek Ghazal kahee hai jo aap kee Khidmat meN pesh kar rahaa hooN. Swami jee kaa shukr-guzaar hooN keh unhoN ne phir mujh ko shaa,i'ree kee :raah se lagaa diyaa:! to ab Ghazal suniYe. aap ke Khayaalaat aur raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
==============================

Ghazal

ummeed-o-aarzoo miree damsaaz ban gayee
ik soz-e-a'ashiqee banee, ik saaz ban gayee!

saudaa nah kam huwaa sar-e-maqSood-e-a'ashiqee
kyaa intihaaYe-aarzoo aaGhaaz ban gayee?

yaaro! yeh kyaa huwaa keh sar-e-bazm-e-zindagee?
jo bhee Ghazal kahee, sharar-andaaz ban gayee!

kaisee talaash, kis kee tamnnaa, kahaaN kee deed
Khud meree Zaat mere liYe raaz ban gayee!

waa-maaNdagee-e-baal-o-par-e-fikr? al-amaaN!
Had se baRhee to himmat-e-parwaaz ban gayee

yooN aashnaa-e-koochah-e-aawaaragee rahe
har naa-muraadee shauq-e-tag-o-taaz ban gayee

jab maiN ne baRh ke us kee naz^ar ko kiyaa salaam
jhuk kar woh fitnah-zaa Ghalat^-andaaz ban gayee!

"Sarwar" yeh faiZ^-e-"Raz" hai keh teree shaa,i'ree
Husn-e-suKhan se gulshan-e-Shiraz ban gayee!
--------------------------

"Raz" : waalid-e-marHoom "Raz" Chandpuri SaaHeb
===========================
damsaaz = hamdard, saathee
saudaa = junoon, deewaanagee
sar-e-maqSood-e-a'ashiqee = i'shq kee manzil par poNhach kar
sharar-andaaz = chiNgaaree barsaane waalee
waa-maaNdagee = thakaan
baal-o-par-e-fikr = Khayaal ke par (uRaan)
al-amaaN = Khudaa kee panaah
tag-o-taaz = bhaag-dauR, koshish
fitnah-zaa = fitnah phailaane waalee
Ghalat^-andaaz = jaan kar anjaanee
Shiraz = Iran kaa ek KhoobSoorat shehr (mash,hoor shaa,i'r :Hafiz: aur :Sa'dee: Shiraz se hee the.)
[/align]
Attachments
gg-ummeed-o-aarzoo.jpg.jpg
gg-ummeed-o-aarzoo.jpg.jpg (123.71 KiB) Viewed 136 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Sarwar A'alam Raz sarwar SaaHib tasleemaat! :-)

Ummeed hai kheriyat se hooN ge. Swaami jee is aa'tebaar se shukriyah ke mustaHiq haiN keh woh aap ko az sar-e-nao gulshan-e-shaae'ree meN le aaeY. warnah aek muddat se aap kee jaanib se koee Ghazal a't^aa nah huee thee. jis ke baae'ic aek khaaS qisam kee udaasee thee. jo har khaaS-o-a'aam meHsoos kar raha thaa. ab jabkeh aap kee tazah Ghazal manz^ar-e-a'aam par aaee hai. to baRee khushee aor ut^meenaan kaa cabab banee hai. Allah yeh silsilah barqaraar rakheY Aameen!

ummeed-o-aarzoo miree damsaaz ban gayee
ik soz-e-a'ashiqee banee, ik saaz ban gayee!

Bohot khoob! Waah Waah! Ummeed-o-aarzu kee tarkeeb dilkash hai!

saudaa nah kam huwaa sar-e-maqSood-e-a'ashiqee
kyaa intihaaYe-aarzoo aaGhaaz ban gayee?

Kiya kehne waah!

yaaro! yeh kyaa huwaa keh sar-e-bazm-e-zindagee?
jo bhee Ghazal kahee, sharar-andaaz ban gayee!

Bohot khoob Waah Waah Waah Kiyaa baat hai!

kaisee talaash, kis kee tamnnaa, kahaaN kee deed
Khud meree Zaat mere liYe raaz ban gayee!

Bohot khoob Waah Waah Waah!

waa-maaNdagee-e-baal-o-par-e-fikr? al-amaaN!
Had se baRhee to himmat-e-parwaaz ban gayee

Kiya kehne!

yooN aashnaa-e-koochah-e-aawaaragee rahe
har naa-muraadee shauq-e-tag-o-taaz ban gayee

Waah Waah lajawaab she'er hai!

jab maiN ne baRh ke us kee naz^ar ko kiyaa salaam
jhuk kar woh fitnah-zaa Ghalat^-andaaz ban gayee!

Waah Waah!

"Sarwar" yeh faiZ^-e-"Raz" hai keh teree shaa,i'ree
Husn-e-suKhan se gulshan-e-Shiraz ban gayee!

Beshak yeh unhee kaa faeZ^ hai. Waah Waah!

meree jaanib se is dilkash aor nihayat khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. mujheY ummeed hai keh aap ab baaqaae'dagee se (mahanah t^arHee mushae'rooN meN shirkat farma kar) she'er kehte raheeN ge. aor yooN apne teesreY deewaan kee taiyyaaree ke liye bhee kamar bastah ho jaeeN geY.

maiN aap kaa zeyaadah waqt nah lete huweY khat^ tamaam kartaa hooN.
DherooN dua'aeeN!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

biraadaram Muzaffar SaaHeb:aadaab!

mamnoon hooN keh aap ne Ghazal ko dekhaa aur pasand bhee kiyaa. ab Ghazal-goyee bohat kam ho gayee hai. Khair, yeh to hotaa hee rehtaa hai. aap kee daad kaa bohat shukriyah!

aap teesre majmoo,e'h kee baat karte haiN? woh to tai,yyaar hai! Hindustan us ko chhapwaane ke Khayaal se le bhee gayaa thaa lekin phir ba-wujooh iraadah multawee kar diyaa. ab dekhiYe kab is kee baaree aatee hai. waise kitaab chhapwaanaa ab gunaah-e-belaZZat ho kar reh gayaa hai. koyee letaa to hai naheeN, so paise Kharaab karne se kyaa HaaSil? yeh mas,alah bohat mushkil hai.

aur raawee sab chain boltaa hai.

Sarwar Alam Raz
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: ummeed-o-aarzoo miree damsaaz ban gayee!

Post by munir-armaan-nasimi »

MOHTARAM SARWAR RAZ SAAHEB.....

: aadaab :

Hum bhi Swami jee ke shukr-guzaar hain keh unhon ne Aapse itni pyari, sunder, murassa Ghazal Osool kar li aur..... hamein bhi us se faizyaab hone ka mauqa enayat farmaya.....

Main kya aur Meri Rai kya phir bhi....... mujhe mandarja zail ashaar behad pasand aaye....



ummeed-o-aarzoo miree damsaaz ban gayee
ik soz-e-a'ashiqee banee, ik saaz ban gayee!

yaaro! yeh kyaa huwaa keh sar-e-bazm-e-zindagee?
jo bhee Ghazal kahee, sharar-andaaz ban gayee!

kaisee talaash, kis kee tamnnaa, kahaaN kee deed
Khud meree Zaat mere liYe raaz ban gayee!


AUR MAIN YE ASHAAR... SAMAJH NAHIN PAYA....... (INTEHAAYI SHARMINDAH HOON)

yooN aashnaa-e-koochah-e-aawaaragee rahe
har naa-muraadee shauq-e-tag-o-taaz ban gayee

jab maiN ne baRh ke us kee naz^ar ko kiyaa salaam
jhuk kar woh fitnah-zaa Ghalat^-andaaz ban gayee!


AUR AAPKA MAQTA... BAHUT JAANDAAR HAI..... MAQTA BHI HAI AUR APNE USTAAD KO KHIRAJ-E-AQEEDAT BHI..... WAH WAH KYA KEHNE

"Sarwar" yeh faiZ^-e-"Raz" hai keh teree shaa,i'ree
Husn-e-suKhan se gulshan-e-Shiraz ban gayee!



ALLA'H KARE AAP ROZ ROZ
AISI HASEEN O JAMEEL GHAZAL HUMSE SHARE KARTE RAHEIN
AUR HUM US SE MUSTAFEZ HOTE RAHEIN

BADE LOGON KO PADH KE BHI BAHUT KUCHH SEEKH MILTI HAI.


armaan
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezam Munir SaaHeb: aadaab!

aap kaa Khat^ masarrat aur Khush-dilee kaa baa,ic huwaa. daad ke liYe maiN aap kaa mamnoon hooN. ab Ghazal-goyee kam ho gayee hai. aap log dekh lete haiN to yeh baRee baat hai.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply