muhammad_19k wrote:Shukriyaa Yasir Sb,
Darasal meiN ne doosre sha'er pasand kiyaa thaa. aor meiN chahtaa thaa ke meiN us ki wajaa bhi bayaan kar dooN.
Jub meiN ne pehli baar donoaN sha'er paRhay to pehlay hamlay meiN mujhe pehlaa sha'er bohat pasand aayaa. phir meiN ne ghor kiyaa toa pataa chalaa ke soora sha'er bohat buland hai oar pehlaa sha'er us ka kissi bhi taraH muqabilaa naheeN kartaa (maire nazdeek oar is se kissi ka ittefaaq karnaa bil kul bhi zaroori naheeN.). doosra misRa Haqeeqat ke zyaadaa qareeb hai.
daikhiaye pehlaa msiraa, par ghor karte haiN
1-chaman meN gul ne jo kal da'waa-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne muNh us kaa khoob laal kiyaa
agar gul daawaa e jamaal kartaa hai kia buraa hai? kya us ke jamaal se inkaar hai? haaN agar jamaal yaar ki barabari ki baat ho to phir aitraaz barHaq hai jaisa ke doosre sha'er meiN bayaan kiyaa gyaa hai. daikhiaye.
2-baraabaree kaa tire gul ne jab khayaal kiyaa
Sabaa ne maar thapaiRaa muNh us kaa laal kiyaa
iss taraH ab doosre miSra par aa-i-aye,
1-chaman meN gul ne jo kal da'waa-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne muNh us kaa khoob laal kiyaa
jamaal e yaar ne muNh laal kiyaa aik khoobSoorat khyaal hai laikin ghuloo hai. doosri taraf daikhiaye khyaal ki khoobSoorti ko haqeetan rang meiN barqaraar rakhaa gayaa hai.
2-baraabaree kaa tire gul ne jab khayaal kiyaa
Sabaa ne maar thapaiRaa muNh us kaa laal kiyaa
iss tarz par sochte huway mujhe doosraa sha'er zydaa pasand aayaa.
dua'aa goa,
Muhamamd K. Siddiqui.
muHtaram Khaawar SaaHib !
aap kaa zaawiyah-e-nigaah bulaNd hay kyooNkeh aazaad hay ,, albattah isay mazeed wusa't dee jaa saktee hay -
aap kaa taqaabalee jaaizah doosray she'r ki infiraadiyat ki Had tak mujhay pasand aayaa-
daiKhiye ,, auroN ki kyaa raa.ay hay is baaray meN -
yasir