Urdu Duniya ke mushairey ke liye meri ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Urdu Duniya ke mushairey ke liye meri ghazal

Post by jawaid badauni »



harik raah meN kuch nishaaN choR aaye
“jahaN bhi gaye daastaaN choR aaye”


kiraaye ke ghar meN Khushee se makiN haiN
watan meN jo apna makaN choR aaye


hum aa tou gaye koo.e janaN se lekin
waheeN apna dil apni jaan choR aaye


tumheN yaad karke woh roti tou hogee
waTan meN jo tum apni maaN choR aaye


tapish hi tamanna.e ahle junooN thee
kaRee dhoop meN saaibaaN choR aaye


kashish maikadey ki arey toba toba
masajid ko peer.e muGaaN choR aaye


KhazaaoN se raGbat thee :Jawaid: humko
bahar aayee tou gulsitaaN choR aaye


Aapki aara ka muntazir,
Jawaid Badauni


-------------------------------------------------
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!

Awwal-ul-zikr mushae'rah hazah meN aap kee shumuliyat ke liye teh-e-dil se mamnoon hooN.

GuZarish#31 mah-e-rawaaN ke t^arHee miSra' ke liye aap ke asha'aar firdoos-e-naz^ar huweY. mua'amlaat-e-Husn-o-e'shq aor wat^an se dooree ne aap kee daakhlee jazbaat-o-eHsaasaat ko Dhakaa chupaa nah rehne diya balkeh daakhlee sachchaaee ko khaarajee Haqeeqat bana kar pesh kar diya. aor is daakhliyat meN romaan aor jazbah-e-khulooS jo sachchee muHabbat ko janam detaa hai. jo Sirf :maaN: ke dil meN paedah hota hai. ko Ghazal ke HaseeN aahanG meN Dhaal kar aek HaseeN ramz a'T^aa kar diya hai. yeh kehna Ghalat^ nah ho gaa keh aap ne :Mir: aor :Jigar: kee t^arH she'er ko hee sukhan kaa pardah bana diya hai. aor yahee aap kaa fan bhee qaraar paya hai. jaesa keh sab jaante haiN keh Jigar kee shae'eree ummeed-e-fardaa, takmeel-e-Zaoq-o-shaoq ke shadeed eHsaas kaa nateejah hai. isee t^arH aap kaa kalam bhee Husn-o-e'shq ke HaoSlah mandaanah raaz-o-neyaaZ aor khush aae'ind aarZo'ooN ka muraqqa' hai.

harik raah meN kuch nishaaN choR aaye
“jahaN bhi gaye daastaaN choR aaye”

Bohot khoob! Waah Waah!


kiraaye ke ghar meN Khushee se makiN haiN
waTan meN jo apna makaN choR aaye

Bohot khoob! waah Waah!

hum aa tou gaye koo.e janaN se lekin
waheeN apna dil apni jaan choR aaye

Kiya kehne! Waah!

tumheN yaad karke woh roti tou hogee
waTan meN jo tum apni maaN choR aaye

Bohot khoob Waah Waah Waah! Kiya kehne Waah Waah!

tapish hi tamanna.e ahle junooN thee
kaRee dhoop meN saaibaaN choR aaye

Kiya kehne Waah!

kashish maikadey ki arey toba toba
masajid ko peer.e muGaaN choR aaye

Bohot khoob Waah Waah Waah Kiya baat hai!

KhazaaoN se raGbat thee :Jawaid: humko
bahar aayee tou gulsitaaN choR aaye

Bohot khoob Waah Waah Kiyaa baat hai lajawab maqt^a' ho geya hai Waah!

meree jaanib se is dilawaeZ aor rooH parwar Ghazal kee pesh kash par dilee daad pesh-e-khidmat hai so qubool farma kar mamnoon farma deejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezi Muzaffar Saahab,
tasleemaat

naye qism ke ashAAr kaho tou purane log naraz ho jate haiN, puranee bateN hamesha kahte raho yeh dil nahiN maanta. mere khyaal se "aql ki suniye dil ka kaha kijiye" wali Khumaar Saahab ki tajweez per amal karna hoga. Kub tak husne yaar, gesoo.e janaN ke Kham, bulbul aur qafas, sharab aur nashsha, raahbar ke faresb aur saqee ki beruKhee per sher kaheNge. Kya huuwa agar apni Maan ke aanso'oN per ek sher kah diya. aaKhir woh hamari maaN hai aur hameN yaad zaroor kartee hogee, rotee bhi hogee.

ab maiN ne is baat ki fikr choR dee hai kaun kya kahega bus un maZameen per kahta hooN jin per mera dil chaahta hai. Gham haai zamana hamari shairee ka HiSSa bun chuke haiN is koii inkaar nahiN kar sakta. haan ghazal ki puraanee riwaayaat ka ek/dou sheroN meN mai ehtraam karta hi hooN.

aap ne ek baar phir apni giraaNqadr aara se nawaza hai ur meri behud himmat afzaaii farmaai hai jiske liye aap ka mamnoon hooN.

miSrey tou is baar bhi dushwaar thEy magar ab maiN aap ki majboori samajhne laga hooN keh kahaN tak aur kahaN se layeNge aasan miSre. chaliye achcha hai kuch ziyadah meHnat karna paRe tou mashq bhi achchee ho jayegee.


Apka apna,

Jawaid
Post Reply