ho gayee me'raaj-e-i'shq-o-a'ashiqee HaaSil hameN!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ho gayee me'raaj-e-i'shq-o-a'ashiqee HaaSil hameN!

Post by Sarwar A. Raz »

[align=center]yaaraan-e-Anjuman: aadaab-o-tasleemaat!

ek taazah Ghazal le kar HaaZ^ir ho rahaa hooN. dekhiYe kisee qaabil hai bhee keh naheeN. aap ke khayaalaat aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!

chand mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh diYe haiN. shaayad kisee kaa kaam aa jaaYeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
------------------------

Ghazal:

ho gayee me'raaj-e-i'shq-o-a'ashiqee HaaSil hameN
:pehle dard-e-dil milaa, ba'd us ke daaGh-e-dil hameN!:

bandagaan-e-aarzoo meN kar liyaa shaamil hameN
aap ne, shukr-e-Khudaa! samjhaa kisee qaabil hameN!

kam-nigaahee, taNg-daamaanee, wufoor-e-aarzoo
zindagee! teree t^lab meN yeh huwaa HaaSil hameN!

is qadar aasoodah-e-raah-e-muHabbat ho gaYe
DhooNDtee phirtee hai har soo shorish-e-manzil hameN

lamHah lamHah, leHz^ah leHz^eh, woh qareeb aate gaYe
raftah raftah kar gaYe Khud aaps se Ghaafil hameN!

ban gayaa Khud apnaa HaaSil a'alam-e-Khudraftagee
dekhtee hee reh gayee dunyaa-e-aab-o-gil hameN

deedah-e-beenaa, dil-e-Khushkaam, fikr-e-beniyaaz
ab koyee mushkil naz^ar aatee naheeN mushkil hameN!

Khud ko hee taareeKh duhraatee hai jab "Sarwar" to phir
kyoN naz^ar aayaa naheeN maaZ^ee meN mustaqbil hameN?
--------------------------

me'raaj = balandee, kaamyaabee
bandagaan-e-aarzoo = aarzoo karne waale bande yaa log
kam-nigaahee = gehraayee meN nah dekhnaa
taNg-daamaanee = apne daaman yaa z^arf kaa kam honaa
wufoor = ziyaadatee
aasoodah = mut^ma,in, Khush
aasoodah-e-raah-e-muHabbat = muHabbat kee raahoN se mut^ma,in
shorish = shor, haNgaamah
shorish-e-manzil = manzil par poNhachne kaa haNgaamah
leHz^ah = bohat kam waqt, :ek second:
a'alam = kaifiyat, Haalat
Khud-raftagee = apne aap ko bhool jaanaa
a'alam-e-Khud-raftagee = Khud se begaanah hone kee Haalat
aab = paanee
gil = miTTee
dunyaa-e-aab-o-gil = paanee aur miTTee kee dunyaa (ya'nee yeh miT jaane waalee dunyaa)
deedah = aaNkh
beenaa = dekhne waalee
deedah-e-beenaa = dekhne waalee aaNkh
Khushkaam = achhaa, achhe kaam sochne aur karne waalaa
be-niyaaz = be fikr, be parwaa
maaZ^ee = :past:
mustaqbil = :future:
======================
Sarwar A. Raz "Sarwar"
[/align]
Attachments
gg-hogayimeraj(jpg).jpg
gg-hogayimeraj(jpg).jpg (93.27 KiB) Viewed 575 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Wed Feb 20, 2008 5:38 pm, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab Sarwar Raz SaHeb,

Hamesha ki taraH aap ki ghazal bohat shaandaar hai. laikin is baar to maqtaa bus jaan laine ki hi qareeb thaa. :P .

aek aor chhoti si baat bhi agar samjhaa deN to bohat shukrguzaar hooN ga. aek baar meN ne aek sher likhaa,

hai kyaa aashiqi, ishq hai kyaa mu'amma,
ye mazmoon woh kuch judaa baandhte heN.


aap ne farmaayaa ke aashqi oar ishq aek hi baat heN. kissi aek ko badana ho gaa.

aaj aap ke mat^la' meN meN bhi aisi hi tarkeeb istemaal hoee daikhii to Heerani hoee. agar kuch wazaHat farmaa deN to bandaa shukrguzar ho ga.



mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

MoHtarmee Sarwar Raz Saahab,
aadaab

aapki Ghazal paRhee. Bohat achchee aur meyaaree Ghazal hai. zubaan bhi achchi hai. fikr aur diqqat pasandee ke e'tbaar se yeh ghazal aap ki deegar GhazaloN se behtar hi nazar aayee halaNkeh chund miSroN meN bandisheN utni chust nahiN dikheeN jitnee Amuman aap ke yaahN hoti haiN. masla" matleY meN ishq.o.Aashiqi jiske Hawaly se Khawar Sahab ne bhi likha hai. yeh miSra deegar ashAAr ke muqaabley kamzor laga aur isee sher ke miSraae Saanee meN "bAAd uske" fiqra bhi miSrey ko kamzor bana raha hai.

mujhe mudarjazel shere bohat pasand aaya aur meri nazar meN yeh Hasil.e Ghazal hai:

deedah-e-beenaa, dil-e-Khushkaam, fikr-e-beniyaaz
ab koyee mushkil naz^ar aatee naheeN mushkil hameN!

subHaan Allah.


majmooi taur per behud Haseen ghazal hai. daad qubool farmaaiyega.


MuKhliS

Jawaid Badauni

P.S.
ek mAmooli see TYPO kee Ghalatee bhi ho gayee hai. Ghazal ke Unwaan meN aap "ho gayee" ki jagah "mil gayee" type kar gaye haiN. zaahir hai milna aur Hasil hona ek hi baat hai aur Ghazal meN bhi aap ne "ho gayee" hi likha hai. yeh yaqeena" TYPO ki ghalatee hai. durust kar lijiyega.
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHibbee Khaawar SaaHeb:tasleemaat!

Ghazal par daad ke liYe dilee mamnoon hooN. maqt^a' baiThe-biThaaYe ho gayaa thaa, goyaa yeh :aamad: kaa she'r hai. mujh ko keh kar Khushee huyee thee aur aap kee daad ne mujhe mazeed masarrat se aashnaa kiyaa. shukriyah!

aap ne ek sawaal kiyaa hai jo mufaSSil jawaab kaa t^alabgaar hai. aap ne likhaa hai keh:

"aek baar meN ne aek sher likhaa,

hai kyaa aashiqi, ishq hai kyaa mu'amma,
ye mazmoon woh kuch judaa baandhte heN.

aap ne farmaayaa ke aashqi oar ishq aek hi baat heN. kissi aek ko badana ho gaa.

aaj aap ke mat^la' meN meN bhi aisi hi tarkeeb istemaal hoee daikhii to Heerani hoee. agar kuch wazaHat farmaa deN to bandaa shukrguzar ho ga."

mere :i'shq-o-a'ashigee: kehne se aap ko Hairat naheeN honee chaahiYe thee kyoN.k:

(1) maiN bhee har insaan kee t^araH Ghalat^ee kar saktaa hooN aur kartaa hooN!

(2) ba'Z^ auqaat waqt aur mut^aali,e'h ke saath aadamee ke Khayaalaat badal sakte haiN aur woh apne kisee puraane mauqif se inHiraaf kar saktaa hai. albattah is kaa jawaaz us ke Zehn meN murattab aur Saaf honaa laazimee hai!

(3) kabhee yooN bhee hotaa hai keh woh apnee kahee huyee baat bhool jaataa hai! so ba'd meN woh ahl-e-i'lm ke saamne jawaab-deh qaraar paaYe gaa!

meree Ghazal kaa mat^la' hai:

ho gayee me'raaj-e-"i'shq-o-a'ashiqee" HaaSil hameN
:pehle dard-e-dil milaa, ba'd us ke daaGh-e-dil hameN:

aur e'tiraaZ^ :i'shq-o-a'ashiqee: par hai keh yeh ham-ma'nee alfaaz^ haiN aur is liYe in ko saath laanaa durust naheeN hai.

she'r kehte waqt yeh nuktah mujh par bhee pooree t^araH waaZ^eH thaa aur maiN ne is par kaafee sochaa bheethaa. lekin is se behtar bandish nah jab soojhee thee aur nah hee ab soojh rahee hai! so :Z^aroorat-e-she'ree: ko jawaaz banaa kar us ko apnaa liyaa thaa.

adabee tabSireh kaa ek baRaa faa,idah yeh hai keh teHqeeq-o-tajassus kee jaanib t^abee,a't maa,il hotee hai. so maiN ne is mauZoo' par kaafee teHqeeq kee keh ham-ma'nee aur mutabaadil alfaaz^ asaatiZah ne kaise ista'maal kiYe haiN? aise alfaaz^ kee micaaleN bohat miltee haiN. chand likhtaa hooN. ham-ma'nee aur mutabaadil alfaaz^ ko maiN ne "---" maiN muqai,yyad kar diyaa hai.

ummeed-e-"sukooN" ruKhSat, "taskeen"-e-durooN ruKhSat
ab dard kee baaree hai, ab dard mazaa de gaa (:Azad: Saharanpuri)

Ghair se mashwarah-e-"z^ulm-o-sitam" karte haiN
dekhiYe aaj woh kyaa ham peh karam karte haiN (:Salik: Dehlavi)

"a'ql"-o-hosh-o-"Khirad"-o-taab-o-tawaaN door rahe
ya'nee yeh laskhar-e-andoh-nishaaN door rahe (:Mehr: Lucknawi)

raNg yeh laayaa hujoom-e-"saaGhar-o-paimaanah" aaj
bhar gayee sairaabiyoN se meHfil-e-rindaanah aaj (:Hasrat: Mohani)

"ranj-o-Gham" hijr ke guzar bhee gaYe
ab to woh dhyaan se utar bhee gaYe (:Sahar: Luckhnawi)

ai dil-e-deewaanah! ummeed-e-rihaayee kis liYe
"pech-o-Kham" kaahe ko zulf-e-pur-"shikan" ke jaaYeN ge? (:Tasleem: Lucknawi)

shab-e-firaaq meN har dam hai yeh du,a'a-e-:Zaki:
"wiSaal, waSl"-e-Sananm meN naSeeb ho yaarab

aaKhiree she'r KhuSooSee tawajjuh chaahataa hai! agar "waSl"-e-Sanam meN hee "wiSaal" naheeN naSeeb ho gaa to kyaa shab-e-hijraaN naSeeb ho gaa?

yahaaN tak to Theek hai. lekin mujh ko talaash "i'shq" aur "a'ashiqee" kee thee. dekhiYe Mirza Rafi :Sauda: kyaa farmaate haiN:

dekhaa nah Haal :Sauda: kaa kooche meN "i'shq" ke
ai dil! too "a'ashiqee" kaa nah le naam kuchh naheeN!

yeh durust hai keh she'r meN "i'shq-o-a'ashiqee" fee-nafsih naheeN baaNdhe gaYe haiN lekin yeh do mutaabaadil aur ham-ma'nee alfaaz^ maujood Z^aroor haiN jab keh in meN se ek kee koyee Z^aroorat naheeN naz^ar aatee!

maiN ne jab apnaa mat^la' kahaa thaa to "i'shq" ko apnee muHabbat aur "a'ashiqee" ko meHboobah kee jawaabee muHabbat taSawwur kiyaa thaa. is se aap kaa ittifaaq karnaa laazimee naheeN hai. albattah is se mere jawaaz kee waZ^aaHat hotee hai. is teHqeeq aur bohat Ghaur ke ba'd maiN apnee bandish se mut^ma,in hooN aur is ko badalne kaa Khayaal naheeN hai. albattah is par soch baraabar jaaree rahe gee aur waqt milne par teHqeeq bhee hotee rahe gee, inshaa-Allah!

ummeed hai keh meraa mauqif ab saamne aa gayaa ho gaa. aap kee muHabbatoN kaa shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Jawaid Badauni SaaHeb: aadaab!

Khat^ aur tabSireh kaa shukriyah! Ghazal kee paZeeraayee ke liYe sipaas-guzaar hooN!

aap ne likhaa hai keh: [---maslan matleY meN ishq.o.Aashiqi jiske Hawaly se Khawar Sahab ne bhi likha hai. yeh miSra deegar ashAAr ke muqaabley kamzor laga aur isee sher ke miSraae Saanee meN "bAAd uske" fiqra bhi miSrey ko kamzor bana raha hai.]

mat^leh' par aap ke sawaal ke pehle TukRe kaa jawaab tafSeel se Khaawar SaaHeb ke Khat^ meN likh rahaa hooN. us ko dekh leejiYe.

ab reh gayaa mat^le' kaa miSra'-e-caanee! agar aap zeHmat farmaa kar miSra'-e-caanee ko Ghaur se dekhte to us ko :------: meN muqaiyyad paate! yeh Urdu shaa,i'ree kee riwaayat aur riwaaj meN t^araH kee nishaanee hai, ya'nee yeh kisee aur shaa,i'r kaa miSra' hai aur maiN ne is par girah lagaayee hai! Allah Allah Khair SalaaH!

waise meree raaYe hai keh :ba'd us ke: yahaaN nihaayat munaasib hai aur is se behtar bandish mushkil hai! baaqee raawee sab chain boltaa hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab Sarwar Raz SaHeb,

Allah t'aala aap ki SeHt o tuandurusti ke saath lambi umr 'ataa farmaye. aap ke mut^lia or teHqeeq ne ham jaisoN na laaiqon ke leeay aap ko mishal e rah banaa rakhaa hai. hamesha aap ke leeaye dua go,


khosha cheeN
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtaram Janaab Sarwar SaaHib, aadaab !

Urdu Shaai'ree meiN to mujhe is tarkeeb ke Haavale se koii micaal yaad naheeN , haaN , albatta Farsi shaai'rii se aek micaal de saktaa hooN fil-Haal !
Maulaana Romi ka aek mash'hoor she'r hai :

عقل در شرحش چو خر در گل بخفت شرح عشق و عاشقی هم عشق گفت
:: Roman meiN ::

a'ql dar sharHash, cho Khar dar gil beKhuft
sharH-e-i'shq-o-a'aashiqee ham i'shq guft !

...

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab SARWAR RAZ SaHeb,


waise maira to pehlay bhi khyaal thaa ke 'ishq o 'aashiqi" qaabil e 'istemaal heN. meN 'ishq aor 'aashiqi ko bilkul aek jaaisaa nahi samajhtaa. meN isse "sher o shairi" ki taraH laitaa thaa. jo ta'alluq sher oar shairi meN hai wohi 'ishq oar 'asshiqi meN (maire nazdeek)

meN is leeaye tark kar diyaa tha ke aap ke kehnaa thaa. aor chooNke maira is par muTaal'a na thaa. is leeaye aap ke ilm ko apne ilm par tarjeeh di.

aaj aap kehte heN ke ye theek to meN sher ko aSal Haalt meN waapiS lay aataa hooN.


khosha cheeN
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »



Janab-e-muHtaram Sarwar Raz SaHib

Salaam o RaHmat!!

kuch dino pehlay aap ki yeh ghazal deekhi thi, lakin jawab day na saka. is weekend per kuch ziyadh hi maSroof tha.

Ghazal bahut khoob hai, andaaz-e-bayan bahut dilkash bal kay dilfareeb hai. ik baat jo khatak rahi thi pehli baar ghazal paRthay hue voh baat Janab Siddique SaHib pooch hi chukay haiN aur aap nay jawab day bhi diya hai.

gustaKhi maaf!! kiya :ish-o-aashique: kay bajaye :ish-o-zindagii: ya : ish-o-bandagi: kuch theek nahin rahayga. yeh koi raye nahiN hai, bal k aap say kuch is baray meiN janay kay liye ik sawal hai. kyoun k :bandagii: ya :zindagii: ki meraaj HaSil ho sakti hai ya ki jasakti hai.(tifl-e-nadaan ka mASoom suaal)


bandagaan-e-aarzoo meN kar liyaa shaamil hameN
aap ne, shukr-e-Khudaa! samjhaa kisee qaabil hameN!

is qadar aasoodah-e-raah-e-muHabbat ho gaYe
DhooNDtee phirtee hai har soo shorish-e-manzil hameN

deedah-e-beenaa, dil-e-Khushkaam, fikr-e-beniyaaz
ab koyee mushkil naz^ar aatee naheeN mushkil hameN!

mandarja bala ashaar bahut pasand aaye. aHQar daad peesh karta hai.Qabool kijeaga.

Talib-e-dua

Farhan Aziiz
Post Reply