"Jauhar Badauni" ki Haseen tareen Ghazal.........

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

"Jauhar Badauni" ki Haseen tareen Ghazal.........

Post by jawaid badauni »



membraan.e Urdu Bandhan, aadaab

aaj aap ki Khidmat meN ek nayab toHfa pesh kar raha hoon. "Aftab Ahmed Jauhar" SaaHab mere waTan "Badaun" ke nihayat kohna mashq naamwar shayar thEy jo ab is duniya meN nahiN haiN. marHoom ki ek nihayat dilkush aur murassah ghazal mere haath lagee hai jo aap ki nazr kar raha hoon. aise kalam se na sirf hum mehzooz hote haiN hameN bohat kuch seekhne ka mauqa bhi milta hai. ummid hai qareen is ghazal ko beHud pasaNd farmayeNge aur aapni aara se nawazeNge.

Apka MUKhliS

Jawaid Badaun
Muscat - Oman

-----------------------------------------------------------------------------


Ghazal

Aftab Ahmed Jauhar Badauni


barham bhi hai woh barsar.e aazaa.o.keeN bhi hai
halaNkeh meri begunahee ka yaqeeN bhi hai

ik kashmakah meN hai dil-e ummidwaar-e deed
kuch hai bhi e’tbar-e nazar kuch nahiN bhi hai

deevaar-e baaGh, seHn-e chaman, shaaKh-e aashyaaN
aaKhir chaman meN mera Thikana kahiN bhi hai

ashk-e wafa ki hai tire daaman se aabru
yuuN ashk pochne ko miree aasteeN bhi hai

is darja unke Ahd-e wafa per hooN shaadmaaN
jaise wafaa-e Ahd ka mujhko yaqeeN bhi hai

itna tou pahle soch le ai Hasrat-e sujood
us aastaan-e naaz ke qaabil jibeeN bhi hai

woh meri Arz-e shauq pe Khaamosh ho gaye
haaN bhi is jawaab ka maTlab nahiN bhi hai

tanhaaiyaN haiN aur Tasawwoor ki lazzateN
yuuN dekhiye tou meri shub-e Gham HaseeN bhi hai

le jaaooN kis jagah dil-e ulfat sh’AAr ko
kyuuN dosto KhulooS ki pursish kahiN bhi hai

be kaifiyoN meN mausam-e gul bhi guzar gaya
haaN pairahan meN jeb bhi hai aasteeN bhi hai

kuch yuuN bhi Harf.e shikwa se na aashna haiN lub
kuch paas-e KhaaTir-e nigah-e sharmgeeN bhi hai

haiN har qadam pe koo-e malamat ki ThokareN
ab aasman hi nahiN dushman zameeN bhi hai

“Jauhar” ki saadgee-e Tabeeyat to dekhiye
duniya ki bhi Hawas hai talabgaar-e deeN bhi hai
------------ --------- --------- --------- --------- --------
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:wah!

Jawaid bhai salaam.

bohat hi dilkash kalaam share kiya hai aapne.

shukriye ke saath.

sara
Shukriya Sara,

heere ki qadr ek jauhree hi jaanta hai magar hamari bazm meN jauhree HaZraat ki kami hai. Chaliye aap ko Ghazal achchi lagee meri meHnat woSol huuwee.

Khjair andesh,

Jawaid
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Jawaid bhaee aadaab!

Is khubSurat aor naadir kalam par bohot likhaa jaa saktaa hai. Dartaa hooN keh aesaa nah ho keh likhne lagooN to likhtaa hee chalaa jaooN. GharZ^ yeh asha'aar apnaa jawaab naheeN rakhteY. meree jaanib se sar-e-dast shukriyah qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Jawaid bhaee aadaab!

Is khubSurat aor naadir kalam par bohot likhaa jaa saktaa hai. Dartaa hooN keh aesaa nah ho keh likhne lagooN to likhtaa hee chalaa jaooN. GharZ^ yeh asha'aar apnaa jawaab naheeN rakhteY. meree jaanib se sar-e-dast shukriyah qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Azeezi Muzaffar Sb,aadaab

durust farmaya aap ne. hamari budnaSeebi keh ab yeh buzurg hamare darmiyaan nahiN. qayamat ki sheriyyat thee unke yahaN aur her sher aamad ka hota tha. Badaun ke naamvar ustaad shoara' jinmen "Dilawr Figar SaaHab" bhi shamil haiN unse baqaaidah islaah liya kate they. marHoom peshe ke e'tbaar se Retd. Distt. Judge they. hamre walid marHoom ke qareebee dost they. "Badaun" ke sub se ziyadah kohna mashq shoara' meN unka shumaar hota tha.

Lijiye unka ek zabardast matla' mujhe yaad aa gaya hai agar yeh Ghazal bhi haath lag gayee tou zaroor aap ki Khidmat meN irsaal karooNga. "Jauhar SaaHab" farmate haiN:


zid hai ke bahr.e sajda dar.e yaar hi mile
deewaney apne kaam meN hushyaar hi mile


aap ne tawajjo se ghazal mulaaHiZah farmaii, bohat bohat shukriya.

aHqar
Jawaid
User avatar
balvinder
-
-
Posts: 133
Joined: Tue Jul 25, 2006 10:01 am
Location: INDORE
Contact:

Post by balvinder »

Jawed sahab aadaab arz hai

ummiid hai mijaaz ba_Khair hoNge..

merii nazar aaj hi is nihaayat hi umdaah ghazal par paRhii....aour be_saakhtaa mooNh se niklaa wa.....h

ek ek sher dil-paziir hai sahib....bahut lutf-andoz huaa hooN ise paRh kar.....

Allaah marhoom ki maghfiraat farmaaye...

aour aapka bahut-bahut shukriyaah jo aap is kalaam ko manzar-e-aam pe laaye

taalib-e-ilm
balvinder
mazhab koii lauTaale, aour uskii jagah de de
tahziib saliike kii, insaan qariine ke
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

balvinder wrote:Jawed sahab aadaab arz hai

ummiid hai mijaaz ba_Khair hoNge..

merii nazar aaj hi is nihaayat hi umdaah ghazal par paRhii....aour be_saakhtaa mooNh se niklaa wa.....h

ek ek sher dil-paziir hai sahib....bahut lutf-andoz huaa hooN ise paRh kar.....

Allaah marhoom ki maghfiraat farmaaye...

aour aapka bahut-bahut shukriyaah jo aap is kalaam ko manzar-e-aam pe laaye

taalib-e-ilm
balvinder
Balvinder ji namastey aur aadaab

aap se hamesha achaanak hi mulaqaat hoti hai. aisee mulaqatoN se bohat khushi hoti hai. kaise mizaaj haiN aap ke? Yeh asatiza.e suKhan thEy inki baat hi kuch aur thee. inka kalam jitna suna jaye utna hi mazeed sun ne ko dil chaahta hai.

main ne Jauhar Sahab ke char ashAAr mazeed isee "thread" meN bheje haiN unheN bhi dekh lijiyega.

MuKhliS

Jawaid Badauni
Post Reply