Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
Posts: 1258 Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:
Post
by Muzaffar Ahmad Muzaffar » Sat Mar 01, 2008 5:24 am
sara_j wrote: Sabki khidmet mein tasliimaat!
ghazal pesh hai
1. jab se KhwaaboN meN sarkaar aane lage
dil ke khwabiida armaaN jagaane lage
2. kuch hameN is Tarah aazmaane lage
voh sitam per sitam hum pe dhaane lage
3. chaaNd tanha na tha hijr ki raat meiN
ashk palkoN pe bhi jhilmilaane lage
4. baad muddat unheN dekh ker bazm meN
be irada ye lab muskuraane lage
5. koo-e janaN meN hum jo guzaar aaye thEy
yaad ban ker woh lamhe sataane lage
6. Khar daaman meN bharke jou maaNgee doa
phool kiya souch ker muskuraane lage
7. sub ki pehchaan aasaaN thee "Sara" magar
"khud ko pehchaanneY meN ZamaaneY laGeY"
[align=center]
[/align]
.
moHtarmah Saara jabeeB SaaHibah tasleemaat!
mushae'rah meN aap kee shirkat baae'c-e-iftekhaar hai. nawaZish!
Aap ke asha'aar dekhte huweY maiN aek a'jeeb se sarmastee aor kaef meN mubtilaa ho geyaa. khuda jaaneY keh yeh suroor-o-lut^f kee kaon se manzil thee. keh ab tak aek nashshah saa t^aaree hai. kalam meN balaa kee naGhmagee aor t^arawat hai. DherooN daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
jawaid badauni
-
Posts: 810 Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:
Post
by jawaid badauni » Sat Mar 01, 2008 10:33 am
Azeezah Sara bahan, doa
Muzaffar Sahab ne kahne ko kya choRa hai. pahle hi woh aap ke jazbaat aur eHsaasat ki qadr kar chuke haiN. maiN Khud Ghazal kahte waqt idhar udhar bhaTak jata hooN magar aap ki yeh Ghazal KhaliS ghazal ke rung meN hai. Husn.e taGhazzul se bharpoor bohat achchee Ghazal hai halaNkeh mushaairah Khatm hote hote aayee hai. daad qubool kijiye.
aapka muKhliS
Jawaid
haamidbaaqri
-
Posts: 567 Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:
Post
by haamidbaaqri » Mon Mar 03, 2008 7:49 am
sara_j wrote: Sabki khidmet mein tasliimaat!
ghazal pesh hai
1. jab se KhwaaboN meN sarkaar aane lage
dil ke khwabiida armaaN jagaane lage
2. kuch hameN is Tarah aazmaane lage
voh sitam per sitam hum pe dhaane lage
3. chaaNd tanha na tha hijr ki raat meiN
ashk palkoN pe bhi jhilmilaane lage
4. baad muddat unheN dekh ker bazm meN
be irada ye lab muskuraane lage
5. koo-e janaN meN hum jo guzaar aaye thEy
yaad ban ker woh lamhe sataane lage
6. Khar daaman meN bharke jou maaNgee doa
phool kiya souch ker muskuraane lage
7. sub ki pehchaan aasaaN thee "Sara" magar
"khud ko pehchaanneY meN ZamaaneY laGeY"
[align=center]
[/align]
.
azeezah sara saahebah
Assalaam o alaikum
bahut pyaari ghazal hai yeh aapki.
sabhi ash'aar bahut khoob haiN.
girah bahut behtareen lagaayee hai aapnay.masha allah
is haseen ghazal per hamaari dilee daad aur mubarakbaad qubool farmaayeN.
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aur haaN jawaab meiN takheer keliye hum muaazirat chaahtay haiN.dar asl hum is waqt dubai(uae )kay dauray per haiN.
aapka bhaaii
haamid
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
muhammad_19k
-
Posts: 540 Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:
Post
by muhammad_19k » Mon Mar 03, 2008 8:55 am
Saara ji
mushaaira meN aap ki ghazal daikh kar bohat khushi hoee. dost eHbaab pehlay hi bohat khoobSoorat alfaaz meN is ki t'aareef kar chuke heN. mairi Taraf se bhi daad qubool kijaiye.
mukhliS,
haamidbaaqri
-
Posts: 567 Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:
Post
by haamidbaaqri » Wed Mar 05, 2008 8:41 am
sara_j wrote: haamidbaaqri wrote:
azeezah sara saahebah
Assalaam o alaikum
bahut pyaari ghazal hai yeh aapki.
sabhi ash'aar bahut khoob haiN.
girah bahut behtareen lagaayee hai aapnay.masha allah
is haseen ghazal per hamaari dilee daad aur mubarakbaad qubool farmaayeN.
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aur haaN jawaab meiN takheer keliye hum muaazirat chaahtay haiN.dar asl hum is waqt dubai(uae )kay dauray per haiN.
aapka bhaaii
haamid
Respected Haamid bhai,
salaam.
wa alaikumussalaam
azeezah sara saahebah
jitne pakeeza aapke khayalaat houte hain aapne waise hi daad di, jise dekh ker
dil khushi se jhoom uTh-ta hai.
aapko khush dekh kar hum bahut khush hotay haiN.
Is hosla afzai ke liye main aapka tahe dil se shukriya ada karti hoon.
nawaazish aapki.
ye jaan ker khushi hui ke aap Dubai mein hain, kya kisi moshaire ke liye gaye houe hain?
jee...nahiN....apnay islamic audio albums kay promotion kayliye yahaN aaye haiN.dua farmaayeN keh hum apnay maqsad meiN kaamiyaab hoN.
aapko safar bohat bohat mubarak.
bahut bahut shukriya aapka.
sara
aapka bhaaii
haamid
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa