ChuNd ashAAr "Jauhar Badauni MarHoom"

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

ChuNd ashAAr "Jauhar Badauni MarHoom"

Post by jawaid badauni »

dosto! salam qubool kijiye

aaj phir Jahuhar Sahab ke chund ashAAr yaad aaye haiN magar
is baar mukammal ghazal nahiN bhej sakta jis ke lie maAzrat
Khuwaah hooN. ummid hai in ashAAr ko pasaNd farmayeNge
aur apni aara se nawazeNge.

aapka apna,

Jawaid Badauni




deed us jalwa.e be ruNg ki mushkil tou nahiN
dekhna yeh hai nazar parda.e Haaiil tou nahiN


ek dil hi Gham.e dauraN se bacha paayaa tha
aap ki nazr hai, go aap ke qaabil tou nahiN


bazm.e maataam meN nah rakh apni nigaaheN neechee
log socheNge kahiN tou mira qatil tou nahiN


itni surKhi tou nah thee runge Hina meN pahle
dekhna Khoon.e tamanna kahiN shamil tou nahiN

------------------------------------------------------------

(baaqi aaindah)
User avatar
balvinder
-
-
Posts: 133
Joined: Tue Jul 25, 2006 10:01 am
Location: INDORE
Contact:

Post by balvinder »

Jawaid sahab aadaab

in ash'aar ke liye bhii be-shaakhtaa muNh se wa..h hii nikaltii hai....kyaa khoob ash'aar kahe haiN ''Jauhar'' sahab ne....ab to inkaa aour bhii kalaam paRh ne kii tamanna baRhtii jaatii hai...ummiid hai aap jald hii inke maziid kalam se bhii roo-b-roo karvaayeiNge....

bahut-bahut shukriyaah janaab

nachiiz
balvinder
mazhab koii lauTaale, aour uskii jagah de de
tahziib saliike kii, insaan qariine ke
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

balvinder wrote:Jawaid sahab aadaab

in ash'aar ke liye bhii be-shaakhtaa muNh se wa..h hii nikaltii hai....kyaa khoob ash'aar kahe haiN ''Jauhar'' sahab ne....ab to inkaa aour bhii kalaam paRh ne kii tamanna baRhtii jaatii hai...ummiid hai aap jald hii inke maziid kalam se bhii roo-b-roo karvaayeiNge....

bahut-bahut shukriyaah janaab

nachiiz
balvinder
Dear Balvinder Ji,

Kahte haiN heere ki qadr sirf jauhree hi jaanta hai. aap ne in ashAAr per apni aara bheji mujhe bohat achcha laga warnah aaj tak yeh yahaN "un-noticed" hi paRe thEy. Bohat bohat shukriya. aap ki Khidmat meN :Jauhar: SaHab ka mazeed kalam jald hi irsaal karooNga.

Khoosh raheN!

apka apna
Jawaid
Post Reply