hamd-o-nath

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
sonu
nau-waarid
Posts: 8
Joined: Thu Sep 20, 2007 11:21 pm

hamd-o-nath

Post by sonu »

Jaga ji laganeki dunyaan nahi hai


Jaga ji lagane ki dunyaan nahi yeh ibarat ki ja hai tamaasha nahi hai

Jahaan main hai ibrat ke har su namoone magar tujh ko andha kiya rango bu ne

Kabhi ghaur se bhi ye dekha hai too ne jo maamoor the vo mahel ab hai soone

Jaga ji lagane ki duniyaan nahi hai --------------

Mile qaak main ahele shaan kese kaise makeen ho gaye laa makaan kaise kaise

Huve naam war be nishaan kase kase zami kha gai naujawaan kaise kaise

Jagaji laga ne ki duniyaan nahi hai---------------------

Zameen ke huve log phaivand kya kya malooko huzoooro quda vand kya kya

Dikhaayega tu chand roz kya kya ajal ne pichaade tanomand kya kya

Jagaji lagane ki---------------

Ajal mein na kisraahi choda na daara Isi se sikandar sa faate bi haara

Har ek chod ke kya kya hasrath sidhaara pada reh gaya sab yahi thaath saara

Jagaji-------

Tujhe pehle bachpan ne barsoN khilaaya Jawaani ne phir tujhko majnoo banaya

Budhaape ne phir aa ke kya kya sataya Ajal tera kardegi bilkul safaaya

Yahi tujhko dhun hai rahooN sab se balaa ho zeenath niraali wo faishon niraala

Wo hai aish –o- ishrath ka koi mahal bhi Jahaan saath mein khadi ho ajal bhi

Bas ab is jahaalat se tu nikal bhi ye tarze maeeshat ab apna badal bhi

Jagaji----------------

Ye duniya-e-faani hai mehboob tukhko huvi waah kya cheez marghoob tujhko

Nahi akhl itni bhi majzoob tukhko samajh le na ab chaahiya khoob tujhko

Jagaji--------------

Budhape se paakar payaame khaza bhi na chauka na cheeta na sambhla zara bhi

Koi teri ghaflat ki hai intehaa bhi junoon chod kar apne hosh mein aa bhi

Jab is bazm se chal diye dost aksar aur uthte chale jaa rahe hai baraabar

Har waqt pesh-e-nazar hai ye manzar yahaan par tera dil behelta hai kyun kar

Jagaji--------------

Jahaan mein kahin shore maatham bapa hai kahin sifr-e-qaqa se aaho baka hai

Kahin shikwa joro makro dawa hai hazar taraf se yahi bas sada hai

Jagaji--------------

ap ka dost
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Wah Sonu SaaHab

aap ka is bazm meN istaqbaal karta hooN. Ummid hai aaindah bhi aana jaana jari rakheNge. Yeh aap ki apni mehfil hai.

Khosh raheN!

Jawaid Badauni
sonu
nau-waarid
Posts: 8
Joined: Thu Sep 20, 2007 11:21 pm

Post by sonu »

Jawaid Bhai Salam


Ap ne mujhe is khabil samjha behad shukriya main inshaallah ata rahun ga.duaaoun main shamil rakhye

AP KA DOST SONU
Be khadar ki yaari main hum ne sau dukh paaya hai

Kikar par angoor chadhaya har khosha zakhmaaya hai
Post Reply