meri taaza nazm, 'Khwaab'

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

meri taaza nazm, 'Khwaab'

Post by Anmol »

Image

Khwaab

chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo

har ik insaan koshish kar raha hai
woh phir jeene ki khwahish kar raha hai
koi ab bhook se marta nahiiN hai
koi ab zulm se darta nahiiN hai
sabhi ke sar pe chhat hai, aasra hai
yahaaN har aadmii kaa tan Dhakaa hai

chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo

kaheen aaNsoo, kaheeN maatam nahiiN hai
GhamoN ka ab koi mausam nahiiN hai
Ghareebi kaa nahiiN ehsaas baaqi
abhi tak hai diloN meiN aas baaqi
kabhi to ham ko bhi khushyaaN mileN gi
hamaari raah meiN kaliyaaN khileN gi

chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo

na raNg-o-nasl par jhagRe ga koii
na deen aur dharm par akRe ga koii
uThaayeNge na ab hathyaar hargiz
na kum hoga jahaaN se pyaar hargiz
yahaaN sab chain se, mil kar raheN ge
chaman meiN phool ab khil kar raheN ge

chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo

by, Ayesha :Anmol:
Last edited by Anmol on Tue Mar 25, 2008 9:40 am, edited 1 time in total.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: meri taaza nazm, 'Khwaab'

Post by jawaid badauni »

Anmol wrote:Image

Khwaab

chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo

har ik insaan koshish kar raha hai
woh phir jeene ki khwahish kar raha hai
koi ab bhook se marta nahiiN hai
koi ab zulm se darta nahiiN hai
sabhi ke sar pe chhat hai, aasra hai
yahaaN har aadmii kaa tan Dhakaa hai

chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo

kaheen aaNsoo, kaheeN maatam nahiiN hai
GhamoN ka ab koi mausam nahiiN hai
Ghareebi kaa nahiiN ehsaas baaqi
hai ab tak sab diloN meiN aas baaqi
kabhi to ham ko bhi khushyaaN mileN gi
hamaari raah meiN kaliyaaN khileN gi

chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo

na raNg-o-nasl par jhagRe ga koii
na deen aur dharm par akRe ga koii
uThaayeNge na ab hathyaar hargiz
na kum hoga jahaaN se pyaar hargiz
yahaaN sab chain se, mil kar raheN ge
chaman meiN phool ab khil kar raheN ge

chalo tum bhi zara ye khwaab dekho
zara si der tum ye farz kar lo

by, Ayesha :Anmol:



Bohat Khub Anmol SaHibah. Sub kuch jo aaj ho raha hai aur nahiN hona chaahiye aap ne Khuwaab ki shakl meN bayan kar diya. mujhe yeh andaaz bohat pasaNd aaya.

Aap bus yeh nah faramoh kijiyega keh" "Khuwaab sharminda-e tAbeer kahaN hote haiN...Taj har maut pe tAmeer kahaN hote haiN.''

Is Nazm (ya agar isey geet kaha jaye) per meri daad qubool farmaaiye.

MukhliS

Jawaid
m.naeem.sameer
-
-
Posts: 52
Joined: Tue Sep 18, 2007 5:35 pm
Location: Keamari Karachi
Contact:

Re: meri taaza nazm, 'Khwaab'

Post by m.naeem.sameer »

Anmol SaaHibah.
aadaab.


MASHA ALLAH Khoob naZm kahi hai aap nay, aur hum sub apkay is Khvaab kii taAbeer kay liye dua go raheNgay.

bahat ach~chi naZm per naa cheez kii daad aur mubarakbaad HaaZir hai, aaindha bhi apnay kalaam say nawaaztay rahiye gaa.


SAMEER
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Nazm pa daad qubul ho

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

Muhtarma Anmol sahiba

Assalam Alaikum

Achhi nazm pa dad qubool kijye. Hona is khwaab ke mutbique chahiye tha lekin afsos ke aise haalat naheeN haiN. Muje to yeh Duaiya khwaab lagraha hai Allah kare ke aisa hojaye.

Allah Hafiz

Khurshidul Hasan Naiyer
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: meri taaza nazm, 'Khwaab'

Post by Anmol »

jawaid badauni wrote:
Bohat Khub Anmol SaHibah. Sub kuch jo aaj ho raha hai aur nahiN hona chaahiye aap ne Khuwaab ki shakl meN bayan kar diya. mujhe yeh andaaz bohat pasaNd aaya.

Aap bus yeh nah faramoh kijiyega keh" "Khuwaab sharminda-e tAbeer kahaN hote haiN...Taj har maut pe tAmeer kahaN hote haiN.''

Is Nazm (ya agar isey geet kaha jaye) per meri daad qubool farmaaiye.

MukhliS

Jawaid
Jawaid SaaHib, aadaab!

Kehte haiN na k dua maangte rehne chaahye jab tak ke qubool na ho jaaye, isi tarah mera Khayaal hai k Khwaab bhi dekhte rehne chaahyeN jab tak woh poore na ho jaayeN. waise bhi ham sab inhi umeedoN ke sahaare hi to jeete haiN. :-)

aap ko ye nazm ya geet pasand aaya, mujhe bahut Khushi hui.

behad shukria!

Anmol
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: meri taaza nazm, 'Khwaab'

Post by Anmol »

m.naeem.sameer wrote:Anmol SaaHibah.
aadaab.

MASHA ALLAH Khoob naZm kahi hai aap nay, aur hum sub apkay is Khvaab kii taAbeer kay liye dua go raheNgay.

bahat ach~chi naZm per naa cheez kii daad aur mubarakbaad HaaZir hai, aaindha bhi apnay kalaam say nawaaztay rahiye gaa.


SAMEER
Sameer Saahib, aadaab!

mujhe Khushi hui k aap ne bhi mere saath saath ye Khwaab dekha. dua to hamesha yehi hai k ye Khwaab poora ho. :-) daad aur mubaarakbaad ke liye behad shukria!

Anmol
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: meri taaza nazm, 'Khwaab'

Post by Anmol »

Aashufta wrote: Anmol SaaHebah aadaab:

ek a'rSah ke b'ad aap se hamkalaamee ka moq'a mil rahaa hai.
is nazm ka andaaz aap ke maKhSooS andaaz se zaraa haT kar hai.
Kher nazm achchee lagee daad qubool farmaaeN

Ghareebi kaa nahiiN ehsaas baaqi
hai ab tak sab diloN meiN aas baaqi

she'r yeh bhee achchaa hai. lekin dosare miSr'ae tavajjuh chaahtaa hai.
is kee ek Surat yeh bhee ho saktee hai

diloN meiN hai abhee tak aas baaqee

yeh Sirf meree Haqeer raaye hai aur aap ka is se muttafiq honaa hargiz zarooree naheeN. :grin:

iraadat-kesh,
Najm
Najm SaaHib, aadaab!

waqaee aik muddat ke baad aap se baat ho rahi hai. umeed hai mizaaj baKhair hoNge. nazm ko pasand karne ka behad shukria. :-)

aap ne jis misre ki nishaan'dahi ki hai, woh mujhe bhi tawajja ka taalib lagta hai. aisa shaayad 'sab diloN' ki waja se hai. aap ki tajveez achchhi hai. ab maiNe she'r yuuN kar lia hai,

Ghareebi ka nahiiN ehsaas baaqi
abhi tak hai diloN meiN aas baaqi

bahut shukria!

Anmol
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: Nazm pa daad qubul ho

Post by Anmol »

Khurshidul Hasan Naiyer wrote:Muhtarma Anmol sahiba

Assalam Alaikum

Achhi nazm pa dad qubool kijye. Hona is khwaab ke mutbique chahiye tha lekin afsos ke aise haalat naheeN haiN. Muje to yeh Duaiya khwaab lagraha hai Allah kare ke aisa hojaye.

Allah Hafiz

Khurshidul Hasan Naiyer
Assalamo Alekum/Walekum Salaam!

Naiyer SaaHib!

har khwaab aik dua hi to hota hai. Khuda isey qubool kare, ameen.

btw kya aap bhi she'r kehte haiN?

nazm ko pasand karne ka behad shukria. :-)

Anmol
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

Azizah Anmol

salaam

kahiN aur bhi daad di hai yehaan bhi diye baghir nahiN rehi

]bohat achaa mozu chuna ahai

aik baar phir daad Haazir hai

khush reho

wassalam
live and let live

Image
Post Reply