Meri shadi ki pachchisveeN "anniversary"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Meri shadi ki pachchisveeN "anniversary"

Post by jawaid badauni »

yaraan.e mehfil, aadaab

yeh Nazm maiN ne apni begam ko shadi ki 25veen Anniversary ke mauqey per 10 February ko bhejee thee. ummid hai meri faryad ko paRhenge aur mehzooz honge.

Apka apna,

Jawaid Badauni

ai miri begam miri zauja miri ardhaaNgnee
ho mubarak aap ko shaadee ki anniversary

ap ke pahlu meN guzrey haiN mire pachchees saal
Kya zamane meN kahiN hai sabr ki aisee miSaal?

main ne tou jo kuch kiya beshak woh mera farz tha
haaN magar sarkaar kuch tou aap per bhi qarz tha

sochiye yeh silsila jaari hai kitne saal se
roz ki farmaisheN ik shayar.e bud Haal se

zindagee meN zar kahaN hum shairoN ko dastyaab
shairoN ki maali Haalat yuuN bhi hoti hai Kharaab

jeb meN sub ki Rial.o.Dirham.o.Deenaar hai
aur hamare paas bus sheroN ki hi bharmaar hai

shairoN ka maal.o.zar duniya meN bus jazbaat haiN
kuch Ghazal ke sher haiN, nazmeN haiN, kuch qitAAt haiN

mera yeh sarmaya ley lije mujhe manZoor hai
sona aur chaaNdee zara meri pahooNch se door hai

aaj ke din lijiye Hazir hai shauhar ki doa
har muSibat se reheN mahfooz bus mere siva

zindagee guzre hamesha aap ki KhushiyoN ke saath
din ho miSle Eid aur rateN hoN misle shub-baraat

-----------------------------------------------------------------------

Jawaid Badauni
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

:salaam: Jawaid Badauni Sahib,
Sab se pehle mere taraf se himmat afzai aur sabr ki talqeen qubool kijiye. Waise itne arsa guzarne ke baad sabr aa hi jaata hai.
Nazm bohat pasand ayee. Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

sbashwar wrote::salaam: Jawaid Badauni Sahib,
Sab se pehle mere taraf se himmat afzai aur sabr ki talqeen qubool kijiye. Waise itne arsa guzarne ke baad sabr aa hi jaata hai.
Nazm bohat pasand ayee. Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar

Bhai Salem Sahab,aadaab

ek arSey bAAd aapne yaad farmaya Khushee huuwee. Nazm aap ko achchee lagee is ki bhee Khushee hai. daad ke liye aap ka manoon hooN.

Mohtarm Abdullah Nazir Saahab ke kaise mizaaj haiN? Unse mera salam kah dejiyega. rabt qaaiim rakhiyega.

MukhliS

Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Meri shadi ki pachchisveeN "anniversary"

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:yaraan.e mehfil, aadaab

yeh Nazm maiN ne apni begam ko shadi ki 25veen Anniversary ke mauqey per 10 February ko bhejee thee. ummid hai meri faryad ko paRhenge aur mehzooz honge.

Apka apna,

Jawaid Badauni

ai miri begam miri zauja miri ardhaaNgnee
ho mubarak aap ko shaadee ki anniversary

ap ke pahlu meN guzrey haiN mire pachchees saal
Kya zamane meN kahiN hai sabr ki aisee miSaal?

main ne tou jo kuch kiya beshak woh mera farz tha
haaN magar sarkaar kuch tou aap per bhi qarz tha

sochiye yeh silsila jaari hai kitne saal se
roz ki farmaisheN ik shayar.e bud Haal se

zindagee meN zar kahaN hum shairoN ko dastyaab
shairoN ki maali Haalat yuuN bhi hoti hai Kharaab

jeb meN sub ki Rial.o.Dirham.o.Deenaar hai
aur hamare paas bus sheroN ki hi bharmaar hai

shairoN ka maal.o.zar duniya meN bus jazbaat haiN
kuch Ghazal ke sher haiN, nazmeN haiN, kuch qitAAt haiN

mera yeh sarmaya ley lije mujhe manZoor hai
sona aur chaaNdee zara meri pahooNch se door hai

aaj ke din lijiye Hazir hai shauhar ki doa
har muSibat se reheN mahfooz bus mere siva

zindagee guzre hamesha aap ki KhushiyoN ke saath
din ho miSle Eid aur rateN hoN misle shub-baraat

-----------------------------------------------------------------------

Jawaid Badauni

Mohtaram Jawaid bhai,

taslimaat!

aapke jazbe aur muhabbat mein likhi ye nazm jo aek anmol tohfa hai aapki begum aur meri bhabhi ke liye
uski jitni bhi tareef ki jaaye kam hai, aapko tahe dil se mubarakbaad aur daad deti hoon. Allah ta'ala aap
dono ko hamesha isi bandhan mein joRe rakhe aur aisi beshumaar saalgirah manaayein :rose .

sara

P.S. is nazm ko maine yehan move kiya aur sticky bhi

aur ise main hi normal karungi.

Sara Bahan, aadaab

yeh nazm kuch mizaaH ke ruNg meN hai isee liye isey mizaHiya shairee wale "thread" meN rakhkha tha. ab aap jaisa munasib samjheN.

Aap ki nek Khuwahishaat aur doaoN ke liye behud mamnoon hooN.

Khosh raheN!

MuKhliS
Jawaid
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Jawaid bhai
shaadi ki silver jublee mubarik ho
mujhe umeed hai is shikayati nazm ke ilawa bhee bhaabhi saheba ke liye kuch likha ho ga
vo bhee pesh kijye
wasalam
zmufti
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

zmufti wrote:Jawaid bhai
shaadi ki silver jublee mubarik ho
mujhe umeed hai is shikayati nazm ke ilawa bhee bhaabhi saheba ke liye kuch likha ho ga
vo bhee pesh kijye
wasalam
zmufti

Zarqa SaaHibah

bohat bohat shukriya. ab doosrey Khat ko raaz hi rahne deejiye.
sub kuch tou nahiN bata sakta hooN aap ko.

ummid hai mizaaj baKhair hoNge.

MuKhliS

Jawaid
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Jawaid bhaee AOA!

is khubsuret nazam per daad qabul kijiay

waisay aik baat akhaz hoti hay keh ager yeh gillay shikway 25 saal maiN khatem nahiN ho saktay to phir 100 saal maiN bhi nahiN.

yeni terfain ko in in kay saath samjhota ker laina chahihay.

is sher nay to bohat hi lutf dia

aaj ke din lijiye Hazir hai shauhar ki doa
har muSibat se reheN mahfooz bus mere siva

wassalam

sohail malik
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Sohail Malik wrote:Jawaid bhaee AOA!

Azeezi Suhail Saahab WAAS

Nazm ki bharpoor pazeeraayee ke liye shukriya. abhi shayad aap ki shadi huuwi nahiN hai. In giley shikwoN ke luTf se aap naaAshna lagte haiN.

Khair andesh,
Jawaid Badauni
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

jawaid badauni wrote:
Sohail Malik wrote:Jawaid bhaee AOA!

is khubsuret nazam per daad qabul kijiay

waisay aik baat akhaz hoti hay keh ager yeh gillay shikway 25 saal maiN khatem nahiN ho saktay to phir 100 saal maiN bhi nahiN.

yeni terfain ko in in kay saath samjhota ker laina chahihay.

is sher nay to bohat hi lutf dia

aaj ke din lijiye Hazir hai shauhar ki doa
har muSibat se reheN mahfooz bus mere siva

wassalam

sohail malik

Azeezi Suhail Saahab WAAS

Nazm ki bharpoor pazeeraayee ke liye shukriya. abhi shayad aap ki shadi huuwi nahiN hai. In giley shikwoN ke luTf se aap naaAshna lagte haiN.

Khair andesh,
Jawaid Badauni
Jawaid bhaee AOA!

aisaa nahiN hay khadim bhi anqareeb shaadi ki beesweeN (20th) salgirah mananay waala hay :grin:

aur issi liay to keh raha huN keh yeh koi khatem honay waali shay nahiN haiN

khair andesh

sohail malik
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!

Aap ne apnee shaadee kee 25veeN Anniversary ke mubarak maoqa' par apnee Shareek-e-Hayaat ke liyeY apne makhSooS aor dilchasp andaaZ meN asha'aar kahe haiN. jo bhot khubSurat aor pur maZaaH haiN. Hiss-e-maZaH bhee qudrat kee den hai. aap maZaaHiyah asha'aar bhee khub kehte haiN.

meree jaanib se is khubSurat naz^m par dilee mubarak baad aor daad qubool keejiye.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Fri Feb 22, 2008 3:03 am, edited 1 time in total.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Jawai Badauni SaaHib tasleemaat!

Aap ne apnee shaadee kee 25veeN Anniversary ke mubarak maoqa' par apnee Shareek-e-Hayaat ke liyeY apne makhSooS aor dilchasp andaaZ meN asha'aar kahe haiN. jo bhot khubSurat aor pur maZaaH haiN. Hiss-e-maZaH bhee qudrat kee den hai. aap maZaaHiyah asha'aar bhee khub kehte haiN.

meree jaanib se is khubSurat naz^, par dilee mubarak baad aor daad qubool keejiye.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

shukriya Muzaffar Saahab.

"der aayad durust aayad".

MuKhliS

Jawaid
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Re: Meri shadi ki pachchisveeN "anniversary"

Post by muhammad_19k »

Javed SaHeb,

kuch dair se Haazir huwaa hooN laikin umeed hai ke mu'aaf farmaeN ge. aor maire mukhtaSir aor saada alfaaz ko hi bohat kuch samjhe geN. hamari bhabhi ke leeaye aap ke ye jazbaa qaabil deed hai. aor shaadi ke pachees saloN meN woh sukhan shanaas to ho hi chuki hoN gi :grin: wagarnaa aaj aap ghazleN nahi Sirf mazahia shairi hi likhaa karte :grin:

ai miri begam miri zauja miri ardhaaNgnee
ho mubarak aap ko shaadee ki anniversary

ap ke pahlu meN guzrey haiN mire pachchees saal
Kya zamane meN kahiN hai sabr ki aisee miSaal?

main ne tou jo kuch kiya beshak woh mera farz tha
haaN magar sarkaar kuch tou aap per bhi qarz tha

bohat khoob.

sochiye yeh silsila jaari hai kitne saal se
roz ki farmaisheN ik shayar.e bud Haal se

zindagee meN zar kahaN hum shairoN ko dastyaab
shairoN ki maali Haalat yuuN bhi hoti hai Kharaab

jeb meN sub ki Rial.o.Dirham.o.Deenaar hai
aur hamare paas bus sheroN ki hi bharmaar hai

shairoN ka maal.o.zar duniya meN bus jazbaat haiN
kuch Ghazal ke sher haiN, nazmeN haiN, kuch qitAAt haiN

mera yeh sarmaya ley lije mujhe manZoor hai
sona aur chaaNdee zara meri pahooNch se door hai

is par mujhe 'aitraaz hai janab. sunaa hai ke agar shair "commercial" ho jaaye to bohat paise heN is kaaam meN

aaj ke din lijiye Hazir hai shauhar ki doa
har muSibat se reheN mahfooz bus mere siva

kyaa dua di hai aap ne ke koi aameen bhi na keh sake. :grin:

Code: Select all

zindagee guzre hamesha aap ki KhushiyoN ke saath
din ho miSle Eid aur rateN hoN misle shub-baraat
aameen janab aameen.

daad o dohri mubaarakbaad qubool kijiaye.

niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Meri shadi ki pachchisveeN "anniversary"

Post by jawaid badauni »

muhammad_19k wrote:Javed SaHeb,

kuch dair se Haazir huwaa hooN laikin umeed hai ke mu'aaf farmaeN ge. aor maire mukhtaSir aor saada alfaaz ko hi bohat kuch samjhe geN. hamari bhabhi ke leeaye aap ke ye jazbaa qaabil deed hai. aor shaadi ke pachees saloN meN woh sukhan shanaas to ho hi chuki hoN gi :grin: wagarnaa aaj aap ghazleN nahi Sirf mazahia shairi hi likhaa karte :grin:

ai miri begam miri zauja miri ardhaaNgnee
ho mubarak aap ko shaadee ki anniversary

ap ke pahlu meN guzrey haiN mire pachchees saal
Kya zamane meN kahiN hai sabr ki aisee miSaal?

main ne tou jo kuch kiya beshak woh mera farz tha
haaN magar sarkaar kuch tou aap per bhi qarz tha

bohat khoob.

sochiye yeh silsila jaari hai kitne saal se
roz ki farmaisheN ik shayar.e bud Haal se

zindagee meN zar kahaN hum shairoN ko dastyaab
shairoN ki maali Haalat yuuN bhi hoti hai Kharaab

jeb meN sub ki Rial.o.Dirham.o.Deenaar hai
aur hamare paas bus sheroN ki hi bharmaar hai

shairoN ka maal.o.zar duniya meN bus jazbaat haiN
kuch Ghazal ke sher haiN, nazmeN haiN, kuch qitAAt haiN

mera yeh sarmaya ley lije mujhe manZoor hai
sona aur chaaNdee zara meri pahooNch se door hai

is par mujhe 'aitraaz hai janab. sunaa hai ke agar shair "commercial" ho jaaye to bohat paise heN is kaaam meN

aaj ke din lijiye Hazir hai shauhar ki doa
har muSibat se reheN mahfooz bus mere siva

kyaa dua di hai aap ne ke koi aameen bhi na keh sake. :grin:

Code: Select all

zindagee guzre hamesha aap ki KhushiyoN ke saath
din ho miSle Eid aur rateN hoN misle shub-baraat
aameen janab aameen.

daad o dohri mubaarakbaad qubool kijiaye.

niazmand,

Azeezi Khawar SaaHab

der aayad durst aayad. bhai abhee lagta hai aap ki shadee huuwe nahiN hai is liye is nazm ko aap puri tarah nahiN samjh sakeNge.

aap ne durust farmya kuch shayar apna qalam bechne lage haiN. mushairoN meN Khawateen 'make up" karke nihayat umdah aawaz aur tarannum meN doosroN ka kalam paRhtee haiN. awwal tou maiN us qism ka shayar hooN nahiN maiN ne tou hamesha apni jeb se hi si shauq per Kharch kiya hai. waise woh karobari shoara bhi itna kama nahiN pate haiN jo kuch kamate haiN sub sharab aur kabab per Kharch ho jata hai.

mujhe Allah ka diya bohat hai. yeh sub chezen aap logoN ko haNsaane ke liye haiN. waise suna hai Begam ko nazm pasand aaii hai aur unse bhi ziyadah mere bachchoN ko. sub ne "print out" nikaal liya hai aur logoN ko sunate phir rahe haiN yeh nazm hamare Papa ne Mummy ke liye likhi hai.

Ziyadah doa,

Jawaid [/color][/size]
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

waise suna hai Begam ko nazm pasand aaii hai aur unse bhi ziyadah mere bachchoN ko. sub ne "print out" nikaal liya hai aur logoN ko sunate phir rahe haiN yeh nazm hamare Papa ne Mummy ke liye likhi hai.

ye hoee na baat.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

janaab jawaid saheb

salaam

hamari teraf se bhi daad aur murakbaad qabuul fermaaiye

wassalam
live and let live

Image
Post Reply