muHtrama Rehana Ahmad jaanaaN jii
aadaab-o-slaam-e-masnoon
aik dosray forum -par aap kii ye'h Ghazal paRh kar raa'ay daiy chukaa hoon.
" am changaizii pataan ay... Khocha amaarii aik zabaan ay... jo oodar likkii ay wo idar b likkay giii ....
muHtarma’h Rehana Ahmad SaaHiba’
aadaab-o-slaam-e-masnoon
aap Ghazal naZar navaaz ho’ee jii Khush hogyaa. aap kii qaadir-ulklaamii kaa e’traaf na’
karnaa bad naSiibii hay. maZkoora’ Ghazal apnii no’eiat kii ko’ee vaaHid Ghazal nahiiN phir
bhii paRh kar jo taaCur qaa’im hotaa hay wo’ qaarii ko apny seHr maiN lay lay taa hay...
baHayCiat-e-majmoo’ee Ghazal.. Ghazal hii hay. na’ jiddat say bigh’aar’ee ga’ee hay aur
na’ hii amoomii rava’y’e kaa taRkaa hay..daaKhlii eHsaasaat ko baRiii KhoobSooratii nay
naZm kiyaa gyaa hay is kaamiyaabii par merii naachiiz daad aur mubaarakbaad qabool kiijiay.
duaa hay “ allah kary zor-e-qalam aur ziyaada’ “
Sirf aik she’r say naZariyaatii iKhtilaaf (agar ijaazat ho to)
Khuda naa khawstah gar tu nazar aaya nah Janat mien
qasam teree Jahanam kee maien Rab se aarzoo kar looN
dar aSl aap kay paas vahaaN ko’ee “choise” nahiiN hogii....
phir doosrii baat jannat say dozaKh kii Talab............ (Khair to hay naa jaanaaN jii )
is TaraH kii baataiN karnay waalay saarii zindagii sar paTakh laiN... aaKhrii Umr maiN
saaray kas bal nikal jaaty haiN (Toba’ kiijiay toba’).
-ive way maiN mat sochiay.. bajaa’y ye’h ke’ aap uskii
(jis kay liay aarzo-e-jahanum kii jarahii hay) aap uskii iSlaaH kiijiay.
khud bhii whaaN jaanay kii aarzoo....... (aur wo’bhii qasam kay saath)
adaab mu’aashray kii ta’miir kay liay hotaa hay na’ ke’ bigaaR kay liay....
farZ kar Liijiay wo ga’ay jahanum.. aur aap ko qaadir-e-muTlaq nay keh diyaa
tum bhii ja’oo jahanum.... to biibii khudaa kaa Khof kiijiay...
aysii baataiN na’ sochty haiN aur na'hii likhty haiN...
(baaqii aap kii marZii).. Kush rahiay.
go ke’ meraa muaamla’ ““ ch’hoTaa muNh aur baRii baat ““ waalaa hay...
laykin umiid hay aap merii baat kii te’h tak pohaNch jaa’aiNgii.
aur ko’ee bhii baat naaagvaar guzrii to barmalaa iZhaar kiijiay gaa.
taa’ke maiN aa’inda’h muHtaaT rahoN.
Ghazal lajawab hai, aur iski bharpoor daad bhi maiN aapko dusri maiN maiN de chuka, lekin Ghazal itni ach~chi hai kay yahaN bhi daad diye bina koi charaa nahiN.