Guzarish#39 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Guzarish#39 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram khuwateen-o-HaZ^araat aadaab-o-tasleemaat! :-)

Guzarish#39 mah-e-rawaaN ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah keejiye.

:rose naheeN sehtaa koee insaaN shikast-e-Aarzu barsooN :rose

shae'ir, Abdullah Nazir SaHib.

beHer kee is shakl ka naam hai. beHer-e-hazaj musamman saalim.

=mufaaee'lun......mufaaee'lun......mufaaee'lun.......mufaaee'lun
=//0/0/0......//0/0/0......//0/0/0.......//0/0/0
=1222........1222..........1222.........1222

Qawafee, Arzu, justuju, kubaku, rang-o-bu waGhaerah.

radeef, barsooN.

Qawee ummeed hai. keh sabh~ee arbaab-e-sukhan diye gae t^arHee misra' Guzarish# par t^aba' aazmaa kar hameen shukriyah ada karne ka maoqa'deeN ge.

multamis
intezaamiyah Urdubandhan.[/align]
Post Reply